Kiski Taubah Kabool Hogi Aur Kiski Nahi ?……

♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Allah Ki Baargaah Me Taubah Tou Sirf Unhi Logon Ki Kabool Hoti Hai, Jo Nadanista Buri Harkat Kar Baithe Aur Fir Jaldi Se Taubah Kar Le, Tou Allah Bhi Aise Logon Ki Taubah Kabool Kar Leta Hai. Aur Allah Tou Bada Jan’ne Wala Haakim Hai.
Aur Taubah Unn Logon Ke Liye (Mufid) Nahi Hai Jo Umr Bhar Tou Burey Kaam Karte Rahe Yaha Tak Ki Jab Unme Se Kisi Ke Sir Par Mout Aa Khadi Hui Tou Kahne Lage Ab Maine Taubah Ki Aur (Isi Tarha) Unn Logon Ke Liye (Bhi Taubah) Mufid Nahi Hai Jo Kufr Ki Halat Me Marr Gaye Aise Hi Logon Ke Waste Hamne(Allah Ne) Dardnaak Azaab Taiyar Kar Rakha Hai.
(An-Nisa, Ayar 17,18)

5/5 - (2 votes)

Leave a Reply

Related Posts: