Allah ka hukum sirf Mujhse Mango / Allah says that only ask me

!!! Bismillah hir-Rahman nir-Rahim !!!
♥ Hadith-Qudsi: Allah Subhanahu ne farmaya Mujhse Raah mango, Mujhse khana mango, Mujhse kapda Maango, Mujhse bakshish Maango
Abu Dhar (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihey wasallam) se suna ki Allah taala ne farmaya:
“Aye Mere Bando! mainey Zulm ko apney upar Haram kiya hai aur tum par bhi Haram kiya, Tou Mat Zulm karo aapas mein ek dusrey par,

Aye mere bando! tum sab Gumraah ho magar jisey main raah batlauu , tou mujhse Raah mango main tumhey raah batlaunga,

Aye mere bando! tum sab Bhukey (hungry) ho magar jisey main khilauu to mujhse khana mango tumko khilaunga,
Aye mere bando! tum sab Nangey ho magar jisey main Pahnauu, to kapda mango mujhse main pahnaunga tumko.

Aye Mere bando! tum raat din Gunaah kartey ho aur main sab Gunaahon ko bakhshta hun to bakhshish chaho mujhse main bakhshunga tumko,

Aye mere bando! tum mera nuksaan nahi kar saktey aur na mujhko faayda pahuncha saktey ho. Agar tumharey agley aur pichley aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri saltanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hogi aur tum me agley aur peechely aur admee aur jinnat sab aisey ho jaye jaisey zameen ka bada badkar shaksh to meri Saltanat mein se kuch kum na hoga.

Aye mere bando! agar tumharey agley, pichley aur aadmee aur Jinnat sab ek maidan mein khadey ho phir mujhse maangna shuru karey aur main har ek ko jitna maangey de du tab bhi mere paas jo kuch hai wo kum na hoga magar itna jaisey dariya mein suyee daal kar nikal lo.

Aye mere bando! ye tumharey hi Aamal hain jinko tumharey liye shumar karta rahta hun phir tumko in aamal ka pura badla dunga tou jo Shaksh behtar badla paye usey chahiye ki Allah ka Shukr karey ki uski kamaii bekar na gayee aur jo bura badla paye tou apney hi aapko bura samjhey.”

Said(R.A) ne kaha ki Abu idris jab ye hadith bayan kartey to apney ghutno ke bal gir padtey.

– (Sahih Muslim, Vol6, 6572)

Leave a Reply