Fazail-e-Quran: Part 10

2) Quraan me BARZAQ ki (Qabr ke Zindagi ki) Rehmat –

– Aayiye Dusri Reham par Gour Karte Hai Jab Insan Mar Jaata hai aur Qabr me Pohoch jata hai.

Hadees: “Insan Jab Mar Jata hai tou Munkeer Nakeer 3 Sawaal kartey hai. Man Rabbuka (Tera Rab Koun), Man Nabiyuka (Tera Nabi Koun Hai), Maa Dinuka (Tera Deen Kya Hai)

Jab Nek Insan Sahih Jawaab de dega tou Chautha (4th) Sawaal farishtey Karenge. Jo Sawaal ki Shakl me nahi hoga. Balki wo Puchenge aur Kahenge ‘Wama Yudreek ?’ (Kaise Miley Tujhe Inn Sawalo ke Jawabat ?)

…Tou wo Shakhs Jawab Dega aur Kahega: “Qaraatu Kitab Allahi Fa Amantubihi Wa Saddaqatuhu
(Maine Allah ki Kitaab ko Padha tha, Ispar Imaan laya, Iski Tasdeek ki aur Apni Zindagi Uskey Mutabik Gujaari”

– (Sahi Bukhari & Musnade Ahmed)

… Tou Pata Chala Qabr ki Guidebook bhi Quraan Hi Hai Yaad Rakhiye.

Jisney Isko Padha, Ispar Imaan Laya, Iske Mutabik Amal Kiya wo Tino Sawalo ke Sahih Jawabat de payega aur Jisne Isko padha nahi, Ispar Imaan nahi laya, Ispar Amal nahi kiya, Naahi Iski tasdeeq ki wo tino sawal me Fail ho jayega aur aakhirat me barabar fatkey padenge.

Tou Dekha Aap ne ! Barzaq Ki Zindagi me bhi Quraan ko Padhne Waale, Iske Mutabik Zindagi Gujarney Wale hi Kamiyabi Hone Waale hai aur Baaki log Naqaam ho Jayenge.


3) Quraan me Aakhirat ki Rehmat –

A) 1st Fayda Aakhirat me: Magfirat ke liye Quraan Sifarish Karega

Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Quraan-e-Paak Padha Karo! ye Qayamat ke Roz Apne Padhnewalo ke liye Sifarishi ban kar aayega.”

– (Sahih Muslim: Hadees-1874)

Hadees: Surat-Ul-Mulk Apne Padhney wale ke Liye Shifarish karega”

– (Sunan Nisayi)

Hadees: Surah Baqrah aur Surah Aale-Imran Aayenge aur Allah Rabbul Izzat ke Samne Sifarish Karenge jo Unko Padhkar Amal karte they Unke haq me, Hatta ke Allah Unhe Ijajat dega tou Wo Mujadila bhi Karenge Uss Shakhs ke Haq me Jo Inki Tilawat Karta Tha, Padhta tha aur Allah ke Hukm Ke Mutabik Amal Karta Tha..”

– (Sahih Muslim)

… Yaad Rakhiye Surah Baqrah, Surah Aale Imran aur Ibtidayi Jo 4-5 Badi-Badi Suratey Hai Ismey Aksar Ahqamat Hai Shariyat Ke,…

Tou Ye Quraan Hi Dekhiye Magfirat Ka Jarya Ban’ne Wala Hai ,..

B) 2nd Fayda Aakhirat me: Qari ke liye Qurane Majid ki Mutalibat

*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai:
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Shakhs Quraan Padhta Tha Aur Uspar Amal Karta Tha, Quraan 3 Mutalibaat Allah Ke Samne Rakhega, Yaani 3 Shartey Rakhega ..
Pehli Shart Hongi Ke “Aye Allah ! Jo Shakhs Mujhey Padhta Tha, Mujhpe Amal Karta Tha Isye Izzat Ka Libas Pahanaya Jaaye,..”
Allah Kahega – “Isey Pehna Do,..” Uss Shakhs Ko Izzat Ka Libas Pahanaya Jayega Aur Keemti Taaz Uskey Sir Par Rakh Diya Jayega,..
Dusri Shart – “Aye Allah Isko Firsey Izzat ka Libas Pehnaya Jaye”
Allah Fir Huqm Dega,.. Usey Ek aur Izzat Ka Libas Pehnaya Jayega Aue Keemti Taaz Uskey Sir Par Rakh Diya Jayega,..
Fir Teesra Mutaliba Karega Quraan Aur Kahega – “Aye Allah Iss Se Tu Raazi ho Ja”..
Allah Teeno Mutalibat Ko Kabool Karega Aur Uss Shakhs Se Raazi Ho Jayega ,… – (Jame Tirimizi)

C) 3rd Fayda Aakhirat me: Muqarrab Farishto me Khada hoga

Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Hadees: Qurane Majid Ki Tilawat Karnewala, aur Uss Tilawat me Maharat Rakhne wale, Uss Qari ko Allah Rabbul Izzat Apne Nazdiki Farishto me Shumar karega.”

– (Sahih Muslim)

… Tou Goya Wo Insano Ke Giroh se Nikal Kar Allah Ke Muqarrab Farishto Ke Giroh Me Ja Kar Shumar Hoga,…

D) 4th Fayda Aakhirat me: Qari-e-Quraan ko Buland Darjat Milenge

Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Hadees: “Ke Allah Rabbul Izzat Qari-e-Quraan se Kahega Ke Quraan Padhta Ja Aur Terey Darjaat Mai Buland Karta Jaunga.. Jaha Tu Rukega Bus Wohi Tera Aakhri Darja Hoga !!!
Aur Qari-e-Quraan Padhta Jayega Aur Apne Darjaat Buland Karta Jayega,. Har Aayat Par Uska Darja Buland Hota Jayega,.. Hatta Ke Jitna Usey Yaad Hoga Wo Padhkar Suna Dega ,.. Wohi Uska Aakhri Darja Hoga. ”

– (Jame Tirmizi)

…. Tou Andaza Lagaiye Kya Fayda Hai Iss Kitab Ke Padhne Aur Ispe Amal Ke ,….

E) 5th Fayda Aakhirat me: Quran Par Amal Karne wale ke Walidain ka bhi Ikram hoga

Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:

Hadees: Quraan Ke Padhne aur Amal Karnewale Ke Magfirat, Takreem Aur Izzat Karne Ke Baad Uskey Waliden Ko 2 Keemti Libaas Pehnaye Jayenge.
*Wo Walidain Puchenge Ke – “Aye Allah Kis Wajah se Hume Pehanaya Gaya Itna Keemti Libas ?”
Tou Allah Unsey Farmayega Ke – “Apne Betey Ko Tumne Quraan Padhna Sikhaya Tha,. ye Uska Badla Hai Aaj,..”

Tou Andaza Lagaiye !! Qari-e-Quraan Ka Hi Nahi Balki Uskey Walidain Ka Bhi Ikram Hoga Roz-e-Qayamat ,…
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jayada Amal Ki Taufiq Dey ,…

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

Leave a Reply