Allah Se Magfirat Maangney Ka Sabse Accha Tariqa (Sayyidul Istighfar)

“Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.”

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
Sayyidul Istighfar (Allah Se Magfirat Maangney Ka Sabse Accha Tariqa) Ye Hai :
“Aye Allah ! Tu Mera Rab Hai, Tere Siwa Koi Maabud Nahi, Tuney Hi Mujhe Paida Kiya Hai Aur Main Tera Hi Banda Hu, Main Apne Taqat Ke Mutabiq Tujhse Kiye Huye Ahad Aur Wadey Par Qayam Hun, Unn Boori Harkaton Ke Azab Se Jo Mainey Ki Hain Teri Panaah Mangta Hun, Mujh Par Naimatein Teri Hain Iska Iqrar Karta Hun, Meri Magfirat Kar De! Ki Tere Siwa aur Koi Bhi Gunaah Muaf Nahi Karta.”

*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
‘Jisney Iss Dua Ke Alfaaz Par Yaqeen Rakhtey Huye Dil Se Inko Kah Liya
*Aur Usi Din Shaam Hone Se Pahle Uska Inteqal Ho Gaya Tou Wo Jannati Hai,
*Aur Jisney Iss Dua Ke Alfaaz Par Yakeen Rakhtey Huye Raat Me Inko Par Liya
*Aur Phir Uska Subah Honey Se Pahley Inteqal Ho Gaya Tou Wo Jannati Hai’.

(Sahih Bukhari, Duaon Ka Bayan Hadith no. 6306 : @[156344474474186:])

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply