Shohrat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Tue, 17 Oct 2023 17:41:00 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Shohrat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-liye-kaam-karne-ka-gunaah/ https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-liye-kaam-karne-ka-gunaah/#respond Mon, 02 Jan 2023 12:17:09 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hadees-jo-shakhs-shohrat-ke-liye-koi-kaam-karega-tou-allah-taala-uske-aib-mashhoor-kar-dega/ Hadees about Shohrat keliye koi Kaam karne ka GunaahHadees of the Day Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah Hazrate Jundub (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: ‟Jo Shakhs Shohrat ke liye koi […]

The post Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah

Hazrate Jundub (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke:

‟Jo Shakhs Shohrat ke liye koi Kaam karega tou Allah Taala uske Aib Mash’hoor kar dega.”

📕 Bukhari 7152

The post Shohrat ke liye koi kaam karne ka Gunaah appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-liye-kaam-karne-ka-gunaah/feed/ 0 19423
Haaji Ka Laqab Lagana Kaisa ? https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ki-tabahkariya/ https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ki-tabahkariya/#respond Wed, 13 Jul 2022 03:52:27 +0000 https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ki-tabahkariya/ Haaji Ka Laqab Lagana Kaisa ?✦ Sawaal: Apne Naam ke aagey ‘Haaji‘ ka Laqab lagana kaisa? – Jawab: Hajj ek aisi ibadat hai jo har Sahibe Istehat Musalmano par farz hai, lekin Hajj ki Niyat […]

The post Haaji Ka Laqab Lagana Kaisa ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Sawaal: Apne Naam ke aagey ‘Haaji‘ ka Laqab lagana kaisa?

– Jawab: Hajj ek aisi ibadat hai jo har Sahibe Istehat Musalmano par farz hai, lekin Hajj ki Niyat sirf Allah ki ibadat ho aur dikhawe se paak ho. bilkhusus Hajj wo ibadat hai jo dikh kar aati hai.

Riyaakari ka Maana(Meaning) hota hai

‘Logon me Shohrat ke wastey apne amaal ka charcha karna, aisi ibadat jo khalis Allah ke liye karni hoti hai lekin hum usey logon ko dikhawe ke liye karte hai taaki log humari tareef karey. isey Riyaa kehte hai’. in Short ‘Logon se tareef ki Ummid me amal karna Riyaa hai.’

Riyaa ki Tabah Kariya

Rasool’Allah (ﷺ) farmate hai :
“Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai.”

📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302

Ek Hadees me Aap (ﷺ) farmate hai :
“Jis ne dikhawe ke liye Namaz padhi usne Shirk kiya, jis ne dikhawe ke liye Roza rakha usne Shirk kiya aur jisne dikhawe ke liye Sadqa kiya usne Shirk kiya.”

📕 Sahih Bukhari; Sahih At-Targeeb, Hadith No. 43

Shirk Karne ka Nuqsaan kya hai ?

Hum sab Jaante hai Shirk aisa Gunaah hai Jiski koi muafi nahi. Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai –

“Jisne Allah ke sath kisi ko Shareek tehraya, Allaah ne uss par Jannat haraam kar di, uska tikhana jahannum hai aur Zalimo ka koyi madadgar na hoga.”

📕 Al-Quran 5:72

Riya Shrik-e-Asgar hai:

Hadees ka Mafhoom hai ke –

Rasool’Allah (ﷺ) farmaya:
“(Aye Emaanwalo) Tumhare Barey Me Jis Chiz Se Me Darta Hu Wah Shirk-e-Asgar Hai” Sahaba ne pucha “ya Rasool’Allah ! yeh Shirk-e-Asgar kya cheez hai?”
Aapne farmaya: Riyaa ! yaani dikhawe ke liye kaam karna.

📕 Ahmed

Aaj Humne Riyaa ka markaz Hajj ko bhi bana liya hai –

Allah Reham Karey ! Aaj Humari Namaze, Humare Roze aur Zakaat se Jyada Humaare Hajj Riyaakari ke Markaz ban chukey hai.

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne riyaa se apne Rab ki itni panah mangi ke Aap Dua karte they aur ek Dua khaas jab Aap Hajj ko gaye tou Aapne ek Dua ki aur farmaya:

“Allahumma Hajjatan La Riya’a Fiha Wa La Sum’a.” Aye Allah Humse aisa Hajj le ke is Hajj ko humare liye Riyaa aur Dikhawe se paak kar.

Is Hadees-e-Mubarak par Hum Thodasa bhi Gour Karey tou Maloom Hoga jis Riyaa ke Talluq se Rasool’Allah Dua kar rahe hai aur jis Mouke par Riyaa ke talluq se Dua kar rahe hai ke Aye Allah ! is Hajj ko Humare liye Riyaa aur Dikhawe se paak kar.”

SubhanAllah! Allah Reham karey Aaj Humare Hajj ke kya haal hai Hum Apne Haaji bhaiyon ke Naam ke Aagey dekh sakte hai.

Ellah Masha’Allah! sabhi Haaji bhai apne naam ke aagey Haaji ka Laqab nahi lagate kyunki wo jante apne amal ka dikhawa karna riyaa hai aur Riya Shikr (Shrik-e-Asgar) hai.

Mehaz Dikhawe ke Liye Aur Apne Naam Ke Aagey Haaji Jaisa Laqab Lagane Ke Wastey Hajj Karna Logon Se Tareefe Sametne Ki Khatir Kisi Bhi Amaal Ko Anjaam Dena Goya Riyaa Hai.

Lihaja Apne Amaal Ka Charcha Karne Se Parhez Karey, Aur Apne Amaal Ko Khaalis Allah Ki Ibadat Ke Khatir Kare, Riyaa (Showing Off) Ke Fitno Se Paak Rakhne Ki Koshish Kare,.

Insha Allah ul Azeez!!!

– Allah Ta’ala Hume Kehene Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De,
– Humari Tamam Ibadato Ko Riyaakari Ke Fitno Se Paak Rakhey,
– Jab Tak Hume Zinda Rakhe , Islam aur Imaan par Zinda Rakhey,
– Khatma Humara Imaan par ho,
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
( Ameen ! Allahumma Ameen !!!)

The post Haaji Ka Laqab Lagana Kaisa ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/riyaa-ki-tabahkariya/feed/ 0 16832
Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/ https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/#respond Mon, 05 Sep 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Jo Insan Deen-e-Islam Ka Ilm Sirf Isliye Sikhna Chahta Ho Ke Uss Ilm Ke Jarye Wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) Par Fakr […]

The post Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Insan Deen-e-Islam Ka Ilm Sirf Isliye Sikhna Chahta Ho Ke
Uss Ilm Ke Jarye Wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) Par Fakr (Ghamand) Kare,
Ulema (Scholar) Se Jhagda Kare, Logon Me Aalim Ke Taur Par Mash’hoor (Famous) Ho Jaaye
Aur Log Uski Izzat Kare Tou Aesa Insan Dozakh Me Jaaega ,..”
(Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 : @[156344474474186:])

♥ Allahu Akbar !!!
– Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas Ke Sath Sahih Ilmo-Amal Ki Taufik dey,.
– Hume Kitabo Sunnat Ki Dawat Mukhlisana Koshisho Ke Saath Aam Karne Wala banaye ,..
– Jab Tak Hum Zinda Rakhe Islam Aur Iman Zinda Rakhey.
– Khatma Humara Imaan Par Ho ..
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
… Ameen Allahumma Ameen ,..

The post Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/feed/ 0 16597