Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey ke Shirk naa kiya ho

[tabs]
[tab title=”Roman Urdu”]

✦ Mafhum-e-Hadees:

Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke:

Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:
Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga.

Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur parwah tak naa karunga.

Aye Aadam ke Bete! Agar tu itne Gunah kar ke aaye ke Roo-e-Zameen bhi bhar jaye tou Main bhi Zameen bhar Magfirat ke sath tujh se Milunga (yaani bharpoor magfirat kar dunga) bashartey ke tuney Shirk naa kiya ho.

📕 Jami At-Tirmidhi 3540-Hasan

♥ In sha Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat Hume Tamam kism ke Khuley Aur Chipey Shirk Se Bachaye,.
– Humey Kitabo Sunnat ka Muttabey Banaye,..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan Par Zinda Rakhey ,..
– Khatma Humara Imaan Par Ho ,..
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen,
Ameen ! Allahumma Ameen …
[/tab]
[tab title=”English”]

✦ Mafhum-e-Hadith:

Anas bin Malik narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“Allah, Blessed is He and Most High, said: ‘O son of Adam! Verily as long as you called upon Me and hoped in Me, I forgave you, despite whatever may have occurred from you, and I did not mind. O son of Adam! Were your sins to reach the clouds of the sky, then you sought forgiveness from Me, I would forgive you, and I would not mind. So son of Adam! If you came to me with sins nearly as great as the earth, and then you met Me not associating anything with Me, I would come to you with forgiveness nearly as great as it.’”

📕 Jami At-Tirmidhi 3540-Hasan

[/tab]
[/tabs]

 

Leave a Reply