Agar Allah Ke Bande Allah Se Duniya Me Khauf Rakhenge …

♥ Hadees-e-Qudsi: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmate Huye Suna Ke –
Allah Ta’ala Ne Farmaya
“Mujhe Apni Izzat Ki Qasam !
Main Apne Bande Par Do (2) Khauf Aur Do (2) Aman Ikatthe Nahi Karunga.
Agar Wo Mujhse Duniya Me Khauf Rakhega Tou
Main Usey Qayamat Ke Din Aman Me Rakhunga
Aur Agar Wo Mujhse Duniya Me Be-Khauf Raha Tou
Main Usey Qayamat Ke Din Khauf Me Mubtila Karunga,..”
(Sahih Ibn Hibban)

• Sabaq: Lihaza Agar Allah Ke Bande Allah Se Duniya Me Khauf Rakhenge –
Yaani Taqwa Ikhtiyar Karenge, Halal Aur Haram Ki Tameez Karenge Tou
Qayamat Me Allah Ke Aman Ke Saaye Me Honge.
Aur Agar Duniya Me BeKhauf Rahe Yaani Allah Ki Nafrmani Ki Tou
Qayamat Ke Din Wo Allah Ke Khouf Se Tarbadar Honge.

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: