Astaghfar ki Dua, Astaghfar ka Taruf, Ahmiyat, Fazilat

Astaghfar ka Taruf

Astaghfar kise kehte hai ?

Insan ki fitrat hai ke us se khata, galati ya gunah ho jate hai, aur jab wo apne kiye par sharminda ho kar sacche dil se apne Rab se muafi talab karta hai tou usey ‘Astaghfar‘ kehte hai.


Astaghfar ki Ahmiyat:

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada.”

📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 319

Hum sab jante hai ke Ambiya (Alaihi Salato Salam) Gunaho se paak hote hai, aur Allah ke Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) tou bakhshe bakhshaye hai, lekin fir Aap  (ﷺ) apni Ummat ko tarbiyat dene ke liye khud Astagfar ki qasrat kiya karte they. lihaja hum par tou lazim hai ke hume jyada se jyada Astaghfar karna hai.


Astaghfar ki Fazilat:

Anas (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo Astghfar karne ko apne upar lazim karega tou Allah Subhanahu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har gham se nijat dega aur aisi jagah se rozi ata farmayega jahan se usko guman bhi nahi hoga.”

📕 Sunan Abu Dawood, 1505


Astaghfar ki Dua 1

۞ Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya: jis shaks ne kaha:

“Astaghftrullaahal-lazee laa ilaaha illaa
Huwal-Hayyul-Qayyooinu wa atoobn ilayhi”

“Main Allah se bakhshish talab karta hoon jis ke elaawah koi sachcha mabood nahin, woh humesha zindah rahne wala hai, qaayim rakhne waala hai aur main usi ki taraf taubah karta hoon.” tou Allah ta’ala use bakhsh dega chaahe woh maidaane jehad se bhaaga ho.

📕 Sunan Abu Dawood: 1517, Sunan Tirmizi: 3577


Astaghfar ki Dua 2

Laa ‘ilaaha illallaaku wahdahu laa shareeka lahu,
lahul-mulki wa lahul- hamdu,
waHuwa alaa kulli Shayin Qadeer.

Allah ke elaawah koi sachcha mabood nahin, woh akela hai, uska koi shareek nahin, usi ke liye badshahat hai aur usi ke iiye tamaam tareefaat hain aur woh har cheez par qaadir hai.

📕 Sunan Abu Dawood: 5077-Sahih
📕 Sunan Ibne Majah 3868
📕 Musnad Ahmed: 4/60-Sahih

۞ Hadees: “Ek martaba padhna bhi durust hai aur jis shakhs ne din mein 100 martaba yeh kalimaat kahe tou usey 10 Ghulaam Aazaad karne ka sawaab milega.

uske liye 100  nekiyan likhi jayengi aur 100 Ghalati mitaa di Jaayengi, shaam tak shaitaan se mahfooz rahega, aur qayamat ke din us sey afzat amal lekar koi nahi aaeyga lekin woh shakhs jisne yahi kalimaat ziyada martaba kahe.”

📕 Sahih Bukhari: 3293, Sahih Muslim:2691


Astaghfar ki Dua 3

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :
Allah se Astaghfar (Apne Gunaaho ki Muafi) ki sabse behtar Dua hai –

“Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.”

Aage Aap (ﷺ) ne farmaya:
Agar koi Shakhs ye Dua yakeen ke sath din me parhe aur Shaam se pehle Intiqaal(Mout) kar jaye tou Jannat me jayega aur agar yakeen ke sath raat ko parhe aur Subah hone se pehle inteqal kar jaye tou Jannat me jayega.

📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 318


Astaghfar ki Dua 4

“Astaghfirullahu Rabbi Min Kulli Zanbbiuw Watoobu Ilaih”

(Ya Allah ! Magfirat chahta hu har kism ke Gunaah se aur Main teri baargah me Taubah karta hu)
Ameen! Allahumma Ameen ! …


Astaghfar ki Digar Duaien:

1 Comment

Leave a Reply