Dua Ibadat Hai - Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nu'man Ibn Bashir (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - Dua hi tou Ibadat hai, fir Aapne "Surah (40) Momin" ki Aayat 60 tilawat farmayi, "Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro! Main tumhari Dua qabool karunga aur jo log meri ibadat…
Hadith: Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye… Hadith: 30-March: Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho). -Muslim 7705
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me saans na… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Safaid Kapdey Pehena karo Kyun Ki Yeh Pakeeza aur… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Samurah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya: "Safaid (White) Kapdey Pehna Karo, Kyun Ki Yeh Pakeeza aur Saaf-O-Shafaf Hotey Hai. Aur Apne Murdon Ko Bhi Safaid Kapdon Me Kafan Diya Karo" - (Sunan an-Nasa'i 5323) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: समुराह (र.अ) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह…
Hadith: Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam nahih hai,… Hadith: 23-March: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ❝ Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam nahih hai, balke asal maaldari tou dil ki maaldari hai. ? Ibn Majah; Hadees 4137
Hadith: Tum log ajnabi aurto ke paas jaane se bacho Hadith: 30-March: Uqba (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Tum log ajnabi aurto ke paas jaane se bacho, ek ansari sahabi ne sawal kiya ke aye Allah ke Rasool ! Dewar ke baare me Aap ka kya khayal hai? Tou RasoolAllah SAW ne…
Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai ✦ Hadith Roman Urdu: 1). Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“ -Sunan Abi Dawud 1534-Sahih 2). Abu…
Koi Aurat Apne Shohar se kisi bhi Aurat ka huliya bayan na… ✦ Hadith: Roman Urdu Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." - (Sahih Bukhari; Hadith 5240) ✦ Hadith: English Narrated…
Hadees: Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai Hadith: 05 - Aug Anas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: ❝Jis me Fahash (behoodah baate ya sakht kalaami) ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai aur jis me Hayaa ho, woh us ko Khoobsoorat bana deti hai.❞ 📕 Tirmizi 1974
Hadees: Apne Mehman ke Sath Khao, Kyunki Wo Tanha khane me… Hadith: 31 - July: ★ Ummahatul Momineen Ayesha (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝Apne Mehman ke Sath khao, kyunki wo tanha khane me Sharm karta hai❞ 📕 Shoaib Ul Iman 9633 ★ उम्माहतुल मोमिनीन आऐशा (रज़ी अल्लाहू अन्हा) से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम)…
Khala Ka Darja Maa Ki Tarah Hai ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Bin-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Ek Shaksh Rasooll'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Baargah Me Hazir Hua Aur Arz Kiya Ke - "Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mujhse Bohot Bada Gunaah Ho Gaya Hai! Kya Mere Liye Tauba Hai ? .." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:…
Allah Ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurraia (RaziAllahu Anhu) Ka Bayan Hain Ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmatey Huwe Suna - "Jis Roz Allah Ne Rehmat Ko Paida Kiya Tou UsKey 100 Hissay Kiye Aur 99 Hissay Apne Paas Rakh Kar Ek (1) Hissa Apni Saari Makhlooq Ke Liye Bhej Dia.…
Hadith: Allah se darte raho aur apne rishtedaro ke sath… Hadith: 7-April: Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah se darte raho aur apne rishtedaro ke sath Husne Sulooq karo. -Shoaib Ul Iman 7950
Hadith: Qataa Rahmi (Rishte todne) wala Jannat me nahi… Hadith: 27-March: Jubair bin Mut`im (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Qataa Rahmi karney wala (Yaani Rishtey todney wala) jannat me nahi jayega.” -Sahih Bukhari, Hadith: 5984 ✦ हिंदी हदिस: जुबैर बिन मुतिंम रज़ी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने…
Khane Me Barkat .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Wahshi Ibn Harb (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Pucha Ki, "Ya Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Hum Khana Khate Hai Lekin Sair Nahi Hotey (Yaani Pait Nahi Bharta)" *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Shayad Tum Alag…
Ramzan ki Fazilat: Part 4 4. Ramzan ka Umrah Hajj ke barabar sawab deta hai: ۞ Hadees: Hazrate Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne ek Ansari Sahabiya se farmaya “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai.” [ Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih ] Subhan’Allah! Gour karne…
Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Misaal ,... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraiah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Meri Misaal Uss Shakhs Ki Tarah Hai Jisne Aag Jalayee Jab Uskey Ird Gird (Charo Aur) Roshni Huyee Tou Usme Keede Aur Ye Jaanwar Jo Aag Me Hai Girne Lage Aur Wo Shakhs…
Haraam Maal Se Diya Hua Sadqa Qubul Nahi Hota ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abulmalih (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihi WaAalihi Wa Sallam) Ne Farmaya - "Allah Ta’ala Haraam Maal Se Diya Hua Sadqa Qubul Nahi Farmata Aur Naa Hi Bina Paaki Ke Namaz (Qabool Farmatey Hain)". - (Sunan Abu Dawud, Vol 1,Hadith no. 59)
Behtareen Sadqa Ilm Haasil Karna ✦ Ilm Ki Ahmiyat aur Fazilat: 1). Hadith: Abu Umama (RaziAllahu Anhu) riwayat karte hai ke, Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Logo! Ilm ke wapas liye jane aur utha liye jane se pehle ilm hasil karlo." - Musnade Ahmad 2). Hadith: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) riwayat karte hai ke,…
Ye 3 Surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi ✦ Hadith: Abdullah bin khubayb (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: 'Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh liya karo, ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye…
Jhooti Qasam Khane Wale Ke Dil Par Siyah Nukta .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke - “Jo Shakhs Qasam Khaye Aur Iss Me Machchhar Ke Par Ke Barabar Jhoot Mila De Tou Wo 'Qasam Ta-Yome-Qayamat (Qayamat Tak) Uss Ke Dil Par (Siyah) Nukta Ban Jayegi”. - (Ithaf-U-Saadat Lil Zabedi, Jild 9, Safha 249)
Roza Dozakh Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Roza Dozakh (Hell) Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai ,Isliye (Jo Rozedar Ho) Wo Na Tou Biwi Se Humbistari Karey Aur Na Fahash (Buri) Aur Jahalat Ki Batein Kare *Aur Agar Koi Shakhs Uss Se Ladey Ya Usey Gaali De…
Hadith: Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur… Hadith: 27-April: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur ke saath akad kar chalta hai, Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga.…
Jab Mousiqui (Music Instruments) aam ho Jayegi ✦ Mafhum-e-Hadith: Abu Malik Ash’ari (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Karem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke: ❝Aakhri Zamane me logon ko Zameen me Dhansa diya jayega, Unpar pattharo ki barish ki jayegi aur unki Shaqle mask (Mita) kar di jayengi. ek riwayat me aata hai ke "Unki Shaqlo ko Suar…