3 Tarha Ke Logon Par Allah Nazar-e-Rehmat Nahi Karega

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“3 Tarah Ke Log Wo Honge Jinki Taraf Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Nazar (Nazar-e-Rehmat) Bhi Nahi Uthayega Aur Na Unhe Paak Karega Bulki Unkey Liye Dardnaak Azaab Hoga”.

∗(1). Wo Shakhs Jiske Paas Raaste Me Zaroorat Se Jiyada Paani Ho Aur Usne Kisi Musaafir Ko Uske Istemaal Se Rok Diya.

∗(2). Wo Shakhs Jo Kisi Haakim Se Bait Sirf Duniya Ke Liye Kare Ki Agar Wo Haakim Usey Kuch De Tou Wo Raazi Rahe Warna Khafa Ho Jaye.

∗(3). Wo Shakhs Jo Apna (Bechne Ka Tijarti) Saaman Asar Ke Baad Lekar Khada Hua Aur Kehney Laga Ki Uss Allah Ki Qasam Jiske Siwa Koi Sachcha Maabud Nahi, Mujhe Iss Saaman Ki Qeemat Itni Itni Mil Rahi Thi Uss Par Ek Shakhsh Ne Usey Sahi Samjha (Aur Uss Saman Ko Kharid Liya)(Yaani Jhooth Ko Ikhtiyar Karke Tijarat Karnewala).
(Sahih Bukhari, Vol 3, Haadith no. 2358)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: