Aazmayish Par Sabr Karne Ka Silaah ….

Allah Rabbul Izzat Quran-e-Hakim me Irshad Farmata hai –
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
*Aur Hum Tumhe Kuch Khauf Aur Bhook Aur Maalo Aur Jaano
Aur Phalon (Fruits) Ke Nuqsaan Se Jarur Aazmaayenge,
Aur Sabr Karne Walon Ko Khushkhabri De Do.
*Wo Log Ki Jab Unhey Koi Museebat Aati Hai Tou Kahte Hai
“Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon”
(Hum Tou Allah Ke Hain Aur Hum Usi Ki Taraf Laut Kar Jane Wale Hai)
*Ye Hi Wo Log Hai Jin Par Unke Rab Ki Taraf Se Meharbaniyan Hai
Aur Rehmat Hai Aur Yahi Log Hidayat Paane Wale Hai.
(Surah Baqra 2, Ayat 155-157)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: