Ahkam-e-Namaz ke Tarjume (Sana, Ruku aur Sajde me kya padhe)

Kuch jaruri baate jo hum Namaz me roz padhte tou hai lekin unka Tarjuma/Translation hi nahi jaante, yahi wajah hai ke hum apni namazo me khushu aur khuzu ki kami mehsus karte hai,. lihaja aayiye is post me hum inke tarjuma ka mukhtsar sa mutala karte hai  .

Sana :

Subhanaka Allahumma Wabi Hamdika Wa Tabarak Kasmuka Wata’ala Jadduka Wa Laa Ilaha Gairuka.

✦ Tarjuma / Translation:

» Aye Allah! Mai teri paaki bayan karta hoon aur teri taarif karta hoon aur tera naam barkatwaala hai, buland hai teri shaan, aur nahi hai ma’bud tere siwa koi.

» ए अल्लाह मैं  तेरी पाकि बयां करता हु और तेरी तारीफ करता हूँ और तेरा नाम बरकतवाला है, बुलंद है तेरी शान और नहीं है माबूद तेरे सिवा कोई।


Ruku me:

Subhana Rabbi Al Azeem

✦ Tarjuma / Translation:

» Paak hai Mera Rab Azmat waala.

» पाक हैमेरा रब अज़मत वाला


Ruku se Uthte Waqt:

Sami Allahu Liman Hamida Rabbana Lakal Hamdo.

✦ Tarjuma / Translation:

» Allah ne Uski sunli jisne uski taarif ki Aye humare Rab, tere hi liye tamam taarifen hain.

» अल्लाह ने उसकी सुनली जिसने उसकी तारीफ की, ऐ हमारे रब तेरे ही लिए तमाम तारीफे है।


Sajde me:

Subhana Rabbi Al A’ala.

✦ Tarjuma / Translation:

» Paak hai Mera Rab badi Shaan waala Hai.

» पाक है मेरा रब बड़ी शान वाला है।


♥ In’sha’Allah ul Azeez !
Allah Ta’ala Hum Tamam ko Namaz ke Ahkamo par Ikhlas ke sath Amal ki toufiq ata farmaye. Ameen.

More Link

Leave a Reply