Maaldar – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Sat, 16 Sep 2023 20:36:48 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Maaldar – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Paanch Cheezon ko Paanch cheezon se pehele Ghaneemat samjho https://ummat-e-nabi.com/5-paanch-chizon-ko-5-paanch-chizon-se-pahele-ganimat-samjo/ https://ummat-e-nabi.com/5-paanch-chizon-ko-5-paanch-chizon-se-pahele-ganimat-samjo/#respond Wed, 16 Aug 2023 20:35:32 +0000 https://ummat-e-nabi.com/5-paanch-chizon-ko-5-paanch-chizon-se-pahele-ganimat-samjo/ Paanch Cheezon ko Paanch cheezon se pehele Ghaneemat samjho hadeesHadees of the Day Paanch Cheezon ko 5 se pehle Ghaneemat samjho Abdullah Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Paanch (5) Cheezon ko Paanch […]

The post Paanch Cheezon ko Paanch cheezon se pehele Ghaneemat samjho appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Paanch Cheezon ko 5 se pehle Ghaneemat samjho

Abdullah Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:

“Paanch (5) Cheezon ko Paanch (5) Cheezon se pehele Ghaneemat samjo.
(1). Apni Jawaani ko Budhaape se pehele,
(2). Apni Sehat ko Bimaari se pehele.
(3). Apni Maaldaari ko Gurbat(Gareebi) se pehele.
(4). Apni faraagat ko Masrufiyat se pehele.
(5). Apni Zindagi ko Mout se pehele.

📕 Shuab al-Iman, Hadees 9575

The post Paanch Cheezon ko Paanch cheezon se pehele Ghaneemat samjho appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/5-paanch-chizon-ko-5-paanch-chizon-se-pahele-ganimat-samjo/feed/ 0 15647
Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare https://ummat-e-nabi.com/maaldaar-ki-taraf-se-qarz-ke-ada-karne-me-deri-na-kare/ https://ummat-e-nabi.com/maaldaar-ki-taraf-se-qarz-ke-ada-karne-me-deri-na-kare/#respond Thu, 04 Jan 2018 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/maaldaar-ki-taraf-se-qarz-ke-ada-karne-me-deri-na-kare/ Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne Me Deri Na Kare♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne me Deri Karna Zulm aur Zyadati […]

The post Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,

“Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne me Deri Karna Zulm aur Zyadati Hai.”

– (Sahih Al-Bukhari, 2400)

♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैरा (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के,
रसूलअल्लाह (सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फरमाया,

“मालदार की तरफ से क़र्ज़ अदा करने में देरी करना ज़ुल्म और ज्यादती है”

– (सही अल-बुखारी, 2400)

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/maaldaar-ki-taraf-se-qarz-ke-ada-karne-me-deri-na-kare/feed/ 0 18638
Har Haal Me Insaaf Par Qayam Raho https://ummat-e-nabi.com/insaf-par-qaayam-raho/ https://ummat-e-nabi.com/insaf-par-qaayam-raho/#respond Thu, 25 Feb 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/insaf-par-qaayam-raho/ Har Haal Me Insaaf Par Qayam RahoAllah Ta’ala Ne Apne Bando Ko Insaaf Ke Muamle Me Sakht Hidayat Ki,.. Aur Gour Se Dekha Jaye Tou Quraan Ka Paigaam Hi Insaaf Par Madani hai ,.. Tou Aayiye […]

The post Har Haal Me Insaaf Par Qayam Raho appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Ta’ala Ne Apne Bando Ko Insaaf Ke Muamle Me Sakht Hidayat Ki,.. Aur Gour Se Dekha Jaye Tou Quraan Ka Paigaam Hi Insaaf Par Madani hai ,.. Tou Aayiye Iske Talluk Se Bus Ek hi Aayat Par Hum Gour Karte Hai Ki Insaaf ki Kitni Ahmyat Aur Wusat Hai Islam Me ,..

Allah Rabbul Izzat Isi Taaluk Se Ek Aayat me Farmata Hai –
♥ Al-Quran: Aye Emaan Walo! Insaaf Par Qayam Raho, Aur Allah Ki Taraf Gawahii Do,
Chahey Apni Jaano Par Ho, Ya Apney Maa-Baap Aur Rishteydaron Par,
Chahey Koi Maaldaar Ho Ya Faqeer, Allah Inka Tumse Ziyada Khair Khwah Hai”

– (Surah: An-Nisa, Aayat-135)

– Yaani Koi Maaldaar Ho Ya Gareeb, Unchey Rutbe Wala Ho Ya Na Ho ,. Apna Ho Ya Paraya, Insaaf Har Shakhs ke Liye Wohi hai,.. Aur Isme Koi Raddo-Baddal Ya Rishwat ka Mu’amla Nahi Ho Sakta ,..

Lekin Afsos Ki baat hai ke –
Aaj Hum Allah Aur Uske Rasool Ki Pakiza Shariyat Ke Khilaaf Jakar Kis Qadar Na-Insaafi me Mubtela hai,.. Beharhaal Bataney Ki Jarurat hi Nahi ,..
*Allah Muaf Karey – Agar Do Logon me Jhagda ho Jaye,. Aur Galati Se bhi Mu’amla Mere Paas Aajaye Tou Mai Uske Haq me Faisla Kar Deta Hu Jisko Mai Pehchanta hu, Aur Jo Mera Kareebi Hai ,.. Subhan’Allah!
Yahi Tou Haalat hai Humari Aaj Insaf Ke Mu’amle Me ,.. Aur Is Se Koi Mustasna Nahi ,… Har Dusra Tisra Shakhs Ismey Mulawwis hai ,..

*Allah Reham Karey ,.
Jabki Hum Tou Uss Pakiza Shariyat Ke Man’ne Wale Hai Jo Hume Har Haal me Insaf ka Hukm Deti hai,..
Fir Chahe Faisla Mere Apne ya Apno Ke Khilaf hi Kyu Na Jaata Ho ,..

# SABAQ: Tou Beharhaal Hume Chahiye Ke Har Haal me Insaaf kare ,..
Kyunki Humare Mua’mlaat , Humare Amaal , Humare Faisle Koi Dekhey Ya Na Dekhey ,
Lekin Wo Aalimul Gaib Allah Rabbul Izzat Jarur Dekh Raha Hai ,..
Aur Hume Hisab Dena Hai Apne Rab Ko,.. Lihaja Na-Insaafi Se Bohot Ahtiyaat Karey ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Kehene Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Dey ,..
# Hume Har Haal me Insafpasand Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Har Haal Me Insaaf Par Qayam Raho appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/insaf-par-qaayam-raho/feed/ 0 15521
Apne Amaal Ko Ikhlas Ke Sath Riyaa Se Paak Rakhey …. https://ummat-e-nabi.com/apne-amaal-ko-ikhlas-ke-sath-riyaa-se-paak-rakhey/ https://ummat-e-nabi.com/apne-amaal-ko-ikhlas-ke-sath-riyaa-se-paak-rakhey/#respond Sun, 03 Aug 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/apne-amaal-ko-ikhlas-ke-sath-riyaa-se-paak-rakhey/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – *Ek Shaheed Allah Ke Saamne Qayamat Ke Din Laaya Jayega!!! Allah Usey Puchega […]

The post Apne Amaal Ko Ikhlas Ke Sath Riyaa Se Paak Rakhey …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Ek Shaheed Allah Ke Saamne Qayamat Ke Din Laaya Jayega!!!
Allah Usey Puchega Ke: “Tuney Kya Amal Kiya ? ”
– Woh Kahega Ke Mai Tere Raah Me Ladh Kar Shaheed Hua,
Allah Farmayega: “Tu Jhoota Hai!!! Balke Tu Iss Liye Ladha Ke Tujhe Bhahadoor Kaha Jaye,
Yaani Teri Niyat Duniya Me Poori Ho Gayi Ab Mujh Se Kya Chahata Hai
Phir Mooh Ke Bal Ghasit Kar Aag Me Fenk Diya Jayega,
*Issi Tarah Ek Aalim Jisney Ilm Ko Charcha Ki Niyat Se Padha Aur Padhaya Tha,
Allah Ke Saamne Pesh Ho Kar Jahannum Me Jhok Diya Jayega,
*Phir Ek Naam Ke Garz Se Sakhawat Sadqa Karne Wala Maaldar Ka Bhi Yahi Anjam Hoga”.
(Muslim, Kitab-Ul-Imarat Hadith no. 1905)

» Sabaq: Lihaza Hume Chahiye Ke Ikhtiyaraat Ke Niyat Se Neki Na Karey,
Ke Beshaq Allah Ta’ala Hamare Har Kism Ki Niyato Se Bakhubi Wakib Hai,
Isiliye Zaruri Hai Ke Hum Apne Saare Jayaz Kaamo Me Sab Se Pahle Ikhlaas Ke Saath Niyat Kar Liya Karey
Kyon Ke Jaisi Niyat Hogi Waisa Hi Azr Milega, Aur Beshaq Tamam Aamaal Ke Sawaab Ka Daromadar Niyato Par Hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
Allah Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De!!! Ameen..

The post Apne Amaal Ko Ikhlas Ke Sath Riyaa Se Paak Rakhey …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/apne-amaal-ko-ikhlas-ke-sath-riyaa-se-paak-rakhey/feed/ 0 16230
Kisi Se Maangna Apne Mooh Par Zakhm Lagane Ke Barabar …. https://ummat-e-nabi.com/kisise-maangna-apne-munh-par-zakhm-lagane-ke-barabar-hai/ https://ummat-e-nabi.com/kisise-maangna-apne-munh-par-zakhm-lagane-ke-barabar-hai/#respond Sun, 18 May 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kisise-maangna-apne-munh-par-zakhm-lagane-ke-barabar-hai/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Ibn Masud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya- ‘Jo Shakhs Maaldar Honey Ki Halat Me Bhi Sawaal Kare (Maange) Tou […]

The post Kisi Se Maangna Apne Mooh Par Zakhm Lagane Ke Barabar …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Ibn Masud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya-
‘Jo Shakhs Maaldar Honey Ki Halat Me Bhi Sawaal Kare (Maange) Tou Wo Qayamat Ke Din Iss Tarah Aayega Ki Uska Mooh Kharocha Hua Ya Kata Ya Phata Hoga’.
Sahaba-e-Kiram Ne Pucha – ‘Insan Kitne Maal Se Maaldar Kehlata Hai?’
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – ’50 Dirham Ya Uski Qeemat Ka Sona (Rakhne Wala)’.
(Sunan Abu Dawud, Vol-1, 1613-Sahih : @[156344474474186:])
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Samurah Bin Jundub (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya-
“Kisi Se Kuch Maangna Apne Mooh Par Zakhm Lagane Ke Barabar Hai, Ab Jo Chahe Apne Mooh (Chehre) Ko Sahi Rakhe Aur Jo Chahe Aisa Hi Chhodh De, Haan! Uss Shakhs Ke Liye Maangna Jayaz Hai Jo Behad Majbur Ho Ya Jo Haakim-e-Waqt Se Mangta Ho’.
(Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1626-Sahih)

The post Kisi Se Maangna Apne Mooh Par Zakhm Lagane Ke Barabar …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kisise-maangna-apne-munh-par-zakhm-lagane-ke-barabar-hai/feed/ 0 16768