Ilm-e-Deen – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Mon, 19 Feb 2024 16:48:33 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Ilm-e-Deen – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 99 इल्म की बातें | कुरआन व हदीस की रौशनी में | Quran Quotes in Hindi https://ummat-e-nabi.com/99-qeemti-baatein/ https://ummat-e-nabi.com/99-qeemti-baatein/#respond Mon, 19 Feb 2024 15:45:57 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=26838 99 Qeemti Baatein Quran aur Hadees ki roshni mein99 इल्म की बातें | कुरआन व हदीस की रौशनी में | Quran Quotes in Hindi # 99 इल्म की बातें 1. अल्लाह की याद से अपने दिल को ताज़ा […]

The post 99 इल्म की बातें | कुरआन व हदीस की रौशनी में | Quran Quotes in Hindi appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

99 इल्म की बातें | कुरआन व हदीस की रौशनी में | Quran Quotes in Hindi

#99 इल्म की बातें
1.अल्लाह की याद से अपने दिल को ताज़ा दम रखा कीजिए।
इस लिए के खुदा की याद क़ुलूब के लिए इत्मिनान का जरिया है। (सूरह राअद 28)
2.अल्लाह की ज़ात आली पर मुकम्मल भरोसा कीजिये।
इस लिए के अल्लाह त’अला तवक़्क़ल करने वालों को मेहबूब रखता हैं। (सूरह निसा)
3.शिर्क व असबाबे शिर्क से बचा कीजिये।
इसलिये के मुश्रिक की मग़फ़िरत बिलकुल नहीं है। (सूरह निसा, 116)
4.सब्र और नमाज़ के ज़रिये मदद तलब किया कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह की (मदद) साबेरीन के साथ है। (सूरह बक़रा, 153)
5.अपनी ज़िन्दगी के तमाम शोबों में सुन्नत-ऐ-रसूल का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के उस्वाए रसूल (स.) ही में कामियाबी है। (सूरह अहज़ाब, 21)
6.सच्चों की सोहबत इख्तियार किया कीजिये।
इसलिये के सच्चों की सोहबत आदमी को तक़वा के मर्तबे कमाल तक पहुंचा देती है। (सूरह तौबा, 119)
7.शैतान की पैरवी से बचा कीजिए।
इसलिये के वो (इंसान) के लिए खुला हुआ दुश्मन है। (सूरह बक़रा, 208)
8.हक़ को बातिल के साथ मिलाकर पेश करने से बचा कीजिये।
इसलिये के इस अमल पर अल्लाह की सख्त डांट है। (सूरह बक़रा, 42)
9.अहले इल्म और बे-इल्म के दरमियान इम्तियाज़ क़ायम कीजिये।
इसलिये के अहले इल्म और बे इल्म कभी भी बराबर नहीं हो सकते। (सूरह जुमर, 9)
10.नेको कारी का हुक्म देने के साथ इस पर अमल भी किया कीजिये।
इसलिये के लोगों को हुक्म देकर खुद इस पर अमल से गाफिल रेहना यहूदियों की सिफ़त है। (सूरह बक़रा, 44)

Advertisement

11.सुबह व शाम सदके व ख़ैरात का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के ये अहले ईमान की एहम सिफ़त है। (मफ़हूम अल क़ुरान)
12.अल्लाह रब्बुल इज़्ज़त की तमाम ने’मतों की शुक्रगुज़ारी में रहा कीजिये।
इसलिये के नेमतों पर शुकर गुज़ारी इज़ाफ़े का सबब है। (सूरह इब्राहीम,8)
13.इसराफ़ (फ़िज़ूलखर्ची) से बचने की मुकम्मल कोशिश कीजिये।
इसलिये के इसराफ़ करने वालों को अल्लाह पसंद नहीं करता। (सूरह अनाम, 141)
14.फितना साज़ी से बचने की मुकम्मल कोशिश कीजिये।
वो इसलिये के फितना (का गुनाह) क़त्ल से भी बढ़ कर है। (सूरह बक़रा, 191)
15.अपनी पसंदीदा चीज़ को अल्लाह की रज़ा के लिए दिया कीजिये।
इसलिये के पसंदीदा चीज़ को देकर ही कामिल नेकी का अजर पा सकते हो। (सूरह अल इमरान, 92)
16.रिश्वत लेने और देने के गुनाह से बचा कीजिये।
इसलिये के रिश्वत लेने वाला और देने वाला दोनों जहन्नुमी हैं। (तिर्मिज़ी)
17.हज़रत नबी सलल्लाहु अलैहि वसल्लम पर बकसरत दरूद पढ़ने का एहतेमाम कीजिये।
इसलिए कि आप सलल्लाहु अलैहि वसल्लम पर एक दफा दरूद पढ़ने से अल्लाह की 10 रेहमतें उतरती हैं। (मुस्लिम)
18.बदगुमानी के गुनाह से बचा कीजिये।
इसलिये के बदगुमानी सब से बड़ा झूठ है। (बुखारी, 5829)
19.हमेशा सच बोलने का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के झूट बोलना मुनाफ़िक़ की अलामत है। (मुस्लिम: 211)
20.अपने ख़ालिक़ से हुस्न-ऐ-जन रखा कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह के फैसले बन्दे के गुमांन के मुताबिक़ होते हैं। (मुस्लिम, 4829)

Advertisement

21.अल्लाह तआला से माँगने की सिफ़त को न भुला कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह से माँगना ही तमाम इबादतों का खुलासा है। (तिर्मिज़ी, 3371)
22.क़ुरआन मजीद सीखने और सीखाने का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के सब से बेहतर शख्स वो है जो कुरआन मजीद सीखे और सिखाए। (बुखारी, 4836)
23.नमाज़ में सफों के दरुस्त रखने का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के सफों का दरुस्त न होना आपसी इख़्तेलाफ़ का सबब है। (बुखारी)
24.नेक काम करें या इसकी तरफ़ रहनुमाई की कोशिश कीजिये।
इसलिये के नेक काम की रहबरी भी इसको अंजाम देने की तरह है। (अल तरग़ीब: 120)
25.धोका धड़ी से अपने आप को बचाया कीजिये।
इसलिये के जो धोका दे वो हम (मुसलमानो) में से नहीं है। (मुस्लिम, 284)
26.अमानत में खियानत करने से बचा कीजिये।
इसलिये के अमानत में खियानत करना ये मोमिन की अलामत नहीं है। (मुस्लिम, 211)
27.इल्मे दीन को रज़ा-ऐ-इलाही के लिए खालिस किया कीजिये।
इसलिये के दिगर फ़ासिद नियतों (इज़्ज़त, शोहरत, रियाकारी) से हासिल करना जहन्नुम में दाखिल होने का सबब है। (तिर्मिज़ी, 2655)
28.वज़ू को मुकम्मल सुन्नतों के एहतेमाम के साथ किया कीजिये।
इसलिये के वो वज़ू जो कामिल सुन्नतों के साथ होगा वो अगले पिछले गुनाहों के मिटाने का जरिया होगा। (मजमूआ अल जुवेद, 542)
29.वालिद की दुआएं हमेशा लिया कीजिये।
इसलिये के वालिद की दुआ औलाद के हक़ में कबूल होती है। (अबू दाऊद, 15386)
30.अहले ईमान पर लान तान करने से बचा कीजिये।
इसलिये के मोमीनों पर लानत करना इनको क़तल करने के मानिंद है। (मुस्लिम, 303)

Advertisement

31.खुद को सलाम करने में आगे रखा कीजिये।
इसलिये के सलाम में पहल करने वाला तकब्बुर से बरी होगा। (बैहेकि शोएब उल ईमान,433)
32.लायानी (फ़ुज़ूल, बेकार) चीज़ों से बचने की कोशिश कीजिये।
इसलिये के मुसलमान की खूबी ये है के वो लयानी चीज़ों से बचता है। (तिर्मिज़ी, 2317)
33.दूसरों से सिर्फ अल्लाह ही के लिए मोहब्बत किया कीजिये।
इसलिए कि वो सब से अफज़ल काम है। (अबू दाऊद, 4599)
34.दूसरों से सिर्फ अल्लाह ही के लिए बूग्ज़ किया कीजिये।
इसलिए कि वो सब से ऊंचा अमल है। (अइज़न)
35.तकब्बुर जैसे हलाक करने वाले मर्ज़ से बचा कीजिये।
इसलिये के जिस शख्स के दिल में जर्रा बराबर तकब्बुर होगा वो जन्नत में न जायेगा। (मुस्लिम, 267)
36.ला इलाहा इल्लल लाहु के विर्द का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के ला इलाहा इल्लल लाहु ईमान की आला शाख है। (मुस्लिम, 153)
37.रास्तों से तकलीफ़देह चीज़ों का हटाया कीजिये।
इसलिये के ये हुसूल-ऐ-ईमान का आसान जरिया है। (मुस्लिम)
38.दामन-ऐ-हया को दागदार होने से बचाया कीजिये।
इसलिये के हया ईमान का एहम शोबा है। (मुस्लिम)
39.दूसरों के लिए नफ़ा बनने की कोशिश कीजिये।
इसलिये के बेहतरीन शख्स वो है जो दूसरों को नफा पहुंचाये। (दर कुतनी, 661\2)
40.ज़ालिम बनने या मज़लूम होने से बचने की दुआ कीजिये।
इसलिये के हुज़ूर सलल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इन दोनों चीज़ों से पनाह मांगी है। (अबू दाऊद, 5094)

Advertisement

41.गुमराह होने या गुमराह कुन शै से बचने की दुआ कीजिये।
इसलिये के हुज़ूर सलल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इन दोनों बातों से पनाह मांगी है (अबू दाऊद, 5094)
42.मख्लूक़ की इताअत में ख़ालिक़ की नाफरमानी से बचा कीजिये।
इसलिये के मख्लूक़ की इताअत में ख़ालिक़ की नाफरमानी जायज़ नहीं। (अहमद)
43.गुनाहों से तौबा व अस्तग़फ़ार का एहतेमाम कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह तौबा करने वालों को पसंद करता हैं। (सूरह बक़रा, 222)
44.नर्म मिजाजी को अपना शेवा बनाया कीजिये।
इसलिये के जो नर्म मिजाजी से महरूम रहा वो सारी भलाई से महरूम रहा। (मुस्लिम, 6598)
45.उलमा-ऐ-दींन की ताजीम व तवकीर किया कीजिये।
इसलिये के जो उलमा की क़दर न करे वो उम्मत-ऐ-मुस्लिमा में से नहीं। (मजमूआ अल-ज़ूवाइद, 338)
46.छोटों के साथ शफ़क़त का मुआमला कीजिये।
इसलिये के जो छोटों पर शफ़क़त न करे वो उम्मत-ऐ-मुस्लिमा में से नहीं। (मजमूआ अल-ज़ूवाइद)
47.बड़ों की भरपूर ताज़ीम किया कीजिये।
इसलिये के जो बड़ों की ताज़ीम न करे वो उम्मत-ऐ-मुस्लिमा में से नहीं। (मजमूआ अल-ज़ूवाइद)
48.अपनी औलाद की दीनी तरबीयत की फ़िक्र कीजिये।
इसलिये के वालिद की तरफ से इस की औलाद के लिए दीनी तरबीयत से बढ़ कर कोई तोहफा नहीं। (तिर्मिज़ी,1952)
49.अपने मुसलमान भाई से तीन दिन से ज़्यादा क़ता-ऐ-ता’लुक न कीजिये।
इसलिये के तीन दिन से ज़्यादा क़ता-ऐ-ता’लुक करने वाला जहन्नुमी है। (अबू दाऊद, 4914)
50अपने आप को पाक दामन रखा कीजिये।
इसलिये के मर्दों की पाक दामनी खुद उन की औरतों की पाक दामनी का जरिया है। (मजमूआ अल-ज़ूवाइद)

Advertisement

51.चाहे दीनी काम हो या दुनियावी इस से पहले नमाज़ का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के हुज़ूर सलल्लाहु अलैहि वसल्लम किसी भी अमर के पेश आने पर सबसे अव्वल नमाज़ पढ़ते थे। (अबू दाऊद, 1319)
52.फ़र्ज़ नमाज़ें बा जमात अदा कीजिये।
इसलिये के बाअज़मत नमाज़ इंफरादि नमाज़ से 27 दर्ज़े फ़ज़ीलत रखती है। (मुस्लिम, 1477)
53.तिजारत (व्यापार), सचाई और अमानतदारी के साथ किया कीजिये।
इसलिये के सचाई व अमानतदारी के साथ तिजारत करने वाला सिद्धिक़ीन और शुहदा के साथ होगा। (तिर्मिज़ी, 1209)
54.सलाम के बाद मुसाफह की कोशिश कीजिये।
इसलिये के मुसाफह सलाम की तकमील का जरिया है। (तिर्मिज़ी, 2730)
55.अपने भाइयों की (जायज़) ज़रूरतों को पूरा करने की कोशिश कीजिये।
इसलिये के जो अपने भाई की ज़रुरत पूरा करेगा अल्लाह इसकी जायज़ ज़रूरतों को पूरा करेगा। (अबू दाऊद, 4893)
56.मेहमान की भरपूर ताज़ीम किया कीजिये।
इसलिये के ये मोमिन की शान है। (मुस्लिम, 50)
57.लूट मार डाका जानि से बचा कीजिये।
इसलिये के जो लूट मार करें वो हम में से नहीं। (तिर्मिज़ी, 1123)
58.बहम मुसाफह का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के मुसाफह से कीना ख़तम हो जाता है। (मौता मलिक, 706)
59.आपस में हदीया (तोहफे) देने का मामूल रखा कीजिये।
इसलिये के हदीया आपस में मोहब्बत बढ़ाने के साथ दुश्मनी को दूर करता है। (मौता मलिक, 706)
60.हसद जैसे हलाक करने वाले मर्ज़ से बचा कीजिये।
इसलिये के हसद ये दीन को बरबाद कर देता है। (अबू दाऊद, 4903)

Advertisement

61.धोका बाज़ी करने से बचा कीजिये।
इसलिये के धोकेबाज़ जन्नत में दाख़िल न होगा। (तिर्मिज़ी, 1923)
62.सिफ़त-ऐ-बुख़ल से बचने की कोशिश कीजिये।
इसलिये के बख़ील जन्नत में दाख़िल न होगा। (तिर्मिज़ी)
63.एहसान जताने की मज़मूम सिफ़त से बचा कीजिये।
इसलिये के एहसान जताने वाला जन्नत में दाख़िल न होगा। (तिर्मिज़ी)
64.फुकरा (गरीब) से मोहब्बत और इनके साथ हमनशिनी इख़्तियार कीजिये।
इसलिये के हुज़ूर सलल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इन से मोहब्बत और हमनशिनी की तरग़ीब दी है। (अल-हकीम, 4/332)
65.अरबों से दिल से मोहब्बत किया कीजिये।
इसलिये के हुज़ूर सलल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इसकी तरग़ीब दी है। (अल-हाकिम, 4/332)
66.मुअजनीन की बत्तमीज़ी करने से बचा कीजिये।
इसलिये के मुअजनीन क़यामत के दिन ज़्यादा लम्बी गर्दन वाले होंगे। (मुस्लिम, 852)
67.दींन-ऐ-क़ाइम को इस्लाम माना कीजिये।
इसलिये के वो हलावत ईमान के मिलने का सबब है। (मफ़हूम)
68.नबी सलल्लाहु अलैहि वसल्लम को सच्चा रसूल माना कीजिये।
इसलिए कि वो भी हलावत ईमान के हुसूल का वसीला है। (मफ़हूम)
69.क़त्ल ऐ मोमिनीन के जुर्म-ऐ-अज़ीम से बचा कीजिये।
इसलिये के क़त्ल ऐ मोमिनी अल्लाह के नज़दीक सारे दुनिया के ख़तम हो जाने से बढ़कर है। (निसाई, 3995)
70.बीमारों से दुआ की दरखवास्त किया कीजिये।
इसलिये के बीमारों की दुआ फरिश्तों की तरह क़ुबूल होती है। (इब्न माजा, 1441)

Advertisement

71.किसी भी काम से पहले इंशा अल्लाह कहा कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह की मशीयत के बग़ैर कोई काम नहीं होता। (सूरह कहफ़, 23)
72.अच्छी बातों का हुक्म और बुरी बातों से रोका कीजिये।
इसलिये के ये उम्मत-ऐ-मुस्लिमा की इम्तियाज़ी खुसूसियत है। (सूरह अल- इमरान, 110)
73.अल्लाह के घरों को आबाद किया कीजिये।
इसलिये के मसाजिद को आबाद करना अहले ईमान की ज़िम्मेदारी है। (सूरह तौबा, 18)
74.अज़ान व अक़ामत के दरमियान दुआ का मामूल बनाया कीजिये।
इसलिये के अज़ान व अक़ामत के दरमियान की जाने वाली दुआ क़ुबूल होती है। (तिर्मिज़ी, 3594)
75.हुस्न-ऐ-खात्मे के लिए दुआ किया कीजिये।
इसलिये के (ज़िन्दगी) के तमाम आमाल का ऐतबार (उम्दह) खात्मा पर है। (बुखारी)
76.अपने आमाल में इखलास पैदा कीजिये।
इसलिये के इखलास ही क़ुबूलियत-ऐ-आमाल की रूह है। (निसाई, 3142)
77.पोशीदा तौर पर सदक़ा देने की कोशिश कीजिये।
इसलिये के पोशीदा सदक़ा करना अल्लाह के गुस्से को ठंडा करता है। (मजमूआ अल-ज़वाइद, 3/293)
78.परहेज़गारी, मखलूख से बेनियाज़ी, गुमनामी (जैसी उम्दाह) सिफ़ात को इख्तियार किया कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह इन सिफ़ात के हामिल बन्दे को पसंद फ़रमाता हैं। (मुस्लिम, 7432)
79.नमाज़ मिस्वाक कर के पढ़ने की कोशिश कीजिये।
इसलिये के मिस्वाक कर के पढ़ी जाने वाली नमाज़ बग़ैर मिस्वाक के अदा की जाने वाली 70 रकअतें पढने से अफ़ज़ल है। (मजमूआ अल-ज़वाइद: 2/ 263)
80.हर अच्छी बात को तीन दफा कहने का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के हुज़ूर सलल्लाहु अलैहि वसल्लम इसका एहतेमाम फरमाते थे, ताके मुख़ातिबींन (सुनने वाले) बात को अच्छी तरह समझ जाएँ। (बुखारी, 95)

Advertisement

81.कूत्मान-ऐ-इल्म के जुर्म से बचा कीजिये।
इसलिये के बा रोज़-े क़यामत कूत्माने-इल्म करने वाले के मुँह में आग लगा दी जाएगी। (अबू दाऊद, 3658)
82.गुनाह होते ही फौरी तौबा कर लिया कीजिये।
इसलिये के बेहतरीन शख्स वही है जो गुनाह के साथ ही तौबा कर लें। (तिर्मिज़ी, 2499)
83.अल्लाह के क़ादिर-ऐ-मुतलक़ होने का यक़ीन कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह हर चीज़ पर क़ुदरत रखता हैं। (सूरह बक़रा, 20)
84.नेक कामों में नियत दरुस्त रखा कीजिये।
इसलिये के सारे आमाल नियत के मुताबिक़ क़ुबूल होते हैं। (बुखारी)
85.दूसरों पर रहम व करम का रवैया बर्ता कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह उस शख्स पर रहम नहीं करता जो लोगों पर रहम न करें। (तिर्मिज़ी, 14)
86.चुगलखोरी से खुद को बचाया कीजिये।
इसलिये के चुगल खोर जन्नत में दाख़िल न होगा। (बुखारी, 6056)
87.रिश्ता तोड़ने से बचा कीजिये।
इसलिये के रिश्ता तोड़ने वाला जन्नत में दाख़िल न होगा। (बुखारी, 5984)
88.ज़ुल्म करने से खुद को दूर रखा कीजिये।
इसलिये के ज़ुल्म रोज़-ऐ-क़यामत अंधेरों की सूरत में होगा। (बुखारी, 2384)
89.अमाल-ऐ-सालेहा मुख़्तसर ही हो मगर पाबन्दी से किया कीजिये।
इसलिए कि अल्लाह के यहाँ पसंदीदा अमल वही है जो पाबन्दी से किया जाये अगरचे मिक़्दार में थोड़ा ही क्यों न हो। (मुस्लिम)
90.अपने अख़लाक़ को उम्दाह रखा कीजिये।
इसलिये के मोमिन अच्छे अख्लाक की वजह से रोज़ा रखने वाले और रात भर इबादत गुज़ार के मुकाम को पा लेता है। (अबू दाऊद, 479)

Advertisement

91.हर सुनी हुई बात का ज़िक्र करने से बचा कीजिये।
इसलिये के आदमी के झूठा होने के लिए यही काफ़ी है के वो हर सुनी हुई बात को नक़ल कर दें। (सहिह मुस्लिम, हदीस 7)
92.पड़ोसियों को तकलीफ देने से बच्चा कीजिये।
इसलिये के पड़ोसियों को तकलीफ देने वाला जन्नत में दाख़िल न होगा। (मुस्लिम, 50)
93.पाक व साफ़ रहने का एहतेमाम कीजिये।
इसलिये के पाक रेहना आधा ईमान है। (मुस्लिम)
94.रस्मे व बिदआत से अपनी अमली ज़िन्दगी को बचाया कीजिये।
इसलिये के हर बिद्दत गुमराही है। (मुस्लिम)
95.अपने गुस्से पर काबू रखा कीजिये।
इसलिये के पहलवान वो है जो गुस्से के वक़्त नफ़्स पर काबू पा ले। (बुखारी, 6114)
96.अपनी खुवाहिशात को शरीयत के ताबेय बनाया कीजिये।
इसलिये के क़ामिल-ऐ-ईमान के लिए ये अमल जरूरी है। (अल-बागवी, 213)
97.गुनाह-ऐ-ग़ीबत से बचने का भरपूर एहतेमाम किया कीजिये।
इसलिये के ग़ीबत (का गुनाह) बदकारी से भी बढ़कर है। (मिश्कात)
98.जुबां और शर्मगाह को मासियत के दलदल से बचाया कीजिये।
इसलिये के इन दोनों की हिफाज़त पर जन्नत की बशारत है। (बुखारी)
99.अल्लाह के (99) नाम याद करने का एहतेमाम किया कीजिये।
इसलिये के जो इन को अच्छी तरह याद कर लें वो जन्नत में दाखिल होगा। (तिर्मिज़ी)

नोट:

वाज़ेह रहे के मज़कूरा तमाम बातें कुरान व हदीस की रौशनी में है अलबत्ता हूबहू आयात व अहादीस का तर्जुमा नहीं बल्कि सिर्फ मफ़हूम दर्ज है। अहल-ऐ-इल्म हज़रात किसी किस्म की कमी महसूस करें तो ज़रूर हमारी इस्लाह फरमाये।

अल्लाह त’अला हम तमाम को इन बातों पर सिद्क़ दिल से अमल की तौफीक अता फरमाए।  अमीन या रब्ब-उल-आलमीन।

और भी देखे :

The post 99 इल्म की बातें | कुरआन व हदीस की रौशनी में | Quran Quotes in Hindi appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/99-qeemti-baatein/feed/ 0 26838
Ilm se Darjaat buland honge https://ummat-e-nabi.com/ilm-se-darjaat-buland-honge/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-se-darjaat-buland-honge/#comments Tue, 10 Oct 2023 05:18:36 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=48135 ilm se Darjaat buland hongeAaj ki Aayat Ilm se Darjaat buland honge ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta’ala farmata hai: “Allah Tum me se un logon ke jo iman laye hai aur jo ilm diye […]

The post Ilm se Darjaat buland honge appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aaj ki Aayat

Ilm se Darjaat buland honge

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Ta’ala farmata hai:

“Allah Tum me se un logon ke jo iman laye hai aur jo ilm diye gaye hai, darje buland kar dega.”

📕 Surah Mujadila 58:11

The post Ilm se Darjaat buland honge appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-se-darjaat-buland-honge/feed/ 1 48135
Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai https://ummat-e-nabi.com/allah-jiski-bhalayi-chahta-hai-usko-deen-ki-samajh-deta-hai/ https://ummat-e-nabi.com/allah-jiski-bhalayi-chahta-hai-usko-deen-ki-samajh-deta-hai/#respond Wed, 11 Jan 2023 02:25:17 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=42495 Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai [Hadees Sahih Bukhari 71]Hadees of the Day Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya: “Allah […]

The post Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai

Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya:

“Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon.
Deney wala to Allah hi hai

Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega
Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega,
yaha tak ke Allah ka hukm (Qayamat) aa jaye (aur yeh aalam fana ho jaye).”

📕 Sahih Bukhari; Hadees: 71


SubhanAllah!

Allah Ta’ala hume kehne sunne se jyada amal ki toufiq ata farmaye,

Hum Tamam ko Deen ki Sahih Samjh ata farmaye,

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,

Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/allah-jiski-bhalayi-chahta-hai-usko-deen-ki-samajh-deta-hai/feed/ 0 42495
Tum Yaa tou Aalim bano, Ya taalib-e-ilm bano (Hadees) https://ummat-e-nabi.com/tum-yaa-toh-aalim-bano/ https://ummat-e-nabi.com/tum-yaa-toh-aalim-bano/#respond Thu, 16 Dec 2021 03:11:48 +0000 https://ummat-e-nabi.com/tum-yaa-toh-aalim-bano/ Tum Yaa tou Aalim bano, Ya taalib-e-ilm bano (Hadees)✦ Roman Urdu ✦ Hazrate Abu Baqar Siddhik (R.A) farmate hai ke, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh irshaad farmate huye suna, “Tum yaa tou Aalim bano, ya taalib-e-ilm bano, ya […]

The post Tum Yaa tou Aalim bano, Ya taalib-e-ilm bano (Hadees) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Roman Urdu ✦

Hazrate Abu Baqar Siddhik (R.A) farmate hai ke,
Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh irshaad farmate huye suna,

“Tum yaa tou Aalim bano, ya taalib-e-ilm bano, ya ilm tawajjo se sun’ne wale bano, ya ilm aur ilm waalo se Mohabbat karne wale bano, (inn 4 ke alaava) paanchvi (5th) kism ke mat bano, warna Halaaq ho jaoge.”

Farmaya “Paanchvi kism yeh hai ki tum ilm aur ilm walo se Bugz (Nafrat wa Dushmani) rakho.”

📕 Tabrani ; Hadees 1/328 © www.ummat-e-nabi.com/home


✦ हिंदी हदिस ✦

अबू बकर सिद्धिक (र.अ.) फरमाते है के, मैंने रसूलअल्लाह (ﷺ) को यह इरशाद फ़रमाते हुए सुना के,

“तुम या तो आलिम बनो या तालिबे इल्म बनो, या इल्म तवज्जो से सुनने वाले बनो, या इल्म और इल्म वालो से मोहब्बत करने वाले बनो, (इन चार के अलावा) ५ वी किस्म के मत बनो, वरना हलाक हो जाओगे

फ़रमाया “पांचवी किस्म ये है की तुम इल्म और इल्म वालो से बुग्ज़ (नफरत व दुश्मनी) रखो। “

📕 तिब्रानी; हदिस 1/328 © www.ummat-e-nabi.com/home

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Tum Yaa tou Aalim bano, Ya taalib-e-ilm bano (Hadees) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/tum-yaa-toh-aalim-bano/feed/ 0 16042
Ilm Ki Talash Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Hai https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-talash-gujasta-gunaho-ka-kaffara/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-talash-gujasta-gunaho-ka-kaffara/#respond Thu, 06 Oct 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-talash-gujasta-gunaho-ka-kaffara/ Ilm Ki Talash Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Hai♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke – “Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” – (Mir’aatul Manahij, Jild […]

The post Ilm Ki Talash Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees:

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke –

“Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”

(Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203)

# Wajahat: Taalib-e-Ilm Se Sagira Gunaah Muaf Hote Jate Hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat Se Lihaza IsKa Matlab Yeh Nahi Ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah Kare.
– Balki Matlab Yeh Hai Ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair Se Ilm Ki Talab Karne Walo Ko Gunaaho Se Bachney aur Gujasta Gunaahao Ka Kaffara Ada Karne Ki Toufiq Deta Hai,.. Subhan’Allah ,..

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Ilm Ki Talash Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-talash-gujasta-gunaho-ka-kaffara/feed/ 0 16461
Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/ https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/#respond Mon, 05 Sep 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Jo Insan Deen-e-Islam Ka Ilm Sirf Isliye Sikhna Chahta Ho Ke Uss Ilm Ke Jarye Wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) Par Fakr […]

The post Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Insan Deen-e-Islam Ka Ilm Sirf Isliye Sikhna Chahta Ho Ke
Uss Ilm Ke Jarye Wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) Par Fakr (Ghamand) Kare,
Ulema (Scholar) Se Jhagda Kare, Logon Me Aalim Ke Taur Par Mash’hoor (Famous) Ho Jaaye
Aur Log Uski Izzat Kare Tou Aesa Insan Dozakh Me Jaaega ,..”
(Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 : @[156344474474186:])

♥ Allahu Akbar !!!
– Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas Ke Sath Sahih Ilmo-Amal Ki Taufik dey,.
– Hume Kitabo Sunnat Ki Dawat Mukhlisana Koshisho Ke Saath Aam Karne Wala banaye ,..
– Jab Tak Hum Zinda Rakhe Islam Aur Iman Zinda Rakhey.
– Khatma Humara Imaan Par Ho ..
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
… Ameen Allahumma Ameen ,..

The post Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shohrat-ke-waste-ilm-haasil-karne-wala-dozakhi-hai/feed/ 0 16597
Ilm Ki Ahmiyat: Part-15 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-15/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-15/#respond Wed, 14 Jan 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-15/ Ilm Ki Ahmiyat 15Ek Mashoor Aur Maruf Shakhsiyat “Ms. Carleton Fiorina” Jo Ke H.P. Ki CEO Thi, aur Iss Khatun Ne Ek Speech Di Thi Jo HP ki All Worldwide Company Managers Ki […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ek Mashoor Aur Maruf Shakhsiyat “Ms. Carleton Fiorina” Jo Ke H.P. Ki CEO Thi, aur Iss Khatun Ne Ek Speech Di Thi Jo HP ki All Worldwide Company Managers Ki Meeting Thi, Usmey Yeh Khatun CEO Thi Uss Zamane me..
Yeh Speech Unhone di Hai 26 September 2001 Ko ,.. Yaani 11 Sept 2001 Ko World Trade Center Ka Wakiya Hua Tha Jispar Musalmano Par Ilzam Par Lagaye Ja Rahe They ,..

Unki Speech English Me Thi Hum Uska Tarjuma Yaha Batane Ki Koshish Karte Hai ,..
Yeh Speech Bohot Himmat Bohot Jasarat Ki Cheez Hai. Jaha Musalman Apne Aap Ko Musalman Kahne Se Yaha Sharma Rahe They Jo Wakiya Waha Hua, Ye Khatun Jo Isayi Hai Isne Twin Tower Ke Blast Ke 2 Haftey Baad Ek Takreer Me Dunya Se Ailan Kiya Aur Kaha Aur Usne Shuruwat Yun Ki –

✦ Tarjuma:

Ek Zamana Tha Ek Qoum Gujri Hai Jo Duniya me Sabse Behtareen Qoum Thi, (Abhi Usne Naam Nahi Liya)
» Yeh Wo Qoum Thi Jisne Ek Aisi Hukumat Qayam Ki Jo Ek Barre Aazam Se Dusre Barre Azam aur, Ek Pahadi Ilakey Se Dusre Ilakey Tak.,, Jangalaat aur Tamam Digar Zameenat Inke Paas Thi.

» Inke Hukumat Ke Andar Hazaro aur Lakho Log Rehte They Jo Mukhtalif Majaheeb ke Man’ne Wale They.

» Iski Zubaan Dunia ki Aalmi Zaban ban Gayi Thi aur Bohot Se Qoumo Ke Bich me Tallukat Qayam Karne Ki Vajah Ban Gayi Thi Iski Zubaan.

» Iske Andar Jo Fouje (Army) Thi Wo Kayi Mukhataleef Mumalikat se They,. aur Jo Hifazat Inhone di aisi Hifazat Duniya Me Is Se Pahle Nahi Dekhne Ko Mili Kahi.

» Aur Tijarat South America Se Lekar China tak aur Tamam Bich Ke Ilako Tak Faili Hui Thi.

» Yeh Jo Qoum Thi Jis Cheez Se Chalti Thi Wo Inke Khayalat They, Inke Inkheshafat They, Inke Inventions They.

» Inke Engineers ne Aisi Imaarate Banayi Jo Zameen Ke Kashish (Kuwwat) Ke Khilaf They. Yaani Badi Badi Imaarate Tameer Karte They.

» Inke Mathematicians Jo They Inhone Algebra aur Algorithm Jaise Subjects Ki Buniyad Daali Jo Aagey Chalkar Computer ke Banane aur Encryption Ki Technology Ijad Ho Saki.

» Inke Jo Tabib Doctors They Jo Insani Jismo ko Janchtey aur Naye-Naye Ilajat Nikaltey Unn Bimariyo aur Kamjoriyo Ke.

» Inke Jo Ilm-e-Falkiyat Rakhne Wale Log They Wo Gour Karte Zameen aur Aasman me aur Taaro ko Naam Detey aur Yahi Jarya Bani Aaj ke Dour Ke Satellite aur Digar Space Exploration Ka Jo Aaj Hum Inkashafat Kar Rahe Hai Uski Vajah Bani.

» Inke Jo Musaniff (Writers) They Wo Kitabe Likhtey They, Kahaniya Likhtey They, Kahaniya Jo Jasarat, Himmat, Taqat Quwwat Ki, Mohabbat Ki.

» Inke Jo Shayar they Wo Mohabbat ke Baarey me Shayriya Likhtey, Yeh Wo Zamana tha Jab Dusre Iske Kahne Ke Liye Bohot Jyada Khoufjada Hua Karte They.

» Jab Dusre Log Naye Inkashafat Ke Baarey me Sochana bhi Unke Liye Khouf Tha yeh Qoum Tou Soch Pe Jiya Karti Thi.

» Jab Duniya Iss Cheez Par Aa Chuki Thi Ke Pichley Qoumo Ka Ilm Mita Diya Jaye Iss Qoum ne Wo Ilm Baaki Rakha aur Logon Tak Pohchaya (Yaani Isayat ne Jab Soch Liya ke Jitna Pichla Greek Knowledge tha Wo Mita Diya Jaye tou Wo Ilm Musalmano ne Ba’Salamat Logon tak Pohchaya)

» Bohot Saari Cheeze Jo Aaj ki Hum Duniya me Dekh Rahe Hai, Istemal Kar Rahe Hai, Yeh Bohot Saari Cheeze Uss Qoum ki Deyn hai Jiske Baare me Mai Baat Kar Rahi Hu, Wo “Islamic World” Hai, Islami Qoum Hai, Musalman Hai,. Jisne 8 vi Sadi se Lekar, 16 vi Sadi tak Duniya Ko Mashal-e-Raah Dikhayi.

Aur Iske Andar Usmani Khalifa, aur Bagdad,. aur Shaam(Syriya) aur Kahera, Misr ki Libraries, Kutubkhane aur Acche Hukumraah Jaise ke “Suleiman The Magnificent” Bhi Moujdu They.

Aagey Wo Kahti Hai Ke – “Bohot Saari Cheeze Jo Humko Mili Hai Iss Qoum Se, Haala Ki Hum Jantey Hai, Fir Bhi Hum Inke Ahasanmand Nahi Hai”
Aur Aagey Wo Kehti Hai Ke – “Inki Yeh Deyn Aaj Humari Jindagi Ka Hissa Hai, Aur Technology Industries Aaj Wajud Me Nahi Hoti! Agar Musalman Scientist Na Hotey..

* * * * *

Kyunki Uska IT (Information Technology) Se Talluk Tha Wo HP Ki CEO Thi Usney Sirf Yeh Bataney Ke Liye Ke Aaj Hum Iss Company Ke Jarye Jiska Hum Fayda Utha Rahe Hai Yeh Kisi Ka Ahsan Hai Hum Par Jis Qoum Ne Hume Diya Hai, Wo Musalman They.

# Tou Andaza Lagayiye Kis Jasarat Se Usne 2 Hafte Baad Twin Tower Ke Blast Ke Baad Musalman Ka Naam Lena Buri Baat Samjhi Ja Rahi Thi Usi Mahoul Me America Me Iss Nonmuslim Khatun Ne Speech Di Aur Kaha Ke Yeh Qoum Tou Insaniyat Ke Fayde Ke Liye Aayi Hai.

✦ SABAQ:

Tou Log Hume Jantey Hai , Log Hume Pahchan Rahe Hai, Siway Iske Ke Hum So Rahe Hai, Jabki Log Tou Humko Jagana Chahtey Hai.. Yah Baat Yahi Tou Bata Rahi Hai ke Maazi(Past) Me Humare Aaba-o-Azdad Ne Bohot Saare Tajurbaat,.. Bohot Saare Inkhsafat, Bohot Saare Karnaame Kiye! Chahe Wo Deeni Uloom Me Ho Ya Duniyawi! Dono Me Maharat Hasil Kiye They.

* Aaj Musalmano Ko Jarurat Hai Ke Hum Datt Jaye Iss Cheez Par, Jo Talibe Ilm School Jatey Hai, Yeh Ilm Bhi Iss Niyat Se Hasil Kare Ke Iska Bhi Ajar Aur Sawab Miley ,..
* Aur Saath Me Waliden Jaha Duniyawi Ilm Sikhatey Hai, Dini Ilm Ko Bhi Utni Hi Balki Us’se Jayda Tarji Dey,..
Ke Meri Aulaad Jaha Jabardast Hafize Quraan Ho, Wahi Ek Jabardast Duniyawi Kisi Funn Ka Maahir Bhi Ho..

* Aaj Ummat Ko Aise Logon Ki Jarurat Hai Jo Deen Me Maharat Rakhtey Hai Wo Duniya Me Bhi Maharat Rakhe..
* Tou Hume Agar Duniya Me Rehna Hai Aur Deen Par Chalna Hai Tab Bhi Humko Yeh Duniyawi Ilm Jan’na Hai.. Isliye Ke Iske Bagair Jina Bhi Mushkil Hai Humara,, Sahi Ilm Tak Pohach Nahi Payenge , Kya Humare Khilaf Hai Aur Kya Haq Me Wo Samjh Nahi Payenge.. Aur Fir Mohtaaj Ho Jaynge , Kamtar Hoi Jayenge, Baddtar Ho Jaynge ,.. Aur Jo Halat Ho Rahi Hai Behrahaal Hum Sabhi Dekh Rahe Hai.. Yeh Ilm Ko Chorrne Ka Natija Hai Deeni Aur Duniyawi ,.. Jiski Wajah Se Aaj Humpar Qoume Tasallud Kar Rahi Hai, Chahe Jis Bhi Naam Se Ho ,..

* Ilm Nafa Hi Nafa Deta Hai,.. Ilm Ka Kabhi Koi Nuksan Nahi Hai Yaad Rakhiye ,..
Kharch Kijiye Iske Upar Agar Paisa Lagta Hai.. Khub Maal Iske Liye Lutayiye, Isliyeke Ye Jayaz Jagah Jaha Aap Apna Maal Luta Sakte Hai..
Jis Tarha Se Humare Aaba-O-Azdad They Ke Deen Aur Duniya Dono Me Wo Maharat Rakhte They, Aur Aise Aise Kaarnamo Ko Anjam Diya Karte They Jisko Dekhkar Aaj Duniya Ungiliya Daba Leti Hai Apne Daanto Me.. Ke Kya Wakay Me Musalman Aise They? Ke Kya Wakay Me Musalmano Ka Yeh Ilm Tha,.

* Tou Lihaja Humare Yeh Aslaf Humare Liye Namuna Hai,.. Humko Yeh Dono Ilm Ko Wapas Usi Jagah Lakar Usi Tareeke Se Hasil Karna Hai,. Fir Insha’allah!! Wohi Zamana , Wohi Khushiya, Wohi Tamam Cheeze Humari Jindagi Me Wapis Lout Kar Aaynegi Jo Humari Deyn Thi Insaniyat Ko ,..

* Beharhaal Ilm Ki Ahmiyat Ko Samjhey Isko Jaaney Aur Isko Khub Hasil Kare ,..
Isi Post Ke Sath Hum Iss Unwaan Topic Ko Pura Karenge ,..

♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Ser Dua Hai Ke
# Allah Ta’ala Hum Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey,…
# Hum Tamam Ko Apni Mukaddas Kitab Quraan Majid Ko Padhna Samjhna Aur Iss Par Amal Karna Sikhaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-15/feed/ 0 16962
Ilm Ki Ahmiyat: Part-14 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-14/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-14/#respond Mon, 12 Jan 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-14/ Ilm Ki Ahmiyat 14✦ Al’khwarizmi (Inventor of Algorithm): Koun Nahi Pahchanta Inhe.. Inke Naam Se “Algorithm”. Jo bhi Science Padha Ho, aur Bilkhusus Science Jo Technology Ka Ho .. Log Iss Naam Ko […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-14 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Al’khwarizmi (Inventor of Algorithm):

Koun Nahi Pahchanta Inhe.. Inke Naam Se “Algorithm”. Jo bhi Science Padha Ho, aur Bilkhusus Science Jo Technology Ka Ho .. Log Iss Naam Ko Behtar Jante Hai.. Yeh “Algorithm” Al’khwarizmi Ki Hi Deyn Hai..
Inhone Kaha Ke Kisi Bhi Pechida Masle Ko Hal Karne Ke Liye Steps Bandhna Chahiye,.. Uski Tarkib Yeh Hona Chahiye Steps Ki Shakl Me.. Aur Inhi Ki Steps Ko Inhi Ka Naam Diya Gaya.. Jise Hum “Algorithm” Naam Se Jante…

Al Khwarizmi
Al’khwarizmi (The Inventor of Algebra)

Aur Inhone “Algebra” Ki Buniyad Daali. Algebra Jo Subject Hota Hai Mathematics Ka Jo 4th Standard Se Shuru Hota Hai , Unhone Ek Kitab Likhi Jo Mushkil Cheeze Hoti Hai Samjhne Ke Liye Unhe Hal Karne Ke Liye.

* Misaal Ke Taur Par 3x + 3y = 6 ,.. Ab Ye Kaisa Hal Kiya Jaye.. Isiliye Ke Nichey Wala Equation Upar Wale Jaisa Nahi Hota .. Tou Inhone Kaha “Al Jabr Wal Muqabla” Yaani Jabardasti Laa Kar Uske Muqable Ko Khade Kardo ,
aur Fir Unn Dono Upar Wale aur Nichey Wale Ko 3 Se Jarab Dedo Yaani Dono Ko Jarab Dene Ke Baad Ek Cut Ho Jata Hai Sum Fir.

Tou Kaha “Al Jabr Wal Muqabla” Yaani Jabardasti Lao Khada Kardo Uske Muqable Me, Isi Falsafe Par Ek Kitab Likhi Aur Pura Uska Hal Diya, Jis’se Wo Pura Fun Algebra Kehlaya.. Jiska Mana Hota Hai Jabardasti Lakar Khada Kardo Muqable Me Isliye Ke Ab Pechida Masla Hal Karna Hai.

Tou Dekhiye Ye Musalmano Ki Deyn hai, aur Pata Nahi Aise Itni Saari Cheeze ke Humare Liye Ginwaana Mushkil Hai, Khud Aaj ki Jo English hai Uski Gawahi Deti hai Jo Musalmano Ke Ijadat(Invention) Hai, Unke Alfaz Batate hai , Jaise “Zeenat” Sitare Ko Kahte Hai Jo Arbi Lafz Hai.

Shugar Hai, Sukar Hai, Cotton Hai, Lemon Hai aur Anginat Aisi Cheeze Milengi Jo Musalmano Ki Deyn Hai Insaniyat Ke Liye.

Lekin Aaj Hum Tamam Ne Iss Cheez Ko Yeh Keh-Kar Chorr Diya Ke Yeh Tou Asli Uloom Hai. Jabki Yeh Scientist Badey-Badey Imam Bhi They Apne Qoum(Kabile, Maslak) Ke. aur Deen Ki Samjh Bhi Rakhte They aur Saath Me Badey-Badey Scientist bhi Hai.. Koi Fark Nahi Kiya Unhone Ilm Ke Andar.

* Europe Jaha Andhere Me Rehta Tha, Waha Musalmano Ke Shehro Me Street Lights Jalti Thi , Yeh Unke Inkashafat, Yeh Unke Iajadad They.


✦ Fir Aaj Hum Itney Pichey Kyu Reh Gaye ?

Yeh Sawal bhi Aata Hoga Na Jehan Me , Hum Uski Vajah Rakh Detey hai Aapke Samney , Isayiyat Ne, Christianity ne Europe ne Jab Dekha Ke Unka Rehnuma Jo Pope hai Agar Uski Baat Hum Maaney tou Inkashafat Nahi Kar Sakte! aur Bible(Injeel) Par Jabtak Chale tou Bible Hukm Nahi Deti Inkashafat Ka. Isliye Ke Bible Me Bohot si Scientific Galatiya Hai ,.. Jo Insano Ne Usme Raddo Badal Kiya Uski Vajah Se.

* Tou Unhone Ye Socha Ke Bible ko Jabtak Na Chorre Hum Duniya me Inkashafat Nahi Kar Sakte.. Aagey Nahi Badh Sakte.. Aur Fir Bible ko Renaissance ke Naam Par Alag Kar Diya Apne se.

* Jab Bible Ko Aur Pope Ko Hata Diya Apne Sir Se Tab Unhone Duniya Me Ijadad (Discoveries) Kar Sake, aur Baad Ke Musalmano Ko bhi Laga Ke Jabtak Hum bhi Quraano Hadees Ko Nahi Chorte Tab Tak Hum Bhi Iajdad Nahi Kar Payenge.. Lihaja Humne Bhi Qurano Hadees Ko Chorr Diya.

✦ Yaad Rakhiye! Unka aur Humara Usool Mukhatlif Hai.

Jab Tak Wo Apni Kitab Ko Thaamkar Rakhenge wo Duniya me Aage Nahi Badh Sakte, aur Jab Hum Apni Kitab Ko Chorrenge, Hum Duniya Me Aage Nahi Badh Sakte.

Tou Humko Bhi Laga Ke Modern Ban’na Hai, Technology me Aagey Badhna hai tou Quraan aur Hadees Ko Chorrna Hoga, Lihaza Humne Chorr Diya aur Jiss Din se Chorra Uss Din se Duniya me Zaleelo-Khwar Hue.

* Jabki Yaad Rakhiye Hum Jab-Tak Allah Ki Kitab aur Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Ko Thamey Rahenge Tab Tak Duniya me Aagey Badhenge Aur Jab Chorr Denge Tab Humara Zaleelo khwar Hona Lazim Hai, Aur Iski Misaale Bhari Padi Hai Tareekh Me.

Aur Jo Log Deen Jantey hai Wohi tou sahi Inkhshafat Karenge, Jo Log Apne Rab Ki Marifat Rakhenge, Allah Unhi Se Fir Kaam Bhi Leta Hai, tou Aaj Hum Duniyawi Uloom me Pichey Isliye hai Kyunki Humne Quraan-o-Hadees Ko Chorr Diya.

# Lihaja Hume Chahiye Ke Duniyawi IlM Bhi Khub Haasil Karey, aur Sharayi Ilm tou Haasil Karna Hi Hai ,..

♥ In’sha’Allah !! Agli Post me Hum Ek NonMuslim Mas’hoor Aur Maaruf Shakhsiyat Ke Bayan Ka Zikr Karenge Jo UnhoNe Aise Haalato me Diya Jab Ke Islam Ka Naam Leney Se Bhi Log KhoufJada Hua Karte They …

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-14 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-14/feed/ 0 16960
Ilm Ki Ahmiyat: Part-13 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-13/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-13/#respond Sat, 10 Jan 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-13/ Ilm Ki Ahmiyat 13Jab America Ne Iraq Par Saddam Husain Ki Pahli Jung Ke Baad Embargo Laagu Kiya Tab Unhone Inko Dawayi Dena Band Kar Diya Tha, Jiski Vajah Se Hazaro Musalman Martey […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-13 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Jab America Ne Iraq Par Saddam Husain Ki Pahli Jung Ke Baad Embargo Laagu Kiya Tab Unhone Inko Dawayi Dena Band Kar Diya Tha, Jiski Vajah Se Hazaro Musalman Martey Rahe Saalo-Saal Tak, Sirf “Parastomal” Jaise Dawa Nahi Bana Sakti Koi Muslim Mumalik Uss Tareekh Se Aaj Tak , aur Ye “Parastomal” Itna Aam Pain-Killer Hai Jo 2 Rs. Me Pura Patta Milta Hai ,

Tou Aaj Hum Inke Bheek Aur Deyn Par Munassar Hai , Wo Dey-Dey Tou Hum Jiye, aur Na De Tou Mar Gaye, Yeh Haal Hai Humara. Jo Qoum Deney Waali Thi Aaj Leney Waali Ban Gayi Hai.

Jabki Wo Humare Aaba-O-Ajdad They Jinhone Duniya Ko Chalna Sikhaya , Aasman me Udney Ka Fun Diya, Duniya Ko Deeni aur Duniyawi Dono Taalim ke Liye Ubhara! Lekin Aaj Humne Duniyawi Ilm Ko Fizul Kehkar Chorr Diya.

✦ ALGEBAR (Father Of Modern Chemistry):

Jabir Ibn Hayyan
ALGEBAR (Jabir Ibn Hayyan) – Father Of Modern Chemistry

Inka Asal Naam “Jabir Ibn Hayyan” Hai.. Inhe “Father Of Modern Chemistry” Kaha Jata Hai.. Inhone Kimiya Country Ke Andar Naye-Naye Inkashafat Kiye, Naye Tajurbaat Kiye, Aur Aisi Buniyadi Cheeze Batayi Jis’se Aaj Modern Chemistry Judi Hui Hai, Aur Inke Bagair Chemistry Ki Buniyaad Nahi Ho Sakti Thi.

✦ AL-HASAN (Father Of Modern Optics):

Aapne Yeh Naam Bhi Sune Honge, Inka Asal Naam “Ibn Al-Haytham” Hai, Yeh Wo Shakhs Hai Jinhe Hum Keh Sakte Hai “Father Of Modern Optics”.. Optics Yaani Chasme Jo Hum Laga Rahe Hai, Camere Jo Chal Rahe Hai, Tamam Cheezo Ke Ye Baani (Founder) Kehlatey Hai. Isliye Ke Yeh Pahle They Jinhone Sabse Pahla Camera Banaya Tha “Pinhole Camera”.

* Inohne Yeh Ijad Kiya Ke Roshni Sidha Chalti Hai, Tedha-Medha Nahi Chalti, Ye Inkashafat Inhone Hi Kiya, Ke Roshni Jab Sidha Chalti Hai aur Jab Ek Chotey Surakh Ki Taraf Jaati Hai Tou Usme Ja Kar Wo Jo Hai Ulti Hoti Hai, Aur Uske Barakz Aks Samne Ulta Banati Hai, Matlab Agar Roshni Kisi Surakh Me Se Jayengi Tou Udhar Aks Ulta Banayengi Aur Inhone Inki Isi Theory Par Pahli Baar ‘Pinhole Camera’ Banaya.

al hasan
AL-HASAN (Father of Modern Optics / Camera )

* Ye Ek Chadar Lekar Ek Kamra Banatey They Jo Andhere Me Hota Tha Pura aur Isme Ek Bareek Surakh Karte They, Uss Surakh Se Jab Roshni Aati Tou Samne Ki Cheezo Ka Aks Uss Deewar Par Ulta Padta , Ek Image Banti, Photo Banti Samne Jisey ‘Reflections on the Optics’ Kaha Jata Hai.

Tou Isi Inkashaf Ke Tehat Aankhe Kaisa Dekhti Hai Yeh Bhi Formula Dhund Nikala ,  Aur Usi Theory Se Inhone “Optics” Ijad Kiya Jiska Aaj Hum Sab Behisab Fayda Utha Rahe Hai. Jaise Ki ‘Chasme’ Hum Sab Lagatey Hai Na, Ibn Al-Haytham Ko Sawab Pohochta Hoga Kyunki Inhone Hi Ijad Kiya Tha Iss Cheez Ko, Ke Aankh Kaise Kaam Karti aur Agar Kamzor Ho Jaye Tou Kaise Inhe Shishe Ke Jarye Hisab Me Laya Jaye.

Isi Tarha Camere Ki Ijad Bhi Inhone Ki. aur Camera Lafz Khud Arbi Zuban se Aata Hai , “Al-Kamra” Jiska Mana Hota Hai Andhere Me Ek Chota Sa Camra.

Tou Ye Musalmano Ki Ijadad Hai Jin Cheezo Ko Dekhkar Aaj Hum Sirf Aahe Bhar Sakte Hai, Yeh Humare Hi Baap-Daaado Ki Wirasat Hai Jo Insano Ne Le Kar Fayda Uthaya ,.. Inkashafat Kiye ,.. Uspar Tajurbaat Kiye ,..

* Aur Yeh Pahle Shaksh They “Ibn Al-Haytham” Jisne Yeh Kaha Ke – “Har Baar Koi Baat Kehde Tou Sun’na Jaruri Thodi Na Hai! Hum Khud Tajurbat Karenge.. ” Aur Tajurbaat Wo Karte Rahe Aur Challenge Kiya Inhone Puri Greek Science Ko Jo Tajurbaat Nahi Karti Thi.

* Greek Science Ye Kehti Thi Ke Aankho Me Se Ek Roshni Nikalti Hai, Jo Cheezo Ko Ja Kar Lagti Hai, Jis’se Hum Dekh Patey Hai .. Ispar Ibn Al-Haytham Ne Kaha Ke Bebuniyadi Baat Hai Yeh ,..
Kyunki Agar Aankho Se Roshni Nikalti Hai Aur Hum Dekh Sakte Hai Cheezo Ko Tou Raat Ko Hum Kyu Nahi Dekh Paate ? ,…

“Darhakikat Roshni Hoti Hai Jo Cheezo Se Takra Kar Humari Aankho Me Jaati Hai! Naa Ke Humare Aankho Me Se Roshni Nikalti Hai..”

* Aur Naye Naye Falsafat Diye, Nayi Nayi Soch Di, Naye Naye Ijadad Kiye, Aise Ijadad Jinse Insaniyat Ko Kayi Fayde Pohach Rahe Hai Aaj ,..

♥ In’sha’Allah-ul-Azeez ! Agle Part Me Hum Aise Hi Musalman Scientist Ka Aur Unke Ijadad (Discoveries) Ka Zikr Karnge Jinhone Duniya ko Apne Aise Uloom Diye Jiske Bagair Technology Industries Wajud Me Nahi Aa Paati,..

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-13 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-13/feed/ 0 16958
Ilm Ki Ahmiyat: Part-12 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-12/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-12/#respond Tue, 06 Jan 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-12/ Ilm Ki Ahmiyat 12✦ AVERROES (Ibn Rushd): Jo Log Falsafa(Philosophy) Padhtey Hai Wo Jarur Jantey Honge Averroes Ko, Inka Asal Naam “Ibn Rushd” Tha ,Ye Bohot Badey Falsafi (Philosopher) They, aur Tamam Ki […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-12 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ AVERROES (Ibn Rushd):

Averroes Ibn Rushd
Averroes (Ibn Rushd) – Philosopher

Jo Log Falsafa(Philosophy) Padhtey Hai Wo Jarur Jantey Honge Averroes Ko, Inka Asal Naam “Ibn Rushd” Tha ,Ye Bohot Badey Falsafi (Philosopher) They, aur Tamam Ki Tamam Jitni Bhi Paintings “Leonardo Da Vinci” Ne Banayi Jo Bohot Mash’hur Italiyan Painter Tha! Wo Jarur Apni Paintnings Me Har Jagah (Aksar Paintings Ke) Koney Me Kahi Na Kahi Ibn Rushd Ko Khada (Mention) Karta Hai Ke Yeh Iss Musalman Scientist Ki Deyn Hai Jo Europe Ke Andar Renaissance (Tabdili ) Aayi.

* Aur Europe Ki Tabdili Ka Wakiya Hai Ke – Jab Ibn Rushd Ne Pahli Kitab Likhi Aur Kaha – “Ke Agar Mai Imaan Lata Hu Apne Rab Par Tou Jaruri Nahi Ke Mai Duniya Me Inkashafat Na Karu, Balki Mera Rab Yeh Ijajat Deta Hai Ke Uspar Iman Latey Hue Uskey Makhlooq Me Uski Kaaynat Me Inkashafat Kiye Jaaye.”
Isliye Church yaani Christianity Ke Nazdik Yeh Akida Tha Ke Agar Tum Imaan Latey Ho Bible Par Tou Inkashafat Karna Haraam Hai ,…

* Lekin Ibn Rushd Ne Kaha Ke Nahi! Haraam Nahi Hai.. Aur Inki Kitab Padhkar Europe Ne Sabse Pahle Ye Tarakki Ki, Ke Majhab Ko Alag Kardo! Kyunki Majahb Ijajat Nahi Deta Duniyawi Ilm Ki ,.. Tou Fir Unhone Majhab Ko Chorr Diya ,.. Lekin Ibne Rushd Ne Kaha Ke – “Aap Deen Par Yaani Akida-e-Tawheed Par Bhi Chal Sakte Hai Aur Sath Me Duniya Me Inkhshafat Bhi Kar Sakte Hai.”
– Isliye Ke Church Yeh Samjhta Tha Ke Agar Koi Inkashafat(Discoveries) Karega Tou Bible Ke Khilaf Ho Jayega ,..


✦ IBN FIRNAS (Father of Modern Aviation):

Abbas Ibn Firnas
Ibn Firnas (Father of Modern Aviation)

Inka Naam “Abbas Ibn Firnas” Tha , Aur Yeh Bohot Mash’hur Scientist Gujre Hai Musalmano Me Se, Jo “Father Of Modern Aviation” Kehlatey Hai , Jitne bhi Aaj Jahaaz Udd Rahe Hai Yeh Inki Deyn Hai, Isliye Ke Ye Pahle Insan They Jinhone Socha Ke Insan bhi Udd Sakta Hai Hawa me , Aur Na Sirf Udd Sakta Hai, Balki Alag Alag Aalat Ke Jarye Tajurbaat(Experiment) Bhi Karte, aur Inhi Tajurbaat Me Inki Wafat Bhi Ho Gayi.

* Yeh Tajurbaat Kiya Karte They Ke Kaisa Insan Udd Sakega, Tou Parindo Ke Paro Ki Banawat Par Gour Karke Inhone Pahla “Glider” Banaya Aur Uspar Khud Sawaar Hokar Apni Soch Ko Duniya Me Sahi Sabit Kar Dikhaya , aur Inki Tajurbaat Ki Tasweero Ko “Leonardo Da Vinci” Ne Apni Paintings Me Dikhaya , aur Inki Painting Ko Log Dekhkar Kehte They Ke – “Dekho Leonardo Kitna Advance Ho Gaya Tha, Kaisi-Kaisi Painting Bana Raha Hai, Jo Cheez Aaj Ijad Ho Rahi Hai Wo Gliders Apne Zamane Me Bana Raha Hai..”

Jabki Yeh Painting Uski Apni Soch Nahi Thi! Balki Usney ‘Ibn Firnas’ aur Digar Muslim Scientist Ki Tajurbaat(Experiments) Bhari Tasweero Ko Apni Painting Me Utaarkar Europe Me Di – “Ke Dekho Musalman Kya-Kya Tarjubat Kar Rahe Hai Aur Tum Kaha Apne Andhere Me Baithe Ho ,.. Apne Dark Ages Se, Iss Andheri Duniya Se Niklo Aur Dekho Muslamano Ko Kaise-Kaise Tajurbaat Kar Rahe Hai, Jao Aur Sikho Unsey ..”

Lihaja Wo Musalmano Ki Inkhashafat Ki Paintings Banakar Diya Karta Tha,.. Jis Se Europe Me Tabdili (Renaissance) Aayi.

* Yeh Musalmano Ki Deyn Hai Ke Duniya Bhar Me Renaissance(Tabdili) Aaya Aur Church Ke Shikanje Se Europe Bacha , Aur Yeh Wo Zamana Tha Jab Europe Ke Andar Inkashafat Karna Haraam Tha.

✦ Inkashaf Ki Wajah se Church ne Galileo Ki Mout Ka Farman Sunaya:

*Telescope ko ijad karne wale Mashoor Scientist “Galileo” Ne Ek Inkashaf Kar Diya Tha, Usney Kaha Ke “Duniya Bich Me Nahi Hai, Suraj Bich Me Hai Aur Dunia Uske Atraf Ghumti Hai..”

– Jabki Bible Kehti Hai Duniya Bich Me Hai Aur Suraj Aur Chand Uske Atraaf Ghumtey Hai ,.. Jab Usney Yeh Inkashaf Kiya aur Likh Diya Tou Usko Church Ne Sunday Prayer Ke Baad Saza Sunayi aur Sadak Par Laa Kar Usko Zinda Jalaya Gaya , Kyunki Usney Bible Ke Khilaf Baat Ki Thi ,..

Tou Yeh Wo Zamana Tha Jab Ek Cheez Bhi Aap Bol Nahi Sakte They Bible Ke Khilaf Uss Zamane Me Musalman Inkashafat Kar Rahe ,.. Naye-Naye Uloom Duniya Ko De Rahe Hai ,.. Muslaman 1000 Saal Aagey Chalti Thi Uss Zamane Me.

*Lekin Aajka Muamla Bilkul Ulta Hi Hai ,.. Isliye Ke Humne Duniyawi Uloom Ko Chorr Diya …

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!! Agley Part Me Bhi Hum Unn Musalman Scientist Ka Zikr Karenge Jinhone Apne Rab Ka Naam Lekar Ilm Haasil Kiya Aur Duniya Ko Kayi Aise Uloom Diye Jo Aaj Humari Zindagi Ka Hissa Hai ,…

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-12 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-12/feed/ 0 16955
Ilm Ki Ahmiyat: Part-11 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-11/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-11/#respond Mon, 05 Jan 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-11/ Ilm Ki Ahmiyat 11Yaad Rakhiye Maazi (Past) Me Humare Halaat Aise Nahi They, Wo Musalman Jo Acche Musalman They Sath Me Duniya Ka Bhi Ilm Khub Rakhtey They. * Badey-Badey Jo Kisi Maslaq […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Yaad Rakhiye Maazi (Past) Me Humare Halaat Aise Nahi They, Wo Musalman Jo Acche Musalman They Sath Me Duniya Ka Bhi Ilm Khub Rakhtey They.

* Badey-Badey Jo Kisi Maslaq Ke Qaazi, Haakim Hua Karte; Sath Me Badey-Badey Scientist Bhi Hua Karte They ,.. Badey-Badey Fun Ke Maahir Bhi Hua Karte They.

* Aur Yeh Musalmano Ki Deyn Hai, Aaj Jo Itni Saari Cheeze Hum Dekhtey Hai, Yeh Humare Aslaf Ki Deyn Hai Jiska Duniya Aaj Fayda Utha Rahi Hai , Yeh Alag Baat Hai Ke Hum Khud Bhul Chukey Hai Apni Tarikh.

* Aayiye Hum Kuch Wakiyaat Dekhtey Hai Ke Maazi Me Musalmano Ne Kaise Kaise Kaarnamo Ko Anjam Diye –
Aapne Kayi Naam Suney Honge Kabhi Samajh Me Aatey Hai Tou Kabhi Nahi Bhi Aateyi ,..

✦ AVICENNA:

Avicina
Avicenna (Ibn Sīnā) – Father of Modern Medicine
Wo Log Jo Tib Ka Shoba(Medicine) Padhtey Hai Unn Tamam Ke Tamam Ne Avicenna Ka Naam Tou Jarur Suna Hoga ,.. 18th Century Tak Inhi Ki Kitabo Se Pura Europe Aur Puri Duniya ‘Ilm-e-Tib’ Haasil Yaani “Modern Medicine” Sikhti Rahi , Yeh Ek Musalman Scientist They Inka Naam “IBN SINA” Tha ,..

– Ye Humare Aslaf They Jinhone Logon Ko Ilm Diya Medicine Ka, Jis Shobey Me Aaj Musalman Pichey Hatt Gaye, Aur Gairmuslim Dekhiye Kis Hadd Tak Aagey Badh Chukey Hai.. Jabki Musalman Baani(Founder) Hai Iss Shobey Ke, Tou Yeh Ilm-e-Tib Ibne Sina Ne Khoj Nikala aur Inhone Ek Qanoon Nikala! Qanoon Fil Tib (The Canon Of Medicine). aur Yeh 17 Jildo Par Mushtmil Sabse Badi Kitab Hai Aaj Tak Ke Likhi Gayi Medicine Ke Upar ,..


✦ AVENZOAR:

Jo Log Medicine Se Talluk Rakhte Hai Wo Jarur Iss Naam Ko Jantey Honge..
Inka Asal Naam “IBN ZUHR” Tha.. Yeh Wo They Jinhone Bohot Saare Aise Aalat(Equipment) Ijad Kiye Jiske Jarye Surgery Ki Jaati Hai, Father of Modern Surgery ,..

ibn zohr
IBN ZUHR – Father of Modern Surgery

*Bohot Saare Aalat Fir Chahey Wo Blades Ki Shakley Ho ,.. Mukhatlif Kism Ke Awjaar Ho, Ye Inhi Ki Deyn Hai , aur Wo Awjaar Jo Inhone Ijad Kiye Aaj Bhi Moujud Hai, Aise Gharo Ke Andar Jaha Log Jama Karte Hai Mukhtalif Purani Cheeze, Aise Museum Me Aaj Bhi Jama Hai, Jo Iss Dour Me Aaj Istemal Ho Rahe Hai Hu-Ba-Hu Waise Hi They Wo Jaise Unhone Banaye. Aaj Tak Istemal Ho Rahe Hai, Chahe Fir Wo Daanto Ke Ilaaj Ke Liye Awjaar Ho, Pait Chirney Ka Muamla Ho Aur Operation Karne Ka Muamla Ho ,.. Chahe Fir Aankho Ke Andar Se Motiya Bind (Eye Cataract) Nikalney Ka Muamla Ho ,.. Musalman Iss Fun Me Maahir They ,..
– Hatta Ke Musalman 700 Saal Europe Ke Pahle Se “Eye Cataract” Hollow Needle Ke Jarye Aasani Se Nikal Letey They. Aur Europe Ne Yeh Practice 1400 C.E. Ke Baad Shuru Ki Wo Bhi Darte-Darte Ke Kahi Insan Andha Na Ho Jaye , Lekin Musalman 7th Century Tak Motiya Bind Nikal Letey They Aasani Se ,..

*Itney Maharat Rakhtey They Iss Field aur Iss Fun Me ,..
– Yeh Musalmano Ki Deyn Hai Yaad Rakhiye ,.. Isliye Ke Unkey Rab Ne Hukm Diya Ke Iqra’ Biāsmi Rabbika Al-Ladhī Khalaqa (Parh Apne Rab Ke Naam Se Jiss Ne Paida Kiya)” Tou Bas Apne Rab Ka Naam Lekar Padh Liya Aur Har Uloom Ke Andar Maharat Haasil Kar Li, Jo-Jo Naafey Aur Halaal Ilm Tha Sab Haasil Kar Liya ,..

♥ In’sha’Allah!!! Agley Part Me Hum Unn Musalman Scientist Ka Zikr Karenge Jinhone Apne Rab Ka Naam Lekar Ilm Haasil Kiya Aur Duniya Ko Kayi Aise Uloom Diye Jo Aaj Humari Zindagi Ka Hissa Hai ,…

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-11/feed/ 0 16953
Ilm Ki Ahmiyat: Part-9 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-9/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-9/#respond Sat, 03 Jan 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-9/ Ilm Ki Ahmiyat 9Jung-e-Badr Ka Wakiya Hum Sab Hi Jantey Hai, Jung-e-Badr Me Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Haare Hue Kaidiyon Se Kaha Ke – “Jo Log Fidiya De Dengey, Unhey […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Jung-e-Badr Ka Wakiya Hum Sab Hi Jantey Hai, Jung-e-Badr Me Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Haare Hue Kaidiyon Se Kaha Ke – “Jo Log Fidiya De Dengey, Unhey Chorra Jayega.. Aur Jo Fidiya Nahi De Saktey Wo Madina Ke 10-10 Baccho Ko Padhna-Likhana Sikha Kar Apni Riihayi Kara Ley”

# Humara Yeh Sawaal Hai Ke: “Unn Kafiro aur Mushriko Ne Madina Ke Baccho Ko Kya Sikhaya Hoga? Ilme Hadees? Ilme Quraan?.. Kya Sikhaya Hoga ? ,…
– Zaahir Si Baat Hai Unhone Ilme Hinsa (Mathematics) Sikhaya Hoga ,.. Isi Tarha Likhna Sikhaya Hoga ,.. Qirat(Padhna) Sikhaya Hoga ,.. Yahi Tou Sab Sikhaya Hoga Jisko Dunyawi Ilm Kehkar Hum Chortey Hai ,..

*Tou Goya Shariyat Duniyawi Ilm Ke Liye Bhi Ubharati Hai.. Padhna Likhna Sikhaney Ka Hukm Deti Hai ,..

✦ Ilm Ka Fayda: Marney Ke Baad Bhi Iska Sawaab:

Isi Tarha Naaf-e-Ilm Badi Faydemand Cheez Hoti Hai Humesha, Aur Ilm Ka Fayda Yeh Hota Hai Ke Marney Ke Baad Bhi Iska Sawaab Milta Hai.. Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Arz Kiya:
– Ke Insan Jab Marr Jata Hai Tou Kya Usko Milta Hai ? …
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke:

“Siwaye 3 Cheezo Ke Usko Kuch Bhi Nahi Milta..”
1. Jismey Pahla Farmaya: Sadqa-Tun-Jaariya, (Yaani Aisa koi Kaam Karke Jaaye Jis’se Insaniyat ko Nafa Ho)
2. Dusra Farmaya: Ilme Yanfahu (Yaani Aisa Koi Ilm Chorrkar Jaye Jis’se Insaniyat Ko Fayda Ho ..)
3. Nek Aulaad Jo Waliden Ke Liye Dua-e-Khair Karey..
– (Muslim, Abu Dawood)

– Tou Pata Chala Ke Agar Insan Koi Ilm Chorrkar Jata Hai Tou Duniya Me Chodey Ilm Se Agar Insaniyat Fayda Uthati Hai Tou Uss Ilm Ka Fayda Uss Marne Wale Ko Milta Hai ,..
*Subhan’Allah Kitni NAYAAB Cheez Hai ,.. Aur Ilm Me Koi Farq Nahi Hai ,..
– Aap Quraan Sikhaiye, Aahadees Sikhaiye, Ilme Hinsa(Mathematics) Sikhaiye, Urdu Sikhaiye Ya English, Hindi, Marathi Sikhaiye Kuch Bhi ,.. Ilm Agar Faydemand Hai Tou Khair Hi Khair Hai ,..

*Usi Tarha Logon Ki Sahuliyat Ka Ilm! Jaise Sadak Banane Ka Ilm, Bridge Banane Ka Ilm, Taamirat Ka Ilm, Acche Makaanat Ka Ilm, Sasti Cheeze Banane Ka Ilm ,.. Kuch Bhi Chorrkar Jayiye Jab Tak Insaniyat Ko Fayda Hoga Tab Tak Uss Banaaney Wale Ko Ajr Aur Sawaab Milega ,..

♥ Subhan’Allah.. Tou Maloom Hua Ke Ilm Ek Jabardast Esaal-e-Sawaab Bhi Hai Humaare Liye ..

✦ Ilm ki Fazilat Ke Taalkuk Se Ek Aur Riwayat Aati Hai Ke

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
Ibadat Karne Wale(Aabid) Par Aalim Ki Badhayi Aisi Hai Jaise Ki Meri Badhayi Tumhare Maamuli Aadmi Par ,..
Phir Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya Ki –
“Logo Ko Bhalayi Sikhane Waley Par Allah Ta’ala Rehmat Naazil Farmata Hai Aur Uskey Farishte Aur Zameen Aur Aasmaan Me Rehne Wale Yaha Tak Ki Chitiya(Ant) Apni Bilo Me Aur Machliya (Fish) Paani Me Uskey Liye Bhalayi Ki Dua Karti Hai.”
– (Tirmizi Sharif )

*Subhan’Allah!!! Andaza Lagaiye.. Iss Aahadees-e-Mubarak me Rasool’Allah Ne Aalim Ki Fazilat Ke Taaluk Se Kitni Naayab Baat Keh Di ,.. Ilm Walo Ki Taarif Ki Gayi Hai, Badhawa Diya Gaya Is Aahadees Me Bhi ..

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-9/feed/ 0 16949
Ilm Ki Ahmiyat: Part-10 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-10/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-10/#respond Sat, 03 Jan 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-10/ Ilm Ki Ahmiyat 10Ilm Insan Ko Duniyawi Gumraahiyo Se Bachata Hai , Ilm Insan Ko Dini Gumrahiyo Se Bachata Hai , Ilm Insan Ko Barjakh Me Bachayega , Ilm Insan Ko Aakhirat Me […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-10 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ilm Insan Ko Duniyawi Gumraahiyo Se Bachata Hai , Ilm Insan Ko Dini Gumrahiyo Se Bachata Hai , Ilm Insan Ko Barjakh Me Bachayega , Ilm Insan Ko Aakhirat Me Nafa Pohchayega ,..

Tou Ilm Badi Azeem Cheez Hai Mere Bhaiyo aur Behno , Aur Aaj Ke Daur Me Tou Mai Kahunga – “Knowledge is Power” (Ilm Taaqat Hai) 

✦ Mafhoom-e-Hadees: Ilm Ki Fazilat ke Talluk se Ek aur Riwayat Aati Hai: Abdullah-Bin-Umro-Bin-Aas (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hajjatul Wida Ke Din Khutba Diya aur Farmaya:

[bs-quote quote=”“ Pohcha Do Logon Tak ! Agar Ek Aayat Bhi Maloom Ho Tou ” ” style=”style-2″ align=”center” author_name=”– (Sahih Bukhari)”][/bs-quote]

*Subhan’Allah!! Jaahir Si Baat Hai Ke Pohchaane Ki Baat Kahi Jaa Rahi Hai Tou Jab Maloom Hoga Ya Maloom Karenge Tabhi Tou Pohchaya Jayega ,.. Lekin Jab Maloom Hi Na Ho Tou Kya Pohchayenge Hum ? ,..

* Aur Aaj Ke Dour Me Jo Kuch Ho Raha Hai Aap Sab Dekh Hi Rahe Hai ,..
*Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Na Tou Farmaan Maloom Hai Na Quraan Maloom! Bus Pohchaya Jaa Raha Hai ,.. Kya Pohchaya Jata Hai Allah Ko Aur Unko Hi Pata Hai ,..
*Tou Ilm Buniyaad Hai Yaad Rakhiye ,..

* Lekin Aaj Hum Dekhtey Hai Ke Log Chahtey Hai Ke Musalmaan Jahil Rahe !!!
– Na Shairiyat Ka Ilm Haasil Kare Aur Na Duniyawi Ilm Me Aagey Badhey ,..
– Aur Ilm Me Shariyat Ke Ilm Ki Baat Ho Tou Uska Sharchasma Quraan Aur Hadees Ke Siwa Aur Kuch Nahi ,..
*Lekin Baaz Log Kahte Hai Ke Quraan Aur Hadees Tum Aam Log Samajh Nahi Saktey, Padhogey Tou Gumraah Ho Jaogey,. Lihaja Door Raho Quraano Hadees Se ! ,.. Subhan’Allah!

*Ek Martaba Ek Aalim Ki Mulaaqat Ek Saahab Se Hui Thi Jo Badey Allama Kahtey They Apne-Aap Ko ,..
Aur Ek Din Kahne Lagey Ke Yeh Jahil Log Jinko Kapde Pehan’ne Ke Aadab Nahi Maloom Wo Badey Ilm Haasil Kar Rahe Hai Quraano-Hadees Ka ,..
*Tou Uss Aalim Ne Kaha – “Ke Yeh Tou Badi Khushi Ki Baat Hai! Aap Jal Kyu Rahe Ho Uss Cheez Se ? ..”
Kitni Acchi Baat Hai Ke Jisko Kapde Pehan’ne Ke Aadab Maloom Nahi Wo Quraano-Hadees Ka Ilm Haasil Kar Raha Hai ,.. – Aaj Ilm Haasil Kar Lega Tou Kal Thik Se Kapde Bhi Pehan’na Sikh Jayega ,..
*Lekin Aap Ye Jalan Kyu Ijhaar Kar Rahe Hai! Yeh Tou Khushi Ki Baat Hai Ke Log Quraano-Hadees Ki Taraf Ruju Kar Rahe Hai ,..

*Tou Aap Jal Rahe Hai Ilm Ke Aam Hone Se! Yeh Tou Yahudi Ulemao Ki Sifat Thi ke Wo Nahi Chahte They Ke Ilm Aam Ho …

✦ Ilm Chupana Yahudiyo ki Ulemao Ki Sifat

Yahudiyo Ki Yahi Sifat Thi Ke Wo Chahtey Nahi They Ke Log Ilm Haasil Karey ,.. Kyunki Agar Log Ilm Haasil Karenge Tou Tauraat Sikhenge, Tou Humaari Jarurat Kaha Padengi ,..
*Aur Fir Kaha Se Hum Inke Maal-O-Doulat Ko Najayaz Tareeke Se Khayenge ,..
*Koi Zina Kar Ke Aagaya Tou Kaise Muaf Karna ? … Maaldaar Ho Tou Chalo Paise Lekar Muaf Kardo ,.. Tauraat Ki Aayat Padh Kar Sunado, Galat Padhke Sunado.. Raddo-Badal Karke Sunado,.. Tou Yahudi Ulema Aam Logon Ko Ilm Se Door Rakhte They Taaki Logon Ki Jahalat Ka Fayda Utha Sakey ,..

# Afoso Ki Baat Hai Ke Yahudiyo Ki Yeh Sifat Aaj Hum’me Bhi Aam Ho Rahi Hai… Aur Hum Bhi Logon Ko Quraan-o-Hadees Se Door Karne Lag Gaye ,..
– Jabki Hume Chahiye Ke Aise Amal Se Bachey Aur Ilm Ko Logon Me Khub Aam Karey Taaki Khud Bhi Jahalat Ke Fitno Se Bach Sakey Aur Auro Ko Bhi Bachaney Ki Puri Koshish Kare ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,.. Ameen …

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-10 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-10/feed/ 0 16951
Ilm Ki Ahmiyat: Part-8 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-8/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-8/#respond Sun, 28 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-8/ Ilm Ki Ahmiyat 8Ek Missal Deta Hu, Ke Kaise-Kaise Inkashafat Quraan Ne Wo Cheezo Ke Baarey Me Bataya Jisko Humne Duniyawi Ilm Keh Kar Chorr Diya ,.. Allah Ta’ala Farmata Hai: Surah Anmbiya […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-8 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ek Missal Deta Hu, Ke Kaise-Kaise Inkashafat Quraan Ne Wo Cheezo Ke Baarey Me Bataya Jisko Humne Duniyawi Ilm Keh Kar Chorr Diya ,.. Allah Ta’ala Farmata Hai: Surah Anmbiya (21) Ayat 30 Me Farmaya: Yeh Itni Behtareen Aayat Hai, Ismey Allah Rabbul Izzat Ne Humari Khalqat Ka Bayan Kiya Aur Farmaya:

[bs-quote quote=”“ Kya Yeh Log Jo Imaan Nahi Laatey Wo Dekhtey Nahi Ke Zameen Aur Aasmaan Ibteda Me Ek They, Humne Inhe Hukm Diya Aur Humare Hukm Se Yeh Dono Alag Ho Gaye.. Har Jinda Cheez Ko Humne Paani Se Paida Kiya! Kya Fir Bhi Imaan Nahi Layenge Yeh Log ? .. ”” style=”style-7″ align=”center” author_name=”– (Al-Quran: Surah Anbiya: 21:30)”][/bs-quote]

# Dekhiye Ek Ayat Ke Andar, 2 Jumlo Me Kaisi Behtareen Baat Bayan Kar Di Allah Ne,

✦ Zameen aur Aasmaan ki Paidaish aur Insan ki Paidaish:

– Ke Zameeno Aasmaan Pahle Ek They! Aaj Science Kehti Hai Ke Zameen-O-Aasmaan Wakaytan Pahle Ek They..
– Aur Fir Ek Bohot Bada Dhamaka Hua, Uss Dhamake Ke Baad Tamam Cheeze Wajud Me Aayi, Zameen, Suraj, Chaand, Sitarey, Keh-Kashaye Isi Tarha Ki Tamam Cheeze Ek Dhamake Ke Baad Wajud Me Aayi.. Aur Iss Dhamake Ko Science Ne Aaj Tasleem Kiya Aur Isey “Big Bang Theory” Ka Naam Diya ,..

* Ab Sawaal Yeh Hai Ke Har Dhamaka Tou Nuksaan Dehi Hota Hai Fir Yeh Zameen-O-Aasmaan Ki Paidaish Kaise Aise Hui Ke Ek Dhamaka Hua Aur Tamaam Cheeze Badd’nazmi Se Nazm Me Aa Gayi ,.. Keh-kashaye Ban Gaye ,… Zameen-O-Aasmaan Ban Gaye ,.. Suraj-Chaand, Sitarey Apni Gardishey Lene Lagey ,..
– Yeh Kaise Ho Sakta Hai Jab-Tak Ke Wo Dhamaaka Kisi Aisi Shakhsiyat Ne Na Kiya Ho Jo Well Organized Aur Well Control Na Ho!! Bulki Nazm Ke Taur Par Aur Jabt Ke Saath Kiya Gaya Dhamaaka Ho Wo ,..

* Tou Jab Aqalmand Log Dekhtey Hai, Gour-O-Fiqr Karte Hai Zameen Aur Aasmaan Ki Paidaish Par Ke Yeh Ek They Aur Allah Ke Hukm Se Alag Ho Gaye Tou Imaan Laney Par Majbur Hotey Hai …
– Isliye Ke Badey-Badey Log Jinhone Falsafa-e-Etika (Theory Of Evolution Jisme Logo Ko yeh Falsafa Diya Tha Ke Sabkuch Khud-Bakhud Ban Gaya) Likhi Wo Log Aaj Maan’ne Ko Majbur Hai Ke Yakinan Koi Hai Jisney Nazm Aur Jabt Ke Saath Yeh Dhamaaka Kiya ,..

* Aur “Stephen Hawking” Yeh Bohot Mash’hoor Aur Maaruf Astrophysicists Scientist Hai, Bohot Badi-Badi Kitabe Inhone Likhi Hai, Aur Wo Likhtey Hai Apne Kitaab “Theory Of Everything” Me Aur Kehte Hai Ke –
“Jo Dhamaka Hua! Jis’se Kaynaat Wajud Me Aayi, Agar Yeh Dhamaka Millionth Of Millionth Second Jyada Ho Jata Yaani Ek Second Ko 10 Lakh Hisso Me Taksim Karo Aur Uss 10 Lakhwe Hisse Ko Fir 10 Lakh Hisso Me Takism Karo Isey Kehte Hai “Millionth Of Millionth Second”
Tou Wo Kahte Hai Ke Millionth of Millionth Second Jyada Hota Tou Kaynaat Wajud Me Nahi Aati Aur Kum Hota Tou Bhi Wajud Me Nahi Aati ,..” Subhan’Allah!!

* Itna Dhamaaka Nazm Aur Jabt Ke Saath Kiya Gaya Ke Kaynaat Wajud Me Aa Jaye ,..
– Aur Quraan Ne Yeh Baat 1400 Saal Pahle Hi Bayan Kar Di Ke Allah Ke Hukm Se Bohot Bada Dhamaka Hua (Big Bang) Aur Uss Dhamaake Se Kaynaat Ko Wajud Me Laya Gaya ,..

• Isi Ayat Ke Agley Hissey Me Allah Ta’ala Farmata Hai:

[bs-quote quote=”“ Humne Tamam Zinda Cheezo Ko Paani Se Paida Kiya, Tou Kya Fir Bhi Imaan Nahi Laoge,. ”” style=”style-7″ align=”center” author_name=”– (Al-Quran: Surah Anbiya: 21:30) “][/bs-quote]

– Aaj Hum Apni Paidaish Ko Dekhey, Jaanwaro Ki Paidaish Ko Dekhey, Tamam Jaandar Ki Paidaish Ko Dekhey Tou Pata Chalta Hai Ke Paani Ka Ek Bohot Bada Hissa Hota Hai ,..
– Balki Science Yeh Kahti Hai Ke “Pahli Makhluq Tou Paani Me Hi Paida Hui Hogi” Jisey “Amiba (Amoeba)” Ke Naam Se Science Ne Tasleem Bhi Kar Liya ,..

# Aur Jaahir Si Baat Hai Ke – Har Jism Me Paani Hota Hai Aksariyat Hissa ,..
– Insani Jism Cell Se Bana Hota Hai Aur Har Cell Ke Andar Jo Cytoplasm Hota Hai Ek Hissa Jisme 50% Lekar 90% Paani Hota Hai Aur Insani Jism Me Mukammil Taur Se 72% Paani Hota Hai.. Yeh Baat Tou Rabbul Izzat Ne Batla Di Ke Har Zinda Cheez Ko Humne Paani Se Banaya Fir Bhi Imaan Nahi Laoge ? (Subhan’Allah)

# Tou Pata Chala Ke Yeh Baat Tou Janta Hai Momin… Aur Kyu Na Ho ? ….
– Ek Martba Ek Maahire Jananiyat Yaani “Human Embryology” Ka Maahir Ek Shaksh Tha Uska Kisine Interview Liya Aur Kaha Ke – “Insani Janiniyat Ke Jo Stages Tum Batatey Ho (Yaani Baccha Maa Ke Pait Me Kin-Kin Haalato Se Gujarta Hai), Yeh Baate Tou ‘Ibn-Khayyam-Al-Jauzi’ Ne 750 Saal Pahle Likhi Hai …”
Tou Uss Scientist Ne Jawaab Diya Jo GairMuslim Tha Ke – “Ibn-Khayyam-Al-Jauzi Ne Kiya Hi Kya?… Usney Tou Sirf Quraano-Hadees Ko Lekar Naql Kar Diya! Lekin Mehnat Tou Humne Ki Usey Saabit Karne Me”
Subhan’Allah!!! Dekhiye Uskey Iss Tanz Me Jawaab Diya Usne Ek Cheez Ka –
“Ke Islam Itna Aagey Tha Uss Zamane Me Bhi Ke Khaali Tum Copy Karlo Lekar Bhi Tou Tum Haq Par They ..”

*Tou Iske Iss Radd Me Bhi Ek Jabardast Inkashaf Tha Ke Islam Hi Ne Haqeeqi Ilm Diya Duniya Ko, Tou Yaha Bhi Tarji Di Jaa Rahi Hai Duniyawi Ilm Ko Haasil Karne Ke Liye …

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-8 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-8/feed/ 0 16947
Ilm Ki Ahmiyat: Part-7 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-7/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-7/#respond Sat, 27 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-7/ Ilm Ki Ahmiyat 7Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Baar Baar Musalamno Ko Ubhara Hai Duniyawi Ilm Haasil Karne Ke Liye, Sharayi Ilm Tou Yakinan Haasil Karna Hai Yeh Tou Buniyaad Hai Iski… […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-7 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Baar Baar Musalamno Ko Ubhara Hai Duniyawi Ilm Haasil Karne Ke Liye, Sharayi Ilm Tou Yakinan Haasil Karna Hai Yeh Tou Buniyaad Hai Iski… Lekin Uskey Saath-Saath Duniyawi Ilm Bhi Haasil Karna Hai ,.. Jo Bohot Se Logone Isko Tark Kar Diya …

• Momin Ki Sifat Ke Wo Zikr Karte Hai Allah Ka –

Allah Rabbul Izzat Iske Talluk se Quraan me Ek Jagah Farmata Hai :

[bs-quote quote=”“ Yakinan Zameen-O-Aasman Ki Paidaish Me, Aur Raat Aur Din Ke Aane Aur Jaane Me Aqalmand Logon Ke Liye Nishaniya Hai, Ke Yeh Aqalmand Log Allah Ka Zikr Karte Hai Khadey Se, Baithey Se Aur Apni Karwato Par Aur Ye Log Fiqr Karte Hai Zameen-O-Aasmaan Ki Paidaish Me.. Aur Jab Fiqr Karte Hai Aasmaan Aur Zameen Ki Paidaish Me Tou Kahte Hai Ke – “Aye Allah! Tuney Beja Nahi Paida Kiya Inn Tamaam Cheezo Ko! Teri Zaat Paak Hai. Mujhe Aag Ke Azaab Se Bacha. ”” style=”style-7″ align=”center” author_name=”- (Al Quran; Aale Imran: 3:189-190)”][/bs-quote]

– Tou Yaha Allah Ta’ala Ne Momino Ki Sifat Batayi Hai Ke Allah Ka Zikr Aur Kaaynat Ke Andar Fiqr Karte Hai Momin ,.. Ab Afsos Ki Baat Hai Ke Jaha Zikr Hona Tha Waha Fiqr Shuru Kar Diya Humne Aur Jaha Fiqr Hona Tha Waha Zikr Karte Reh Gaye ,..

# Zikr Karna Hai Deen Ka!

Ismey Fiqr Nahi Karna.. Haa! Gour Karna Alag Baat Hai … Aisa Kyu Aur Waisa Kyu? Aur Falah Falah …
Bus Yeh Kehna Ke – “Aye Allah Mujhe Samjh Nahi Aa Raha Tu Mujhe Deen Ko Samjhney Ki Taufiq Dey,..” Lekin Ismey Fiqr Nahi Karna Hai…
Kyunki Shariyat Tou Bani-Banayi De Di Gayi Sabse Behtareen. Aur Ab Ismey Koi Naye Aqaid Ijaad Nahi Karna …

# Fiqr Tou Karna Hai Zameen–O-Aasman Me, Kaaynaat Me:

Tou Goya Agar Musalmaan Duniya Ke Andar Ijadad Kartey Hai, Discoveries Karte Hai, Inventions Karte Hai, Inkashafat Karte Hai Tou Iski Ijajat Hai …
Lekin Musalmaano Ne Duniya Me Tou Ijadad Chorr Diye.. Deen Ke Andar Ijadad Kiye Naye-Naye Aqaiad… Subhan’Allah

# Jaha Zikr Tha Waha Fiqr Karne Lagey Hum aur Jaha Fiqr Tha Waha Zikr Karne Lage.

* Duniya Me Sirf Zikr Hi Kar Rahe Hum –
“Ke Dekho! Kitne Acche-Acche Mobile Bana Rahi Hai Wo Companies”,
Shour Nahi Aa Raha Ke Hum Kyu Nahi Bana Saktey Aesi Cheeze? Humare Mumalik Kyu Nahi Bana Sakte?
Itni Acchi Acchi Goliya Aur Kitne Acche Acche Equipments Ijaad Karey Jis’se Insaniyat Ko Nafa Pohchey, Yeh Sab Hum Kyu Nahi Bana Sakte Tamaam Cheeze?

* Aur Jaha Ziqr Tha Waha Fiqre Shuru Kar Di –
“Mai Sochta Hu Yeh Hadees Aise Nahi Aise Hoti Tou Kitna Acha Hota?
Mai Sochta Hu Quraan Ko Padhney Se Accha Galey Me Latkaya Jaye Tou Jyada Sawaab !! Subhan’Allah…”

# Tou Kya Shariyat Humari Manmani Tareeke Se Chalne Waali Hai ? …. Nahi!! Bilkul Nahi!

# Lihaza Allah Ke Liye Hume Inn Baato Par Gour Karna Chahiye Ke Humara Rab Humse Kya Chahta Hai ? Aur Yeh Baat Siwaye Ilm Ke Hume Maloom Hona Na’mukin Hai .. Aur Ismey Dono Ilm Shaamil Hai …

Tou Allah Rabbul Izzat Ne Momino Ki Sifat Me Bayan Kar Diya Ke Yeh Ziqr Karte Hai Allah Ka Aur Fiqr Karte Hai Duniyawi Uloom Ka ,…

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-7 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-7/feed/ 0 16945
Ilm Ki Ahmiyat: Part-5 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-5/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-5/#respond Fri, 26 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-5/ Ilm Ki Ahmiyat 5Yeh Duniyawi Ilm Bhi Yaad Rakhiye Hissa Hai Dini Uloom Ka Kyunki Bohot Se Log Samjhtey Hai Ke Geography, Physics, Mathematics, Biology, Anatomy Aur Digar Jo Bhi Subjects Hotey Hai […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-5 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Yeh Duniyawi Ilm Bhi Yaad Rakhiye Hissa Hai Dini Uloom Ka Kyunki Bohot Se Log Samjhtey Hai Ke Geography, Physics, Mathematics, Biology, Anatomy Aur Digar Jo Bhi Subjects Hotey Hai Yeh Sab Islam Se Hatkar Hai! Jabki Yeh Islam Ka Hissa Hai Yaad Rakhiye ,..
*Kyunki Jab Insan Zameen aur Aasmaan Ka Ilm Haasil Karta Hai Jis’se Uske Rab Ki Marifat Usey Haasil Hoti Hai Tou Yakinan Uska Imaan Aur Pukhta Ho Jata Hai ,..

• Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Baar-Baar Tazkira Kyu Kiya?

“Ke (Aye Ibne Aadam) Kya Tum Apni Paidaish Ko Nahi Dekhtey?”
* Kya Muraad Hai Yaha Kounsey Ilm Ki Baat Ho Rahi Hai?
Zaahir Si Baat Hai Yaha Paidaish Ka Ilm Yaani Embryology Ki Baat Ho Rahi Hai…
Ke Insani Janiniyat Kaisa Badhta Hai Apni Maa Ke Pait Me?

Tou Rabbul Izzat Apne Bando Se Farma Raha Hai Ke Mere Bando Tum Apne Paidaish Par Gour Nahi Karte? Agar Gour Karoge Tou Yakinan Dobara Uthaye Jaaney Par Jarur Imaan Laaoge…
Isliye Ke Pahli Baar Tou Hum Tumhe Bagair Kisi Cheez Ke Paida Karte Hai, Sirf Paani Hotey Ho, Lekin Baadme Tou Bohot Kuch Hota Hai Uthaney Ke Liye (Roze Qayamat) Me …

# Insan Yahi Sochta Hai Na Ke Kaise Roze Qayamat Hume Uthayega Allah ?
Iska Jawaab Quraan Me Kayi Jagah Hume Batlaya Gaya Hai – Jaise Ek Aayat me Quraan Kehta Hai Ke –

[bs-quote quote=”“ Allah Hi Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta Hai Wo Hi Uss Ko Phir Paida Karega Phir Tum Ussi Ki Taraf Laut Jaoge. ”” style=”style-2″ align=”center” author_name=”- (Al-Quran; Surah Room 30:11)”][/bs-quote]

* Tou Yaha Bhi Rabbul Izzat Yahi Farmata Hai Ke Dekho Tum Apni Paidaish Ko, Pahli Baar Tou Paani Hotey Ho, Do Paani Ko Milaakar Hum Tum Ko Banatey Hai, Baadme Tou Haddi, Chamda Kya-Kya Nahi Bachta Hai Uthaaney Ke Liye.. Tou Kya Mumkin Nahi Humare Liye Ke Hum Tumhe Wapas Khada Kar Sakey ?

# Aise Hi Beshumaar Sawalat Hai Jo Quraan Hume Duniyawi Uloom Par Mutawwajo Karne Ko Ubharta Hai –
* Ke Dekho Aasman Se Allah Baarish Kaise Barsaata Hai ?
* Kya Dekhtey Nahi Allah Ne Zameen Par Apni Makhlukaat Ko Kaise Faila Rakha Hai ?
* Kya Tumney Dekha Nahi Ke Allah Ne Zameen Me Se Kaise Tumhare Liye Rizq Ata Kiya ?
Kya Ye Saare Sawaal Hume Dawat Nahi Deti Wo Tamam Uloom Ki Taraf Jisey Duniyawi Ilm Samajh Kar Humney Chorr Diya ,…

# Lihaja Yaad Rakhiye Ye Dono Ilm Shariyat Ka Hissa Hai !!

✦ Ek Sharayi Ilm Hota Hai, Dusra Kouneni Ilm Hota Hai!

(Religious Knowledge and Universal Knowledge)
1. Ek Shariyat Ka Ilm Jo Quraano Hadees Me Milta Hai ,..
2. Dusra Kaaynat Ka Ilm Jisey Insan Haasil Karke Apne Rab Ki Marifat Haasil Karta Hai, Apne Rab Ke Kareeb Aata Hai, Balki Bohot Se Martba Log Kouneni Ilm (Kaaynat Ko Dekhkar) Apne Haqiki Rab Ki Taraf Aatey Hai ,…

♥ Nabi-e-Kareem ( ﷺ) Nabuwat se Pahle Kounsi Ibadat Karte They ?

Aahadees Me Aata Hai Ke Jaa Kar Gaare Hira Me Kayi-Kayi Din, Haftey, Mahine Waha Rehte Aap (ﷺ). Gaare Hira Ki Gufa Me Rehte Aur Sirf Zameen aur Aasmaan Ko Dekhte aur Kahtey “Yeh Laat, Yeh Manaat, Ujja Aur Yeh Digar Mabood Jo Patthar Aur Mitti Ke Logone Bana Rakhe Hai! Yeh Rab Nahi Ho Saktey ..”
Itni Badi Kaaynat Jo Chal Rahi Hai Yeh Mabood Jo Itney Chotey-Chotey Hai Aur Itni Naaqis Aur Halki Cheezo Se Baney Hai Yeh Tou Rab Nahi Ho Sakte” Sirf Gour-O-Fiqr Hii Aapki 40 Saal Ki Ibadat Hua Karti Thi.

# Tou Kabhi-Kabaar Yeh Ilm Wajah Banta Hai Logon Ko Haq Ki Taraf Aaney Ki,. aur Aise Kayi Wakiyat Tarikh Me Bhare Padey Hai… Tou Maloom Hua Ke Humey Dono Ilm Haasil Karna Hai …

♥ In sha Allah! Aagey Ke Parts Me Hum Dekhenge Ke Kaaynat Ke Wajud Me Aaney Ka Ilm Allah Rabbul Izzat Ne Kis Tarha Se Quraan Me Bayan Kiya, Aur Aaj Ki Morden Science Ne Kis Tarah Se Iss Theory Ko Tasleem Kiya Jiska Zikr Allah Ne 1400 Saal Pahle Hi Kar Diya …

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-5 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-5/feed/ 0 16941
Ilm Ki Ahmiyat: Part-6 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-6/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-6/#respond Fri, 26 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-6/ Ilm Ki Ahmiyat 6Jaha Quraan Me 6600 Se Jyada Ayate Hai Usmey Se Kamobesh 1000 Se Jyada Aayate Uss Uloom (Subject) Par Hai Jisko Hum Duniyawi Ilm Bolkar Chorr Detey Hai ,.. *Jaise […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Jaha Quraan Me 6600 Se Jyada Ayate Hai Usmey Se Kamobesh 1000 Se Jyada Aayate Uss Uloom (Subject) Par Hai Jisko Hum Duniyawi Ilm Bolkar Chorr Detey Hai ,..
*Jaise Zameeno-Aasmaan Ki Paidaish, Humare Khud Ki Paidaish, Chareend aur Parind Ke Taalluk Se , Aasmaan Se Paani Barasney Ke Talluk Se , Allah Ta’ala Ne Kaaynat Ko Kaise Banaya? , Kis Tarha Se Kaynaat Ka Nizam Chalaya? ,..
Tamam Tar Wo Tafseelat Deti Hai Jisko Humne Duniyawi Uloom Keh Kar Chorr Diya ,.. Jabki Yeh Bhi Deen Ka Hissa Hai, Aur Jo Shakhs Isko Bhi Deeni Aitbaar Se Khaalis Niyat Se Haasil Karta Hai Allah Ke Nazdeeq Yeh Amal Bhi Uska Ibadat Hai Yaad Rakhiye ,..

# Misaal Ke Taur Pe

Ek Aayat Pesh Karne Ki Koshish Karte Hai, Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Farmaya :

[bs-quote quote=”Beshaq! Zameen-O-Aasman Ki Paidaish Me, Aur Raat Aur Din Ke Aaney Jaaney Me, Aur Badey Badey Jahaaz Jo Paani Par Chaltey Hai Aur Jo Insaniyat Ko Nafabakhsh Cheeze Detey Hai, Aur Aasman Se Baarish Barasney Me, Aur Fir Murda Zameen Ke Zinda Hone Me, Uske Baad Tamam Kism Ke Jaanwar Usmey Allah Faila Deta Hai, Aur Inn Hawaao Ke Chalney Me, Jo Unchey-Unchey Pahaad, Unchey-Unchey Baadal Jo Aasmaano Ke Maanind Hotey Hai Aasmaan Aur Zameen Ke Bich Me Latke Hotey Hai Unko Lekar Chalti Hai Ye Hawa!
Aqlmand Qoum Ke Liye Inn Tamaam Ke Andar Nishaniya Hai..” style=”style-7″ align=”center” author_name=”- (Al Quran; Surah Baqra, 2:163-164)”][/bs-quote]

*Subhan’Allah! Gour Karne Waali Baat Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Iss Ayat Me Taarif Ki Hai Unn Logon Ki Jo Apne Aqal Ka Istemaal Karte Hai Apne Haqeeki Rab Ki Marfat Haasil Karne Ke Liye …

# Ab Mujhe Batayie Ke Kitne Uloom Ismey Hai Jisey Humne Duniyawi Kehkar Chorr Diya!
* Aasman Se Baarish Barasney Ka Ilm,
* Zameen-O-Aasman Ka Ilm! Jisko Hum Astronomy Kehte Hai,
* Ismey Geology, Botany, Physics, Biology, Isme Kya Kya Uloom Hai Jo Ek Ke Baad Ek Aa Rahe Hai …
• Ke Kaise Hawaye Chalti Hai ?
• Kaise Baadal Sarkatey Hai?
• Kaise Paani Barasata Hai?
• Yeh Jahaaz Dubtey Kyu Nahi Paani Me Itney Badey Hone Ke Bawajud ?

Isi Tarha Yeh Zameen Jo Murda Hoti Hai, Sukhi Hoti Hai ,.. Ek Baarish Barastey Hi Kaise Ismey Ped-Poudhey Ugtey Hai, Chidya Aa Jaati Hai, Kidey Makode Paida Ho Jatey Hai, Paani Aagaya Tou Machliya Ho Gayi, Aur Ek Puri Banjar Zameen 2-4 Baarish Me Behtareen Ek Ecological System Ki Tarha Ban Jata Hai …
Ismey Jaanwar Hai, Chareend Hai, Pareend Hai, Aur Tamaam Cheeze Shuru Ho Jati Hai …
Ismey Farmaya Ke – “Unn Logon Ke Liye Nishaniya Hai Jo Aqal Rakhti Hai ..”
Bewakufo Ke Liye Tou Kuch Bhi Nahi Ismey ,…

# Lihaja Yaha Ubhara Jaa Raha Hai Ke Haasil Karo Yeh Ilm Ta’aki Isko Dekh Kar Tum Apne Rabb Ki Marifat Haasil Karo, Uska Shukr Bajaa Lao Ke Humara Rab Hum Gunehgaaro Ke Liye Kaisi-Kaisi Sahulatey Paida Karta Hai ,…

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-6 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-6/feed/ 0 16943
Ilm Ki Ahmiyat: Part-4 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-4/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-4/#respond Thu, 25 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-4/ Ilm Ki Ahmiyat part 4✦ Ilm Kya Hai ? Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Ek Martba Sawaal Kiya Gaya Ke: ‘Ilm Kya Hai?’ Aapne Farmaya: “Ilm Wo Hai Jo Allah Ki Kitaab Me […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-4 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Ilm Kya Hai ?

Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Ek Martba Sawaal Kiya Gaya Ke: ‘Ilm Kya Hai?’
Aapne Farmaya: “Ilm Wo Hai Jo Allah Ki Kitaab Me Hai , Yaani Jo Allah Ne Kaha Wo Ilm Hai , Aur Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha Wo Ilm Hai , Aur Koi Shakhs Yeh Kahe Ke ‘Mujhe Nahi Malum! Yeh Bhi Ilm Hai,. Yaani Uss Se Koi Sawaal Kiya Jaye aur Jawaab Na Maloom Ho Tou Sach-Sach Keh Dey Ke Mujhe Nahi Maloom Yeh Bhi Ilm Hai.

Isliye Ke Baaz Log Apni Shaan Ko Barkarar Rakhne Ke Liye Kuch Bhi Jawaab De Detey Hai ,..
Lekin Inn Jhute Jawaab Deney Walo Se Behtar Wo Shakhs Hai Jo Saaf Saaf Kehde Ke Mujhe Nahi Maloom ,..
Isiliye Ke Yeh Kahne Ko Bhi Insan Ko Bohot Bada Dil Lagta Hai …

✦ Hume Iss Duniya Me Rehte Huey Hi Deen Par Chalna Hai:

Tou Hume Chahiye Ke Khub Se Khub Ilm Haasil Kare,.. Aur Jaahir Si Baat Hai Ke Dini Ilm Ke Sath Duniyawi Ilm Hamesha Juda(Saath) Hi Rehta Hai,..
Lekin Duniyawi Ilm Ke Sath Dini Ilm Humesha Juda(Saath) Nahi Hota ,..
Yeh Baat Hum Isiliye Keh Rahe Hai Ke, Jab Hum Quraan Ka Muta’ala Kare Tou Quraan Ne Kabhi Farq Nahi Kiya Inn Uloom Ke Andar .. Aur Shariyat Ne Kabhi Deen Aur Duniya Me Farq Nahi Kiya ,…
Isliye Kyunki Duniya Me Rehkar Hi Tou Hume Deen Par Chalna Hai ,…

✦ Jaise Misaal Ke Taur Pe: “Agar Mai Kahu Ke Paani Ka Jahaaz Chal Raha Hai.. Tou Aap Kaha Tasawwur Karoge Ke Kaha Chal Raha Hai ?,..  Registaan Me, Sehra Me, Pahado Par Ya Hawa Me ?

*Zaahir Si Baat Hai Ke Paani Ka Jahaaz Tou Paani Par Hi Chalega , Tou Agar Me Kehta Hu Ke Mai Deen Par Chal Raha Hu Tou Zaahir Si Baat Hai Ke Duniya Me Rehkar Hi Deen Pe Chalunga. Duniya Ko Chorrkar Tou Nahi Chal Paunga Na Deen Par.

Lihaja Shariyat Ne Deen Aur Duniya Me Farq Nahi Kiya Kabhi…
Lekin Farq Kiya Hai Dunia Aur Aakhirat Me …
Allah Ne Baar-Baar Kaha Ke – “Yeh Duniya Hai Aur Wo Aakhirat”,  “Yeh Duniya Hai Aur Wo Aakhirat”
Aur Quraan Me Jitni Martaba Duniya Ka Lafz Aaya Hai Utni Martba Aakhirat Ka Bhi Lafz Aaya Hai..
Tou Hume Iss Duniya Me Rehte Huey Hi Deen Par Chalna Hai, Deen Aur Dunia Me Farq Nahi Karna Kabhi.,..

✦ Deen aur Duniya me Farq Karne ka Natija:

Aur Jab Humne Deen Aur Duniya Me Farq Kiya Tou Mu’amlaat Me Farq Kiya,.. Aamal Me Farq Kiya,.. Akhlaq Me Farq Ho Gaya.
* Masjid Ke Akhlaq Dekhiye Aur Tijarat(Business) Ke Akhlaq Dekhiye!!
* Masjid Me Dekhiye Koi Banda Jhuth Nahi Bol Raha, Aur Tijarat Me Dhada-dhad Jhuth Bol Raha Hai …
* Masjid Me Hai Tou Taqwa Ikhtiyaar Kar Raha Hai, Aur College Ja Raha Hai Tou Logon Ke Saath Ched-Chad Kar Raha Hai, Logon Ko Takleef Pohcha Raha Hai.
Yeh Farq Isiliye Hua Ke Humne Deen Aur Duniya Me Fark Kiya.
Lihaja Hume Iss Duniya Me Rehte Hue Hi Deen Par Chalna Hai.

Haa! Lekin Jab Ilm Ki Baat Aayegi Tou Tarji Tou Yakinan Deeni Ilm Ko Di Jayegi,. Isliye Kyunki Hadees Ka Mafhoom Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya –

[bs-quote quote=”“ Jab Allah Kisi Ko Pasand Karta Hai Tou Usey Deen Ki Samajh Ata Karta Hai ”” style=”style-2″ align=”center” author_name=”- (Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan,71)”][/bs-quote]

Tou Pata Chala Foukiyat(Importance) Tou Dini Ilm Hi Rakhta Hai Humesha,. Ahmiyat Tou Dono Ilm Ki Hai, Haasil Dono Karna Hai Lekin Jyada Important Tou Dini Ilm Hi Me Hai .. Isliye Ke Deeni Ilm Me Duniyawi Ilm Chupa Hua Hai,

Jaise: * Zameeno Aasman Ka Ilm Quraan Me Wajeh Taur Par Allah Bayan Kar Raha Hai.
* Suraj Aur Chaand Ke Talluk Se Quraan Baar Baar Tazkira Karta Hai ,..
* Qaaynat Me Kis Tarha Se Allah Ne Makhluqaat Ko Failaya Uska Tazkira Karta Hai ,..
* Koi Mar Jaye Tou Kis Tarha Wirasat Ko Taksim Kiya Jaye Iska Ilm (Ilm-e-Hinsa) Yaani Mathematics Ka Ilm Allah Quran Me Deta Hai ,..
Tou Goya Banda Wakaytan Deen Ka Ilm Haasil Kare Tou Bohot Sara Duniya Ka Ilm Khud-Ba-Khud Haasil Kar Leta Hai, Lihaja Awwal Tarjiyat Dini Ilm Ko Hi Di Jayegi. Aur Isimey Duniyawi Ilm Shaamil Hai ,. Isko Chorna Nahi Hai.

* Warna Dini Aur Duniyawi Ilm Me Farq Karne Ka Natija Ek Yeh Hua Ke Dini Ilm Alag Aur Duniyawi Ilm Alag.
Dini Ilm Ke Liye Madarsey Aur Duniyawi Ilm Ke Liye School! Aur Jab Yeh Mu’amla Hua Tou Ilm Musalmano Se Jata Raha.. Duniyawi Uloom Bhi Jatey Rahe Aur Dini Bhi.

Lihiaja Yeh Duniyawi Ilm Bhi Yaad Rakhiye Hissa Hai Dini Uloom Ka Isey Chorrna Nahi Hai ..

♥ In sha Allah! Aagey Ke Parts Me Hum Dekhenge Ke Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Kin-Kin Uloom Ka Tazkira Kiya Jisey Aaj Science Ke Haal Me Janey Jaatey Hai.

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-4 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-4/feed/ 0 16939
Ilm Ki Ahmiyat: Part-2 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-2/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-2/#respond Tue, 23 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-2/ Quraan 35 28♥ Ba’Qoul Qurane Majid: “Iqra’ Bi’asmi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa.” – Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-2 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Ba’Qoul Qurane Majid: “Iqra’ Bi’asmi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa.”
– Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak Logon Ke Liye Faydemand Sabit Hua. Fir Chahey Wo Shariyat Ka Ilm Ho Ya Fir Duniyawi Ilm, (Religious Knowledge or Universal Knowledge) Bina Tafrik Aur Fark Kiye Rab Ka Naam Letey Aur Har Uloom Ko Padh Letey ,..
– Aur Naa Sirf Padhtey Balki Har Uloom Me Maharat Haasil Kar Li, Balke Inhone Kayi Naye Uloom Aur Fun Dunia Ko Diye Aur Bataya Yeh Hota Hai Knowledge Yeh Hota Hai Ilm !!!

Isi Tarha Quraane Majid me Allah Ta’ala Farmata Hai:

[bs-quote quote=”“ Allah Ta’ala, Farishtey Aur Ahal-e-Ilm Iss Baat Ki Gawaahi Detey Hai Ke Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Woh Adal Ko Qayam Rakhne Wala Hai Uss Ghalib Aur Hikmat Waley Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi. ”” style=”style-2″ align=”center” author_name=”- (Al Quran, Aale Imran; 3:18)”][/bs-quote]

* Tou Iss Ayat Me Allah Ta’ala Ne Yeh Kaha Ke: “Allah Gawahi Deta Hai Ke Wo(Allah) Ek Hai.”
Fir Farishtey Gawahi Dete Hai Ke – “Wo(Allah) Ek Hai.”
Aur Ahle Ilm Ka Maqaam Bataya Gaya Hai, Ke Ahle Ilm Ko Allah Rabbul Izzat Farishto Ke Baad Ginwa Raha Hai Iss Liye Ke Yeh Gawahi Detey Hai Ke Qaynaat Ka Rab, Wo Allah Ek Hai.

* Aur Zaahir Si Baat Hai Ke Ilm Waley Isliye Gawaahi Detey Hai Kyunki Wo Ilm Haasil Karte Hai, Sikhtey Hai, Wo Jantey Hai Ke Yakinan Iss Qaaynat Ko Bananey Wala Koi Ek Mabood Hai Wo Ek Hi Hai, aur Agar Ek Se Jyada Hotey Tou Qaaynat Ka Nizam Chal Hi Nahi Sakta.

# Tou Yaha Bhi Iss Ayat Me Ilm Walo Ki Fazilat Pata Chal Rahi Hai Ke Allah Rabbul Izzat Kehta Hai Ke Yeh Gawahi Dete Hai Uss Rabb Ke (Yaani Allah) Ke Ek Hone Ki.

Ek Aur Aayat Me Ilm Walo Ke Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai:

[bs-quote quote=”“ Allah Se Uskey Wohi Bandey Dartey Hain Jo Ilm Rakhtey Hain ”” style=”style-2″ align=”center” author_name=”- (Al Quran, Surah Fatir 35:28)”][/bs-quote]

Zaahir Si Baat Hai, Aaj Humne Allah Ka Darr (Taqwa) Ikhtiyaar Nahi Kiya Isliye Ke Hum Ilm Hi Nahi Rakhtey Uskey Talluk Se,.. Naa Jantey Hai Usney Kya Diya , Naa Jantey Hai Humare Liye Usney Kya Kiya , Naa Jantey Hai Ke Wo Humse Kya Chahta Hai , Buss!! Zindagi Guzaar Rahe Hai, Tou Kaha Se Allah Ka Darr, Wo Taqwa Aayega.

Jabke Allah Farmata Hai Ke Uska Taqwa, Uski Farmabardari Wohi Bandey Karte Hai Jo Uskey Talluk Se Ilm Rakhte Hai.

# Lihaja Hume Chahiye Ke Har Haal Me Ilm Haasil Karey.
Sharayi Ilm Aur Kouneni Ilm (Religious Knowledge and Universal Knowledge) …
Fir In’sha’Allah Har Kism Ka Jayaz Ilm Hume Apney Rab Ki Taraf Ruju Karwayega ,..

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-2 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-2/feed/ 0 16935
Ilm Ki Ahmiyat: Part-3 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-3/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-3/#respond Tue, 23 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-3/ Al Quran 35 28Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Taalluk Se Youn Tou Alllah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Kayi Ayate Nazil Ki Hi, Insha’Allah Kuch Ka Tazkira Hum Iss Post Me Karne […]

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Taalluk Se Youn Tou Alllah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Kayi Ayate Nazil Ki Hi, Insha’Allah Kuch Ka Tazkira Hum Iss Post Me Karne Ki Koshish Karenge:

✦ 1. Ilm Me Barkat Ke Liye Behtareen Dua:

[bs-quote quote=”

“ Wa Qul Rabbi Zidni Ilmaah ”

(Aye Nabi Dua Kijiye Apney Rabb Se Ke) Aye Allah Mere Ilm Me Ijafa Kar.” style=”style-7″ align=”center” author_name=”- (Al Quran, Surah Tahaa 20:114)”][/bs-quote]

Ye Hukmi Aayat Hai Aur Andaja Lagayiye Ke Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Hukm Aa Raha Hai Ke Aap Apne Rab Se Ilm Ki Barkat Ke Khatir Dua Kijiye.. Jab Uss Zaat Ko Hukm Aa Raha Hai Jisey Allah Apney Gaib Ka Ilm Ata Karta Hai Tou Badarje Uloola Humare Se Yeh Aayat Jyada Khitaab Kar Rahi Hai Ke Tum Tou Jyada Hasil Karo,.

* Tou Goya Allah Ki Zaat Sirchashma Hai Ilm Ka, Allah Ki Zaat Source of Knowledge Hai…
Lihaja Allah Rabbul Izzat Ne Apne Bando Ko Dua Sikhlayi Ke Maango Apney Rab Se Ke Wo Tumhare Ilm Me Ijafa Kar Dey,..


✦ 2. Kya Ahle Ilm Aur Jaahil Baraabar Ho Saktey Hai ?

– Is Talluk Se Allah Rabbul Izzat Quraan Me Ek Jagah Farmata Hai:

[bs-quote quote=”

“ Hal Yastawil Lazeena Ya lamoona Wallazeena Laa Ya lamoon “

(Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Wo Log Jo Ilm Rakhtey Hai Aur Jo Log Ilm Nahi Rakhtey Kya Dono Barabar Ho Saktey Hai ?)” style=”style-7″ align=”center” author_name=”– (Al Quran: Surah Zumar 39:9)”][/bs-quote]

* Iss Ayat Me Allah Rabbul Izzat Ilm Walo Ki Fazilat Bayan Kar Raha Hai Ke – Kya Ahle Ilm Aur Jaahil Dono Barabar Ho Saktey? Nahi ! , Lihaja Ilmwalo Ke Darjaat Hai Allah Ke Paas, Tou Ilm Haasil Karne Se Insan Ko Fazilat Hasil Hoti Hai, Uske Darjaat Buland Hotey Hai.

* Aur Kyu Naa Ho ? Dunia Me Hum Ek Dusre Ki Izzat Kyu Kartey Hai? Chaahe Deeni Halko Me Ho Ya Duniyawi ,…
Duniyawi Halko Me : Teacher Hai,.. Principle Hai,.. Doctor Hai, Vakeel Hai.
Aur Deeni Halko Me : Ustaad Hai, Mufti Hai, Aalim Hai, Hafiz Hai, Qaari Hai.
Yakinan Yeh Ilm Hi Tou Hai Jiski Buniyaad Par Insan Ko Izzat Aur Rutba Milta Hai Duniya Me ,..
Tou Maalum Hua Ke Ilm Koi Bhi Ho Wo Izzat Aur Martba Lata Hai ,…
Aur Agar Duniyawi Ilm Sharayi (Deeni) Ilm Ke Saath Mil Jaye Tou Sone Par Suhaga Ho Jata Hai ,…


✦ 3. Ilm Insan Ke Darjaat Ko Buland Karta Hai

Allah Rabbul Izzat Quraan Me Ek Jagah Farmata Hai:

[bs-quote quote=”

“ Yarfa Allāhu Al-Ladhīna Amanu Minkum Wa Al-Ladhīna Utu Al-Ilma Darajatin “

(Allah Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum’me Se Imaan Laye aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unke Darjaat Buland Karke Rahega)” style=”style-7″ align=”center” author_name=”- (Al Quran, Surah Mujadila: 58:11)”][/bs-quote]

* Tou Iss Ayat Me Bhi Pata Chala Ke Jo Log Imaan Laye Aur Fir Ilm Haasil Kiya Yeh Dono Cheeze Vajah Banti Hai Insan Ke Darjaat Buland Hone Ki ,..
* Aur Wo Sahaba Jo Imaan Laye, Jo Rasool’Allah Ke Saath Rehkar Ilm-e-Deen Sikha Aaj Unka Muqaam, Unka Ahtraam, Unki Izzat Digar Sahaba Ke Muqable Me Mumtaaz Hai, Unchi Hai, Aur Wo Jyada Naam Liye Jaatey Hai ,…
Tou Iss Aayat Se Bhi Pata Chala Ke Yeh Ilm Hi Hai Jo Insan Ke Darjaat Ko Buland Karta Hai ,…


✦ 4. Ilm Haasil Karna Kis Par Farz Hai ?

♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:

[bs-quote quote=”

“ Talib Ul Ilm Farizatn Ala Kulli Muslimin ”

(Ilm Ka Haasil Karna Tamaam Musalman Mard Aur Aurat Par Farz Hai)” style=”style-2″ align=”center” author_name=” – (Mishkat Page:24)”][/bs-quote]

Gaur Karne Waali Baat Hai Ke Yaha Lafz Dekhiye Talab Hai Jiska Mana Hota Hai Kisi Cheez Ko Haasil Karne Ki Koshish Karna Goya Aap Usey Haasil Na Kar Paye, Fir Chahe Wo Aapko Zindagi ke 90th Saal Ko Bhi Mill Jaye Aap Uss (Ilm Ki Justaju) Me Jarur Lage Rahenge.

– Yaani Ilm Haasil Karne Ki Koi Limit Nahi Hai. FIr Chahe Aap Jab BHi Apni Jimmedariyon Se Farig Ho Jao,, Ilm Ke Liye Apne Jehan Humesha Khule Rakhe …

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm Ki Ahmiyat: Part-3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-3/feed/ 0 16937
Ilm ki Ahmiyat: Part-1 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-1/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-1/#respond Mon, 22 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-1/ Ilm ki Ahmiyat Part 1〘  Bismillah-Hirrahman-Nirrahim | Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai 〙 RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par pehli wahi nazil hoti hai, Surah Alaq (96) ki ibtedayi […]

The post Ilm ki Ahmiyat: Part-1 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

〘  Bismillah-Hirrahman-Nirrahim | Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai 〙

RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par pehli wahi nazil hoti hai, Surah Alaq (96) ki ibtedayi 5 aayate aap par nazil hoti hai “Iqra’ Biasmi Rabbika al-ladhi Khalaqa” (parh apne rab ke naam se jiss ne paida kiya)”

Jab farishtey Jibrayil (Alaihi Salam) aaye aur RasoolAllah se kaha: “Iqra! (padho)” tou Aap ﷺ ne kaha: “Maa Ana’bi Qaari ! (Mai padhna likhna nahi janta)”
Fir uss awaaz ne jordar kaha: “iqra!” tou Aap (ﷺ) samjh gaye ke ye bolna chah rahe hai ke ‘iskey piche padho’ yaani iski baato ko dohrao..

Tab Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne unkey pichey padhna shuru kiya: “Iqra’ Bismi Rabbika Al-ladhi Khalaqa.” yaani parh apney rab ke naam se jiss ne paida kiya. bus pahla hukm yahi aaya ke:

[bs-quote quote=”

❝ Padho apne Rab ke Naam se jisney paida kiya❞

” style=”style-2″ align=”center” author_name=”- (Al Quran; Surah Alaq 96:1)”][/bs-quote]

Tou Yaha Rasool’Allah (ﷺ) par dekhiye pehli wahi kya nazil hoti hai. Namaz nahi, Zakat nahi, khud apni Tawheed (wahdaniyat) Allah bayan nahi kar raha sirf yahi pehla hukm de raha hai ke “Padh apne Rab ke Naam se

Tou jis Qoum ko pahla hukm padhney ka aaye aur wohi Qoum agar Jahil reh jaaye yeh goya aise hi hai jaise machli ka baccha tairane ke fun se gaafil ho jaye, Yakinan Ilm buniyaad hai tamam aamal ki, kyunki banda unhi Aqaid par apni Zindagi gujarta hai jiska ilm usey wirasat me mila ho. isliye Aqaid me saabit kadam rahne ke liye sabse awwal cheez Ilm hai. aur Ilm se muraad Deeni aur Duniyawi dono hai.

Jahir si baat hai ke koi Shakhs agar Kaynaat ka ilm (Astronomy) haasil karey tou wo uss cheez par gour-o-fikr karne lagta hai ke yakinan inti badi Kaynaat ko kisi patthar aur mitty ke maboodo ne tou nahi banaya hoga. yakinan wo bohot aala shan hogi jisne iss Qaynaat ko banaya, wajud me laya.

Aur aagey ki Aayato me Allah Rabbul izzat ne bayan farmaya:

2. khalaqa al-‘insana min alaqin.

(jisney insan ko khoon ke lothrey se paida kiya.)

3. aqra’ wa rabbuka al-‘akramu.

(parh uss rab ke naam se jo bada karam karne wala hai.)

4. al-ladhi `allama bil-qalami.

(jisne insan ko qalam ke zariye (ilm) sikhaya.)

5.`allama al-‘insana ma lam ya`lam.

(jisney insan ko woh sikhaya jo woh (insan) nahi janta tha.)

Tou inn Aayato me pata chalta hai ke ilm ki kya ahmiyat aur fazilat hai, aur musalmano ki aaneywali naslo ne bas. har ilm ko chaat diya, har ilm ko pii gaye, apne rab ka naam liya aur haasil kar liya usey.

♥ In sha Allah unkey baarey me aagye ki post me hum tafsilaat se dekhengey.

To Be Continue …

• इल्म की अहमियत → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

The post Ilm ki Ahmiyat: Part-1 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-ahmiyat-part-1/feed/ 0 16933
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai …. https://ummat-e-nabi.com/fazilate-ilm/ https://ummat-e-nabi.com/fazilate-ilm/#respond Sat, 20 Sep 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazilate-ilm/ Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat♥ Al-Quraan: Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ […]

The post Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Al-Quraan: Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega.
[Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11]

♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai –
» Hadees: “Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai”.
(Miskat P:24)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai”.
– (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”.
(K.Ummal)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Raat Me Ek Pal (Ghadi) Ke Liye Ilm Padhna Padhaana
Raat Bhar Ki Ibadat Se Behtar Hai”.
(Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Ki Majlish Me Haazir Hona 1000 Nafil Padhne Se Afzal Hai”.
(Tafseer Roo’hul Bayaan, J#10, P#221)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Behtareen Sadqa Yeh Hai Ki Musalman Aadmi Ilm Haasil Kare,
Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye”
(Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Ki Talab Me Jis Ke Qadam Khak Aalud Ho.
Allah Uske Jism Ko Jahannam Par Haraam Kar Dega
Aur Allah Ke Farishte Uske Liye Dua-e-Magfirat Karenge”.
(Tafsir-e-Kabir)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Ilm Ki Talaash Me Kisi Raste Par Chalta Hai,
Allah Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasaan Farma Deta Hai”.
(Ibne Maja, Jild-1, Page:145)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Shakhs Talab-e-Ilm Me Rehta Hai, Allah Uske Rizq Ka Zaamin Hai”.
(Tareekh-e-Baghdad, Raqam-1535, Jild-3, Page-398)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uskey Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”.
(Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jis Shakhs Ko Iss Haal Me Mout Aaye Ki Wo Ilm Hasil Kar Raha Ho, Taa’ki Iss Ke Zariye Islam Ko Zinda Karey(Faila Sakey) Tou Uss Ke Aur Ambiya Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darjah Ka Farq Hoga”.
(Mishkat Sharif: Hadith no.231)

♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke, Allah Hum Tamaam Ko Beshumar Ilm Aur Amal Ki Taufiq Dey,
Beshumaar Sharayi Aur Duniyawi Ilm Ki Doulat Se Nawaze …
Sahih Ilm Ke Jarye Allah Ki Marfat Hasil Karne Ki Taufiq Ata Farmaye …
Jab Tak Humey Zinda Rakhe Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhe …
Khaatma Humara Imaan Par Ho…
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazilate-ilm/feed/ 0 16295