Achchi Baaton Ka Hukm Do Magar Khud Bhi Amal Karo

♥ Mafhoom-e-Hadees: Usama Bin Zaid (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya
“Qayamat Ke Din Ek Shakhs Laya Jayega
Phir Wo Jahannum Me Dala Jayega
Uske Pait Ki Aantein (Intestine) Bahar Nikal Aayegi,
Wo Unko Liye Huye Gadhey Ki Tarah Jo Chakki Peesta Hai Chakkar Lagayega
Aur Jahannum Waley Uskey Paas Ekaththey Hongey
Uss Sey Puchengey ‘Ki Aye Falah! Kya Tu Achchi Baat Ka Hukm Nahi Karta Tha
Aur Buri Baat Se Manaa Nahi Karta Tha ?’

Wo Kahega Mai Tou Aisa Karta Tha Lekin Dusron Ko Achchi Baat Ka Hukm Karta Tha
Aur Khud (Uss Par Amal) Nahi Karta
Aur Dusron Ko Buri Baat Se Manaa Karta Tha Lekin Khud Uss Sey Baaz Na Rahta Tha.”
(Sahih Muslim, Hadith no.7483)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Ata Farmaye !!! Ameen ,..
Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar

Leave a Reply