Tauraat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Thu, 14 Dec 2023 10:01:28 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Tauraat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Hazrate Ali (R.A) se Mushkil Sawalaat ke Khubsurat Jawaab https://ummat-e-nabi.com/hazrate-ali-se-mushkil-sawalaat-ke-khubsurat-jawaab/ https://ummat-e-nabi.com/hazrate-ali-se-mushkil-sawalaat-ke-khubsurat-jawaab/#respond Mon, 23 Jan 2023 11:54:37 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=43154 7 Mushkil Sawaal aur Hazrat Ali (R.A) ke Khubsurat Jawaab7 Mushkil Sawaal aur Hazrat Ali (R.A) ke Khubsurat Jawaab Tauraat ke ek Aalim Mujer ne ek martaba Hazrat Ali (R.A) se kuch sawaal puche jinke jawab Hazrat Ali ne […]

The post Hazrate Ali (R.A) se Mushkil Sawalaat ke Khubsurat Jawaab appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

7 Mushkil Sawaal aur Hazrat Ali (R.A) ke Khubsurat Jawaab

Tauraat ke ek Aalim Mujer ne ek martaba Hazrat Ali (R.A) se kuch sawaal puche jinke jawab Hazrat Ali ne diye.

Mujer ne pucha:

(1) Wo kaunsa mard hai jiska na baap hai na maan?
(2) Wo kaunsi aurat hai jiska na baap hai na maan?
(3) Wo kaunsa mard hai jiski maan hai lekin baap nahi?
(4) Wo kaunsa patther hai jisne jaanwar paida kiya?
(5) Wo kaunsi aurat hai jisne ek hi din mein 3 ghadiyaan mein baccha jan diya?
(6) Wo kaunse dost hain jo aapas mein kabhi dushman nahi banege?
(7) Wo kaunse dushman hain jo aapas mein kabhi dost nahi banege?

Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) ne jawab diya:

(1) Wo mard jiska na baap hai na maan Hazrat Aadam (Alaihay Salam) hai!
(2) Wo Aurat jiska na baap hai na maan Hawwa (Razi Allahu Ta’ala Anha) hai!
(3) Wo mard jiski maan hai lekin baap nahi Hazrat Isa (Alaihay Salam) hai!
(4) Wo patther jisne jaanwar paida kiya wo patther hai jisse Hazrat Saleh (Alaihay Salam) ki unthni paida hui!
(5) Wo aurat jisne ek hi din mein 3 ghadiyaan mein baccha janaa Hazrat Maryam (Razi Allahu Ta’ala Anha) hai jinko ek ghadi mein hamal tehra, dusri ghadi mein dard-zeh (baccha paida hone ke waqt dard) paida hui! Tisri ghadi mein Isa (Alaihay Salam) paida hogaye!
(6) Wo dost jo kabhi aapas mein dushman nahi banege, jism aur rooh hain!
(7) Wo 2 dushman jo kabhi aapas mein dost nahi banege Maut aur Hayyaat(Zindagi) hain!

Mujer ne jawab sun ke kaha ki “Wakay Aye Ali! Tumne sahi jawab diya! Wakayi mein tum Baab-a-Madinatul ilm ho!”

📕 Jaami-Ul-Moajizaat pg-23

The post Hazrate Ali (R.A) se Mushkil Sawalaat ke Khubsurat Jawaab appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hazrate-ali-se-mushkil-sawalaat-ke-khubsurat-jawaab/feed/ 0 43154
Fazail-e-Quran: Part 9 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/#respond Sun, 19 Jul 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/ Fazaile Quran 9✦ Fazail 3: Quran Remat hai Momeenin ke liye Ab Rehmat ko Humne 3 Hisso me Taqseem kiya hai. Rehmat Duniya ki, Rehmat Barzakh(Qabr Ke Zindagi) ki, Rehmat Aakhirat ki. […]

The post Fazail-e-Quran: Part 9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Fazail 3: Quran Remat hai Momeenin ke liye

Ab Rehmat ko Humne 3 Hisso me Taqseem kiya hai.

  1. Rehmat Duniya ki,
  2. Rehmat Barzakh(Qabr Ke Zindagi) ki,
  3. Rehmat Aakhirat ki.

Allah Rabbul Izzat Quraan me Iskey talluk se farmata hai:

Ye Quraan Aye Nabi Momineen ke liye Hidayat aur Rehmat hai.

Surah Nehal 16:77

Ye Quraan Nekokaro ke liye Rehmat hai.

Surah Luqmaan 31:3

Aayiye Iska Pahla Marhala Letey Hai Ke Duniya Me Kya Rehmat Hai ..

1) Quraan me Duniya ki Rehmat

A) 1st Duniyawi Fayda: Gumrahiyo se Hifazat

– Jo Shakhs Iss Kitab se Apna Talluk Rakhta hai, Isko Padhta hai, Ispar Amal karta hai, Uss Insan ki Gumrahiyo se Uski Hifazat hoti hai.

– Aaj Hum Quraan ko Chorkar ye Ummid karte hai ke Gumraah na ho aur Quraan padhne walo ko kahte hai ke Tum wo Chorrkar falah kitab padho tou tum Gumraah nahi honge. Subhan’Allah !!!

Allah Rabbul Izzat Ek Ayat Me Farmata Hai:

Jo Koi Meri Hidayat ki pairwi karega, tou na wo Gumraah hoga aur Naa hi kisi taklif me Mubtela hoga.

Surah Taha 20:123

… Ab Quraan par Amal Naa Kar ke Hum Tasawwur karte hai Allah Humko Hidayat dega aur Humari Hifazat Karega,.. Jabki Siway Gumraahi ke Humare Hath kuch bhi Lagne wala nahi.

Hadees: Ek riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:
Quraan ka ek Sirah Allah ke Hath me hai aur Dusra Sirah uske padhne wale ke hath me”

– (Tibrani)

… Ab Andaza Lagaiye ke: Jab Quraan Ek Rassi hai aur Jiska Ek Sirah Allah ke Hath me aur dusra Uske Padhney wale ke hath me, tou kya Uss Shakhs se kabhi Ummid hai ke woh kabhi Gumraah ho sakta hai?
Ya Uss Shakhs ko koi Zindagi me kabhi Gumraah kar payega? Jo Allah ki Rassi ko Thamey ho apne Hath me.

B) 2nd Duniyawi Fayda: Fitno se Humari Hifazat ho jayegi

– Quraan Jo Insan padhta hai, Uspar Amal karta hai Uski Zindagi Fitno se Mehfooz ho jayegi. Allah usey tamam fitno se bacha leta hai.

Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –
Surah Kehaf Ki Ibtidayi 10 Aayte Yaad Karo! Isliye ke ye Dajjal ke Fitno se tumhe Mehfuz rakhegi..”

– (Sahih Muslim)

… Ye baat Aap aur Hum sab Jaantey hai ke Dajjal ka Fitna sabse bada fitna hoga.. Lekin Iss Fitne se nijat ke Liye jab Surah Kehaf ki chand Ayate hi Kaafi hai tou digar fitney aur fasad se Bachney ke liye pura Quran Tou abhi Baaki hai.

Tou Beharhaal Quraan Jo Shakhs padhta hai wo Dunia me Fitne aur Fasaad se bachta hai.
* * * *

C) 3rd Duniyawi Fayda: Aafate-Samavi se Insan ki Hifazat hoti hai

– Yaani Balaao se, Musibato, Zalzalo, Baadh se aur Kehat-saali se Insan ki Hifazat hoti hai.

Hadees: Ek Martba hua Youn ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke talluk se aata hai, Ek Sahabi-e-Rasool hazrate Uqba (R.A) kehte hai ke :

“Hum Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke sath Safar me they aur Achanak Badal aa gaye, Andhera cha gaya, tej Aandhiya chalney lagi aur bilkul Tufan jaisa Mahoul ho gaya.

Aap (ﷺ) ko Humne dekha ke Aap ne Allah me panaah mangna shuru kar di aur uskey baad Aap (ﷺ) ne Mauzatain (Surah Falaq aur Surah Naas) Padhney lagey aur farmaya ke –

“Mauzatain ke Jarye Allah se Panah Maango! ke kisi Panah Mangne ke Liye Inn Do Surto se jyada behtar koi (Dua) nahi.”

– Sunan Abu Dawud

… Tou Pata chala Aafato, Zalzalo, Musibato ke Andar, Kehat-saali me Aise Mushkeel Ghadiyo me Hume Chahiye ke Hum Surah Falaq aur Surah Naas ki Tilawat karey Iss se Hum Allah ki Panah me aatey hai.

… Goya Duniyawi Aaftey , Jo Aasman se aa sakti hai , Zameen se aa sakti hai , Hawao ke Jarye aa Sakti hai, Quraan Uss se bhi Humari Hifazat ki Rehnumayi karta hai.

D) 4th Duniyawi Fayda: Rizq me Farawani

– Jo Shakhs Quraan padhta hai, Uske Ahqaamo ke Mutabik pe Amal karta hai Allah Ta’ala uskey Rizq me farawani deta hai.

Allah Rabbul Izzat Ek Aayat me farmata hai –

Agar ye (Yahudi) Tauraat par Qaayam rehte aur Injeel par Amal karte aur Aye Nabi (ﷺ) Jo Aap par Utra (Quran) Uss par Amal karte tou Aap Dekhtey Hum Inhe Khilatey Aasmano se aur Zameeno se.”

Surah Maida 5:66

… Subhan’Allah !! Gour Karne waali baat hai ke Agar Yahudiyo ko Iss Kitab par Amal Karne ka badla deney Ka Wada Allah kar raha hai tou Yakinan Musalmano ke liye bhi ye Aayate hai ke “Agar Hum bhi Iss Kitab ko thamey tou Allah Aasmaan aur Zameen se Humari Rozi ka Intezam farmayega.

Ab Ye Kaise Mumkin hai ye Allah hi Janta hai aur Jisney Ispey amal kiya, Jisne Isko dekha hai wohi Janta hai ke kaise Allah Khilata hai aisi roziya.

E) 5th Duniyawi Fayda: Siyasi Urooj aur Gallba Hasil hota hai

– Jis Qoum ne Iss Kitab ko thama , Iskey Mutabeek Unki Zindagi rahi Unko Allah Rabbul Izzat ne Siyasi Urooj aur Galba diya, wo Humesha Gaalib rahe Duniya pe aur Logon par hukumat ki.

Islkey Talluk se sahih Muslim ki Hadees hai ke –

Hadees: Aap (ﷺ) farmatey hai ke –
Allah Iss Kitab ke Jarye Baaz Logon Ko Urooj ata farmata hai aur Baaz ko Isi ke Jarye ruswa aur zaleel karta hai.”

– (Sahih Muslim)

– Matlab Ye Ke Jo Isey Padhenge , Ispar Amal Karenge , Unko Allah Duniya me Urooj dega, Jo Ispar Amal nahi Karenge ya Iskey Paigaam ko Apne Mafad ke Khateer Chupayenge Allah Unko Iss Dunia me Zaleelo Khwar Karega.
* * * * *

F) 6th Duniyawi Fayda: Raat ke Sharr aur Fitno se Insan ki Hifazat

Raat ke Jo Sharr hotey hai , Fitne aur Fasad Hotey Hai, Jaahir Si Baat Hai Jinn Aur Shayateen Aam Ho Jaatey Hai Jiskey Wajah Se Fitne Jayada Failatey Hai, Tou Quraan Me Iss Se Bhi Hifazat Hai,..
♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Raat Ko Sotey Wakt Ayatul Kursi Padhkar Soye Subah Tak Ek Farishta Uski Hifazat Karta Hai,..” -(Sahi Bukhari)
… Subhan’Allah! Gour Kijiye Kya Fazilat Hai Iss Qalaam Ki – “Ke Agar Raat Ko Ayatul Kursi Padhkar Sota Hai Koi Insan Tou Subha Tak Farishta Hifazat Karta Hai Uski,..”

… Andaza Lagayiye Jis Qalaam Ki Ye Aayat Hi Itni Taasir Rakhti Ho Tou Pura Qalaam Padhne Wala Aur Amal Karnewale Ki Zindagi Kaisi Hogi ,..
* * * *

G) 7th Duniyawi Fayda: Khair-O-Barkat ka Husool

Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya ke –
Surah-Tul-Baqrah padha karo! Iska Padhna Bayase Barqat aur Chorrna Bayase Hasrat hai.”

– (Sahih Muslim)

… Aaj Aise Kitne Ghar hai Jo Surah Baqraah ki tilawat karte hai? Ya Kitne Ghar hai Jaha Quraan ko padha Jaata Hai? Mumkin hai ke bohot kum log hai ke Hum Padhtey hai.

– Ya Jo Kuch bhi Padhtey hai Wo Makhsus Surtey Padhke Muamla Khatm Kartey hai. Jabki Ye Puri Kitaab Ko Hume Padhna Hai Yaad Rakhiye.

H) 8th Fayda: Duniyawi Ranj aur Gham se Hifazat hoti hai

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Aur Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Shakhs 3 Martba Surah Ikhlas, Surah Falak Aur Surah Naas Tilawat Kar Ley Allah Rabbul Izzat Usey Har Kism Ki Musibate Aur Gham Se Mehfuz Rakhega ,..” – (Sunan Abu Dawud)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Isi Tarha Ek Riwayat Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Shakhs Allah Se Quran Ki Tilawat Aur Sama’at Ke Jarye Qurane-Majid Ko Aankho Ka Noor Aur Dil Ka Suroor Bananey Ki Dua Karta Hai,.. Allah Uska Dil Khush Kar Deta Hai Aur Usko Duniyawi Ranj-o-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazate Kar Deta Hai ,..” – (Musnade Ahmed)

… Yaani Koi Shakhs Quran Padhta Ho Aur Allah Se Dua Karta Ho Ke – “Aye Allah Iss Quraan Ko Mere Aankho Ka Noor Bana Dey Aur Dil Ka Suroor Bana Dey Aur Mere Ranj Aur Gham Door Kar Dey Jo Aisi Darkhwast Karta Hai Allah Uski Dua Kabool Fermata Hai Aur Duniyawi Ranj-O-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazat Ata Farma Deta Hai …

♥ Subhan’Allah !! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq ata Farmaye ,..

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quran: Part 9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/feed/ 0 17070
Rasool’Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile Kabool Na Hoga https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/ https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/#respond Tue, 11 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/ Radheetu Billahi Rabba♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Bada Mash’hur Aur Maruf Wakiya Hai, Bukhari Ki Riwayat Me Aata Hai Ke – Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz […]

The post Rasool’Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile Kabool Na Hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Bada Mash’hur Aur Maruf Wakiya Hai, Bukhari Ki Riwayat Me Aata Hai Ke –

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz aur Nasihat aur Khutba Dey Rahe They aur Umar bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They.

Yeh Dekh Kar Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Chehra Mubarak Laal Ho Gaya.

Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) ne Yeh Dekha tou Kaha – “Aye Umar Kya Tum Dekh Nahi Rahe Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Chehra Mubarak Kaisa Ho Gaya Hai Tumhare Iss Amal Par”

Jab Aap Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Dekha Tou Fauran Kaha – “Radheetu Billahi Rabba, Wa Bilislami Deena, Wa Bi Muhammadin Nabiya”
(Tarjuma: Mai Raazi Hu Ke Allah Mera Rabb Hai, Deen Mera Islam Hai Aur Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Nabi Hai.)

Aur Fir Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Umar bin Khattab Ki Taraf Dekha Aur Kaha –

“Aye Umar! Agar Mere Hotey Hue, Musaa (Alaihay Salam) Bhi Aa Jaye, Tou Unko Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga! Aur Agar Mere Hotey Hue Tum Unki Baat Maano Tou Tum Gumraah Ho Jaoge”

– (Bukhari Sharif)

Andaza Lagaiye, Musaa (Alaihay Salam) Ke Talluk Se Baat Ho Rahi Hai, Jinke Talluk Se Khud Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
“Mere Aur Musaa Ke Bich Me Mu’azna(Comparison) Na Kiya Karo! Isliye Ke Qayamat Ke Roz! Jab Mai Behoshi Se Uthunga Aur Mai Sabse Pahla Rahunga, Jab Mai Behoshi Se Uthkar Khada Rahunga Tou Kya Dekhta Hu Ke Musaa Allah Ke Arsh Se Lag Kar Pahle Hi Khadey Hue Hai. Mai Nahi Janta Ke Wo Behosh Hue Ya Na Hue, Ya Mujhse Pahle Uthkar Khadey Ho Gaye.”

Yeh Hai Musaa (Alaihay Salam) Ka Martba ! Aur Aap 5 Ulool Azm Paigmabro Se Ek Hai.
Aur Inhi Ke Talluk Se Rasool’Allah Farmatey Hai Ke – Meri Moujudgi Me Musaa Bhi Aa Jaye Tou Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga, Aur Tum Unki Itteba Karo Tou Tum Gumraah Ho Jaoge., .

Tou Jab Musaa (Alaihay Salam) Ki Itteba Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Moujudi Me Karne Se Gumraah Ho Jaoge,. Tou Andaza Lagayiye, Rasool’Allah Ko Chorrkar Jin Logon Ne Inko Aur Unko, Falah Aur Falah Ko Itteba Ke Layak Bana Liya Unka Kya Hoga Sirf Tasawwur Hi Kiya Ja Sakta Hai..

Aur Fir Iske Baad Humara Ye Kehna –
Inki Aur Unki Baat, Aisi Aur Waisi Baat,
Bado Ki Aur Choto Ki Baat, Ilaqe Aur Rangat Ki Baat,..
Yaad Rakhiye Ye Tou Bohot Hi Ghatiya Baat Hai !

Yakinan Musaa (Alaihay Salam) Jaisa Muqaam Iss Ummat Ke Kisi Bhi Shaksh Ka Nahi Ho Sakta..
Puri Insaniyat Bhi Jama Ho Jaye, Tou Ek Nabi Ke Muqaam Tak Nahi Pohoch Sakti..

Tou Andaza Lagayiye Humne Tou Jahalat me aakar Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Chorrkar Pata Nahi Kin-Kin Ko Apna Sahara Bana Liya.. Kin-Kin Ke Tareeko Par Hum Chaltey Hai aur Kya-Kya Amaal Humne Apni Zindagi Me Ijad Kar Liye Hai.. Allah hume In sabse bachaye,.

# Sabaq:

Iss Aahdees-e-Mubarak Se Maloom Hua Ke Allah Ke Nazdeeq Kisi Shakhs Ka Imaan Kabile Kabool Nahi Jab Tak Ke Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Iteeba Na Karey.. Aur Ab Jab RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Shariyat Allah Ne Tamam Aulaade Adam Par Farz Ki Hui Hai Tou Rasool’Allah Ko Chorrkar Kisi Aur Ke Tareeko Ko Tasleem Karna Bhi Gumraahi Hogi..

Lihaja Humey Chahiye Ke Shariyat Ka Sahi Ilm Hasil Kare, Uss Par Khud Bhi Amal Karey Aur Auro Ko Bhi Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Aagah Karne Ki Koshish Karey..

# In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah Ta’ala HumeParhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Rasool’Allah Ki Itteba Ke Bagair Ab Imaan Kabile Kabool Na Hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-ki-itteba-ke-bagair-ab-imaan-kabile-kabool-nahi/feed/ 0 16900