Allah ko Qurbani ke Janwar ka Gosht Nahi Pohochta
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
❝Beshaq Allah Ta’ala ko na tou tumhare Qurbani ka Gosht pohochta hai aur naa hi khoon ! magar haa uss tak tumhari Parhezgaari pohochti hai.❞
✦ SABAQ: Dikhawe ki Qurbani Allah ke yaha Qabool nahi
Aaj Humare Qurbaniyo ka kya aalam hai beharhaal bataney ki jarurat bhi nahi, Log Qurbani ka jaanwar bhi laatey hai tou uske saath photos khichwatey hai.
Allah Reham Kare! ye Riyaaqaari ke amaal aaj bohot aam ho gahe humare Ilaaqo aur mohallo me aur isme Competition tak kiya jata hai ke “Falah ka Jaanwar itna mehnga, tou hum bhi uss se mehnga layenge.” (Subhan’Allah)
Tajjub ki baat hai! Humey buniyadi ilm tak nahi ke Qurbani ka asal maqsad hota kya hai.
Jabki Allah Raabul Izzat khud iss Aayat me bayan farmata hai ke: “Uss Tak naa tou tumhari Qurbani ka khoon pohochta hai aur naa hi Gosht. Magar Taqwa aur Parhezgari pohochti hai.“
Tou Beharhaal humey chahiye ke iss Azeem Qurbani ke jasbe ko samjhey, iske ahqaam aur masail ka sahi Ilm hasil kare, taaki humari Qurbani Allah ke nazdik Qaabil-e-qabool ho.
♫ Qurbani Ke Aham Ahqam aur Masail ki tafseeli jankari ke liye is link par click kare.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!
– Allah Rabbul Izzat Hume kahne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,
– Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
– Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!