Zina – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Sat, 25 Nov 2023 12:39:53 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Zina – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Hadees: Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegi https://ummat-e-nabi.com/jab-bohot-jyada-zina-hone-lagega-to/ https://ummat-e-nabi.com/jab-bohot-jyada-zina-hone-lagega-to/#respond Tue, 03 Oct 2023 09:28:40 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jab-bohot-jyada-zina-hone-lagega-to/ Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegiHadees of the Day Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegi TRANSLITERATION Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Jab bohot […]

The post Hadees: Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegi appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegi

TRANSLITERATION

Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Jab bohot jyada Zinaa hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aam ho jayegi.”


URDU

جب بہت زیادہ زنا ہونے لگے گا، تو غریبی اور محتا جنگی عام ہو جائے گی۔


HINDI

जब बहोत ज़्यादा ज़िना होने लगेगा तो गरीबी और मोहताजगी आम हो जाएगी ।


GUJARATI

જબ બહોત ઝિયાદા ઝિના હોને લગેગા તો ગરીબી ઔર મોહતાજગી આમ હો જાયેગી.


MARATHI

समाजात अनौतिक संबंध वाढल्यास गरीबी आणि लाचारी वाढते


ENGLISH

When adultery becomes common, frequent poverty and helplessness will become widespread.

📕 Shuab-Ul-Iman, Hadess 7369

The post Hadees: Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegi appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jab-bohot-jyada-zina-hone-lagega-to/feed/ 0 19531
Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees https://ummat-e-nabi.com/zina-chori-sharab-khori-momeen-ka-kaam-nahi/ https://ummat-e-nabi.com/zina-chori-sharab-khori-momeen-ka-kaam-nahi/#respond Sun, 01 Oct 2023 20:55:27 +0000 https://ummat-e-nabi.com/zina-chori-sharab-khori-momeen-ka-kaam-nahi/ Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi HadeesHadees of the Day Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi TRANSLITERATION Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Zinaa karney wala Zinaa kartey […]

The post Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi

TRANSLITERATION

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot’ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta.”


HINDI

ज़िना करने वाला, ज़िना करते वक्त मोमिन नहीं रहता, शराब पीने वाला, शराब पीते वक्त मोमिन नहीं रहता, चोरी करने वाला, चोरी करते वक्त मोमिन नहीं रहता, जब कोई लूटने वाला लूटता है और लोग उसे देखते हैं, वह वक्त वो भी मोमिन नहीं रहता।

📕 Sahih Bukhari, Hadees 6772

The post Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/zina-chori-sharab-khori-momeen-ka-kaam-nahi/feed/ 0 16349
Ishq Love Affairs aur Mohabbat ki Haqeeqat in Islam https://ummat-e-nabi.com/ishq-love-affairs-aur-mohabbat-ki-haqeeqat-by-adv-faiz-syed/ https://ummat-e-nabi.com/ishq-love-affairs-aur-mohabbat-ki-haqeeqat-by-adv-faiz-syed/#respond Mon, 21 Aug 2023 20:00:24 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ishq-love-affairs-aur-mohabbat-ki-haqeeqat-by-adv-faiz-syed/ Ishq Love Affairs aur Mohabbat ki Haqeeqat in IslamIslam me Ishq ki Hakikat Kya hai?, Moujuda haal me Love Afairs ki Shakl me Mohabbat ke jo Aqsaam nazar aa rahe hai uspar Shariyat ka hukm kya hai ? […]

The post Ishq Love Affairs aur Mohabbat ki Haqeeqat in Islam appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Islam me Ishq ki Hakikat Kya hai?, Moujuda haal me Love Afairs ki Shakl me Mohabbat ke jo Aqsaam nazar aa rahe hai uspar Shariyat ka hukm kya hai ? aayiye iske bare me tafsili jankari ke liye is Video bayan par Gour karte hai. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon karey,. jazakAllahu khairan kaseera

Ishq Majazi In Islam, Ishq-E-Majazi, Love Marriage, Love In Islam Before Marriage, Love In Islam Before Marriage, True Love In Islam, Relationship Before Marriage In Islam, Meaning Of Love In Islam, Love In Islam Hadith, Love Before Marriage In Islam In Urdu, Haram Relationship In Islam, kya islam me mohabbat jaiz hai

The post Ishq Love Affairs aur Mohabbat ki Haqeeqat in Islam appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ishq-love-affairs-aur-mohabbat-ki-haqeeqat-by-adv-faiz-syed/feed/ 0 17574
Paani Pilaney ka Sawaab https://ummat-e-nabi.com/paani-pilane-ka-sawab/ https://ummat-e-nabi.com/paani-pilane-ka-sawab/#respond Sun, 16 Jul 2023 22:37:14 +0000 https://ummat-e-nabi.com/paani-pilane-ka-sawab/ Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Paani Pilaney ka Sawaab Abu Huraira (R.A) kehte hain ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya – “Ek Kutta Kuve ke Aas-Paas Ghum raha tha aur pyaas ki […]

The post Paani Pilaney ka Sawaab appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

Paani Pilaney ka Sawaab

Abu Huraira (R.A) kehte hain ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya –

“Ek Kutta Kuve ke Aas-Paas Ghum raha tha aur pyaas ki wajah se marney ke qareeb tha ke, Bani-Israeel ki Ek Zaniya Aurat (prostitutes) ne ess ko dekh kar apna Juta (Shoe) utaar kar kuve se paani khich kar uss ko pila diya, Allah Taala ne essi wajah se ess Aurat ki Magfirat kar di.”

📕 Sahih Muslim, Hadees 5578
📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees 3467

The post Paani Pilaney ka Sawaab appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/paani-pilane-ka-sawab/feed/ 0 16204
Islamic Quiz 189 : Jis Qoum mein Badkari (Zina/Adultery) aam ho jati hai us Qaum ko kya saza di jati hai? https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-189/ Thu, 23 Feb 2023 09:24:15 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=43816 Islamic Quiz 189 : Jis Qoam mein Badkari (Zina/Adultery) aam ho jati hai us Qaum ko kya saza di jati hai?Jis Qoum mein Badkari (Zina/Adultery) aam ho jati hai us Qaum ko kya saza di jati hai? | Options Are: A. Maut musallat kardi jati hai, B. Barish rok di jati hai, C. Qatl Aam ho jata hai

The post Islamic Quiz 189 : Jis Qoum mein Badkari (Zina/Adultery) aam ho jati hai us Qaum ko kya saza di jati hai? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Islamic Quiz 189

Jis Qoum mein Badkari (Zina/Adultery) aam ho jati hai us Qaum ko kya saza di jati hai?

Options Are 👇

A. Maut musallat kardi jati hai

B. Barish rok di jati hai

C. Qatl Aam ho jata hai

D. Sahih Jawab ka intezar

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( A )

✅ Maut musallat kardi jati hai

Daleel :

۞ RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya –

“jo qaum Ahad todti hai usme Qatl aam ho jata hai, jis qaum mein badkari (fahashi) phail jaati hai Allah Subhanahu us par maut musallat kar deta hai aur jo Qoum zakat adaa nahi karti Allah Subhanahu unse barish rok leta hai.”

📕 Al-Silsila-As-Sahiha, 1783


in sha Allah ul Azeez!
Allah Taala Hume kehne Sun’ne se jyada amal ki taufiq de,
Hum Tamam kism ki Sagheera aur Kabeera Gunaaho se bachaye,

Jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,
khatma humara iman par,

Wa Akhiru dawana Alahmdulillahi Rabbul Aalameen!
Amen Allahumaa Ameen

Install Islamic Quiz App

The post Islamic Quiz 189 : Jis Qoum mein Badkari (Zina/Adultery) aam ho jati hai us Qaum ko kya saza di jati hai? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
43816
Qaum e Loot ko Dardnaak Azaab (Punishment for Homosexuality in Islam) https://ummat-e-nabi.com/history-of-dead-sea-by-holy-quraan/ https://ummat-e-nabi.com/history-of-dead-sea-by-holy-quraan/#comments Sun, 18 Dec 2022 10:24:12 +0000 https://ummat-e-nabi.com/history-of-dead-sea-by-holy-quraan/ Qaum e Loot ko Dardnaak Azaab (Punishment for Homosexuality in Islam)Hazrat Loot Alaihis Salam ka Waqia ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Nabi Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum (Qaum-e-Loot) ko Dardnak Azaab. Wo Jagah Jise Aaj “Dead Sea” ke Naam se bhi jaani […]

The post Qaum e Loot ko Dardnaak Azaab (Punishment for Homosexuality in Islam) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hazrat Loot Alaihis Salam ka Waqia

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Nabi Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum (Qaum-e-Loot) ko Dardnak Azaab. Wo Jagah Jise Aaj “Dead Sea” ke Naam se bhi jaani jaati hai. (History of “Dead Sea” by Holy Quraan.)

Dead sea Map
Dead sea Map

Aziz Dosto!… Allah Ta’ala ne Insaano ko aur Jaanwaro ko jodey me paida kiya. jaise Nar aur Maada, Insaano me Mard aur Aurat banaaye. Taaki woh dono ek dusre ko jayaz tarike se khushi de sakey.

Loot (Alaihay Salam) Ibrahim (Alaihay Salam) ke Zamaane ke Nabi they, Aap Ibrahim (Alaihay Salam) ke bhatije they.

Aap ko Allah Ta’ala ne ek Aisi Qaum ki taraf bheja jo Palestine (Baitul Muqaddas) ya Jordan ke aas paas basi huyee thi. jise Sadoom kahaa jaata tha.
Ye SirZameen Sirsabaj (Green, Hariyaali) aur Shadaab thi. aur yahaa par har tarhaa ka Anaaj (Galla) aur Falo (Fruits) ki Qasrat thi.


✦ Loot (Alaihay Salam) ki Qoum ka Gunaah:

Is Qoum ke liye Loot (Alaihay Salam) ko Nabi banakar bheja gayaa isiliye iss Qoum ko Qaum-e-Loot kahaa jaata hai.

Is Qoum me us waqt Aisi buraayee paayee jaati thi jo unse pahele duniya ki kisi bhi Qoum me nahi paayee gayee. uss Qoum ke Mard (Aadmi) apni Nafsiyaati (Jismaani ) khawaahish ko puri karne ke liye Mardo (Aadmi yo) ke paas jaate they (Homo-Sexuality).

Aur ye be-hayaayee aur buraayee itni aam ho gayee thi ke wo apne iss bure kaam ko bura nahi samjhte they, balki uss par fakhar kiya karte they.

Riwaayato me aata hai ki is Be-Hayaayee ke kaam ki Shuruwaat Shaitaan ne ki, woh ek khoobsurat Noujawaan bankar aaya aur apne saath wahaa ke Mardo ko bura kaam karne ke liye behkaaya. aur is tarha Qoum-e-Loot me ye buraayee paida ho gayee woh log Aurato ko chorr kar Mardo se apni hawas puri karne lage.

Roo-e-Zameeen par ye bura kaam Loot (Alaihay Salam) ki Qoum se shuru huwaa tha isiliye  aaj bhi iss bure kaam ko lawaatat(homo-sexuality) ke naam se jaana jata hai.


✦ Qoum ko Haq ki Dawat:

Loot (Alaihay Salam) ne apni Qoum ki islaah ki bahut koshish ki, kayi baras unke beech me rahkar Deen ki Daawat dete rahe. Nasihat karte rahe, Allah Ta’ala ke Azaab ki dhamki dete rahe. lekin un ki Qoum par koi asar na huwaa.

Loot (Alaihay Salam) ne kahaa: “Aye meri qoum! tum log aisa buraa aur behayaayee ka kaam kar rahe ho jo aaj tak duniya me kisi ne na kiya, ye bahut Gunaah ka kaam hai, tum Apni Aurato ko chorr kar mardo ke paas jaate ho, agar tum apne iss bure kaam se baaz na aaye to mujhe darr hai ek din tumhe Allah Ta’ala ka Azaab aa ghere ga. main tumse apne Ajar (Daawate haq dene) ki koi kimat nahi maangta mera ajar tou mere Rab ke paas hai, jo saare Aalam ka Maalik hai.

Iss par unki qoum ke jo Doulatmand bigdail ya Amir Sardaar they unhone kahaa “hume Nasihat mat karo, badey paak Saaf bante ho, agar tumne Nasihat dena band na kiya tou hum tumhe Shahar se baahar nikaal denge.”

Loot (Alaihay Salam) ki nasihato ka jab unki Qoum par asar na huwa siwaaye thode se logo ke jo imaan laaye, tou Loot (Alaihay Salam) ne Allah Ta’ala ki baargaah me duwaa ki  “Aye mere Rab maine Apni Qoum me Din Raat tableeg ki aur unhe tere Azaab se daraya, lekin wo apne Kufr me aor aage badh gaye, Aye mere Rab! ab ye imaan nahi laane wale, ab inka faislaa tu hi kar.


✦ Qoum ki Azaab ke liye Allah ne Farishto ko bheja:

Allah Ta’ala ne Qoum-e-Loot ko Azaab dene ke liye 2 Farishte bheje. Dono Farishte jab Naazil huwe to pahele Ibraahim (Alaihay Salam) ke paas pahoonche. fir farishte shaam hone se pehle Loot (Alaihay Salam) ke paas do (2) kamseen khoobsurat noujawaan ki Shaqal me pahunche. woh unke yahaa mehmaan ban kar aaye.

Quom e Loot ko Aag ka Dardnaak Azab
Quom e Loot ko Aag ka Azab

Loot (Alaihay Salam) ko apni Qoum ke logo ki khabaasat ka pata tha. isiliye jab unhone apne kamsin khoobsurat noujawaan mehmaano ko dekha toh Ghamgeen ho gaye aur Dil hi Dil me kudne lage aur kahehe lage “Aaj ka din badi musibat ka din hai.”

Unhe unki fiqar la-haq huyee. ke kahee unki Qoum ke log unke mehmaano ke sath koi buraa kaaam na kare. isiliye woh jaldi se apne mehmaano ko apne ghar ke andar le gaye.

Lekin unki Biwi doudti huyee gayee aur apne Qoum ke bigdail Amir Sardaaro aur Badkaaro ko apne Ghar me aaye huve mehmaano ki khabar dedi. Qoum ke badkaar log Loot (Alaihay Salam) ke ghar aa pahooche aur Loot (Alaihay Salam) se kahaa “Un Ladko ko humaare hawaale kar do.

Loot (alaihay salam) ne kahaa: “Ye mere Mehmaan hai Main inko hargeez tum logo ke hawaale nahi karoonga! tumhe Allah Ta’ala ka waasta hai, Mere Mehmaano ke saamne mujhe Zaleel (Beizzat) aur Ruswaa na karo, kya tum me se koi bhi bhalaa aadmi nahi hai? aur (Qaum ki Aurto ki taraf ishara karte hue kaha) ye Meri Betiyaa (ya Qoum ki Betiyaa) hai tum inse Nikaah kar lo aur apni Nafsiyaati (Jismani) khawaahishat ko in se puraa kar lo.”

Lekin unki Qoum ke log nahi maane aur kahaa “Tum Achchi tarhaa jaante ho ki hum kya chaahte hai, hum tumhe kal subah tak ki mohlat dete hai, kal subah ke baad tum hume rok na paawoge.” ye kahekar woh log chale gaye.

Apni bebasi par Loot (Alaihay Salam) ki aankho me aansoo aa gaye, woh chaahkar bhi apne mehmaano ki hifaazat nahi kar sakte they kyonki unki Qoum ke badkaar log taadad me jiyaada aur taaqatwar they.

Loot (Alaihay salam) ne kahaa “Aye kaash , mujh me tum se muqaable ki quwat hoti ya main kisi zabardast ka aasraa pakad paata.”

Tab Farishto ne kahaa “Hum Azaab ke farishte hai, Aye Loot! Ghabraane ki zaroorat nahi hai, hum tak tou kya, ab woh tum tak bhi nahi pahooch sakenge, Allah Ta’ala ne hume aapki Qum ko Azaab dene ke liye bheja hai, Aap aur Aap ke saath jo log bhi imaan laaye hai Subah-Saadiq se pehle is basti ko chod kar door chale jaaye aur Khabardaar koi mud kar piche na dekhe, ab in Gunaahgaaro me se koi nahi bachne wala.”

Loot (Alaihay Salam) aur jo log unke saath imaan laaye they subah hone se pehle basti chodkar door jaa chuke they, sirf Loot (Alaihay Salam) ki biwi piche reh gayee kyonki woh bhi kaafir thi.

Ab Farishto ne Zameen ko jadh se ukhaadkar palat diya aur kayee kilometer (taqreeban 40 kilometer) tak gehre Zameen me dhasaa diya, phir unpar paththar aur tezaab ki baarish ki iss tarhaa un Gunaahgaaro ka Namo-Nishaan mita diya gaya aur koi bhi na bach saka.


✦ Azaab ki jagah Dead Sea ke naam se aaj bhi moujud hai:

Jahaa Azaab huwaa tha woh jagaah aaj bhi moujood hai, usey “Dead Sea” ya “Maraa huwaa Samundar” ya Mrut Saagar, Bahar-e-Murdaar ya Bahar-e-Loot ke naam se jaana jaata hai. aur aaj bhi uspar jo azaab huwaa tha uski wajaah se uss samundar me machli (fish) tou kya koi kidaa makodaa bhi nahi paidaa hota. aur uska paani itna namkeen hai ki usko muhh se laga lo tou ulti ho jaaye.

Dead Sea (Jordan)
Dead Sea (Jordan)

Gunaahgaaro aur Nafarmaano ko Allah Ta’ala is tarhaa Azaab deta hai zindagi me bhi aur marne ke baad bhi.

Lekin afsos ki baat hai ki Insaan aisi baato se koi sabak nahi leta. aaj kuch Modern kism ke log aur Yahood aur Nasaara iss burey kaam ko buraa nahi jaante aur aise bure kaam karne waalo ko Qanooni Darzaat de rahe hai. Allah Ta’ala hum Sab ko aise bure kaam aur aise bure khayalat se bachaaye… Ameen

~ Reference:

(Qasas-ul-Ambiya Transcript by Mohammad Rafique)

Padhe aur bhi Ibratnaak Waqiye:

The post Qaum e Loot ko Dardnaak Azaab (Punishment for Homosexuality in Islam) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/history-of-dead-sea-by-holy-quraan/feed/ 1 17172
Har Nasha Waali Cheez Haraam hai https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/ https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/#respond Wed, 14 Dec 2022 03:26:15 +0000 https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/ Hadees: Har Nasha Waali Cheez Haraam haiHadees of the Day Har Nasha Waali Cheez Haraam hai ۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, Jaishaan […]

The post Har Nasha Waali Cheez Haraam hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega

Jabir (R.A.) se riwayat hai ke,

Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha.

Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) waali hai?”

Uss ne Arz Kiya, “Ji Haan!”

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Har Nasha Wali Cheez Haraam hai, Kyon ke Allah Ta’ala ka uss Aadmi ke liye Waada hai ke Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega.”

Sahaba ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Tinatah-al-Khabaal kya cheez hai ?

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Dozakhiyon ka Pasina hai.”

📕 Sahih Muslim, Hadees no. 5217

• Note: Jo Cheez Ya Aamal Insan ko Madhosh kar de aur wo Apne Rab ke Zikr-Wa-Rehmato se thodi der ke liye bhi Gafeel ho jaye aisi har Cheeze Haraam hai, fir chahe woh Sharaab ho Tambakhu, Guthka ho ya Gaana-Bajana.


Jo bhi Peene waali Cheez Nasha Laaye wo Haraam hai

Hazrate Aayesha (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jo bhi Peene Waali Cheez Nasha Laaaye wo haram hai.”

📕 Sahih Bukhari, Vol 1, Hadees: 242


Sharaab Peena aur Juwa Khelna Kaisa hai?

Allah Ta’ala Quran-e-Kareem me farmata hai:

۞  Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“(Aye Rasool!) Aap se log Sharaab aur Juye (Gambling) ke baare me puchte hai tou Aap Unsey keh Dijiye ke in me badaa Gunaah hai aur Logon ke liye kuch faydey bhi hai aur unka Gunaah unke Nafaa se bahut bada hai.”

📕 Al-Baqara 2:219

Related Post

The post Har Nasha Waali Cheez Haraam hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/har-nasha-waali-cheez-haraam-hai/feed/ 0 16376
शोहर के ख़राब रवैये से हर बीवी के सामने तीन रास्ते होते है https://ummat-e-nabi.com/shohar-ke-kharab-rawaiye-se-har-biwi-ke-samne-3-raste-hote-hai/ https://ummat-e-nabi.com/shohar-ke-kharab-rawaiye-se-har-biwi-ke-samne-3-raste-hote-hai/#respond Sun, 25 Jul 2021 14:45:13 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shohar-ke-kharab-rawaiye-se-har-biwi-ke-samne-3-raste-hote-hai/ shohar ke kharab rawaiye se har biwi ke samne 3 raste hote haiशोहर का ख़राब रवैया देखकर हर बीवी के सामने तीन रास्ते होते है, और हर बीवी इन तीन रास्तों मे से एक रास्ता ज़रूर चुनती है, अगर शोहर बीवी के […]

The post शोहर के ख़राब रवैये से हर बीवी के सामने तीन रास्ते होते है appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

शोहर का ख़राब रवैया देखकर हर बीवी के सामने तीन रास्ते होते है, और हर बीवी इन तीन रास्तों मे से एक रास्ता ज़रूर चुनती है, अगर शोहर बीवी के साथ अच्छा सुलूक नही करता, उसे वक़्त नही देता, मोबाइल टीवी और दोस्तों मे मसरूफ़ रहता है, उसे इज़्ज़त व प्यार नही देता, हर वक़्त झगड़ा करता है, गालिया देता है, मां बहन की बातों मे आकार बे इज़्ज़त करता है, मतलब किसी भी ऐतबार से बीवी को राहत के बजाय तकलीफ़ पहुंचाता है, तो उस गलीज़ इंसान की बीवी तीन रास्तों मे से एक रास्ता चुनती है।

पहला रास्ता –

कुछ बीवीयां जो इमान की कमज़ोर होती है, वो शोहर के ख़राब रवैये को देखकर गैर मेहरम से राब्ता बना लेती है, फिर उसके साथ अपने सुख दुख शेयर करने लगती है, और वो शख़्स भी उसके साथ बहुत हमदर्दी से पेश आता है, हमदर्दी वाला ये ताल्लुक पहले दोस्ती मे तब्दील होकर बड़े गुनाहों की तरफ ले जाता है, ऐसी सुरत मे शोहर बीवी और उसका हमदर्द तीनो ही गुनाहगार ठहरेंगे।

दुसरा रास्ता –

कुछ बीवीयां इमान की मज़बूत होती है, लेकिन हिम्मत की कमज़ोर होती है, अगर उनका शोहर उनके साथ ख़राब रवैया रखता है, जैसा कि उपर लिखा है, तो ये बीवीयां अपनी इज़्ज़त आबरू की तो हर दम हिफाज़त करती है, लेकिन अंदर से मुकम्मल टूट जाती है, उनका हंसना रस्मी होता है, उनकी मुस्कुराहटे रस्मी होती है, उनकी बोलचाल रस्मी होती है, उनका लोगों से मिलना और बोलचाल करना रस्मी होता है, ये दिन की रोशनी मे अंदर ही अंदर घुटती है, और रात के अंधेरे मे खुन के आंसू रोती है, ये बीवीयां ज़िन्दा लाश बनकर ज़िंदगी गुज़ारती है, और बरोज़ महशर बीवी का शोहर उस वक़्त तक जन्नत मे दाखिल ना हो सकेगा जब तक बीवी के आंसूओं का हिसाब ना दे दे, क्योंकि अल्लाह तआला अपने हुकूक तो माफ़ कर देगा लेकिन अपने बंदो के हुकूक तब तक माफ़ नही करेगा जब तक सामने वाला माफ़ ना करे दे।

तीसरा रास्ता –

इस तीसरे किस्म के रास्ते पर चलने वाली बीवीयों का इमान मज़बूत तो होता ही है साथ मे ये हिम्मत और इस्तक़लाल की पहाड़ भी साबित होती है, ये मायूस नही होती बल्कि फ़िक्र करती है, ये शोहर के ख़राब रवैये को खुद के लिए चेलेंज तसव्वुर करती है, के किस तरह शोहर को अपने तरफ माइल किया जाए।

ये शोहर के गुस्से पर सामने जवाब नही देती, सब्र करके बरदाश्त करती है, ये शोहर के साथ बहुत ज़्यादा नर्म और प्यार भरा रवैया रखती है, शोहर के आने से पहले खुद को दुल्हन की तरह तैयार कर लेती है के शोहर का ध्यान कही और ना जाए, ये जानती है कि शोहर के वालिदेन की ख़िदमत फर्ज़ नही, लेकिन फिर भी खुद से सास ससुर की ख़िदमत करती है, के बुजुर्गो की दुआओं से उनका घर बसा रहे, ये तकियो मे मुहं छिपाकर रोने की बजाय सजदों मे रोने को तरजीह देती है, ये सजदों मे आंसू बहाकर रब के हुजूर शोहर की वापसी मांगती है, ये तहज्जुद मे उठकर रब की बरागाह मे हाजिरी लगाती है, और आंखे नम किए अपनी आह उस रब के सामने रखकर अपनी खुशीयां मांगती है।

अल्लाह तआला उनकी हिम्मत और मदद के लिए पुकारने पर उन्हे मायूस नही करता, उनकी हिम्मत, सब्र, कुरबानीयों का फल देते हुए उनके शोहर का दिल उनके तरफ फेर देता है।

✦ अब अकल्मन्द बीवी कौनसा रास्ता चुने ?

अगर बीवी पहला रास्ता चुनती है तो दुनिया मे ज़िल्लत व रुसवाई और आख़िरत मे शोहर और हमदर्द समेत सख़्त अज़ाब के हकदार ठहरेंगे।

अगर बीवी दुसरा रास्ता चुनती है तो गलीज़ शोहर की वजह से अपना ही दिल जलाती है, अपना ही खुन जलाती है, अपने को तकलीफ़ देने के सिवा कुछ हासिल नही होगा, लेकिन उसको अल्लाह तआला के यहां इस सब्र और इज़्ज़त आबरू की हिफाज़त करने पर बे तहाशा अज्र व सवाब मिलेगा।

और अगर बीवी तीसरा रास्ता चुनती है, शोहर की बेगैरती को खुद के लिए चेलेंज तसव्वुर किए हिम्मत और गौर फ़िक्र से काम लेती है जैसा कि उपर लिखा है तो 80% बीवीयां अल्लाह तआला के हुक्म से अपने मकसद मे कामयाब होकर एक खुशगवार अज़्दवाजी ज़िंदगी गुज़ारती है। अपनी दुनिया और आख़िरत दोनों में कामियाब हो जाती है।

हम यहा कहना चाहते है के शोहर के ख़राब रवैये पर हर बीवी को तीसरा रास्ता चुनना चाहिए , इन शा अल्लाह! अल्लाह तआला उसे मायूस नही करेगा।

यहां एक और बात कहना चाहेंगे के अगर किसी भी औरत के आंख मे शोहर की वजह से एक भी आंसू आ जाए तो जन्नत मे उस वक़्त तक ना जा सकेगा जब तक बीवी उसे माफ़ ना कर दे। आप कहेंगे के हम ऐसा फ़तवा लगा रहे है, तो याद रखे के ये फ़तवा नही दीन-ए-इस्लाम है, अहादीस का मफ़हूम है के जहां किसी एक इंसान के दिल दुखाने पर रोज़ा नमाज़ सारी इबादतें उस वक़्त तक काम नही आएगी जब तक सामने वाला माफ़ ना कर दे। यानि हुकूक अल इबाद की कोताही से बचे। और कोशिश करना चाहिए के शोहर की वजह से बीवी की आंखो मे आंसू ना आए।

The post शोहर के ख़राब रवैये से हर बीवी के सामने तीन रास्ते होते है appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shohar-ke-kharab-rawaiye-se-har-biwi-ke-samne-3-raste-hote-hai/feed/ 0 19138
Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo https://ummat-e-nabi.com/meri-ummat-me-aise-burey-log-paida-ho-jayenge-jo/ https://ummat-e-nabi.com/meri-ummat-me-aise-burey-log-paida-ho-jayenge-jo/#respond Sat, 13 Feb 2021 03:53:25 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=29830 Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge joAllah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Zinakari, Resham ka Pahenna, Sharab Pina aur Gaane bajane ko halal bana lenge…” [ […]

The post Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo Zinakari, Resham ka Pahenna, Sharab Pina aur Gaane bajane ko halal bana lenge…”

[ Sahih Bukhari: Hadees 5590 ]

Related Post

The post Meri Ummat me Aise Burey log Paida ho jayenge jo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/meri-ummat-me-aise-burey-log-paida-ho-jayenge-jo/feed/ 0 29830
Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/ https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/#respond Thu, 04 Apr 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/ Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiyaHadees of the Day Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya TRANSLITERATION Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs […]

The post Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya

TRANSLITERATION

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Jo shakhs nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya aur jo shakhs Udhaar(Qarz) le aur wapas dene ki niyat na ho usney daka dala.”

📕 At-Targib Wat-Tarheeb 1807


HINDI

अबु हुरेराह (प्रेषित के अनुयाई) कहते है के,
अल्लाह के प्रेषित मुहम्मद (ﷺ) ने फरमाया:

“जो शख्स अपनी पत्नी से मेहर का भुगतान नहीं करने के इरादे से शादी करता है वह जानी (व्यभिचारी) है। और जो व्यक्ति वापस ना लौटाने के इरादे से कर्ज़ लेता है वोह चोर है।

📕 अत तरगिब व तरहीब 1807

The post Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/feed/ 0 17542
Zinaa ke qareeb mat jao kyunki yah behayayi ka rasta hai https://ummat-e-nabi.com/zina-ke-kareeb-mat-jao-kyunki-yah-badi-behayayi-aur-bohot-bura-rasta-hai/ https://ummat-e-nabi.com/zina-ke-kareeb-mat-jao-kyunki-yah-badi-behayayi-aur-bohot-bura-rasta-hai/#respond Thu, 14 Feb 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/zina-ke-kareeb-mat-jao-kyunki-yah-badi-behayayi-aur-bohot-bura-rasta-hai/ Zina ke qarib bhi mat jao ye behayayi ka kaam hai۞ Quran-e-Kareem me Allah Ta'ala farmata hai : Zinaa ke qareeb mat jao kyunki yah badi behayayi aur bohot bura rasta hai....

The post Zinaa ke qareeb mat jao kyunki yah behayayi ka rasta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Roman Urdu ——

۞ Quran-e-Kareem me Allah Ta’ala farmata hai:

Zinaa ke qareeb mat jao kyunki yah badi behayayi aur bohot bura rasta hai.”

📕 Al-Quran; Surah Al-Isra 17:32

हिंदी ——

۞ कुरआन में अल्लाह तआला फर्माता है :

“और (देखो) ज़िना (व्यभिचार) के पास भी न फटकना क्योंकि बेशक वह बड़ी बेहयाई का काम है और बहुत बुरा चलन है।”

📕 पवित्र कुरआन; सूरह अल इस्रा 17:32

English ——

۞ Allah Says in the Holy Quran:

“And do not approach adultery – it is indeed a shameful deed; and a very evil way.”

📕 Al-Quran; Surah Al-Isra 17:32

The post Zinaa ke qareeb mat jao kyunki yah behayayi ka rasta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/zina-ke-kareeb-mat-jao-kyunki-yah-badi-behayayi-aur-bohot-bura-rasta-hai/feed/ 0 19091
Qayamat ke Din Arsh e Ilaahi Ke Saaye Me Rehne Wale Log https://ummat-e-nabi.com/arshe-ilaahi-ke-saaye-me/ https://ummat-e-nabi.com/arshe-ilaahi-ke-saaye-me/#respond Thu, 25 Aug 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/arshe-ilaahi-ke-saaye-me/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain: “Qayamat Ke Din Teen(3) Shakhs Arsh-e-Ilaahi Ke Saaye Me Honge, Jis Din Ke Uss Ke Saaye Ke Siwa Koi Saaya […]

The post Qayamat ke Din Arsh e Ilaahi Ke Saaye Me Rehne Wale Log appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain:
“Qayamat Ke Din Teen(3) Shakhs Arsh-e-Ilaahi Ke Saaye Me Honge, Jis Din Ke Uss Ke Saaye Ke Siwa Koi Saaya Na Hoga.
Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Arz Kiya, “Ya Rasool’Allah! Wo KhushNaseeb Koun Hain ?”.
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
∗1. Ek Wo Jis Ne Mere Kisi MusibatZadah Ummati Ki Pareshani Door Ki.
∗2. Duwwam Wo Jis Ne Meri Sunnat Ko Zinda Kiya.
∗3. Teesra Wo Shakhs Ke Jis Ne Mujh Par Durood-e-Paak Ki Kasrat Ki.
(Al Qholul Badi/123)-Sa’atud Darean/63)

Ek Aur Riwayat Me Aata Hai Ke,
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Qayamat Ke Din Allah Ke Arsh Ke Saaye Ke Alawa Koi Saaya Nahi Hoga,
– Magar 7 Log Allah Ke Arsh Ke Saye Me Honge..”

∗1. Apni Hukumat Me Insaaf Karne Wala Baadshah.
∗2. Aisa Jawaan Jis Ki Jawaani Allah Ki Ibadat Me Kharch Huwi Ho.
∗3. Aisa Aadmi Jis Ka Dil Masjid Me Laga Rehta Ho.
∗4. Aise 2 Aadmi Jo Allah Ke Liye Mohabbat Karte Ho
Allah Ki Raza Ke Liye Milte Ho Aur Allah Ki Raza Ke Liye Juda Hote Ho.
∗5. Aisa Aadmi Jis Ko Khubsurat Aur Acche Khandaan Ki Aurat
Zinaa Ki Taraf Bulaye Lekin Wo Kahe Ke Mai Allah Se Darta Hu.
∗6. Wo Aadmi Jo Allah Ke Raste Me Kharch(Khairat/Sadqa) Karey
Iss Tarah Ke Uss Ke Dusre Hath Ko Bhi Pata Na Chale (Yaani Dete Waqt Dikhlawa Na Kare).
∗7. Aisa Shakhs Jo Allah Ka Zikr Tanhai Me Kare Aur Uss Ke Aansu Nikalna Shuroo Ho Jaye.
(Bukhari Shareef, Muslim Shareef)

♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat Hume Kehene Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,.
– Hum Tamam Ko Apne Muqarrib bando me shumar karey,.
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Qayamat ke Din Arsh e Ilaahi Ke Saaye Me Rehne Wale Log appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/arshe-ilaahi-ke-saaye-me/feed/ 0 15987
Kya Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulkha Ka Nikah Hua Tha ? https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/ https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/#respond Fri, 19 Feb 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/ Aksar Dekha Jata Hai Ke Shadiyo Me Dulha-Dulhan Ko Aisi Dua Di Jati Hai Ke -“Aapki Jodi Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulekha Jaise Kamiyab Rahe .. (Nauzubillah)” Jabki Aisi Dua […]

The post Kya Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulkha Ka Nikah Hua Tha ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
Aksar Dekha Jata Hai Ke Shadiyo Me Dulha-Dulhan Ko Aisi Dua Di Jati Hai Ke -“Aapki Jodi Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulekha Jaise Kamiyab Rahe .. (Nauzubillah)
Jabki Aisi Dua Denewale Log Andaza Bhi Nahi Lagatey Ke Hakikat Me Dua Ke Naam Par Badduwa Dey Rahe Hai ,..

# ‎Sabse‬ Pehli Baat Ke
Yusuf (Alahi Salam) Ka Nikah Zulekha Se Nahi Hua Tha.. Aur Qurano Hadees Me Bhi Iska Kahi Bhi Tazkira Nahi Hai ..
– Lekin Na Jane Fir Bhi Log Kaha Se Manghadat Dalaeel Latey Hai Ke Unka Nikah Hua Aur Laila Majnuo Ki Tarha Humare Ishk Mizaz Hazrat Unke Kissey Kahaniya Ghadtey Rehte Hai ,..
Yaad Rahe ! Ye Allah Ke Nabi Ki Shaan Me Gustakhi Hai..
– Jabki Allah Ne Quraan me Zulkha Ke Taluk Se Bayan Kiya Ke Usne Allah ke Nabi Ko Zina Ki Dawat Di (Mafhoom-e-Suraf Yusuf).. Tajjub Ki Baat Hai Ke Fir Bhi Hum Aise Zaani Ko Allah Ke Nabi ki Biwi Ka Darja Detey Hai La-ilmi me…

‪#‎ Aur‬ Dusri Baat Ke
Hum Tamam Ka Ye Imaan Hai Ke Ambiya (Alahi Salam) Ki Biwi Mushrik Tou Ho Sakti Hai Lekin Zaani Nahi ,..
– Jaise Ke Nooh (Alahi Salam) Aur Loot (Alahi Salam) Ki Biwi Mushrika Thi,.. Lekin Zaani Nahi Thi ,… Bad’deen Tou Thi Lekin BaddKirdaar Nahi ,..

*Tou Beharhaal Yusuf (Alahi Salam) Ka Nikah Zulekha Se Hua Iski Koi Bhi Sharayi Daleel Nahi Siway Baaz Manghadat Kissey Aur Kahaniyo Ke .. Allah Aise Logo Ko Hidayat De ,..

*Lihaja Hume Chahiye Ke Aisi Baato Se Ahtiyat Kare Jo Ki Allah Ke Nek Bando Aur Nabiyo Ki Shaan Me Tauheen Hai ,..

♥ Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam Gairsharayi Baato Se Ahtiyaat Karne Ki Taufik Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

– मोहम्मद सलीम

The post Kya Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulkha Ka Nikah Hua Tha ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/feed/ 0 17528
Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/ https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/#respond Sat, 31 May 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/ ✦ Hadith about Hadiya/Tohfa: 1). Hadith: Hazrate Ibn Abbas aur Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Kisi Shakhs ke liye ye jayaz […]

The post Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
✦ Hadith about Hadiya/Tohfa:

1). Hadith: Hazrate Ibn Abbas aur Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Kisi Shakhs ke liye ye jayaz nahi ki woh kisi ko diya hua tohfa waapas le siwaaye Baap ke jo apne bete ko diya hua tohfa waapas le sakta hai.❞

Sunan Ibn Majah Hadith no. 2377

2). Hadith: Ek riwayat me Aap (Sallallahu Aalihi Wasallam) farmate hai: ❝Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala uss kutte ki tarha hai jo qai (vomit) karke chaat keta hai.❞

Sahih Muslim Book 012, Hadith 3957


✦ Tohfa dena kis ko Jayaz (allow) nahi ?

❝Aashiq wa Mashuq ka ek dusre ko tohfa dena (Zinaa ki) rishwat hai aur uska wapas karna wajib hai.❞

Al Bahr Ur Raiq, Jild#6, Page No.441

The post Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-diyaa-hua-tohfa-waapas-na-le/feed/ 0 16776
नज़र का फ़ित्ना – अपनी नज़रे नीची रखे और अपनी शर्मगाहो की हिफ़ाज़त करें https://ummat-e-nabi.com/nazar-ka-fitna/ https://ummat-e-nabi.com/nazar-ka-fitna/#comments Sun, 23 Mar 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/nazar-ka-fitna/ Nazar ka fitna | नज़र का फ़ित्ना - अपनी नज़रे नीची रखे और अपनी शर्मगाहो की हिफ़ाज़त करेंनज़र एक ऐसा फ़ित्ना हैं जिस पर कोई रोक नही जब तक कोई इन्सान खुद अपनी नज़र को बुराई से न फ़ेर ले। अमूमन नज़र के फ़ित्ने से आज का […]

The post नज़र का फ़ित्ना – अपनी नज़रे नीची रखे और अपनी शर्मगाहो की हिफ़ाज़त करें appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

नज़र एक ऐसा फ़ित्ना हैं जिस पर कोई रोक नही जब तक कोई इन्सान खुद अपनी नज़र को बुराई से न फ़ेर ले। अमूमन नज़र के फ़ित्ने से आज का इन्सान महफ़ूज़ नही क्योकि टीवी, अखबार, मिडिया के ज़रीये जिस तरह इन्सान के जज़्बात को जिस तरह भड़काने का मौका दिया जा रहा हैं उससे कोई इन्सान नही बच सकता। ऐसी सूरत मे अल्लाह ने जो हुक्म दिया वो इस तरह हैं –

» अल्लाह के नाम से शुरू जो बड़ा कृपालु और अत्यन्त दयावान हैं.!!

(ऐ रसूल) ईमानवालो से कह दो के अपनी नज़रे नीची रखे और अपनी शर्मगाहो की हिफ़ाज़त करें यही उनके लिये ज़्यादा अच्छी बात हैं। ये लोग जो कुछ करते हैं अल्लाह उससे यकीनन वाकिफ़ हैं और) ऐ रसूल (सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम) ! ईमानवाली औरतो से कह दो कि वह भी अपनी नज़रे नीची रखे और अपनी शर्मगाहो की हिफ़ाज़त करे।  [सूरह नूर 24:30-31]

ये आयत इस बात का खुला सबूत हैं कि हर मर्द और औरत दोनो पर ये लाज़िम हैं की वो अपनी नज़रे नीची रखे। न के ये हुक्म कुरान के ज़रीये सिर्फ़ मर्द या सिर्फ़ औरत को दिया जा रहा हैं। गौर करने की बात ये हैं के क्या कोई मर्द किसी ऐसी औरत से शादी करेगा जो लूज़ केरेक्टर हो या कोई औरत किसी ऐसे मर्द से शादी करेगी जो लूज़ केरेक्टर हो| ये सवाल अगर अवाम से पूछा जाये तो 99% मर्द और औरत यही जवाब देगे के जिस औरत या मर्द का कोई केरेक्टर न हो उससे कोई शादी क्यो करेगा ताकि ज़िन्दगी भर वो अपने लोगो मे ज़िल्लत और शर्म महसूस करे। तो सवाल ये हैं के जब कोई ये नही कर सकता तो उस पर ये लाज़िम हैं की अपनी नज़र और शर्मगाह की हिफ़ाज़त करे। इस बारे मे हदीस नबवी पर भी ज़रा गौर करें-

» हदीस: हज़रत ज़रीर बिन अब्दुल्लाह (रज़ी अल्लाहु अनहु) से रिवायत हैं के मैने रसूलल्लाह (सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम) से अचानक नज़र पड़ जाने के बारे मे पूछा तो आप (सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम) ने फ़रमाया – “अपनी नज़रे फ़ेर लो।”(मुस्लिम शरीफ)

अल्लाह के रसूल (सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम) की इस हदीस से साबित हैं के नज़र ज़िना (कुकर्म, बलात्कार, Rape) की ही एक किस्म हैं लिहाज़ा इस ज़िनाकारी से बचने की सूरत सिर्फ़ ये हैं के नज़रे नीची रखी जाये और अचानक पड़ जाने की सूरत मे नज़र फ़ेर ली जये।

The post नज़र का फ़ित्ना – अपनी नज़रे नीची रखे और अपनी शर्मगाहो की हिफ़ाज़त करें appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/nazar-ka-fitna/feed/ 1 16712
Nek aur Farmabardar Aurat ka Silaah ~ Jannat ke Jis Darwaze se chahe dakhil ho jaye https://ummat-e-nabi.com/nek-aur-farmabardar-aurat-ka-silaah/ https://ummat-e-nabi.com/nek-aur-farmabardar-aurat-ka-silaah/#respond Tue, 28 May 2013 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/nek-aur-farmabardar-aurat-ka-silaah/ Hadees of the Day Nek aur Farmabardar Aurat ka Silaah Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jab ek Aurat paanch (5) Waqt Namaz ada kare, Ramzan ke Roze rakhe, Sharmgaah ki […]

The post Nek aur Farmabardar Aurat ka Silaah ~ Jannat ke Jis Darwaze se chahe dakhil ho jaye appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
Hadees of the Day

Nek aur Farmabardar Aurat ka Silaah

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

❝ Jab ek Aurat paanch (5) Waqt Namaz ada kare, Ramzan ke Roze rakhe, Sharmgaah ki hifazat kare (Zinaa se bache), Apne Shohar ki baat maane, tou Roz-e-Mehshar aesi Aurat ko kaha jayega ke Jannat ke is Darwaze se chaho dakhil ho jao.”

📕 Sahih Aljamey Al’sagheer, Hadees 660


नबी-ऐ-करीम (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया :

❝ जब एक औरत ५ वक्त की नमाज़ अदा करे, रमजान के रोज़े रखे, शर्मगाह की हिफाज़त करे (जीना से बचे), अपने शोहर की बात माने तो रोज़े मेहशर ऐसी औरत को कहा जायेगा के जन्नत के जिस दरवाज़े से चाहो दाखिल हो जाओ।

📕 सहीह अल जामेय सग़ीर हदिस 660


Abu Hurairah (radi Allahu anhu) narrated the Prophet (ﷺ) said:

❝ If the woman prays the five daily prayers, fasts in Ramadhan, safeguards her chastity and obeys her husband, she will enter into Jannah from any door she wishes.

📕 Ahmed 1/191


Related Hadith

  1. Behatreen Aurat ki Sifat aur Pehchan
  2. Jannati Aurat ki Pehchan aur Khubi
  3. Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan
  4. Binaa kisi khas wajah se Talaaq mangne waali Aurat ka hashr
  5. Aurto ki Jannat ya Dozakh Unka Shohar hai
  6. Shohar ki Napasandida baato se doori Ikhtiyar kare
  7. Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam
  8. Shohar ki Nashukri Karna ek tarha ka kufr hai
  9. Apne Shohar ke siwa dusre Mard ka zikr na kare
  10. Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ?
  11. Kya Biwi Shohar ko Zakaat de sakti hai?
  12. Aurat ke liye Shirk ke baad sabse bada Gunaah
  13. Aurat ke liye Parde ka Hukm Qurano Sunnat ki Roshni me
  14. Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou

The post Nek aur Farmabardar Aurat ka Silaah ~ Jannat ke Jis Darwaze se chahe dakhil ho jaye appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/nek-aur-farmabardar-aurat-ka-silaah/feed/ 0 16335