Har Shakhs ke sath Bhalayi karo

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Har Shakhs ke sath Bhalayi karo

❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞

📕 Al-Quran; Surah: Aale-Imran 3:92


“Jo Bhalayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa(Sawaab) Payega aur Jo Burayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa (Sazaa) Ppayega”.

📕 Surah Nisa 4:85

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Meri Sifarish ka fayda har Uss Shakhs ko pahunchega Jo Shirk se bach bachakar zindagi guzarega.”

📕 Muslim Sharif

❝ Apne Ilm pe amal na karna, Neamaton pe shukr na karna aur Gunaaho se taubah na karne se Bhalai ka darwaza band ho jata hai.

📕 Yahya Bin Muaz

❝ Agar koi tum se Bhalaai ki Ummid rakhe tou usey mayoos na hone dena kyunke logon ki zaruraton ka tumse wabasta hona tum per Allah ka khaas karam hai.

📕 Bujurgo ke Aqwal

❝ Jiske sath bhalai ka muamla kiya gaya, usne Bhalai karne wale ko Jazakallahu Khair kaha usne Shukriya ka haq ada kar diya.

📕 Hadith: Jamia Tirimizi, Jild 1, 2101

❝ Tumhari niyat ki paimaish uss waqt hoti hai, jab tum kisi aise shakhs ke sath Bhalai karo jo tum ko kuch bhi nahi de sakta.

📕 Bujurgo ke Aqwal

❝ Acche logon ki Sohbat(dosti) se Bhalaai hath aati hai, jaise hawa jab khushbudar cheez ke paas se guzre tou khushbudar ho jaati hai.

📕 Bujurgo ke Aqwal

❝ Kisi ke ehsaan ka badla chukane ki agar taaqat na ho tou Zubaan se hi Shukriya adaa kar diya karo.

📕 Bujurgo ke Aqwal

    Leave a Reply