Hisaab – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Wed, 06 Dec 2023 05:34:20 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Hisaab – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-din-sabse-pahle-khoon-ka-faisla-hoga/ https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-din-sabse-pahle-khoon-ka-faisla-hoga/#respond Wed, 06 Dec 2023 05:34:13 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=40366 Hadees : Qayamat ke Din Khun ka Faisla sabse pahle hogaHadees of the Day Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Qayamat ke Din Logon ke Darmiyan Sabse Pehle Jis Cheez ka […]

The post Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Qayamat ke Din Logon ke Darmiyan Sabse Pehle Jis Cheez ka Faisla hoga woh Na Haq Khoon ke Badle ka hoga.”

📕 Sahih Bukhari: Hadees 6533

The post Qayamat ke Din sabse pahle Khoon ka Faisla hoga appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-din-sabse-pahle-khoon-ka-faisla-hoga/feed/ 0 40366
Qayamat ke Roz Sabse Pehla Sawaal https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-roz-sabse-pehla-sawaal/ https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-roz-sabse-pehla-sawaal/#respond Thu, 15 Jun 2023 21:22:28 +0000 https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-roz-sabse-pehla-sawaal/ Hadeese Nabwi ﷺ Qayamat ke Roz Sabse Pehla Sawaal Tameem Dari (R.A.) se riwayat hai ki –RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Bandey se Qayamat ke Roz sabse pahle Namaz ka […]

The post Qayamat ke Roz Sabse Pehla Sawaal appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
Hadeese Nabwi ﷺ

Qayamat ke Roz Sabse Pehla Sawaal

Tameem Dari (R.A.) se riwayat hai ki –
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Bandey se Qayamat ke Roz sabse pahle Namaz ka hisaab hoga. Agar Uski Namazein poori hongi tou uske Nawafeel alag se likh diye jayenge aur agar Usne Namazein poori nahi ki hongi tou Allah Ta’ala apne Farishton se farmayega ‘Dekho kya mere bande ke paas nawafeel hain ? ‘

Tou Unn Nawafil ke Zariye Jo Faraaiz Usney Zaaya kar diye Unki Takmeel kar do, phir baaqi Aamal ka hisaab bhi essi tarah hoga.”

📕 Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadees#1426

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!

Allah Taala Hume tamam faraiz sunnato aur nawafeel ka ahtmam karne ki taufik ata farmaye.

The post Qayamat ke Roz Sabse Pehla Sawaal appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ke-roz-sabse-pehla-sawaal/feed/ 0 15550
Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/ https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/#respond Thu, 12 Jan 2023 13:36:11 +0000 https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/ Hadees: Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai [Sahih Bukhari 6169]Hadees of the Day Insan Roz-e-Qayamat Uske Sath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah […]

The post Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Insan Roz-e-Qayamat Uske Sath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai

Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah (ﷺ) ne Unki Pareshani ka Sabab Pucha.

Tou Unhone Kaha “Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! Ek Gham Mujhe khaye ja raha hai, ke Mai yeh Sochta hu ke Aaj Dunia me Aapka Chehra Mubarak dekhey bagair Hum reh nahi patey, chalte aur phirtey, uthtey aur baithtey jab bhi aapki yaad aati, Aapse aa kar Hum mil letey, aapka didaar karte aur hume Sukun milta hai.

lekin Mai yeh soch kar Gham kha raha hu ke Roze Qayamat tou Aap Ambiya (Alaihi Salaam) ke sath honge, waha hum Aapka Didaar na kar payenge.”

Aap (ﷺ) is par Khamosh rahe, fir Aap (ﷺ) par Allah Taala ki janib se yeh Aayat nazil hui –

Jo Koi Allah aur Rasool ki farmabardari karey Woh (Roze Qayamat) Unn Logon ke Sath hoga Jin per Allah Ta’ala ne Inaam kiya hai Jaisey Nabi aur Siddique aur Shaheed aur Nek Log yeh Kya hi Behtareen Rafiq hai.

📕 Al-Quran; Surah Nisa: 4:69

Aur fir Aap(ﷺ) ne farmaya –

Al-Maru Ma’ Man Ahab” Yaani Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai.”

📕 Sahih Bukhari, 6169

Aur Hazrate Anas bin Malik (R.A) kehte hai ke, Iss Hadees ko Sun’ne se jyada hume kabhi kisi Hadees par aesi khushi nahi hui, ke Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai aur Hum Jantey hai ke Hum RasoolAllah (ﷺ) se Mohabbat karte hai, Lihaja Humara Hisaab bhi RasoolAllah ke sath hoga.

* Tou Jisney RasoolAllah se Mohabbat ki Yaani RasoolAllah ki Ita’at ki. Wo RasoolAllah ke sath hai,

* Jisney Filmstaro ki Itteba ki Unsey Mohabbat ki, Unkey Tareeko ko Apnaya, Wo unke saath hoga,

* Jisney Sportstars ko pasand kiya, Unkey Tareeke par chala wo unke sath hai,

* Jisney Kuffaro ko pasand kiya, Unkey Tarsh ko Apnaya aur unkey tareeko par chala wo Unkey saath hai.


SABAQ:

Lihaja Hume Chahiye ke Zindagi ke tamam Shobo me RasoolAllah (ﷺ) ko Apna Usma-tul-Hasna (Ideal aur Role Model) maaney aur Aap (ﷺ) ki Sunnato par Amal ko Lazim aur farz jaaney,..

♥ In sha Allah – Ul – Azeez
Allah Taala Hume kehne sun ne se jyada amal ki taufiq ata farmaye,
Allah Taala Hume RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnato ka muttabe banaye,
Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey.
Khatma Humara Imaan par ho.
Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/feed/ 0 16920
Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? https://ummat-e-nabi.com/maal-kaha-se-kamaya-aur-kaha-kharch-kiya/ https://ummat-e-nabi.com/maal-kaha-se-kamaya-aur-kaha-kharch-kiya/#respond Sat, 03 Sep 2022 02:49:25 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=40497 Hadees : Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?Hadees of the Day Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya – ‟Qayamat ke Din insan ke […]

The post Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?

Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya –

‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye.

(1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?,
(2) Apne Ilm par kya amal kiya ?,
(3) Maal kaha se kamaya ?,
(4) aur Kahan kharch kiya ?,
(5) Apni Jismani Quwwat kis kaam me lagayi ?

📕 Jami at-Tirmidhi 2417

The post Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/maal-kaha-se-kamaya-aur-kaha-kharch-kiya/feed/ 0 40497
Diwaliya aur Muflis Kaun hai? (Gaali Galaoch aur Geebat ka Azab) https://ummat-e-nabi.com/gaali-galaoch-aur-geebat-ka-azab/ https://ummat-e-nabi.com/gaali-galaoch-aur-geebat-ka-azab/#respond Fri, 22 Mar 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/gaali-galaoch-aur-geebat-ka-azab/ Diwaliya aur Muflis Kaun Hai✦ Mafhum-e-Hadith : Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne sahaba se farmaya ‘Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ‘ […]

The post Diwaliya aur Muflis Kaun hai? (Gaali Galaoch aur Geebat ka Azab) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Mafhum-e-Hadith :

Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne sahaba se farmaya ‘Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ‘
Sahaba ne arz kiya ki ‘Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!’

Aap (Sallallahu alaihay wasallam) ne farmaya

❝ Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath lekar hazir hoga, magar uske sath wo log bhi hazir honge, jin me se kisi ko usney duniya me Gaali di hogi, kisi par jhoota ilzaam lagaya hoga, kisi ka Maal maar khaya hoga, kisi ka khoon kar dia hoga, kisi ko naahaq mara-peeta hoga!. Tou unn tamaam mazloomo me uss aadmi ki nekiyan baanti jaane lagengi, aur agar baant’te-baant’te Nekiyan khatm ho jaayengi magar usney jin logo pe Zulm ki hai abhi unkey Haq baaki reh gaye honge, tou unn Sataaye huye logo ke Gunaah iss aadmi ke hisaab khatey me daal diye jaayenge aur fir isey jahannam me phenk dia jayega. ❞

📕 Muslim: kitab-32, Hadees 6251

✦ Sabaq:

Is Aahadeese Mubarak se maloom hua ke Allah ke bando ke Haq maarne wala aur unpar Nahaq Zulm karne wala Roze Qayamat sabse badd’tar Shakhs hoga. uss Din na uska Roza usey Fayda dilane wala aur Naa hi uski Namaz aur naa hi uski Zakaat. jab tak ke wo Shakhs khud apne kiye par nadeem hokar unn sabse muafi mang na le tab tak wo Allah ke nazdik bakhshish ke layaq na hoga.

Allah Ta’ala hume har kism ke zulm se bachney aur bachaaney ki taufiq ata farmaye..ameen ,..

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Diwaliya aur Muflis Kaun hai? (Gaali Galaoch aur Geebat ka Azab) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/gaali-galaoch-aur-geebat-ka-azab/feed/ 0 15998