Fazail-e-Quran: Part 9

Fazail 3: Quran Remat hai Momeenin ke liye

Ab Rehmat ko Humne 3 Hisso me Taqseem kiya hai.

  1. Rehmat Duniya ki,
  2. Rehmat Barzakh(Qabr Ke Zindagi) ki,
  3. Rehmat Aakhirat ki.

Allah Rabbul Izzat Quraan me Iskey talluk se farmata hai:

Ye Quraan Aye Nabi Momineen ke liye Hidayat aur Rehmat hai.

Surah Nehal 16:77

Ye Quraan Nekokaro ke liye Rehmat hai.

Surah Luqmaan 31:3

Aayiye Iska Pahla Marhala Letey Hai Ke Duniya Me Kya Rehmat Hai ..

1) Quraan me Duniya ki Rehmat

A) 1st Duniyawi Fayda: Gumrahiyo se Hifazat

– Jo Shakhs Iss Kitab se Apna Talluk Rakhta hai, Isko Padhta hai, Ispar Amal karta hai, Uss Insan ki Gumrahiyo se Uski Hifazat hoti hai.

– Aaj Hum Quraan ko Chorkar ye Ummid karte hai ke Gumraah na ho aur Quraan padhne walo ko kahte hai ke Tum wo Chorrkar falah kitab padho tou tum Gumraah nahi honge. Subhan’Allah !!!

Allah Rabbul Izzat Ek Ayat Me Farmata Hai:

Jo Koi Meri Hidayat ki pairwi karega, tou na wo Gumraah hoga aur Naa hi kisi taklif me Mubtela hoga.

Surah Taha 20:123

… Ab Quraan par Amal Naa Kar ke Hum Tasawwur karte hai Allah Humko Hidayat dega aur Humari Hifazat Karega,.. Jabki Siway Gumraahi ke Humare Hath kuch bhi Lagne wala nahi.

Hadees: Ek riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:
Quraan ka ek Sirah Allah ke Hath me hai aur Dusra Sirah uske padhne wale ke hath me”

– (Tibrani)

… Ab Andaza Lagaiye ke: Jab Quraan Ek Rassi hai aur Jiska Ek Sirah Allah ke Hath me aur dusra Uske Padhney wale ke hath me, tou kya Uss Shakhs se kabhi Ummid hai ke woh kabhi Gumraah ho sakta hai?
Ya Uss Shakhs ko koi Zindagi me kabhi Gumraah kar payega? Jo Allah ki Rassi ko Thamey ho apne Hath me.

B) 2nd Duniyawi Fayda: Fitno se Humari Hifazat ho jayegi

– Quraan Jo Insan padhta hai, Uspar Amal karta hai Uski Zindagi Fitno se Mehfooz ho jayegi. Allah usey tamam fitno se bacha leta hai.

Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –
Surah Kehaf Ki Ibtidayi 10 Aayte Yaad Karo! Isliye ke ye Dajjal ke Fitno se tumhe Mehfuz rakhegi..”

– (Sahih Muslim)

… Ye baat Aap aur Hum sab Jaantey hai ke Dajjal ka Fitna sabse bada fitna hoga.. Lekin Iss Fitne se nijat ke Liye jab Surah Kehaf ki chand Ayate hi Kaafi hai tou digar fitney aur fasad se Bachney ke liye pura Quran Tou abhi Baaki hai.

Tou Beharhaal Quraan Jo Shakhs padhta hai wo Dunia me Fitne aur Fasaad se bachta hai.
* * * *

C) 3rd Duniyawi Fayda: Aafate-Samavi se Insan ki Hifazat hoti hai

– Yaani Balaao se, Musibato, Zalzalo, Baadh se aur Kehat-saali se Insan ki Hifazat hoti hai.

Hadees: Ek Martba hua Youn ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke talluk se aata hai, Ek Sahabi-e-Rasool hazrate Uqba (R.A) kehte hai ke :

“Hum Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke sath Safar me they aur Achanak Badal aa gaye, Andhera cha gaya, tej Aandhiya chalney lagi aur bilkul Tufan jaisa Mahoul ho gaya.

Aap (ﷺ) ko Humne dekha ke Aap ne Allah me panaah mangna shuru kar di aur uskey baad Aap (ﷺ) ne Mauzatain (Surah Falaq aur Surah Naas) Padhney lagey aur farmaya ke –

“Mauzatain ke Jarye Allah se Panah Maango! ke kisi Panah Mangne ke Liye Inn Do Surto se jyada behtar koi (Dua) nahi.”

– Sunan Abu Dawud

… Tou Pata chala Aafato, Zalzalo, Musibato ke Andar, Kehat-saali me Aise Mushkeel Ghadiyo me Hume Chahiye ke Hum Surah Falaq aur Surah Naas ki Tilawat karey Iss se Hum Allah ki Panah me aatey hai.

… Goya Duniyawi Aaftey , Jo Aasman se aa sakti hai , Zameen se aa sakti hai , Hawao ke Jarye aa Sakti hai, Quraan Uss se bhi Humari Hifazat ki Rehnumayi karta hai.

D) 4th Duniyawi Fayda: Rizq me Farawani

– Jo Shakhs Quraan padhta hai, Uske Ahqaamo ke Mutabik pe Amal karta hai Allah Ta’ala uskey Rizq me farawani deta hai.

Allah Rabbul Izzat Ek Aayat me farmata hai –

Agar ye (Yahudi) Tauraat par Qaayam rehte aur Injeel par Amal karte aur Aye Nabi (ﷺ) Jo Aap par Utra (Quran) Uss par Amal karte tou Aap Dekhtey Hum Inhe Khilatey Aasmano se aur Zameeno se.”

Surah Maida 5:66

… Subhan’Allah !! Gour Karne waali baat hai ke Agar Yahudiyo ko Iss Kitab par Amal Karne ka badla deney Ka Wada Allah kar raha hai tou Yakinan Musalmano ke liye bhi ye Aayate hai ke “Agar Hum bhi Iss Kitab ko thamey tou Allah Aasmaan aur Zameen se Humari Rozi ka Intezam farmayega.

Ab Ye Kaise Mumkin hai ye Allah hi Janta hai aur Jisney Ispey amal kiya, Jisne Isko dekha hai wohi Janta hai ke kaise Allah Khilata hai aisi roziya.

E) 5th Duniyawi Fayda: Siyasi Urooj aur Gallba Hasil hota hai

– Jis Qoum ne Iss Kitab ko thama , Iskey Mutabeek Unki Zindagi rahi Unko Allah Rabbul Izzat ne Siyasi Urooj aur Galba diya, wo Humesha Gaalib rahe Duniya pe aur Logon par hukumat ki.

Islkey Talluk se sahih Muslim ki Hadees hai ke –

Hadees: Aap (ﷺ) farmatey hai ke –
Allah Iss Kitab ke Jarye Baaz Logon Ko Urooj ata farmata hai aur Baaz ko Isi ke Jarye ruswa aur zaleel karta hai.”

– (Sahih Muslim)

– Matlab Ye Ke Jo Isey Padhenge , Ispar Amal Karenge , Unko Allah Duniya me Urooj dega, Jo Ispar Amal nahi Karenge ya Iskey Paigaam ko Apne Mafad ke Khateer Chupayenge Allah Unko Iss Dunia me Zaleelo Khwar Karega.
* * * * *

F) 6th Duniyawi Fayda: Raat ke Sharr aur Fitno se Insan ki Hifazat

Raat ke Jo Sharr hotey hai , Fitne aur Fasad Hotey Hai, Jaahir Si Baat Hai Jinn Aur Shayateen Aam Ho Jaatey Hai Jiskey Wajah Se Fitne Jayada Failatey Hai, Tou Quraan Me Iss Se Bhi Hifazat Hai,..
♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Raat Ko Sotey Wakt Ayatul Kursi Padhkar Soye Subah Tak Ek Farishta Uski Hifazat Karta Hai,..” -(Sahi Bukhari)
… Subhan’Allah! Gour Kijiye Kya Fazilat Hai Iss Qalaam Ki – “Ke Agar Raat Ko Ayatul Kursi Padhkar Sota Hai Koi Insan Tou Subha Tak Farishta Hifazat Karta Hai Uski,..”

… Andaza Lagayiye Jis Qalaam Ki Ye Aayat Hi Itni Taasir Rakhti Ho Tou Pura Qalaam Padhne Wala Aur Amal Karnewale Ki Zindagi Kaisi Hogi ,..
* * * *

G) 7th Duniyawi Fayda: Khair-O-Barkat ka Husool

Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya ke –
Surah-Tul-Baqrah padha karo! Iska Padhna Bayase Barqat aur Chorrna Bayase Hasrat hai.”

– (Sahih Muslim)

… Aaj Aise Kitne Ghar hai Jo Surah Baqraah ki tilawat karte hai? Ya Kitne Ghar hai Jaha Quraan ko padha Jaata Hai? Mumkin hai ke bohot kum log hai ke Hum Padhtey hai.

– Ya Jo Kuch bhi Padhtey hai Wo Makhsus Surtey Padhke Muamla Khatm Kartey hai. Jabki Ye Puri Kitaab Ko Hume Padhna Hai Yaad Rakhiye.

H) 8th Fayda: Duniyawi Ranj aur Gham se Hifazat hoti hai

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Aur Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Shakhs 3 Martba Surah Ikhlas, Surah Falak Aur Surah Naas Tilawat Kar Ley Allah Rabbul Izzat Usey Har Kism Ki Musibate Aur Gham Se Mehfuz Rakhega ,..” – (Sunan Abu Dawud)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Isi Tarha Ek Riwayat Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Shakhs Allah Se Quran Ki Tilawat Aur Sama’at Ke Jarye Qurane-Majid Ko Aankho Ka Noor Aur Dil Ka Suroor Bananey Ki Dua Karta Hai,.. Allah Uska Dil Khush Kar Deta Hai Aur Usko Duniyawi Ranj-o-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazate Kar Deta Hai ,..” – (Musnade Ahmed)

… Yaani Koi Shakhs Quran Padhta Ho Aur Allah Se Dua Karta Ho Ke – “Aye Allah Iss Quraan Ko Mere Aankho Ka Noor Bana Dey Aur Dil Ka Suroor Bana Dey Aur Mere Ranj Aur Gham Door Kar Dey Jo Aisi Darkhwast Karta Hai Allah Uski Dua Kabool Fermata Hai Aur Duniyawi Ranj-O-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazat Ata Farma Deta Hai …

♥ Subhan’Allah !! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq ata Farmaye ,..

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

Leave a Reply