Baat Baat par Laanat aur Baddua Karne se Bacho ….

Hadees of the Day

Baat Baat par Laanat aur Baddua karne se Bacho

Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya

“Momin Naa tou Taana dene Wala Hota hai, Naa Lanat karne wala, Naa Fahash Bakne wala Behooda hota hai.”

📕 Sunan Al Tirmizi; Hadees :1977 Sahih


۞ Hadees: Ek Shakhs ki Chaadar ko Hawa ke Tez Jhonke Lage tou Usne Hawa par Lanat ki. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Hawa Par Lanat Naa karo ki Wo Allah ki Taraf se Maamoor hai, aur Jo Shakhs Aisi Cheez Par Lanat Karta Hai Jo Lanat Ki Ahl (Deserve) Naa Ho, Tou Wo Lanat Usi Par Laut Aati Hai Jisne Lanat Ki”.

📕 Tirmizi Sharif

۞ Hadees: Ek Shakhs ne Apne Sawaari ke Jaanwar par Lanat ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Iss se Utar Jaao, Humaare Saath Maloon Cheez ko le kar Naa chalo.
Apne Upar aur Apni Aulaad aur Maal par BadDua Naa karo, ki kahi aisa Naa ho ki
Ye Baddua Uss Saa’at me ho Jis me Jo Dua Allah se ki jaaye wo Qubool hoti hai.”

📕 Sahih Muslim Sharif

Leave a Reply