♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Dharr (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pass aaye aur arz kiya:
“Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai.
Tou aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta’ala ne sadqe ka samaan kar diya hai.
∗ Har Tasbeeh (Subhanallah kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Takbir (Allahu Akbar kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Tahmeed (Alahmdulillah kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Tahleel (La ilaha illallah kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Acchi Baat Sikhana Sadqa hai,
∗ Aur har Buri Baat se Rokna Sadqa hai,
∗ Aur har Shakhs ke badan ke tukde me Sadqa hai.
(Yaani Apni Biwi/Shohar se Sohbat karna bhi Sadqa hai)
Logon ne arz kiya: Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! hum me se koi shakhs apne badan se apni shahwat nikalta hai (yaani apni Biwi se Sohbat karta hai) to kya usmey bhi Sawab hai, tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: kyu nahi (yaani haan), agar wo Haraam me sarf karta tou uss se wabal (Gunaah) hota ki nahi ?,. isi tarah jab Halaal me sarf karta hai tou Sawaab hota hai.
– (Sahih Muslim, Vol 3, Hadith 2329)
✦ हर अच्छी बात सीखना और हर बुरी बात से रोकना सदका है।
♥ मफ़हूम-ए-हदीस: अबू हरैराह (र.) से रिवायत है की, कुछ (गरीब) सहाबी (रज़ीअल्लाहु अनहुमा) रसूलअल्लाह (ﷺ) के पास आए और अर्ज़ कीया:
“या रसूलअल्लाह (ﷺ)! माल वाले सारा सवाब कमा कर ले गए! इसलिए की वो नमाज़ पढ़ते है जैसा की हम नमाज़ पढ़ते है और रोज़ा रखते है जैसा हम रोज़ा रखते है और अपने ज़्यादा मालों से सदका भी देते है।
तो आप (ﷺ) ने फरमाया: तुम्हारे लिए भी तो अल्लाह सुभानहु तआला ने सदके का सामान कर दिया है।
* हर तसबीह (सुभानअल्लाह कहना) सदका है ।
* और हर तकबीर (अल्लाहु अकबर कहना) सदका है ।
* और हर तहमीद (अलहम्दुलिल्लाह कहना) सदका है ।
* और हर तहलील (ला इलाहा इल्लल्लाह कहना) सदका है ।
* और हर अच्छी बात सीखना सदका है ।
* और हर बुरी बात से रोकना सदका है ।
* और हर शख्स के बदन के टुकड़े मे सदका है (यानि अपनी बीवी/शोहर से सोहबत करना भी सदका है)।
लोगों ने अर्ज़ किया: या रसूलअल्लाह (ﷺ)! हम मे से कोई शख्स अपने बदन से अपनी शहवत निकालता है (यानि अपनी बीवी से सोहबत करता है) तो क्या उसमे भी सवाब है, तो आप (ﷺ) ने फरमाया: क्यू नहीं (यानि हाँ), अगर वो हराम मे सर्फ करता तो उसे से वबाल (गुनाह) होता की नहीं ? इसी तरह जब हलाल मे सर्फ करता तो सवाब होता है ।
– (सहिह मुस्लिम, हदिस 2329)
Recent Posts
Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge ….
807,460
NonMuslim Yuwak ne Marwadi me Likhi Paigamber Muhammad (ﷺ) ki Jivani
गैरमुस्लिम युवक ने मारवाड़ी में लिखी पैगम्बर मोहम्मद (स.) की जीवनी
807,352
नबी ﷺ के दौर में औ़रतों का फ़रमाने नबवी की ताबेदारी करना।
1,475
Allah Taa’ala jiski behtari chahta hai usey Deen ki samajh ata karta hai
अल्लाह तआला जिसकी भलाई चाहता है उसे दिन की फ़िक़्ह (धर्म की समझ) देता है।
807,550
Hiqayat (Part 34) » Sulaimaan (Alaihay Salam)
808,162
Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A) Ki Mukhtasar Sirat
Shaykh Abdul Qadir Jilani(Rehmatullah Alahi) Ki Mukhtasar Sirat aur Aapke Aqwaal
811,600
Rab Ke Raaste Par Koun Log Hai ? ….
807,219
Raston Par Baitney Ka Haq Bhi Ada Kiya Karo
807,289
यहूदियों का तारुफ़ (Introduction of Jews in Urdu)
807,617
Ramzan Me Zikre-Ilahi Karne Wala Baqsh Dia Jata
807,215
Parda Sharafat Ki Pehchan Ke Waste Bahoot Munasib Hai ….
807,403
Har Tauba Ko Kabul Karnewale Allah se Kaise Na’ummid ho gaye hum by Br.Imran
807,409
Allah Ta’ala Zalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta
807,588
7 Azeem Nekiyo Ka Hukm
807,285
Allah Ta’ala Ki Neymat Pe Shukr Ada Karne Ka Silah
807,257
2
3
…
172
Next