7 Azeem Nekiyo Ka Hukm

♥ Mafhoom-e-Hadees: Bara bin Azib (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
unhone kaha ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne
humey saat cheezon ka hukm diya:
1. Janazon ke saath jaana.
2. Mareez ki Beemar pursi karna.
3. Chheenkne waale ko Dua dena (yaani Yarhamuk Allah kehna).
4. Daawat dene waale ki Daawat kubool karna.
5. Mazloom ki Madad karna.
6. Kasam khaane waale ki kasam ko poora karna.
7. Salam ka Jawab dena.
– (Sunan An-Nasayi, Hadith no. 3809)

# Takhreej: ‘Kasam poori karna’ yaani agar kisi shakhs ne kisi doosre shakhs ke baare me koi kasam khaa li hai maslan pehle shakhs ne kaha ki Allah ki Kasam ya Allah ki Wasta, tum mere saath chaloge.
Tou jis doosre shakhs ke baare me kasam khaayi gayi hai use chahiye ki iske saath jaaye taaki iski kasam poori ho sake basharte ki is kaam me gunah ya zulm na ho. Agar gunah hai ya khauf ka andesha hai ya kisi par zulm hone ka andesha hai to fir wo kaam nahi karna chahiye (yaani ki uski kasam nahi poori karni chahiye). Aisi soorat me kasam khaane waala shakhs khud hi us kasam ka kaffara dega.

♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
Allah Ta’ala hume amal ki taufiq dey ..

Leave a Reply