♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Anas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Aasani Paida Karo, Tangi Na Paida Karo,
Logon Ko Tasalli Aur Tashaffi Do, Nafrat Na Dilao..”
– (Urdu Ref: Sahih Bukhari, Vol.7, Hadith no.6125)
*Wajahat: is AaHadeese mubarak me Hum me se unn tamam hazrat ke liye Nasihat hai
jo Deen me Naye naye Aqaid ijad kar is Deen ko aur bhi jyada mushkil taur se logo me pesh kar rahe hai ,.
– Islah ke bajaye log Baddzhn hokar hakiki Deen se Door ho rahe ,.
*Allah reham kare jabki ye Deen hakikat me hume aasani ikhtiyar karne ka hukm deta hai ,.. Alahmdulillah! ,
*Tawheed, Risalat aur Aakhirat par imaan lana,
– Kitabo Sunanat par amal , aur Gairmuslimo ko iski dawat dena,
yahi Islam ke buniyadi usool hai, lekin afsos aaj humari jahalat humse kya kuch nahi kara rahi ,..
hum Zinda Allah Ke Aagey Sajde Karne ke bajaye murdo ke aagey jhukne lagey.. Astagfaar !
♥ Allah Ta’ala hum sabko Deen ki sahi samjh ata farmaye,.
– humey Qurano Sunnat ka muttabey banaye,.
– Jab Tak Humey Zinda Rakhe Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhe …
– Khaatma Humara Imaan Par Ho…
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!