Aalim-e-Deen Jyada Bhaari Hai Shaitan Par ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ek (1) Fakih Yaani Deen Ka Ek(1) Aalim Shaitan Par
Hajaro Ibadat Karne Walo(Aabid) Se Jyada Bhaari Hai…”

(Tirmizi Sharif)

♥ Qaul-e-Mubarak: Hazrate Bilal (RaziAllahu Anhu) Ka Behtareen Qoul hai Ke –
“Aalim Ke Qalam Ki Roshnaai Shaheed Ke Khoon Se Jyada Mukaddas Hai,
Isiliye Parhna(Ilm) Sikhe, Aur Jab Sikh Jaye Tou Auro Ko Parhaiye.”

» Ek Aalim Apni Mout Ke Bad Bhi Zinda Hai
Jab Ki Ek Zaahil Murda Hai Phir Chahe Woh Zinda Hi Kyun Na Ho.

» Aalim Woh Shakhs Hai, Jo Ilm Par Amal Bhi Kare
Aur Amal Ko Ilm Ke Mutabiq Banaye.

» Ilm Aisi Khubsurati Hai Jo Chipi(hidden) Rehti
Aur Aisa Rishta Hai Jo Munqata (Disconnect) Nahi Hota.
Imaam Ali (RaziAllahu Anhu)

» Aalim-e-Deen Ki Geebat Karne Wala Qayamat Ke Roz
Iss Haal Me Aayega Ke, Uski Peshaani Par Likha Hoga, “Allah Ki Rehmat Se Door”.
(Imaam Gazali/Muk.Qulub)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: