Sidrat-Ul-Muntaha – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 17 Oct 2023 16:09:42 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Sidrat-Ul-Muntaha – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-par-namaz-ka-bayan/ https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-par-namaz-ka-bayan/#respond Wed, 01 Feb 2023 14:24:28 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-par-namaz-ka-bayan/ Shabe Meraj Namaz ka tohfaMafhoom-e-Hadees: Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrate Anas bin Malik (R.A) bayan karte hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: (Shab-e-Meraj me) Allah Ta’ala ne meri Ummat par […]

The post Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Mafhoom-e-Hadees:

Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Hazrate Anas bin Malik (R.A) bayan karte hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

(Shab-e-Meraj me) Allah Ta’ala ne meri Ummat par Pachaas (50) Namazein farz ki, tou Main un (Namazon) ke saath waapas aaya yaha’n tak ki Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ke paas se guzra tou unhone kaha ki ‘Allah Ta’ala ne aap par aap ki Ummat ke liye kya farz kiya hai ?’

Main ne kaha : ‘Allah Ta’ala ne Pachaas (50) Namazein farz ki hai.

Unhone kaha ki ‘Apne Rab ki taraf waapas jaaye kyun ki aap ki ummat iski taqat nahin rakhti.’

pas unhone mujhe waapas lauta diya. (Meri darkhwast par) Allah Ta’ala ne unka ek hissa kum kar diya. Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ki taraf waapas gaya aur kaha ki ‘Allah Ta’ala ne ek hissa kum kar diya hai.’

Unhone kaha : ‘Apne Rab ki taraf phir jaaye kyun ki Aap ki Ummat me unki taqat nahin hai.’

pas mai waapas gaya tou Allah Ta’ala ne unka ek hissa kum kar diya. Main unki taraf aaya tou unhone phir kaha ki apne Rab ki taraf jaaye kyun ki Aap ki Ummat me in ki taaqat bhi nahin hai. mai wapas lauta tou (Allah Ta’ala ne) farmaya : Ye jahiran paanch 05 (Namazein) hain aur (Sawaab ke aitabar se) pachaas (50) (ke barabar) hain mere nazdik baat tabdil nahin huwa karti.

Main Hazrat Moosa (Alaihi Salaam) ke paas aaya tou unhone kaha : ‘Apne Rab ki taraf jaaye (aur mazid kami ke liye darkhwast kare)

Main ne kaha : Mujhe ab apne Rab se haya aati hai. phir Jibra’il (Alaihi Salaam) mujhe le kar chale yaha tak ki Sidrat-ul-Muntaha par pahunche jise mukhtalif rangon ne dhaanp rakha tha, nahin ma’loom ki woh kya hain. phir mujhe jannat me daakhil kiya gaya! jis me motiyon ke haar hain aur uss ki mitti mushk hai.”

Reference –

📕 Bukhari As-Sahih, 01/136, Raqam-342, & 03/1217, Raqam-3164,
📕 Muslim As-Sahih, 01/148, Raqam-163,
📕 Nasa’i As-Sunan, 01/221, Raqam-449,
📕 Ibn Majah As-Sunan, 01/448, Raqam-1399,
📕 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/143, Raqam-21326,
📕 Ibn Hibban As-Sahih, 16/421, Raqam-7406,
📕 Bayhaqi As-Sunan-Us-Sughra, 01/191, Raqam-257,
📕 Ibn Mundah Al-Iman, 02/721, Raqam-714,
📕 Aboo Awanah Al-Musnad, 01/119, Raqam-354

The post Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shab-e-meraj-par-namaz-ka-bayan/feed/ 0 16687
Meraj me Nabi (ﷺ) ko 3 Cheeze Ata ki gayi jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi. https://ummat-e-nabi.com/meraj-me-nabi-saw-ko-3-cheeze-ata-ki-gayi-jo-aap-se-pehle-kisi-bhi-nabi-ko-nahi-di-gayi/ https://ummat-e-nabi.com/meraj-me-nabi-saw-ko-3-cheeze-ata-ki-gayi-jo-aap-se-pehle-kisi-bhi-nabi-ko-nahi-di-gayi/#respond Wed, 03 Apr 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/meraj-me-nabi-saw-ko-3-cheeze-ata-ki-gayi-jo-aap-se-pehle-kisi-bhi-nabi-ko-nahi-di-gayi/ Meraj me Nabi SAW ko 3 Cheeze Ata ki gayi jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadith Roman Urdu: Hazrate Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki: ❝Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Jab Meraj hui tou Aap (ﷺ) ‘Sidrat-Ul-Muntaha’ tak […]

The post Meraj me Nabi (ﷺ) ko 3 Cheeze Ata ki gayi jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

✦ Hadith Roman Urdu:

Hazrate Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki:
❝Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Jab Meraj hui tou Aap (ﷺ) ‘Sidrat-Ul-Muntaha’ tak pahunchey, waha Aap (ﷺ) ko 3 Cheezein di gayee jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi.

Ek paanch (5) Namazein, Dusra Surah Baqra ki aakhri 2 Aaytein, Teesra Alllah Subhanahu Ta’ala ne baksh diya Aap (ﷺ) ki Ummat me se har uss shakhs ko jo Allah ke saath Shirk nahi karey.

📕 Jami` at-Tirmidhi; Arabic: Hadith 3587


✦ English Hadith:

Narrated [‘Abdullah] bin Mas’ud:
“When the Messenger of Allah (ﷺ) reached Sidrat Al-Muntaha” He said: ‘There terminates everything that ascends from the earth, and everything that descends from above. So there Allah gave him three, which He did not give to any Prophet before him: He made fiver prayers obligatory upon him, He gave him the last Verses of Surat Al-Baqarah, and He pardoned the grave sins for those of his Ummah who do not associate anything with Allah.

📕 Jami` at-Tirmidhi; Arabic: Hadith 3587
📕 English: Vol. 5, Book 44, Hadith 3276

The post Meraj me Nabi (ﷺ) ko 3 Cheeze Ata ki gayi jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/meraj-me-nabi-saw-ko-3-cheeze-ata-ki-gayi-jo-aap-se-pehle-kisi-bhi-nabi-ko-nahi-di-gayi/feed/ 0 16528