Aap (ﷺ) Ka Mubarak Mojza: Ungliyo se Paani Ka Chasma Nikalna

♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabeer (R.A.) ne kaha ki Suleh Hudaibiya ke moqe par logo ko pyaas lagi thi, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke samne paani ka ek chhota sa matka (bartan) rakha hua tha Aapne logo se farmaya kya baat hai ?
logo ne kaha ki jo paani aapke samne hai us paani ke siwa na tou hamare paas wazu ke liye koi dusra paani hai aur na peene ke liye,

Aap (ﷺ) ne apna haath jaise hi us paani ke matke (bartan) mein dala , Aapki Ungliyon ke Darmiyan se Paani Chashme (springs) ki tarah Nikalne Laga , hum sab logo ne us pani ko piya aur us se wudhu bhi kiya,.”

Maine pucha ki aap log kitni tadad mein they ? “kaha ki agar hum ek lakh bhi hotey tab bhi wo paani kaafi ho jata waise hamari tadad us waqt 1500 thi.”
– (Sahih Al Bukhari, Vol 5, Hadith No. 3576)

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply