Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai –
Jab Hazrat-e-Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal Kar Liye Tou Allah Ta’ala Ki Bargaah Me Marooza Kiye –
‘Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!’
Tabhi Allah Ta’ala Ne Hukm Farmaya – ‘Logon Mein Hajj Ka Ailaan Karo” Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.?
Allah Ta’ala Ne Irshad Farmaya – ‘Aawaz Dena Tumhara Kaam Hai Aur Usey Pahuchana Humare Zimme Hai’.
Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya – ‘Ilaahi Mai Kin Kalimaat Se Ailaan Karu.?’
Allah Ta’ala Ne Farmaya – Iss Tarah Karo ‘Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya Mu’azzaz Aur Mukkaram Ghar Kaabatullah Ka Hajj Tum Par Farz Kiya Gaya’.
Toh Zameen Aur Aasmaan Ke Darmiyan Jitni Makhlooq Thi Sab Ne Aapki Aawaz Suni Yahi Wajah Hai Ke Tum Dekhte Ho Ke Hujjaj Zameen Ke Koney Koney Se Labbaik Labbaik Kehte Huwe Hajj Ke Liye Aate Hai.
(Al Mustadrak Al Saheeheen Lil Haakim Hadees No 3421)

• Note: Hajj Ek Maali Ibadat Hai Jo Tamaam Sahibe Nisab Musalamno Par Farz Hai, Lihaja Jo Hazraat Istehat Rakhte Hai Unka Apni Puri Zindagi Me Kum Se Kum Ek Baar Ka Hajj Lazmi Hai.

Leave a Reply