Zubaan (Languages) Ka Ikhtelaaf Allah Ki Nishani ….

Aaj Zubaan(Languages) Ke Naam Par Kya Kuch Fitney Nahi Hotey Ye Hum Sab hi Dekh Rahe Hai ,..
*Mulk Todey Jaate Hai Zubaan Ke Naam Par ,.
*Falah Zubaan Bolney Wale Unchey Aur Falah Wale Niche ,..
*Riyasate Baati Jaati Hai Zubaan Ke Naam Par ,.
*Log Ikhtelaaf Karte Hai Ek-Dusre Se Zaban Ke Naam Par ..

Tou Aayiye Dekhte Hai Ke Iska Ikhtelaaf Shairyat Ne Kaise Mitaya ,.
Ke Jab Islam Aalami Aman Ki Baat Karta Hai Tou Dekhiye Allah Rabbul Izzat Zubaan Ke Talluk Se Kya Farmata Hai ?
♥ Al-Quran: “Wa Min Aayaatihee Khalqus Samaawaati Wal Aardi Wakhtilaafu Alsinatikum Wa Alwaanikum; Inna Fee Zaalika La Aayaatil Lil’aalimeen”.. – [Surah(30) Room: Ayat-22] – @[156344474474186:]
(# Tarjuma: Ke Allah Rabbul Izzat Ke Aayto Aur Nishaniyon Me Se Hai Ke Usney Aasman Aur Zameen Ko Paida Kiya .. Aur Tumhari Zubaano Aur Rangat Ka Ikhtelaf Bhi Allah Ki Nishani Hai ..)

*Kyunki Ye Zubaan Bhi Ek Tassuf Ki Buniyad Banti Hai.. Aur Aaj Yahi Muamla Hai Musalmano Ka,
*Musalman Bhi Aapas Me Tassuf Karta Hai Zubaan Ki Buniyad Par !
Ke Wo Falah Zubaan Ke Bolney Waley Hai Aur Hum Falah Zubaan Waley ,..

#Subhan’Allah!!! Hume Batayiye Kya Humare Deen Aur Shariyat Ne Zubaan Ka Tassuf Diya Hume ? ,..
*Kya Kisi Riwayat Me Aata Hai Ke Falah Zubaan Islami Zubaan Hai Aur Falah Zubaan Islami Nahi Hai ? ,..
*Kya Kisi BhI Qoul me Humne Padha Ki Falah Zubaan Ameero Ki Aur Falah Gareebo Ki ?,…

Allah Reham Karey!!! Ke Zubaano Ka Ikhelaaf Iss Hadd Tak Pohoch Gaya Ke Kuch Log Kuch Cheezo Ki Taalim Hasil Nahi Karte Isiliye Ke Wo Zubaan Falah Logon Ki Hai ,..
*Wo Zubaan Yahudiyon Ki Hai.,.. Wo Zubaan Nasraniyo Ki Hai ,..

* Lekin Sawaal Tou Yeh Hai Ke: Rab Farmata Hai Ke Tumhari Zubaano Ka Ikhtelaf Ye Tou Meri Nishani Hai!!
Fir Kyun Kar Humne Iss Muamlo Me Ikhlafat Karte Rehte Hai.?

*Koi Hindi Bolta Hai, Koi Marathi,. Koi Urdu, Arabi, Telgu, Malyalam, Spanish, Japani,…
Aur Na Jaane Kitne-Kitne Zubaane Tum Boltey Ho ,.
Ek-Ek Lafz Ko Kitne-Kitne Namo Se Pukarte Ho!!!
Yeh Bhi Allah Ki Nishani Hai,.
Wo Rab Hai Jisne Humare Jehno Me Yeh Baatey Daali Aur Humari Zubaano Ko Paida Kiya ,..

Afsos Ke Humne Iss Ikhtelaaf Ko Tassuf Ka Mouju Bana Diya,..
Jabki Yeh Ikhtelaaf Ki Cheez Nahi Hai,. Balki Har Zubaan (Languages) Allah Ki Taraf Se Hai!
Lihjaa Hume Chahiye Ke Iss Tassuf Se Bachey Kyunki Alami Aman Ke Khilaf Zubaan Ka Tassuf Yeh Bohot Badi Vajah Banti Hai ..

# Inshaallah-Ul-Azeez !! Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply