Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahee

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Sahaba-e-Kiraam Se Farmaya –
*Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahi!
*Allah Ki Qasam Woh Kabhi Musalman Kehlaane Ke Laayaq Nahi!
*Allah Ki Qasam Aise Insan Ka Imaan Kaamil Nahi!”
Yeh Sunkar Sahaba-e-Kiraam Hairan Reh Gaye Aur Aapse Darkhwast Karne Lage Ke,
Aakhir Wo Koun Shakhs Hoga Jiski Muslman Naa Hone Ki Gawaahi Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Teen-Teen Baar Qasam Kha Ker De Rahe Hai?
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Wohi Shakhs Jiska Padosi Uski Ezzaonse Mehfooz Nahi”.
(Bukhari & Muslim Sharif)

# SABAQ: Yaad Rahe Ke Padosi Sirf Woh Nahi Jiska Ghar Humare Ghar Se Laga Hua Ho. Bulki Padosi Dukan Ka Bhi Hota Hai, Company Aur Bus, Train Me Safar Ke Douraan Bhi Koi Naa Koi Hota Hai ,.. Unn Sabke Jasbato Ka Khayal Rakhna Humare Liye Intyehayi Jaroori Hai.
– Warna Pyare Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Teen-Teen Baar Qasam Kha Kar Ailaan Karne Ki Jarurat Hi Kya Thi !
*Dusri Baat Yeh Hai Ke Iss Hadees-e-Mubarak Me Padosi Kaha Gaya Hai, Jo Hindu, Isaayi, Yahudi Koi Bhi Ho Sakta Hai. Sabke Sath Me Rehamdili Aur Husn-e-Sulukhi Se Bartav Karna Yahi Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De ,..
# Hume Khuluse Dil Se Apne Padosiyo Ke Huquq Ada Karnewala Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

4.6/5 - (7 votes)

Leave a Reply

Related Posts: