Halaal Rozi Haasil karna Farz hai

✦ Mafhum-e-Hadees:

1). Abdullah bin Masood (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

Shariyat ke Digar Faraiz ke baad Halaal Rozi haasil karna Farz hai.”

📕 Bayhaqi, Mishkat Page-242


2). Abu Bakr Siddiq (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

“Jis Badan ko Haraam Giza (Khana) diya gaya wo Jannat me Dakhil na hoga.”

📕 Mishkat Page-243


3). Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ne kaha ki, Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke:

“Logo par ek Zamana aisa bhi aayega jab ke koi iss baat ki parwaah na karega ki usney jo Maal kamaya wo Halaal hai ya Haraam.”

📕 Bukhari Vol-1 Page-276

Misaal (Examples):

1. Kapda Silane ke liye diya tou Darzi ne Usme se kaat liya.

2. Ruyee(Cotton) katne ke liye di tou katne wale ne ruyee nikal li.

3. Kapda banane ke liye diya tou banane wale ne nikal liya.

Ruyee nikalne wale ne ruyee bacha li aise hi kisi bhi cheez me se jo apko kisine kisi kaam ke liye di aur aapne usme uski chori ki tou ye sab kaam Najaiz aur Haraam hai. Jahannam me le jane wale hai.

Afsos ! ki ye batein khule taur par Emaanwalo me iss tarha rayej ho gayi hain, ki ab logon ko ehsaas hi nahi hota ke hum Haraam Rozi se apna pait bharkar apni Aakhirat barbad kar rahe hain. balki Awaam tou awaam kuch khaas log bhi isi tarha haraam rozi hasil karne me lage hai,

*Karo Maherbani Tum Ahle Zameen par

*Allah Maherban Hoga Arshe Barin par !!

Leave a Reply