Tayammum ka Sahi Tarika

♥ Mafoom-e-Hadees:  Hazrat Ammar (RaziAllahu anhu) farmate hai ke mujhe RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kisi kaam se bheja tha.
Safar mein mujhe ghusal ki zarooarat ho gayi, lekin paani na mila. Is liye Phir maine mitti mein janwaro ki tarah lotpot liya. Phir maine RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kiya.
Tou Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Tumhare liye sirf itha itna karna kaafi tha.” Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Haatho ko Zameen par ek martaba maara phir unn ko Jhaad kar baaye haath ( left hand ) se Daahine haath ( right hand ) ki pusht ko mal liya ya daayen haath se baayen hath ka masah kiya. Phir dono haatho se chahre ka masah kiya.
– Sahih al Bukhari: Hadith no. 347
♥ Mafhoom-e-Hadith: Ammar radiyallahu anhu said: I was sent out by Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) for some job and I became Junub and could not find water so I rolled myself over the dust (clean earth) like an animal does, and when I told the RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) of that he said, ‘Like this would have been sufficient.’
The Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) (saying so) lightly stroked the earth with his hand once and blew it off, then passed his (left) hand over the back of his right hand or his (right) hand over the back of his left hand and then passed them over his face.’
– Sahih al Bukhari: Hadith no. 347

Leave a Reply