❗Aaj ka Sawal 👇

Islamic Quiz of the Day

19 April 2024

Islamic Quiz 215

Surah Al Kausar me Kausar se muraad kya hai?

Options Are 👇

A. Jannat ka ek Ghar

B. Jannat ki ek Nahar (Hauz)

C. Jannatul Firdaus

D. Inmein se koi nahi

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( B )

✅ Jannat ki ek Nahar (Hauz)

Daleel :

Allah Taala Quran me farmata hai:

“Beshak humne Aapko (O Muhammad ﷺ) Al-kauther Ata farmayee, So Apne RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani kiya karo , Beshak Aapka Dushman hi Be Naam-O-Nishan rahega.”

📕 Surah Al-Kauther (108)

Mafhoom-e-Hadees hai ke:
Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

Mera Hauz ( Kauther) ek mahine ki musafat ( yani usko cross karney ke liye ek mahina chalna parhta hai) barabar hoga, iska paani doodh se ziyada safaid aur iski khushbu Mushk se ziyada achchi hogi aur iske pyale (cups) aasman ke sitaro ki taadad ke barabar honge jo shaksh ismein se ek baar jo peeyega wo kabhi bhi piyasa na hoga.”

 📕 Sahih Bukhari, vol 8, 6579

Install Islamic Quiz App

Aaj ka Sawal | Islamic Quiz of the Day | Islamic Sawal Jawab Quran wa Hadees ki roshni mein | Deeni Sawal Jawab in Hindi Quran Sunnat ki roshni mein, Islamic Sawal Jawab Urdu Quiz.

Welcome to “❗Aaj ka Sawal 👇 | Quiz of the Day: Islamic Questions and Answers in Hind, Roman Urdu,” your reliable source for insightful information about Islam. Explore a wide range of popular topics, including Islamic beliefs, practices, history, Quranic teachings, prophet’s stories, and Islamic ethics. Join us on this enlightening journey of exploration and discovery as we provide informative answers to your questions about Islam.

और देखे :