Nuqsaan – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Mon, 02 Oct 2023 07:59:53 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Nuqsaan – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Agar Tum Sabr karo aur Allah se darte raho tou [ Al-Quran; 3:120 ] https://ummat-e-nabi.com/sabr-karo-aur-allah-se-darte-raho/ https://ummat-e-nabi.com/sabr-karo-aur-allah-se-darte-raho/#respond Sun, 28 Feb 2021 10:33:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sabr-karo-aur-allah-se-darte-raho/ Agar tum Sabr karo aur Allah se Darte raho۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta’ala Quran-e-Kareem me farmata hai: “Agar Tum Sabr karo aur Allah se Darte raho tou Inn (Mushriko, Dushmanan-e-Deen) ka Makkar Tum ko Zara sa bhi Nuqsaan […]

The post Agar Tum Sabr karo aur Allah se darte raho tou [ Al-Quran; 3:120 ] appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Ta’ala Quran-e-Kareem me farmata hai:

“Agar Tum Sabr karo aur Allah se Darte raho tou
Inn (Mushriko, Dushmanan-e-Deen) ka Makkar Tum ko
Zara sa bhi Nuqsaan nahi pohnchaa sakta.”

[ Al-Quran; 3:120 ]

The post Agar Tum Sabr karo aur Allah se darte raho tou [ Al-Quran; 3:120 ] appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sabr-karo-aur-allah-se-darte-raho/feed/ 0 15434
Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/ https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/#respond Tue, 05 Sep 2017 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/ Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasoo (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya; ” Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano.” – (Musnad Ahmad, 2865) ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ: अल्लाह […]

The post Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasoo (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya;

” Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano.”

– (Musnad Ahmad, 2865)

♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ: अल्लाह के रसूल (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया:

“ना किसी को नुकसान पोह्चाओ, न नुकसान पोहचाने का जरिया बनो”

– (मुसनदे अहमद, 2865)

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Na Kisi Ko Nuqsaan Pahunchhao, Na Nuqsaan Pahunchane Ka Zariyah Bano appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kisi-ko-nuqsaan-na-pahunchhao/feed/ 0 18472
Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/ https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/#respond Thu, 03 Mar 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/ Ummat me ikhtelaf ka anjaamJunge-Ohad Me Sahaba Ne Ek Nafarmani Ki Thi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki, Allah Rabbul Izzat Ne Uska Kya Natija Kiya Hum Sab Jantey Hai, Lekin Afsos Ke Hum Uss […]

The post Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Junge-Ohad Me Sahaba Ne Ek Nafarmani Ki Thi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki, Allah Rabbul Izzat Ne Uska Kya Natija Kiya Hum Sab Jantey Hai, Lekin Afsos Ke Hum Uss Wakiye Se Ibrat Hasil Nahi Karte ,..

*Junge Ohad Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne 50 Sahaba Ko Pahad Ke Dusri Taraf Khada Kiya , Ke Jung Ek Taraf Chal Rahi Hai , Lekin Agar Kahi Dushman Dusri Taraf Se Aakar Pichey Se Waar Karne Lag Jaye Tou Musalmaano Ka Bachna Mushkil Hai ,..
– Lihaja Rasool’Allah Ne Pahad Ke Dusri Tarah 50 Teerandaz Sahaba Ko Tainaat Rakha ,.. Taaki Agar Dushman Waha Se Aaye Tou Unhe Rok Sakey,..

*Fir Jab Allah Rabbul Izzat Ne Musalmaano Ko Pehli-Pehli Fatah Dena Shuru Kar Di Aur Dushman Bhagney Lagey Tou Wo Sahaba Jo 50 Khadey They Unhone Ikhtelaaf Shuru Kar Diya Ke –
– Ab Hum Yaha Se Nichey Utar Jaye Taaki Maal-e-Ganimat (Dushmano Ka Chuta Hua Maal) Jama Kar Sakey.. 40 Sahaba Pahad Se Utar Gaye Aur 10 Sahaba Rasool’Allah Ki Ita’at Kartey Hue Apni Jagah Par Tainaat Rahe ,..

– Natijatan Jis Baat Ka Darr Tha Wohi Hua Aur Pahad Ke Pichey Ke Rastey Se Khalid-Bin-Walid (Jo Abhi Iman Nahi Laye They) Unhone Musalmano Par Hamla Kiya ,.. Wo 10 Sahaba Unpar Kamjor Pad Gaye Aur Shahid Kar Diye Gaye ,..

# Isi Baat Ko Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Youn Dohraya Aur Kaha:
Bilashuba Allah Ne Jo Tumko Fateh Ka Wada Kiya Tha Usko Pura Kar Chuka Tha ,..
Jabki Dushmano Ko Allah Ke Hukm Se Tum Khub Shikast De Rahe They,.
Lekin Tumne Buzdili Dikhayi , Nabi Ke Hukm Se Jhagdne Lagey,
Aur Apni Pasandida Cheez (Maal-e-Ganimat) Ke Liye Tum Nikal Gaye ,..
Tum Me Se Kuch Wo They Jo Duniya Chahtey They,
Aur Kuch Wo They Jo Aakhirat Chahtey They,.”

– (Al-Quran 3:152) – @[156344474474186:]

… Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sirf Ek Hukm Ki Mukhalifat se Kitna Bada Nuqsaan Uthaya Sahaba Ne,.. Hum Sab Jante Hai Ke Isme Rasool’Allah Par Janlewaa Humala Bhi Hua Tha …

*Aaj Hume Bhi Gour Karna Chahiye Ke
– Humare Aapsi Ikhtelaf Ki Vajah Se Baaz Shirr-Pasand Log Kis Zaat-e-Mukaddas Ki Shan Me Gustakhi Kar Rahe Hai ,…

*Mere Azeez Dosto!!!
– Bhaley Hum’me Laakh Fikri Ikhtelaaf Ho ,
– Lekin Hume Koi Bhi Harkat Karne Se Pehle Sochna Chahiye Ke
– Kahi Humari Ye Bewakufi Humare Nabi Ki Shaan Me Gustakhi Ki VajahTou Na Ban Jaye ,..

♥ Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Hum Sabko Ek Aur Nek Banaye ,..
# Hume Sirat-e-Mustaqeem Par Chalaye..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Ummat me Ikhtelaf Ka Anjaam – Junge Ohad Ki Ek Misaal appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ummat-me-ikhtelaaf-ka-anjaam-junge-ohad-ki-ek-misaal/feed/ 0 17558
Walidain Ki Laparwahi Aulad Ki Tarbiyat Me …. https://ummat-e-nabi.com/walidain-ki-laparwahi-aulad-ki-tarbiyat-me/ https://ummat-e-nabi.com/walidain-ki-laparwahi-aulad-ki-tarbiyat-me/#respond Fri, 05 Feb 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/walidain-ki-laparwahi-aulad-ki-tarbiyat-me/ Aulad ki TarbiyatYe Sabse Badi Wajah Hai Aaj Quraan Se Doori Ki – Ke Walidain Apni Aulad Ko Quraan Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Koi Dars Nahi Letey ,.. Hala […]

The post Walidain Ki Laparwahi Aulad Ki Tarbiyat Me …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ye Sabse Badi Wajah Hai Aaj Quraan Se Doori Ki – Ke Walidain Apni Aulad Ko Quraan Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Koi Dars Nahi Letey ,.. Hala Ke Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Ye Hukm De Chuka Hai Ke –
“Aye Imanwalo ! Apne Aap Ko Aur Apne Ahlo Ayyal Ko Jahhannum Ki Aag Se Bachao” -(Al-Quran 66:6)

… Ye Aayat Hum Baar-Baar Padhtey Hai Lekin Fir Bhi Walidain Ki Koshish Nazar Nahi Aati Apne Aulad Ki Tarbiyat Me .. Ellah Masha’Allah Jo Karte Hai Wo Iss Se Bari Hai..

*Baccho Ko Hum Badey-Badey Schools Me Daltey Hai ! Daliye Acchi Baat Hai,..
*Yahi Baccha Doctor, Engineer, Architecture Ban Raha Hai Aur Pata Nahi Kin-Kin Shobo Me Maharat Hasil Kar Raha Hai,.. Lekin Kuch Nahi Aata Hai Usko Tou Wo Hai Allah Ka Qalaam Usey Padhna Nahi Aata.. Tou Waliden Ki Sabse Badi Kotahi Hai Iskey Andar …

*Aur Aayiye Ye Baat Bhi Hum Rakh Detey Hai Ke Surah Zumar Ki Aayat 15 Me Allah Ne Dekhiye Kya Baat Farmayi ,.. Agar Walidain Samjh Jaye Tou Bohot Acchi Baat Hai,..
“Aye Nabi Sun lijiye ! Roze Qayamat Jo Sabse Badey Khasara Uthaney Waley Log Wo Hongey Jisne Apne Nafs Ko Aur Apne Ahlo Ayyal Ko Khasare Me Daal Diya,..” – (Al-Quran 39:15)

… Lihaja Sabse Khassara Uthaney Wale Log Wo Honge Jisne Apne Nafs Ko Bhi Allah Ki Hidayat Se Door Rakha Aur Apni Ahlo Ayal Ki Bhi Tarbiyat Na Ki,…Tou Allah Ke Qalam Se Doori Ki Sabse Badi Wajah Ye Hai Ke Walidain Ki Kotahi Aulad Ki Tarbiyat Me ,…

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Apni Aulaad Ki Sahi Tarbiyat ki Taufeeq Dey ,..
# Hum Tamam Ke Liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Walidain Ki Laparwahi Aulad Ki Tarbiyat Me …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/walidain-ki-laparwahi-aulad-ki-tarbiyat-me/feed/ 0 17459
Fazail-e-Quraan: Part 12 (Last) https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-12/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-12/#respond Sun, 30 Aug 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-12/ Fazaile Quran 12Quran ko Chorne walo ka Anjam: Allah ke Zikr ko yaani Quraan-e-Kareem se Doori Iktiyar Karnewale tou beharhaal Beshumar Nuqsaan Uthayenge. Itna Mumkin nahi Humare liye ke hum sab ka […]

The post Fazail-e-Quraan: Part 12 (Last) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Quran ko Chorne walo ka Anjam:

Allah ke Zikr ko yaani Quraan-e-Kareem se Doori Iktiyar Karnewale tou beharhaal Beshumar Nuqsaan Uthayenge. Itna Mumkin nahi Humare liye ke hum sab ka tazkira kar sakey. Hum yaha Chand hi hum Nuqsanaat par gour karenge.

1) Pehla Duniyawi Nuqsaan: Taqleefdeh Zindagi

Jo log Quraan Chorr de, Iski Fazilato ka fayda na uthayenge wo duniyawi sabse pahla Nuqsaan yaani “Takleefdeh Zindagi, Buri zindagi, zillat aur ruswayi ki zindagi, Rozi aur Rizq ke Aitbaar se kamtar zindagi jiyenge.”

Jiskey Talluk se ek Aayat me Allah Rabbul Izzat ne farmaya –

Jo Mere Zikr se Airaaj karega ! Hum Uski Mayishat ko Barbad kar dengey!”

(Surah Taha 20:124)

Gour karne waali baat hai Mere Azeezo! Allah Ta’ala wada karta hai Iss Aayat me ke “Jo Uskey Ziqr se Airaaj karega Allah Uski Mayishat yaani Rozi aur Rizq barbad kar ke rahega aur Rizq me Sirf Maal-O-Doalat hi nahi balki Aulaad bhi Shamil hai isme.

* * * * *

2) Dusra Duniyawi Nuqsaan: Shaitan ka Tasallud aisi Qaumo par

Jo Log Quraan ko chorr detey hai aise Logon par aur aisi puri ki puri Qoumo par Shaitan ka tasallud hone lagta hai. puri Nasl ki Nasl Allah Barbad kar deta hai.

Jiske Talluk se Allah Rabbul Izzat ne farmaya –

Jab Mera Banda mere Ziqr se Airaaj karta hai tou Hum Uske Upar ek Shaitan Musallat karte hai aur Wo Uska Humesha ka Saathi marne tak ban jata hai aur wo Usko Humare (Yaani Allah) ke Rastey se Behkata bhatkata hai aur aisa Dikhata hai ke tum tou Hidayat par ho, bus Chaltey raho jaisa kar rahe ho.

(Surah Zukruf 43:36-37)

*Subhan’Allah! kaisi Gumrahiya aati hai Mere Azeezo gour karne Waali baat hai ke jab Allah ke zikr Se Insan Bohot dino tak Door rehta hai tou Ek Shaitan Allah us par Sawar kar deta hai aur wo marne tak Uska saathi ban jata hai.

Wo Shaitan Usko Allah ki raah se rokta hai aur na sirf rokta hai balki wo jis galat tareeqe par Jee raha hai Uss Tareeke ko hidayat ka rasta batakar usey usi par chalaata rehta hai.

Allah Bachaaye Hume Shayateen ke sharr se.

* * * * * *

C) 3rd Duniyawi Nuqsan: Zillat aur Ruswayi ki Zindagi

Quraan ko Chorrkar hakikat me Zillat aur ruswayi ki Zindagi jitey hai hum. Iske Talluk se ek Riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –

Iss kitab ke Wajah se Allah Bohot se Logon ko Urooj deta hai aur Bohot se Logon ko Jalalat aur Gumrahiyo me dalta hai.

– (Sahih Muslim)

Tou Jin Logon ne Iss Kitab ko uthaya, Ispe Amal kiya! Allah ne Unhe Urooj diya, Iske Beshumar wakiyat Moujud hai Humare aslaf ke, ke Inke Jitey ji tou Inhe koi dhakka lagana bohot door Inke Haddiyo ke sath bhi Khjilwad karne ki Himmat nahi thi kisi ki.

Ye tou raha Door ke kisi Muslaman ki koi Izzzat aur aabru loot le.

Lekin Aaj Hum dekhe –
Kya Humara kisi par koi Urooj aur galba hai ?
Kya Izzat ki Zindagi Jee rahe hai Hum ?
Aaj Jitey ji Humari Kya Value hai aur kya wajan hai ?

Wohi wajan hai Humara Jo Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya tha –

Ek Zamana Aayega Jab Tumhari Tadaad tou bohot hongi lekin Tumhari Misaal Samandar ki Jhaag Jaisi hogi.

(Sunan Abu Dawud, Hadees-892)

Aur Hum Jantey bhi hai ke Samndar ke Jhaag ki koi Value nahi hoti, Wo aata hai bohot jyada rehta hai, Jab Samndar ka paani wapas jata hai tou thodi der me bulbuley khatam ho jatey hai.

Ye Sab Mehaz Iss liye ke Humney Allah ke Zikr se Yaani Quraan se doori Ikhtiyar kar li aur Hum Duniya ke Mohtaj ho gaye, Jab ki Hum tou Logon ko dene waali Qoum thi, Lekin aaj lene wale ban gaye hai.

Lihaja hume chahiye ke hum Kitabo-Sunnat se wo rishta jod le jaisa Rasool’Allah ne hume taleem di, jaisa Sahaba ne Ispar Amal kiya aur rehti duniya tak Allah Ta’ala ne Inhe Sirate Mustakim par chalne waali Misaale bana di.

* * * * * *

D) 4th Barzakh me Nuqsaan:

Ek Riwayat me aata hai ke – Qabr me Mout ke Farishtey Insan se 3 Sawal Karenge aur Jo Shakhs Iska Jawab Nahi de payega Farishtey Uss se bhi Puchenge “Ke Sawal ka Jawab kyu nahi de paya.”

Tou wo Shakhs Kahega “Maine Na Quraan Padha aur na Iske Paigaam ko Samjha.”

To Farishtey Ek Gaz (Lohe Ki Salaakh) Le kar Aayenge aur Itney Jor se Uskey Sir par Marenge ke Uska Sir Chura-Chura ho jayega, Zameen aur Aasman me Jinn aur Ins Chorkar Tamam Makhlooq Uski Takleef Bhari Cheekh Sunenge.

Aur phir Sir Sabit ho jayega, phir mara jayega, Qayamat tak ye Silsila Chalta rahega.

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya :
“Kya Tumhe Bataau ke Wo Gaz kitni wajni hoti hai ke Agar koi badey pahaad par bhi Maar di jaaye, tou Usey Reza-Reza kar degi. (Yaani Particles aur Atoms me Tabdil kar degi)” aur Agar pahle Insan se Lekar Aakhri Insan tak aur Pahle Jinn se lakar Aakhri Jinn sab bhi Mil jaye tou Isey hila bhi nahi Sakti Itni wajni hoti hai ye ek gaz.”

– (Sahih Bukhari, Hadith No. 1374)

Aur sir par Isliye mara jayega Kyunki yahi Marqaz tha na Sikhney-Sikhane ka uska Istmal na kiya isiliye.

* * * * *

E) 5th Aakhirat me: Andha Utahya Jayega

Allah Rabbul Izzat Quraan me Ek Jagah farmata hai –

Jo Musalman Quran Nahi Padhega ! Qayamat Ke Roz Usey Andha Uathaya Jayega.

(Surah Taha 20:124)

Isiliye har haal me Koshish kiya jaaye Quraan ki tilawat aur iskye Maney Mafhoom ka Muta’ala karna aur Agar aisa na kiya tou Qayamat me lazim hai ke Aisa Insan Andha Uthaya jayega aur Lakho-Karodo logo me Ruswayi hasil hogi aise Shakhs ko jo Allah ke Qalaam se Airaaz karta tha.

* * * * *

F) 6th Aakhirat me: Rasool’Allah ﷺ ki Narazgi ke Mustahiq honge wo Log

Quraan se Doori Ikhtiyar Karnewale Aakhirat me Rasool’Allah (ﷺ) ki Narazgi ke Mustahiq honge! Balki Rasool’Allah ﷺ Inkey khilaf baat karengey Jiskey Talluk se Allah Rabbul Izzat ne ek Aayat me bayan farmaya –

(Allah Rasool Tumhare Khilaf Gawahi Denge) “Aye Mere Rab Iss Qoum ne Quraan ko Chorr diya”

(Surah Furqaan 25:30)

Tou Yaha Nabi-e-Kareem (ﷺ) Dekhiye aise Logon ke Khilaf baat karenge aur Kahenge ke “Aye Allah Meri Qoum ne Quraan ko Chorr diya.”

*Jis Nabi-e-Rehmat ke taaluk se Hum Ummid Rakhtey hai ke Aap Humari Sifarish karenge, Allah se Shafa’at Karenge Humari Roze mehsahr ke Muqaam me.

Yakinan Karenge lekin yahi Nabi khilaf khadey ho Janyege aise Logon ke Jo Quraan ki Hidayat par Gour nahi karte they aur naahi Ispar Amal kartey they.

* * * * *

G) 7th Aakhirat me: Quraan Hujjat Hogi Haq me ya Khilaaf

Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai –
“Quraan Hujjat hai, terey Haq me ya terey Khilaf.”

(Sahih Muslim)

Matlab Agar Hum Padhenge aur Amal karenge tou Humare Haq me Quraan ki Gawahi hogi,
Aur agar Padhenge aur Amal nahi karenge,
Ya Padhenge Hi nahi tou Roze Qayamat Humare hi Khilaf Quraan Gawahi dega.

* * * * *

H) 8th Aakhirat me: Dardnaak Azaab

Allah Rabbul Izzat ek Aayat me bayan farmata hai –

Jo Shakhs Apney Rab ke Zikr se Airaaz Karega Allah Usey Shadeed Tareen Azaab me Mubtela karega.

(Surah Jinn: Ayat 17)

*Beharhaal ye Azaab kya Hoga ye Allah hi behtar jaanta hai tou ye 4 aur Kayi Azaabat aise hai Jo Aakhirat me Hume mil Saktey hai Agar hum Allah ke Zikr se Yaani Quraan se Doori Ikhtiyar kareng.

* * * * *

*Tou Lihaja ye Jarurat hai ke Hum Quraan ko Padhey,
*Iskey Paigaamata ko Samjhey,
*Iski Hidayat par Gouro Fikr Karey,
*Iss Quraan ki Tilwat aur Ispar Amal kare,
*Humari Zindagi Chalta-Firta Namuna Quraan ho,
*Iss se Mohabbat ho,
*Iss se Unsiyat ho ,
*Iske Tarjume aur Tafseer Sikhney Sikhane ki Majlishey ho,
*Tou Tab Dekhiye phir Zindgiya badal Jayengi,

*Wohi Izzat , Wohi Rutba, Wohi Muqaam , Wohi Tamam Cheeze Musalmano ko Milegi,.. Jo Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Sahaba Ko Mili Thi ,..

*Lihaja Iske Liye Hume Iss Kitab Ko Wapas Usi Shiddat se Thamna hoga, Jis Shiddat se Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Apni Iss Ummat ko Dekar Gaye aur Jaisa Sahaba ne thama.

*Agar Hum Aisa Karenge Tou Insha’Allah-Ul-Azeez !!!
Wohi Urooj, Wohi Izzat, Wohi Barqatey, Wohi Faydey ,.. Hum Hasil Karenge,..

*Aur Na Kiya tou Beharhaal Nuqsaanat Dekh rahe hai aur Bohot Sangeen Nataaiz Iske Aayenge ,..

♥ Allah Rabbul Izzat se Aakhir me Dua hai ke –
# Allah Hume Kahne Sun’ne se Jyada Aml ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam ke Liye Quraane Majid Ko Padhna, Samjhna aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan par ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quraan: Part 12 (Last) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-12/feed/ 0 17096
Biddat ki Haqeeqat: Part-6 https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-6/ https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-6/#comments Mon, 11 May 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-6/ Biddat ki Haqeeqat 6Deen me Bidat ke Nuqsan: Allah ne Duniya me tou hume Ijajat (permission) thi Biddate karne ki, lekin waha tou ijadad, Invension aur Discoveries chorr di aur humne Deen ke […]

The post Biddat ki Haqeeqat: Part-6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Deen me Bidat ke Nuqsan:

Allah ne Duniya me tou hume Ijajat (permission) thi Biddate karne ki, lekin waha tou ijadad, Invension aur Discoveries chorr di aur humne Deen ke andar ijadad shuru kar diye, Deen ke andar Biddato ke Badey-Badey towers khadey kar diye. Subhan’Allah !!!

Jiska Nuqsaan ye hua ke agar koi NonMmuslim aisi Biddatto ko deen samajh ley tou jo bhi uske andar Deen-e-Islam se ragbat thi wo bhi khatm ho jayegi aur yahi sochega ke Islam tou humare Dharm se bhi sakht ho gaya. Ye karo, Wo karo, Hazaro Mazaro par hazri lagao, Mare tou ittey kilo chawal do, 10 wa , 30 wa, 40 wa manao, 365 din me hazaro Urs manao, Hatta ke apne Nabi ke wafat ke Deen (12 Rabbil Awwal) ko bhi khushiya manao (Nauzubillah Summa Nauzubillah).

Ye sab dekhkar koi bhi NonMuslim kahega ke “ye sab karne se accha hai ke Mai jaha hu wahi thik hu.

Yaad rakhiye ye Deen bohot aasan hai Alahamdulillah!.. hiqmato se bhara hai, is Deen ko Rasool’Allah(ﷺ) ne mukkamil kar diya apni hayat me hi, lihaja Isme ab koi Naya Akida, Naya Amal shameel nahi ho sakta.

Aur jo koi is Deen me naya Aqeeda ijad karega wo Rab ke nazdeek mardud kehlayega. kyuni usney ilzam lagaya Rasool’Allah(ﷺ) ki talimat par, Aapki Risalat par, ke ye falah-falah Neki jo humne ijdad ki hai wo neki (nauzubillah) Rasool’Allah(ﷺ) ko maloom na thi isiliye Aap(ﷺ) ne nahi ki. (Maaz’Allah)

Tou Deen me Bidat karna bohot badi khabahat hai, bohot badi Bimari hai, ye Ummat ke taubao ko Kabool nahi hone deti. Allah ke paas Biddat karnewalo ke koi Amal kaabile kabool nahi hotey, Houz-e-Kousar se bhi Hakaal diye Jayenge.

Rasool’Allah(ﷺ) ki Aakhri Wasiyat aur Jo Darr ka Ijhaar Aapne kiya wo yahi tha ke Deen me Biddate ijad mat karna aur Aap(ﷺ) ne is baat ki wajahat bhi kar di ke “Jo koi Humare Deen me nayi cheez ijad karega wo Mardud kar diya jayega, uski tauba bhi qabool nahi hogi aur uska thikana Jahannum ki aag hogi.”

SABAQ:

Tou lihaja har muamlo me Sunnat ko Apne upar lazim aur farz jaane, us pea agar Hum amal karey tou In sha Allah-Ul-Azeez Biddate humari zindagiyo se door jayegi. lekin humne agar Sunnato ko chorr diya tou ye Biddate humare zindagi ka hissa ban jayengi. (Allah Reham kare)

Yaad rakhiye Sunnat-Sunnat hoti hai, is se Mohabbat wo Rasool’Allah(ﷺ) se Mohabbat hai aur RasoolAllah(ﷺ) se Mohabbat wo Jannat me jaane ki zaamin hogi humare liye.

Agar ye Hum karenge tou duniya me bhi surkhuru honge aur In sha Allah-Ul-Azeez duniya me kuch na hua tou Aakhirat me tou jarur surkhuru honge, Allah ke paas kaamiyab kehlayenge aur khub Ajar payenge apne amal ka, chahe fir thodey hi kyu na ho.

Lekin agar Biddat kar ke khub amal bhi karenge tou “Aamilatun Nasiba, Tasla Naran Hamiya(Surah Ghasiya Ayat 3-4) yaani kitna hi Amal karo lekin Jahannum ke indhan ban’ne wale hai.

Tou lihaja agar apne amaal ko qabuliyat tak pohchana hai tou Sunnat-e-Rasool ko thamey aur Deen me har nayi Biddat se, har naye aqide se airaz(Avoid) karey. In sha Allah-Ul-Azeez hume kamiyabi milegi.

Allah Rabbul Izzat se Aakhir me Dua hai ke Allah hume kehne aur sun’ne se jyada amal ki taufiq dey,
– Hume Sunnat-e-Rasool ka muttabey banaye,
– Rasool’Allah(ﷺ) ki sacchi mohabbat hum’me daley,
– Unke tareeke par chalna humare liye aasan kare,
– Sunnato ko samjhna aur uspar chalna humare liye aasan kare,
– Humari naslo me Sunnat-e-Rasool ko baaqi rakhe,
– Aur tamam kism ke jahilana Aqaid se humare imaan ki salamti ata farmaye,
– Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhye.
– Khatma humara imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

☼ Biddat Ki Haqeeqat All Parts:

1 2 3 4 5 6

The post Biddat ki Haqeeqat: Part-6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/biddat-ki-haqeeqat-part-6/feed/ 2 17023
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/#respond Mon, 13 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13RasoolAllah (ﷺ) ki Mukhalifat karne waley koun? Ek Aayat me Allah Rabbul Izzat farmata hai: ۞ Al-Quran: ۞  “Aye Nabi (ﷺ) ! Agar Ye Log Aap ki Baat na maney! […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

RasoolAllah (ﷺ) ki Mukhalifat karne waley koun?

Ek Aayat me Allah Rabbul Izzat farmata hai:

۞ Al-Quran: ۞ 

Aye Nabi (ﷺ) ! Agar Ye Log Aap ki Baat na maney! tou Allah aise Kaafiro se mohabbat hi nahi karta.

Surah Imran 3:32

Gour Karna Chahiye Hume, Ke Jo Shakhs RasoolAllah (ﷺ) Ki Baat Na Maney ,.. Aur Muuh Pher Ke Chaley Jaye Tou Allah Aise Kaafiro Se Mohabbat Hi Nahi Rakhta Hai.. Unhe Kaafir Kaha Allah Rabbul Izzat Ne…

– Kufr Bhi Bohot Sangeen Jurm Hai.. Lekin Ek Jurm Iss Se Bhi Jyada Sangeen Hai Aur Uska Tazkeera Aaya Quraan Me Aur Allah Ne Unn Logon Ko Jo Allah Aur Uskey Rasool Ke Faisley Ke Baad Bhi Baat Na Maney Unhey “Munafiq” Kaha.

Aur Munafiqeen Ke Talluk Se Hum Jantey Hai Ke –

Munafeeq Wo hai jo Jahannum ke Sabse Nichley Gadhey me Rahne waley hai.

Al-Quran 4-145

Is sey Jyada Hume Aur Kya Mill Sakta Hai RasoolAllah (ﷺ) Ki Nafarmani Kar ke ,.. (Allah Khair Kare)

Sunnat-e-Rasool ke Munkeer ka Duniya me Hashr:

Ab Aayiye Ye Bhi Jaan Letey Hai Ke RaoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Aur Ita-at Ko Chorrkar Hum Duniyawi Kya Nuqsaan Uthayenge?

Aayiye Chand Baatey Quraan Ki Roshni Me Aapke Saamne Rakhne Ki Koshish Karte Hai ,..

۞ Al-Quran: ۞ 

Keh Do Ke! Allah aur Uskey Rasool ki Ita-at karo! aur Apne Aamaal ko Barbaad na karo.

Surah Mohammad 47:33

– Yaani Allah Aur Uskey Rasool Ki Nafrmaani Karke Apne Amaal Ko Barbad Na Karo..

*Isi Tarha Allah Rabbul Izzat Ek aur Ayat me farmata hai:

۞ Al-Quran: ۞ 

Aye wo Logon jo Imaan laye ho! Gour se suno ke Allah aur uskey Rasool jis taraf tumhe bulatey hai uss taraf jao, jab ki Allah ke Rasool (ﷺ) uss Cheez ki taraf tumhe bulatey hai jo tumhe zindagi deti hai duniya aur aakhirat ki.

Agar tum aisa na karoge tou jaan lo ke Allah Insan aur uskey Dil ke bich me Aad ban jata hai, usko Hidayat se door kar deta hai aur yaad rakho ke palat kar Allah hi ki taraf jana hai tum sab ko.

Surah Anfal: 8:24

– Tou Agar RasoolAllah Ki Ita’at se Baarbaar Gurez(Neglect) Kiya Kisiney tou Allah Haayal (Aad) Ho Jata hai Insan Aur Uskey Dil Ke Bich Me Aur Usey Hidayat Ki Taraf Aaney Nahi Deta.

Is se Pehle ke ye ho jaye Sunnat Ko Chorr Chorr Kar ke Hidayat Se Hum Door Ho Jaye Hume Jaruri hai ke Sunnat Ko Thaam Le Aur Laazim Samjhey.

# In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

*Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Toufiq ata Farmaye!!!

To be continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 13 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-13/feed/ 0 17002
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 12 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-12/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-12/#respond Wed, 08 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-12/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 12RasoolAllah (ﷺ) ka Muqaam: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka Muqaam kya hai Iss baarey me Quraan me Allah Rabbul Izzat Ek aur Jagah farmata hai ke – ۞ Al-Quraan ۞ “Tou Qasam […]

The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 12 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

RasoolAllah (ﷺ) ka Muqaam:

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka Muqaam kya hai Iss baarey me Quraan me Allah Rabbul Izzat Ek aur Jagah farmata hai ke –

۞ Al-Quraan ۞

Tou Qasam hai tere Rab ki! (Allah Apni Qasam kha kar kehta hai) Yeh Log Imaanwale Nahi ho Saktey Jab tak ke Apne Tamam Ikhtelaaf me Aap (ﷺ) Ko Haaqim Na bana ley. aur Jo Faisla Aap (ﷺ) suna dey usko tasleem (qabool) na karey tab tak ye log Imaanwale nahi ho saktey.

Surah Nisa 4:65

Tou Koi Shakhs Apne Aapko Imaanwala Kahe Aur RasoolAllah (ﷺ) ke Tareeke pe Naa chaley tou Fir Yaad Rakhiye ke Allah ne Apni Qasam kha ker farmaya Ke Wo Shakhs Imaanwala Nahi Ho Sakta.

Phir Wo Shakhs Chahey Kitna Hi Dawa Kare Musalman Hone Ka, Lekin Rab ke Nazdeek Wo Imanwala Nahi Ho Sakta Jo Apne Tamaam Ikhtelafat Me RasoolAllah (ﷺ) Ko Haakim Na Manta Ho..

RasoolAllah(ﷺ) Ki Nafarmani ka Anzaam:

Aayiye Gour Karte Hai Ispar Ke Rabuul Izzat Iss Talluk Se Kya Bayan Fermata Hai?

۞ Al-Quraan ۞

Ke kisi Momin Mard aur momin Aurat ke liye Jayaz nahi hai ke Jab Allah aur Uskey Rasool koi baat ka faisla kar de Unmey tou wo kisi kism ki Apni raay rakhe uss faisley me. Agar jisne aisa kiya ke Allah aur uske Rasool ka faisla aaney ke baad apni raay rakhi wo khuli gumraahi me jaa fansa.

Surah Ahzab 33:36

Tou Iss Aayat me Allah Rabbul Izzat Ne Wajahat farma di ke Allah aur Uskey Rasool ki Baat ko Chorna, Sunnat ko tark karna jayaz nahi hai. aur jo aisa kare wo khuli Gumraahi me ja fansa.

Aagey Dekhte hai ke: Jo Log Ita-ate Rasool Ko Chorr Detey Hai Unko Allah Rabbul Izzat ne Fasiq kaha aur Youn Farmaya:

۞ Al-Quraan ۞

“Aye Nabi (ﷺ) Aap keh do Insey, ke kya tumhare Baap-Dada, tumhare bhai, tumhari Biwiya, tumhare kunbey aur kabiley wale aur jo Maal tumne kama rakha hai aur wo tijarat jiske girne (nuqsaan) se tum darte ho, wo ghar jo tumne acche achhey bana rakhe hai, ye sab kya tumhe Allah aur uske Rasool se jyada mehboob hai?
Agar aisa hai tou fir intezaar karo Allah ke Azaab ka. Allah jab tak apna Azab na laa dey.
aur Allah fasiq qoum ko Hidayat nahi deta.”

Surah Tauba 9:24

Tou Rabbul Izzat ne Fasiq Kaha Unn Logon Ko! Jo RasoolAllah (ﷺ) ki Baat na Maney.

To be continued …


The post Sunnat Ki Ahmiyat : Part 12 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-12/feed/ 0 16998