Qayamat ke Din Arsh e Ilaahi Ke Saaye Me Rehne Wale Log

♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain:
“Qayamat Ke Din Teen(3) Shakhs Arsh-e-Ilaahi Ke Saaye Me Honge, Jis Din Ke Uss Ke Saaye Ke Siwa Koi Saaya Na Hoga.
Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah! Wo KhushNaseeb Koun Hain ?”.
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
∗1. Ek Wo Jis Ne Mere Kisi MusibatZadah Ummati Ki Pareshani Door Ki.
∗2. Duwwam Wo Jis Ne Meri Sunnat Ko Zinda Kiya.
∗3. Teesra Wo Shakhs Ke Jis Ne Mujh Par Durood-e-Paak Ki Kasrat Ki.
(Al Qholul Badi/123)-Sa’atud Darean/63)

Ek Aur Riwayat Me Aata Hai Ke,
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Qayamat Ke Din Allah Ke Arsh Ke Saaye Ke Alawa Koi Saaya Nahi Hoga,
– Magar 7 Log Allah Ke Arsh Ke Saye Me Honge..”

∗1. Apni Hukumat Me Insaaf Karne Wala Baadshah.
∗2. Aisa Jawaan Jis Ki Jawaani Allah Ki Ibadat Me Kharch Huwi Ho.
∗3. Aisa Aadmi Jis Ka Dil Masjid Me Laga Rehta Ho.
∗4. Aise 2 Aadmi Jo Allah Ke Liye Mohabbat Karte Ho
Allah Ki Raza Ke Liye Milte Ho Aur Allah Ki Raza Ke Liye Juda Hote Ho.
∗5. Aisa Aadmi Jis Ko Khubsurat Aur Acche Khandaan Ki Aurat
Zinaa Ki Taraf Bulaye Lekin Wo Kahe Ke Mai Allah Se Darta Hu.
∗6. Wo Aadmi Jo Allah Ke Raste Me Kharch(Khairat/Sadqa) Karey
Iss Tarah Ke Uss Ke Dusre Hath Ko Bhi Pata Na Chale (Yaani Dete Waqt Dikhlawa Na Kare).
∗7. Aisa Shakhs Jo Allah Ka Zikr Tanhai Me Kare Aur Uss Ke Aansu Nikalna Shuroo Ho Jaye.
(Bukhari Shareef, Muslim Shareef)

♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat Hume Kehene Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,.
– Hum Tamam Ko Apne Muqarrib bando me shumar karey,.
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply