Qayamat ki Nishaniyan Series: Part 3

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-3

23.​​ Log bakheel (kanjus) ho jayenge

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“(Qayamat ki alamaat mein se hai ke) Zamana Qareeb aa jayega, amal mein Nuqs waqiya hoga aur Bakheeli (Kanjusi) paida ho jayegi.”

📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7061

Hazrat Muawiya (R.A) se marvi hai ke main ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suna Aap (ﷺ) farmatey they ke “log sakht aur bakheel ho jayenge.”

📕 Majma al Zawaid 14/8

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke “Bakheeli ka aam hona Qayamat ki nishanion mein se hai.”

📕 Majma al zawaid
📕 Fatah al bari 15/13

Note:

Bakheeli o Kanjoosi ka phail jana Qayamat ki ek nishani hai jo ke bohat taizi se phail rahi hai.

bakheeli ke daira kaar me wasail ki bakheeli, maal o doulat ki bakheeli, fikar o nazar ki bakheeli aur qalb o amal ki bakheeli shamil hein.


24.​​ Ummat e Muslima Shirk me mubtala ho jayegi

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“is waqt tak Qayamat qayem nahi hogi hatta ke “Dous” Qabeeley ki Aurton ke Sereen Zulkhalsa per harkat karenge. Zulkhalsa Dous Qabeeley ka butt tha jis ki jahliyat me ibadat kertey they.”

📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7116

Hazrat Soban (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat is waqt tak qayem nahi hogi jab tak meri ummat ke Qabail (Giroh) Mushrikeen ke sath na mil jayen aur jab tak meri ummat ke qabail booton ki ibadat na kerne lage.”

📕 Masnad Ahmad 350/5
📕 Abu Dawood Kitab ul Fitan wal malahim 4252

Hazrate Ayesha (R.A) farmati hai ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) se suna hai ke,
“Din aur Raat khatam nahi honge hatta ke Laat aur Uzza ki ibadat ki jayegi.”

Hazrate Ayesha (R.A) farmati hai ke Maine kaha “Ya Rasool Allah! main tou samajhti thi ke is aayat ke nazool ke baad deen mukamal ho jayega. (aur Shirk ki Gunjaish nahi rahegi)”

“Allah Ta’ala ne apne Rasool ko hidayat aur deen e haq ke sath bhejha tha ke wo isey her deen pe ghalib ker dey agarchay (yeh baat) mushrikeen ko nagawar guzrey.”

📕 Surah Saf 9

Huzoor (ﷺ) ne farmaya: “Jab tak Allah chahega deen sar buland rahega phir Allah Ta’ala ek pakeeza hawa bhejhega jo har is shakhs ki rooh qabaz ker lega jis ke dil mein raai barabar bhi iman hoga phir wo log reh jayengey jin me koi khair nahi hogi aur wo apne (kafir) Aba o Ajdaad ke deen ki taraf lout jayenge.”

📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2907

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“har Nabi ki ek Dua qubool hoti hai aur her Nabi ne apne Dua (dunia) mein jaldi ker li jab ke maine apni dua ko apni ummat ke liye Roz-e-Qayamat ke liye mehfoz ker rakha hai aur meri Dua in’sha’Allah meri ummat ke her is fard ke haq mein qabool hogi jo is halat me faut huwa ke Allah ke sath kisi ko shareek nahi banata tha.”

📕 Sahih Muslim kitab ul iman 119

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke jab yeh ayat nazil hoe:

jo log iman laye aur unhone apne iman ko zulm se paak rakha tou inhi logon ke liye aman hai aur yehi hidayat yafta hain.

📕 Surah Al An’aam 82

Tou Sahaba ikram ne kaha ke hum me se koun hai jis ne (kabhi) zulm nahi kia? tou Allah Ta’ala ne is zulm ki wazahat me yeh aayat nazil farma di.

“Beshaq Shirk Zulm e Azeem hai.” Surah Luqman 13

📕 Sahih Bukhari kitab ul iman 32

Abu waqad laisi se marvi hai ke jab RasoolAllah (ﷺ) hunain ki taraf nikley tou ek (bairi ke) darakhat ke paas se guzar huwa jisey “Zaat Anwaat” kaha jata tha aur mushrikeen is per apna aslaha (bataur barkat) latkatey they. (chand Sahaba (R.A) jo New’muslim they) Unho ne kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! jis tarah in (mushrikon) ka zaat anwaat hai is tarah Aap humare liye bhi (kisi darakhat ko) zaat anwaat muqarar ker dein.

Nabi Kareem (ﷺ) ne (yeh baat sun ker) farmaya: “Allah hu akbar! yeh tou aise hai jaise bani israel ne kaha tha: (Aye Musa A.S!) humare liye bhi ek mabood muqarar ker dein jis tarah in (mushrikon) ke mabood hain. (suno!) albata tum zaroor pehley logon ke tareekon per chaloge.”

📕 Masnad Ahmad 218/5
📕 Sunan tirmizi Kitab ul Fitan 2180

Note:

Ummat e Muslima ka Shirk me mubtala ho jana Qayamat ki ek nishani hai. Qayamat se pehle zul khalsa, laat aur manaat waghaira ki phir se ibadat shuro ker di jayegi halankay Nabi Kareem (ﷺ) ne apni hayaat mubarka me in tamaam bootton ka qala qama farmaya tha.

Ummat e Muslima ki Aurtien Shirk mein ziada mubtala honge.

Nabi Kareem (ﷺ) har Gunahgar ummati ki sifarish karengey magar mushrik ki sifarish nahi krengey kyon ke Allah ne Quran me farmaya:

Beshak jis ne Allah ke sath Shirk kiya Allah is per jannat haram ker dega.

📕 Surah al Maida 72

Zulkhalsa junoobi taif mein muqam zahran me tha. Nabi Kareem (ﷺ) ki peshangoyi ke mutabiq fil waqye musalman is ki parastish ke Fitney mein mubtala ho chukey they ke Dareen Asna me Allah Ta’ala ne apne ek Nek, Saleh aur Musalah bandey Muhammad bin Abdul Wahab ko khada kia jis ne Abdul Azeez bin Muhammad bin Saood ke tawun se Dawat e Tauheed aur taqat ke sath is darsgah ko ukhad phenka aur logon ko Shirk se nijat di.

Abhi kuch chingarian baki thin jo Az-sar-no Shirk ki aag roshan karna chahti thin ke Abdul azeez bin Abdul Rehman Aal saood ne is ka bhi qala qama ker dia.

Dusrey mumalik ki tarah India aur pakisthan me bhi Shirk ki beemari taoon ki tarah her taraf phail chuki hai. hazaron darbar aur dargahien ban chuke hai jahan rukoo o sujood ke sath hajj aur tawaf tak Ghair Allah ke liye baja laye jatey hain.

Ghair Allah ke liye Nazrien, Niyazien peh ki jati hain, Muradein aur Duayen mangi jati hai, aatey jatey guzartey huwwy salamein pesh ki jati hain, itna khauf Allah ka nahi jitna “Murdon” ka dil me bithaya jata hai. aur sitam per sitam yeh ke hukumat in ki sarparasti kerti hai.

Shayad hi koi aisa manzar ho jahan per Qabar ke uper boott na rakhey gaye hon.


25.​​ Masajid me Zaib o Zeenat aur fakhar o Mubahaat kia jayega

Hazrat Anas bin Malik (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem na hogi hatta ke log Masjidon me fakhar o mubahaat karenge.”

📕 Masnad Ahmad 170/3
📕 Abu Dawood 4449

Ek riwayat me hai ke,
“Qayamat ki alamaat me se hai ke log Masjidon ko sajaya karenge.”

📕 Ibne Khazeema 1322
📕 Sunan Nisai 690

Hazrat Abu Darda (R.A) se mairvi hai ke
“Jab tum log masjidon ko sajane lagoge aur Quran ko mazaiyan kerne lagoge tou tumhari barbadi hai.”

📕 Sahih al Jame 220/1
📕 Silsala al Saheeha 337/3

Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) se farmatey hai ke,
“Tum Zaroor masjidon ko is tarah aarasta karoge jis tarah yahood o nasara kerte hain.”

neez Hazrat Umar (R.A) ne jab masjid ki tameer farmai tou (maemaar se) kaha: Surkh o Zard (chuna gach) na karna mubada ke log Fitney me mubtala ho jayen.

📕 Sahih Bukhari kitab ul salat

Note:

Masjid ko sajana Qayamat ki nishani hai.

Yeh nishani arsa daraz se shuru ho chuki hai aur batadreej shidat pakad rahi hai. Hafiz ibne Kaseer (R.H) farmatey hai ke Abdul Malik bin Marwaan ne apne dour e khilafat me Bait ul Maqdas ko soney aur chandi wagaira se is qadar muzaiyan ker dia ke log isey harmain per tarjeeh deney lagey they.

Masjidon me bila zaroorat Qandeelien Latkana, Mombatian jalana, jhandian lagana aur is tarah ke bila maqsad jumla umoor Qayamat ki nishanion mein se hein.


26.​​ Sood aur Haraam Maal ba’qasrat khaya jayega

Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“logon per zaroor aisa waqt aane wala hai ke aadmi is baat ki bilkul fikar nahi karega ke jo maal is ne hasil kiya wo halaal hai ya haraam.”

📕 Sahih Bukhari 2083

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle sood phail jayega.”

📕 Al Targheeb o Tarheeb 9/3

Note:

Sood aur Haram ka istamal Qayamat ki ek nishani hai.

moujuda dour me kasrat e maal o zar ki beemari cancer ki tarah saarey muslim muashrey me dakhil ho chuki hai. Ahle ilm bhi halal o haram ki tameez kiye bagair maal ke hasool ki doud me bhaghey chaley ja rahey hain. 


27.​​ Karobar me Auratein bhi Shareek hongi

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle sirf khaas logon ko salam kia jayega aur tijarat phail jayegi hatta ke Aurat apne khawind ke karobar me shirkat karegi.”

📕 Masnad Ahmad 509/1
📕 Hakim 493/4
📕 Majma al zawaid 635/7

Hazrat Umro bin Tughlab (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Qayamat ki alamaton me se hai ke maal o doulat ki farawani hogi aur tijarat (khub) phail jayegi.”

📕 Sunan Nisai 4461
📕 Masnad Ahmad 69/5

Note:

Tijarat ka phail jana Qayamat ki alamat hai.

Karobar is waqt wasee ho jayenge ke Aurtien apne shohar ke sath karobar me shareek hongi. Lekin beharhaal Sharai hudood ki pabandi karte huwey aurat tijarat ker sakti hai.

logon ka ghair mehram khawateen ko karobar me shareek kerna, pardey ka ihtamaam na kerna aur aurat ko kashish aur tijarat me wus’at ke liye istamal kerna sab haram umoor hain.


28.​​ Balo ko Rang ne Siyah khizab (black colour) istamaal kiya jayega

Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Aakhri zamaney me kuch log sayah khazab (balon ke liye) istamal karenge (is ki syahi is tarah hogi) jis tarah (kaaley) kabootar ka seena hota hai yeh log jannat ki khushbu bhi na songh sakenge.”

📕 Masnad Ahmad 339/1
📕 Sunan Abu Dawood 4212
📕 Sunan Nisai 5090

Note:

Balo ko rangne ke liye Siyah khizab ka istamaal kerna mana hai.
Siyah khizab ka jawaz darhaqeeqat Qayamat ki nishani hai.

Safaid balon ko mehndi waghaira se rangna jaiz hai lekin sirf sayah khazab ka istamal mana hai Albata agar sayahi ko mehndi wagaira me mila ker istamal kia jaye tou jaiz hai.

Baalo me Siyah khizab (black colour)  ki Mumanat ki daleel:

Hazrat jabar (R.A) farmatey hai ke Fatah Makkah ke Roz (Abu Baqr Siddhique (R.A) ke walid) Abu Qahafa (R.A) ko laya gaya. in ka Sir aur darhi safama (Safaid phulon waley poudhey) ki tarah Safaid thi tou Aap (ﷺ) ne hukm farmaya: “iski Safaidi ko tabdeel karo magar Siyah se ijtanab karna.”

📕 Sahih Muslim kitab ul libas wal zeenah 79


29.​​ Quraish ka khatma ho jayega

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Arab ke Qabail me se sab se pehle Quraish fana hongey aur mumkin hai ke Aurat juta le ke guzre aur kahe yeh falaan Qureshi ka juta hai.”

📕 Masnad Ahmad 444/2
📕 masnad bazar 298/3
📕 Abu Ya’ala 68/11

Hazrate Ayesha (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Aye Ayesha! sab se pehle teri qoam halak hogi.” Hazrate Ayesha (R.A) ne arz kia: Ya Rasool Allah! Allah Ta’ala mujhe aap per qurban kare, kya banu tameem waley pehle halak hongey? farmaya: nahi balkey Qabeela Quraish pehle moat ka shikar hoga aur sab logon se pehle inhi ki halakat hogi.
Hazrate Ayesha (R.A) ne pucha phir koun se log baqi reh jayenge? Aap (ﷺ) ne farmaya: yehi (Quraish) jo logon ka markaz they jab yeh halak ho jayenge tou phir (bila takheer) sarey log halak ho jayenge.”

📕 Masnad Ahmad 78/2
📕 Silsala al saheeha 596/4

Note:

Quraish ki halakat Qayamat ki ek nishani hai aur Nabi Kareem (ﷺ) ki ek peshangoyi hai jo la mahala sach sabit hogi. yeh paishgoye aur nishani abhi puri nahi hui albata Quresh ki aksraiyat aaj madoom ho chuki hai aur bohat thodey quresh aaj baqi hain.


30.​​ Kufaar(Yahudo Nasara) ki taqleed

Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat is waqt tak qayem nahi hogi jab tak meri Ummat is tarah guzashta ummaton ke mutabiq nahi ho jayegi. jis tarah balisht balisht ke aur hath hath ke barabar hota hai.
Pucha gaya ya Rasool Allah ﷺ! guzishta ummaton se Murad koun hain, kya farsi aur nasrani?
Aap (ﷺ) ne farmaya yeh nahi tou phir aur koun?

📕 Sahih Bukhari 7319

Hazrat Abu Saeed se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Tum apni guzishta ummaton ki ek ek balisht aur ek ek gaz me itteba karoge yahan tak ke agar wo kisi saandey ke surakh me dakhil huwe hongey tou tum is me bhi inki itteba karogey (aur surakh me dakhil ho jaoge).
Hum ne pucha: ya Rasool Allah (ﷺ) kya (Guzishta aqwaam se) Aap ki murad yahood o nasara hain? farmaya: phir aur koun?

📕 Sahih Bukhari kitab ul aetsaam bil kitaab wal sunnah 7320

Ek riwayat me hai ke Sahaba ne pucha: ya Rasool Allah ﷺ! kya wo Ahle Kitab hain?
farmaya: (yeh nahi tou) phir aur koun (ho sakte hain)?

📕 Masnad Ahmad 432/2

Note:

Kuffar ki taqleed o mushahbaat Qayamat ki ek nishani hai.

yeh nishani arsa daraaz se zahir ho ke apne aakhri marahil ko choo rahi hai. Muslmaan, kufaar ki taqleed o mushahbat karne me fakhar mehsoos karte hain. chaal dhaal, libaas, rahan sahen, shakal o soorat, sayasi o iqtasadi, samaji, muashi aur taleemi muamlaat me kuffar ki mushahbat kerna aizaaz samjha jata hai.


31.​​ Zalzalay bakasrat aaya karenge

Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke ilm qabaz ker lia jayega, zamana qareeb aa jayega aur zalzalay kasrat se hongey.

📕 Sahih Bukhari kitab ul istasqa 1036

Hazrat Salma (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle mout ki sakht waba phailegi phir zalzalon waley saal ayengey.”

📕 Masnad Ahmad 104/11
📕 Majma al zawaid 306/7

Hazrat Abdullah bin Hawala (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne apna Dast e Mubarak mere sir pe rakh ker farmaya:
“Aye Abdullah! jab tu khilafat ko Arz e Muqadas per utartey dekh le tou (yaad rakh) phir Zalzalay, musaib o alaam aur badey badey umoor ronuma hongey aur is din Qayamat logon ke is qadar qareeb hogi ke itna mera hath bhi tumhare sir ke qareeb nahi.”

📕 Masnad Ahmad 288/5
📕 Hakim 471/4
📕 Abu Dawood 3535

Hazrat Abada (R.A) farmatey hai ek aadmi ne Allah ke Rasool (ﷺ) se pucha:
Ya Rasool Allah ﷺ! Aap ki ummat kitna arsa narmi (aasaish) me guzaregi? is ne 3 martaba sawal kiya magar Aap ne isey koi jawab na dia tou wo wapis chal diya.
Aap (ﷺ) ne isey talab farmaya aur kaha: Tum ne aisa sawal kiya hai jo meri ummat me se kisi ne bhi nahi kiya, in ki narmi aur asaish ki mudat 100 saal hogi. sayel ne kaha: ya Rasool Allah ﷺ! (khatma aasaish ki) koi nishani aur alamat bhi ronuma hogi?
farmaya: “haa! zameen ka dhansaya jana, zalzalay taari hona aur Shaitano ka logon ke (tawoon ke liye) bhejha jana.”

📕 Masnad Ahmad 307/5
📕 Hakim 365/4
📕 Majma al zawaid 19/8

Note:

Zalzalon ka Zahoor Qayamat ki ek alamat hai. Qayamat ki mazkooar nishani ek arsa se zahir hote chali aa rahi hai.


32.​​ Soortein maskh hongi aur log Zameen me dhansaye jayengey

Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri Ummat me Shaklon ka Bigadna, Zameen me Dhansna aur Patthron ki Barish (Zaroor) hogi.”

📕 Masnad Ahmad 218/2
📕 Ibne Maja Kitab ul Fitan 4060

Hazrate Ayesha (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“is ummat me Shaklon ka bigadna, Zameen me Dhansna aur Patthron ki Barish hogi.”
Maine kaha ya Rasool Allah (ﷺ) kya hum halak ho jayenge halankay humare darmiyan Nek log bhi honge?
Farmaya: Haan! jab khabasat phail jayegi.

📕 Sunan tirmizi Kitab ul Fitan 2185

Sahar Abdi (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke kuch Qabail ko Zameen me Dhansa dia jayega. kaha jayega: Falaan (Dhansney waley) logon me se koi baqi bacha hey!”

📕 Masnad Ahmad 633/3
📕 Fatah al bari 412/8
📕 Abu ya’ala 6834

Hazrat Safiya (R.A) farmati hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“log baitullah per charhai kerne se baaz nahi aayenge hatta ke isi gharz se ek lashker ayega aur jab wo muqam e bayda’a per pohanchega tou bila imtayaz in ke agley pichley aur darmana sab dhansa diye jayenge. maine kaha: ya Rasool Allah ﷺ! in me jo koi is (lashker ya charhai) ko na pasand kerne wala hoga? farmaya: Allah Ta’ala sab logon ko inki Niyaton ke mutabiq uthayega.”

📕 Masnad Ahmad 379/6
📕 Sunan tirmizi 2184
📕 Ibne maja 4113

Ek riwayat ke mutabiq
“Aap khwab se bedar huway tou yeh hadis bayan ki jisme 2 lashkaron ka dhansana mazkoor hai.”

📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2882

Ibne Umer (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri ummat me masakh hoga aur yeh taqdeer ke munkir aur zindeeq logon me hoga.”

📕 Masnad Ahmad 145/2
📕 Abu Dawood 4613
📕 Tirmizi 2152

Hazrat Baqeera (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: 
“Jab tum suno ke qareb kahi koi lashker zameen me dhansa diya gaya hai tou (yaad rakho) Qayamat umad aayi hai.”

📕 Masnad Ahmad 378/6
📕 Sahih al jame 228/1

Hazrat Abu Amama (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Meri ummat ke kuch log Sharab o Kabab aur Khail tamashe me raat guzarienge aur subah ko bandar aur khanzeer ban chuke hongy kyon ke Unhone muharmaat ka parda chaak kiya, Ganey wali Aurton, Sharab, Sood aur Reshmi libas ko halaal kar lia tha.”

📕 Masnad Ahmad 378/6
📕 Sahih al jame 228/1

Eik riwayat me hai ke
“Aap (ﷺ) ne Qasam utha ker yeh peshangoyi farmai.”

📕 Masnad Ahmad 365/5
📕 Al targheeb 101/3

Imran bin hiseen (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) farmatey hain:
“Meri Ummat me khasaf o masakh zaroor hoga. Ek Aadmi ne pucha: ya Rasool Allah ﷺ! yeh kab hoga? farmaya: jab gaaney bajane aur Fahishah Aurtien aam ho jayengi aur Sharab ka dour doura hoga.”

📕 Sunan Tirmizi Kitab ul Fitan 2212

Abu Malik As’ari (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya
“Meri Ummat ke kuch log Sharab ka naam badal ker isey piyengey aur in ke liye gaaney bajaney ka intazam kiya jayega. in mein se kuch logon ko Allah Ta’ala Zameen me dhansa dega aur kuch ko bandar aur khinzeer bana dega.”

📕 Sunan ibne Maja Kitab ul Fitan 4060
📕 Sunan Abu Dawood 3685

Note:

Shaklon ka bigadna, pathron ki baarish aur logon ka zameen me dhansaya jana Qayamat ki ek nishani hai.

is saza ke mustahiq Badkirdar, Sharabi, Kababi aur Allah ke Ahkamaat ke baghi se baghi log hongey jo Haram cheezon ko halal bana lengey.

Wadi kaghan mein paharon ki sliding se marney waley hazaron afrad aur tabah hone wala ilaqa is ki zinda tasveer hai.

Aaj ganey bajaney aam kerne walon ko Allah ke azab se dar jana chahiye ke kaheen on ko bandar aur khinzeer na bana dia jaye ya on ko zameen mein na dhansa dia jaye.

To be Continued …

Leave a Reply