Bewah Aurato Ka Nikah ….

Kuch Aisi Rasam’en Bhi Musalman Me Raaij Hai Ke Bewah Aurat Ka Nikah Ko Bura Aur Aar Samjhte Hai,
Balke Is Ko Aib Samajhne Me Kufr Ka Khauf Hai Kyunke Shariyat Ke Kisi Hukm Ko Aib Samajhna
Aur Iss Ke Karne Wale Ko Zaleel Jan’na Kufr Hai.

Allah Ta’ala Ne Quraan-e-Kareem Me Irshaad Farmaya Hai :
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Nikah Kardo Apno Me Inn Ka Jo BeNikah Ho
Aur Apne Layaq Ghulamao Aur Kaneezao Ka …”

(Sureh Al’noor)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke –
“Yaani Meri Ummat Me Fasaad Phail Jane Ke Waqt Jo Shakhs Musibat Ke Waqt
Meri Sunnat Per Amal Kare Iss Ko 100 Shaheedo Ka Sawaab Milega”.
(Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305)

Leave a Reply