Diye huye Tohfe Waapas Na Le

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Amr bin Aas (RaziAllau Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Tum me se koyi bhi apne diye huye Tohfe ko waapas na le !
siwaye ek baap ke (Jo diya hua tohfa waapas le sakta hai) apni Aulad se.”

– (Sunan Ibn Majah, Hadith no. 2378)

# Takhreej: 1. Kisi ko tohfa dekar wapas lena sahi nahi hai bhale tohfa mamooli ho ya mehenga.
2. Ek Baap apni aulad ko diya hua tohfa wapas le sakta hai.
3. Yahi Qanun Maa ke liye bhi hai apni aulad ko diye huye tohfe ke taal’luq se

Leave a Reply