Fazail-e-Quran: Part 5

Waqia 2 : Jam’ad Asadi (R.A.) ka Iman lana:

Aap Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke Aailan-e-Naboowat se pehle ke ek dost they.

Hua youn ke jab Aap (ﷺ) ne Islam ki dawat di fir kaafi arse baad Insey mulaqaat hui. yaani pehle dosti thi fir jab naboowat ka ailaan kiya Rasool’Allah (ﷺ) ne tou unko pata nahi chala.

Uske baad jab wo ek baar Makka aaye tou logon ne bataya ke tumhara dost Muhammad (ﷺ) tou Gumraah ho gaya, apne baap-dada ke deen se fir gaya ,.. majnoon ho gaya hai.. (Maaz’Allah) !

Jam’ad Asadi (RaziAllahu Anhu) Dour-e-Jahalat me Jhaad Phoonk ka kaam karte they, majnoon (pagal) logon ka ilaaj kiya karte they.

Ye kaafi din tak Rasool’Allah (ﷺ) se nahi miley ke kahi Mai bhi na Gumraah ho jau insey milkar ,.. log wakay me Itna darr rahe hai tou kuch na kuch tou baat hogi.

• Ek Martba Socha ke Mai khud ek Qaheen hu! Mai khud Jhaad Phoonk karta hu , Mujhe kya koi behkayega ?…. Ho sakta hai ke Muhammad (ﷺ) par koi Jinn sawar hua hoga,.. (Nauzubillah)

Tou Mai aisa karta hu ke ek baar ja kar inka ilaaj kar deta hu, aur Ilaaj jab kar dunga tou mera naam bohot mashoor ho jayega ki maine “Muhammad-bin-Abdullah” ka ilaj kiya ,.. (Sallallahu Alaihay Wasallam)

• Yaani Abu Talib ke baad Rasool’Allah (ﷺ) hii Quraish ke wali-ahad hone wale they, tou Maine Quraish ke wali-ahad ka ilaaj kiya ye baat mashoor ho jayegi.

Iss Niyat se ek din gaye aur kaha “Aye Muhammad (ﷺ) ! agar Aap majnoon ho gaye honge, Aap par koi jinn sawar hua hoga tou mai Utaar deta hu, lekin ek shart par, ke mera Naam Aap baad me lena ke maine aapka ilaaj kiya… “

Aap (ﷺ) ne kaha ke “Tum pehle Apna Qalaam pesh karoge ya Mai kar du?” ,… Unhone kaha ke “Aap hi padhkar sunaniye…”

Nabi-e-Karam (ﷺ) ne khudba-e-haajat shuru kiya aur uske baad chand aayate hii tilawat ki Quran ki… ke wo itne mutaseer hue aur kaha ke “Ye Qaahin ka Qalaam nahi ho sakta … yakinan ye haq baat hai,.. aur usi Haqeeqi Rab ka Qalaam hai”… Aur wahi Imaan laye Allah ke Rasool (ﷺ) par.

Subhan’Allah … Iss liye kyunki ye kitabe hidayat hai.

Ref – “Companions of The Prophet”

# SABAQ:

Iss Wakiye Me Gour karne waali baat hai ke logon ki suni-sunayi baato par aitmaad karne ke bawajud unke akal ne unka saath diya aur logon ke behkaawe se bahar nikal kar wo shakhs Allah ke Rasool ke paas pohoche aur imaan laa kar sahabi hone ka sharf hasil kiya.

Aur Aaj ka Muamla Tou Bilkul Mukhatlif Hai ,. Chand Mafad-Parsto ne keh diya ke Quraan padhne se Gumraah ho Jaoge Isiliye Humare kayi nadaan Musalmano ne Quraan se Doori Ikhtiyar kar Li.

*Usi Quraan ko kisi ke marne ke baad Jahilana Aqeede se bakhshwate hai lekin kabhi zindagi me usey khol kar uskey paigamaat par gour nahi karte. Aakhirat me bohot sakth mua’mla hoga unn logon ke sath jo Allah ki hidayat ke sath aisa sulooq karte hai.

♥ Allah Ta’ala Hum tamaam ko apne Qalaam (Quraan-e-Majid) ki Hidayat ko Samjhne ki aur Uspar amal ki toufiq dey !

To be Continue …

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

Leave a Reply