Haqeeqat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Sat, 25 Nov 2023 19:36:58 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Haqeeqat – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 ♫ Shab-e-Meraj ka Waqia | Download Audio Mp3 https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/ https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/#respond Sat, 18 Feb 2023 07:23:47 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/ इसरा और मेराज एक चमत्कार – Isra Aur Meraj Ka SafarShab e Meraj ka hakiki waqia kya hai?, isme Ummate Muslima ko kounsa tohfa mila aur isme Kiye jaane wale amaal kis hadd tak Sunnat se sabit hai? tafseeli jankari […]

The post ♫ Shab-e-Meraj ka Waqia | Download Audio Mp3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Shab e Meraj ka hakiki waqia kya hai?, isme Ummate Muslima ko kounsa tohfa mila aur isme Kiye jaane wale amaal kis hadd tak Sunnat se sabit hai? tafseeli jankari ke liye is video bayan ka jarur mutala karey aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare.

♫ Shab-e-Meraj Ka Waqia

यह भी देखे:

Keywords:

27 rajab isra miraj, al isra wal miraj full story, al isra wal miraj greetings, al isra wal miraj journey, al isra wal miraj quotes, al isra wal miraj year, fasting on isra miraj, greetings for isra miraj, isra al miraj 2020, isra al miraj fasting, isra al miraj holiday, isra al miraj meaning, isra and miraj 2020 date, isra and miraj event, isra and miraj facts, isra and miraj hadith, isra and miraj islamqa, isra and miraj meaning, isra and miraj physical or spiritual,

isra and miraj quiz, isra and miraj story in detail, isra and mi’raj story summary, isra and miraj story youtube, isra miraj 2020, isra miraj 2021, isra miraj 27 rajab, isra miraj al quran, isra miraj and science, isra miraj buraq, isra miraj celebration, isra miraj dua, isra miraj fasting 2020, isra miraj full story, isra miraj hadith, isra miraj heaven, isra miraj hijriah, isra miraj history, isra miraj holiday 2020, isra miraj horse, isra miraj in english, isra miraj in quran, isra miraj in science, isra miraj islam, isra miraj jibril, isra miraj journey, isra miraj kalender islam, isra miraj makalah,

isra miraj nabi muhammad saw, isra miraj night, isra miraj pdf, isra mi’raj quotes, isra miraj quran, isra miraj rajab, isra miraj salafi, isra mi’raj science, isra mi’raj story, isra miraj sunnah, isra miraj surah, isra miraj video, isra miraj wikipedia, isra miraj wishes, isra miraj year, isra’ mi’raj youtube, isra wal miraj 27 rajab, isra wal miraj celebration, isra wal miraj explained, isra wal miraj facts, isra wal miraj fasting, isra wal miraj full hadith, isra wal miraj full story pdf, isra wal miraj hadith, isra wal miraj in english, isra wal miraj in quran, isra wal miraj journey, isra wal miraj meaning, isra wal miraj night journey, isra wal miraj quiz, isra wal miraj quotes, isra wal miraj quran verses, isra wal miraj rajab, isra wal miraj story, isra wal miraj video, isra’a wal mi’raj, meaning of isra miraj, quotes isra miraj 2020, story of isra miraj, video isra mi’raj,

The post ♫ Shab-e-Meraj ka Waqia | Download Audio Mp3 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shabe-meraj-ka-waqia/feed/ 0 17599
Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/ https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/#respond Fri, 15 Jul 2022 09:57:51 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/ Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ?Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? ۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –“Meri Ummat 73 Firqon me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa […]

The post Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ?

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –
Meri Ummat 73 Firqon me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere aur Mere Sahaba ke Aqeede par hoga.”

📕 Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255

Aksar Humare Nadaan Musalman Iss Hadeese Mubarak ke Talluk se Galatfehmi me Pad jatey hai aur Jiska Fayda kayi Mafadparast Log Uthatey rehte hai aurur Naa Jaane Shariyat par Kya-Kya Tohmat Lagatey rehte hai ke –
“Dekho Allah ke Rasool ne Khud farmaya ke 73 Firqe hone wale hai, lihaja Firqe bana Lo.” (Maaz’Allah)

*Aise Logon se Humara bhi Ek Sawaal hai ke –
Rabbul Izzat ne Quraan me Jab Bayan kar diya ke –

“Har Nafs Ko Mout ka Maza Chakhna Hai.”

📕 Al-Quran 3:185

Tou phir paida Hotey hi kyu Na Hum Apni Qabr khod ley?

Kyu Na Hum Abhi se Apni Qabro me ja kar let jaye?

Zindagi Jiney ki Itni Saari Mashaqqat karne ki Jarurat hi kya hai Jab Mout tou Aani hi hai ?

Thoda tou Gouro Fiqr karo mere Azeezo!

Yeh 73 Firqo Waali Hadees Bilashuba haq hai, Lekin agar Hiqmat se kaam ley tou Aap bhi Samajh Jaoge ke Wo 72 Firqe Log Jahalat, Gaflat aur Taqabbur me bana lenge.

Is Hadeese Mubarak me Rasool’Allah (ﷺ) ne tou Muslamno ke Jahalat ki taraf Nishandehi ki hai ke –
“Log Kitabo Sunnat se Bebaaq ho Jayenge aur Natijatan Firqo me batt Jayenge.”

Lihaja aise Fitno se bachne ke liye Rab ke Nazdik haq par kehlane ke liye Rab ki Kitab (Quraan) aur Meri Sunnat ko thaam lo, Yahi Mafhoom hai Iss Hadeese Mubarak ka! Kyunki Shariyat har haal me Ittehad chahti hai.

*Aur Uskey Taklluk se Allah Rabbul Izzat ne Aayat bhi Nazil kar di ke –

“Sab Milkar Allah ki Rassi (Hidayat) ko Mazbuti se Thaam lo,
aur Aapas me Phoot naa dalo.”

📕 Aal-e-Imran 3:103

*Lihaja Jaisa ke har Nafs ko Mout ka Maza Chakhna hai Lekin phir bhi Hum Mout se pahle Apni Aakhirat ki tayyari kar rahe hai.

Usi Tarha 73 Firqo Me Ummat Batney waali hai, Unme Se 72 Jahannumi Firqo me wo log Batney wale hai Jo –
*Kitabo Sunnat ke Barkhilaf Apne Nafs ki Tabedari karenge,
*Qurano Hadees ke Bajaye Apne Ulemao ke Fatawe ke Mohtaz ho jayenge,
*Jinki Aql Mar Jayegi aur har Dar Par Jhuk Jayenge,
*Aur Mafadparast Log Ummat ke Inhi Nadan Musalmano ke Lailmi
Aur Jahalat ka fayda Uthakar Inhe Batil Parasti ka jarya bana lenge ,…

Tou Aise Fitno se Bachney ka Rasta bhi Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ne Hume bata diya ke –

“Allah Ki Kitab Aur Rasool’Allah(ﷺ) ki Sunnat ko Thamey Rahoge tou Rab ke Nazdiq Haq par Kehlaoge aur Fitnagaro ke Fitno se bach paoge.”


Lihaja Hume har Haal me Kitabo Sunnat ka hi Mukkallaf hona chahiye –
Ek Rab, Ek Kitab, Ek Nabi,.. tou iska tarjey Amal bhi Ek ho aur purey Dil se bhi Hum sab Ek ho.

Aur jo Log Jahilo ke Fatwo par Chalkar Ummat me Ikhtelaf karna chahtey hai! Wo kartey rahe Allah aur Uskey Rasool ki mukhalifat.

Aur jo Haqeeqat me Allah aur Uskey Rasool ke farmabardar hai Wo In’sha’Allah-Ul-Azeez aise Jahilo ke fareb se Aagah ho Jayenge.

♥ Aakhir me Allah Rabbul Izzat Se Dua hai ke

Allah Taala Hume Haq Kehne, Sun’ne Aur Samajh Ke Saath Amal ki taufik ata farmaye,
Hum Tamam ko Ek aur Nek banaye ,…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Keyword: 72 फिर्के ईस्लाम मे

The post Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/feed/ 0 17086
12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/ https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/#comments Wed, 06 Oct 2021 20:51:20 +0000 https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/ Eid Milad Un Nabi ki HakikatEid Milad Un Nabi ki Hakikat ya 12 Rabi-ul-Awwal ke din ki Ahmiyat wa hakikat Tareekh aur Quran wa Sunnat ki roshni mein...

The post 12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Assalamo Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barkatuhu ۞

12 rabbi-ul-awwal ko barre sageer me ki jaane wali eid bhi hum musalmano me bade ikhtelaf ka mouju hai, aayiye hum iss din ke pasemanzar par gour karte hai, sahaba-e-kiram ke halat-e-zindagi ke aasar dekhte hai ke unpar ye din kaise gujra.

RasoolAllah (ﷺ) ki Wafat ka Marz:

Riwayto me aata hai ke Qalbe-e-Wafat ke kuch Saal pahle Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek Yahudan ne Dawat di. Aap (ﷺ) apne 2 Sahaba ke saath uss Dawat me tashreef leg gaye, uss yahudan ne khane me Zehar milakar Aapke Samne pesh kiya, jise khakar wo 2 Sahabi fouran Inteqal kar gaye aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne wo lukma muuh-e-mubarak me lekar chaba hi liya aur Zehar ka andesha hone par thunk diya. Riwayato me aata hai ke Aap(ﷺ) ko aakhri waqt tak hone wale marz ki taqleef ka sabab yahi Zehar tha.

Aap(ﷺ) ke marz me kami beshi hoti rehti thi khaas Wafat ke din (12 Rabbi ul Awwal) ke roz apka Hujra (Ummahatul Momineen Aaysha RaziAllahu Anha ka ghar) Masjid ke samne hi tha, Aapne parda uthakar dekha tou log Namaz-e-Fazr padh rahe they. ye dekhkar khushi se Aap (ﷺ) hans padey, logon ne samjha ke Aap Masjid me aana chahte hai. maare khushi ke tamam Sahaba beqabu ho gaye. magar Aap(ﷺ) ne ishare se roka aur huzre me dakhil ho kar parda daal diya. ye sabse aakhri mouka tha ki Sahaba Keeram ne Jamal-e-Naboowat ki Ziyarat ki.

Iske baad Aap (ﷺ) ko baar-baar Gashi (Behoshi) ka doura padne laga, Aap ki Lakhte Zigar (Beti) Hazrate Fatima Zehra (RaziAllahu Anha) ki Zubaan se Shiddate Gham me ye lafz nikal gaya “Haay re mere Baap ki Baichaini.”

Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye Beti ! tumhara baap aaj ke baad kabhi baichain na hoga!”

📕 Bukhari ; Jild:2, Safa:241, Baab: Marzunabbi Sallallahu Alaihay Wasallam


✦ RasoolAllah (ﷺ) ke Zubaan-e-Mubarak ke Aakhri alfaz:

Wafat se thodi der pehle sah pahar ka wakt tha ki aapke Sina-e-Akdas me Saans ki ghar-gharahat mehsus hone lagi. itne me Aapke Labe Mubarak hiley aur logo ne ye alfaz suney “Namaz aur Ghulamo ka khayal rakho”

Aap(ﷺ) ke paas me paani ki ek lagan thi isme baar hath daltey aur chehre akdas par malte aur kalma padhte. Apni chadar mubarak ko kabhi muhh par daaltey tou kabhi hata detey. Hazrate Aayisha (RaziAllahi Anhu) Aapke Sir-e-Mubarak ko apne siney se lagaye baithi hui thi itney me Aapne hath uthakat ungli se ishara kiya aur 3 martba farmaya “(Tarjuma: Ab koi nahi! balki wo bada rafik chahiye)”

Yahi alfaz Zubane Mukaddas pe they ki Nagaha Mukaddas hath latak gaye aur aankhe chath ki taraf dekhtey hue khuli ki khuli rahi aur Aap(ﷺ) iss duniya se Rukhsat kar gaye. (Inna lillahi wa inna ialahi rajiun)

📕 Bukhari; Jild:2, Safa:640 & 641

Wafat aur wiladat ki tareekh me aksar Ulmaye Sirat ka ittefaq hai ki Maheena Rabbi-ul-Awwal ka tha aur tarikh 12 thi.

Wafat ka Asar:

Huzure Akdas (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wafat se Sahaba-e-Karam aur Ahle Baith ko kitna bada Sadma pohcha iski tasvir kashi ke liye hazaro safa’at bhi kafi nahi ho sakti.

Hazrate Usman Ghani (RaziAllahu Anhu) par aisa wakt taari ho gaya ke wo idhar udhar bhage bhage firte they, magar kisi se na kuch kehte aur na kisi se kuch suntey they.

Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Ranjo Malal me nidhal hokar is tarah baithe rahe ke unme Uthne-Baithne ki sakat hi nahi rahi.

Hazrate Abdullah bin Unais (RaziAllahu Anhu) ke Qalb (heart) par aisa Dhakka laga ke wo iss sadme ko Bardasht na kar sakey aur unhe Dil ka doura pad gaya.

Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu) is qadar hosho hawaas kho baithe ki unhone talwar khinch li aur nangi talwar lekar madina ki Galiyo me idhar udhar ghumne lagey aur ye kehte firte ki “Agar kisi ne ye kaha ke mere Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki wafat ho gayi tou mai isi talwar se uski garden uda dunga“


Wafat-e-Rasool par Abu Baqar Siddhiq (R.A.) ka khutba:

Bukhari sharif ki riwayat me hai ke Hazrate Abu Baqar Sidhik (RaziAllahu Anhu) apne ghodey par sawar hokar “sukh” se aaye jo ki masjide nabwi se ek mile ke fasle par tha aur kisi se koi baat na kahi na suni sidhey Hazrte Aayesha (RazAllahu Anhu) ki Hujre Mubaraq me chale gaye.

Aur Huzur-e-paak (ﷺ) ke Rukhe Mubarak se chadar hatakar Aapki dono Aankho ke darmiyan nihayat Garamjoshi ke sath ek bosa diya aur kaha ke “Aap apni hayat aur wafat dono halat me pakiza rahe! mere Maa-Baap aap par fida ho. Hargiz Allah Ta’ala Aap par Do Mouto ko jama nahi farmayega! Aapki jo Mout likhi huyi thi Aap uss Mout ke sath wafat pa chuke.”

Iske baad Hazarte Abu Baqar (RaziAllahu Anhu) masjid me tashrif laye aur logon ko mutawwajo karne ke liye khutba dena shuru kiya ke –

Tum me se Jo Shakhs Muhammad (ﷺ) ki parashtish karta tha wo jaan le ke Muhammad (ﷺ) ki Wafat ho gayi hai aur tum me se jo shakhs Allah ki parastish karta hai tou wo jaan le ke Allah Zinda hai aur wo kabhi Marne wala nahi.

– Khudba Abu Bakr Siddiq(أبو بكر)

Fir Uske baad Hazrate Abu Baqar Siddhik (RaziAllahu Anhu) ne surah Imran ki aayat 144 tilawat farmayi:

Aur Mohammad (ﷺ) tou ek Rasool hai, Unsey Pehle bohot se Rasool ho chukey hai tou kya agar Wo Inteqaal farma jaye ya Shaheed ho jaye tou tum Ultey paanv phir jaogey aur jo ultey paanv phirega Allah ka kuch Nuksan na karega aur Ankarib Allah Shukr ada karne walo ko Sawab dega.

(Al-Quran; Surah Aale Imran 3:144)

Khutbe ka Asar :

Iske baad Hazrate Abdullah bin Abbas (RaziAllahu Anhu) kehte hai ke “Hazrat Abu Baqar (RaziAllahu Anhu) ne ye Aayat tilawat ki tou maloom hota tha ki goya koi iss ayat ko janta hi na tha insey sunkar har shakhs isi Ayat ko padhne laga.

Hazrat Umar (RaziAllahu Anhu) ka bayan hai ki “Maine jab Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) ki Zuban se Surah Aale Imran ki ye Aayat suni tou mujhe maloom ho gaya ke wakay Nabi-e-Kareem (ﷺ) inteqaal kar gaye.

Aur inke Sahib jade Hazrate Abdulah bin Umar (RaziAllahu Anhu) kehte hai ke“Goya hum par ek parda pada hua tha, is ayat ki taraf humara dhyan hi nahi gaya. Hazrat Abu Baqar Siddhik (RaziAllahu Anhu) ke khutbe ne is parde ko utha diya.”

📕 Reference: Book Sirat-e-Mustafa by Abdul Mustafa Aazmi Alahi Rehman


Sabaq:

Tou beharhaal ye hai pasemanzar 12 Rabbiul Awwal ka.
ye wo din tha jab Fatima Zehra ke sar se apne Walid ka saya hat gaya,
ye wo din tha jab aapki azwaz-e-mutahara bewa ho gayi,
ye wo din tha jab Sahaba Karam Shiddate gham se gash khakar gir gaye.

Aur ye wohi din tha jab Dushmanane din ko khushiya manane ki sabse badi wjah mil gayi thi ke Allah ke Rasool tou Ab Duniya se rukhsat kar gaye, lihaja Wahih ka silsila band ho gaya aur humara nifaq bhi ab ummat me poshida rahega. Tou jitna ho sakey ab ummat ki safo me dakhil ho kar musalmano me inteshar failaya jaaye.

Yahi wo Munafiq they jinke liye 12 Rabbi-ul-Awwal tou khushiyo ka din tha.

Aur Allah gawah hai aaj se kuch hi Saalo pahle tak iss din ko 12 wafat ke naam se manaya jata tha. lekin jab ummat me shaur aane laga tou naam badal kar Milad-un-Nabi rakh liya gata aur fir ye Eid-Milad-un-Nabi kehlaya. Allah hidayat de in hazrat ko.

Allah reham kare Aaj hum kya kar rahe hai 12 rabbi-ul-awwal ko aur kiski Sunnat par amal kar rahe hai ?

Mere Azeezo ! thoda tou gouro fikr karo, kya Sahaba se badhkar bhi Mohabbat-e-Rasool ka Dawedar ho sakta hai koi?, tou jab unhe iss din Jashn manane ka ilm na hua tou humari kya haisiyat thoda tou andaza lagaiye.

Yakinan Wiladate Rasool ki khushi har momin ko hai lekin humari khushiya Siyasati rang me na rangi ho aur na hi humari khushiya Gair-Muslamaano par fakr jatane wali ho.

Balki humari khushiya Shariyat-e-Islamiya ke tabey hai. Alahmdullahi! jo Allah aur uske Rasool ne kaha, jis par Sahaba ne Amal kiya wohi humare liye hujjat honi chahiye.


Nabi (ﷺ) ke Aamad ki khushi kaisi ho ?

Mere Azeezo! Sahaba (RaziAllahu Anhu) ne Rasool-e-Kareem (ﷺ) ki aamad par Zingadi bhar haqeeki khushiya manayi, yaani Aapki talimaat par Zindagi bhar amal kiya aur dusro tak apne umda Akhlaq ke sabab Deen ki Dawat pohchatey rahe.

jiska natija hai ke aaj Hum aur Aap bhi Ahle iman walo me shumar hai. Warna Allah agar hume hidayat na deta tou hum bhi Gumraho me Shumar hotey. Adana si Adna makhlookh se darne wali qoumo me humara Shumar hota.

Allah ka lakh Shukr hai ke Allah ne Apne Nabi ke jarye, Sahaba Kiram ki jaddo jahad ke jarye hum tak Deen-e-Islam pohchaya aur hume hidayat se sarfaraz kiya.

Lihaja hume bhi chahiye ke hum bhi RasoolAllah (ﷺ) ki talimat ko majbuti se pakad ley. Aap (ﷺ) ki ita’at ko lazim aur farz jane aur Deen me naye Akide ijad karne se ahtiyat kare.

♥ in sha Allah ul Azeez !!
– Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyda amal ki taufik de,
– Hume ek aur nek banaye ! Sirate Mustakim par chalaye,
– hum tamam ko Rasool-e-Kareem (ﷺ) se sacchi Mohabbat aur ita-at ki taufik ata farmaye.
– jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
– khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Ummat-e-Nabi.com
Fb.com/HadiseNabwi

The post 12 Rabi-ul-Awwal (Eid Milad Un Nabi) ki Hakikat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/12-rabi-ul-awwal-milad-un-nabi-ki-haqeeqat/feed/ 3 17386
Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia) https://ummat-e-nabi.com/ashab-e-feel-ka-wakiya/ https://ummat-e-nabi.com/ashab-e-feel-ka-wakiya/#comments Fri, 11 Jun 2021 17:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ashab-e-feel-ka-wakiya/ Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia)Ashab-e-Feel ka Waqia Huzoor Akkadas RasoolAllah (ﷺ) ki Paidaish se kuch hi din pehle yaman ka badshah “Abraha” Hathiyon ki fouz lekar Kaaba dhane ke liye makka par hamla aawar […]

The post Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ashab-e-Feel ka Waqia

Huzoor Akkadas RasoolAllah (ﷺ) ki Paidaish se kuch hi din pehle yaman ka badshah “Abraha” Hathiyon ki fouz lekar Kaaba dhane ke liye makka par hamla aawar hua tha. Abraha ne yaman ke Darool Saltanat “San’aa” me ek bahut hi Shandar aur Aalishan “Girja Ghar” banaya aur yeh koshish karne laga ki Arab ke log bajay Kaaba Sharif ke yaman aakar uss Girja Ghar ka Hajj kare.

Jab Makka walo ko yeh maloom hua toh Kabila-e-Kinana ka shakhs Gaij-o-Gajab me jal-bhun gaya aur waha ke Girja Ghar ki behurmati ki.

Jab Abraha ne yeh wakiya suna toh woh taish me aape se bahar ho gaya aur Kaabe Sharif ko dhane ke liye hathiyon ki fouz lekar makka walo par hamla kar diya aur uski fouj ke agle daste ne makka walo ke tamam untho aur dusre maveshiyon ko chin liya. isme 200 ya 400 unth Abdul Muttalib ke bhi they. [Jurkani Jild 1 , Safa 85] © www.ummat-e-nabi.com/home]

Aap (ﷺ) ke Dada Abdul Muttalib ko is wakiya se pahle bada ranj pohcha, chunache Aap is muamle me guftagu ke liye Abraha ke lashkar me tashrif le gaye. jab Abraha ko maloom hua ke Quraish ka Sardar uss se mulakat karne ke liye aaya hai toh usney aapko apne kheme me bula liya aur apne barabar bitha kar daryaft kiya ke: “Kahiye Sardar-e-Quraish yaha aapki tashrif aawri ka kya maqsad hai ?”.

Abdul Muttalib ne jawab diya ki “Humare Unth aur Bakriya wagaira jo aapke lashkar ke sipahi haank laye hai Aap unn sab maweshiyon ko hamare supurd kar dijiye.”

Yeh sunkar Abraha ne kaha ke – “Aye Sardar-e-Qurasih! mai toh yeh samjhta tha ki aap bohot hi Houlamand aur Shaandar Aadmi hai, magar Aapne mujhsey Apne Untho ka sawal kar ke meri nazar me apna wakar kum kar diya. Unth aur bakri ki haqikat hi kya hai ? mai toh Aapke Kaaba ko tod-fodkar barbad karne ke liye aaya hu. aapne iske baare me guftagu hi nahi ki ?.”

Abdul Muttalib ne farmaya “Mujhe toh Apne Untho se matlab hai, Kaaba mera ghar nahi balke woh Allah ka Ghar hai. wo khud apne Ghar ko bacha lega, mujhe Kaaba ki jara bhi fikr nahi hai.”

Yeh sunkar Abraha apne firouni lahje me kahne laga ke “Aye Sardar-e-Makka sunn lijiye! Mai Kaaba ko dha kar uss ki eth se eth baja dunga aur Roo-e-Zameen se uska namo-nishan mita dunga. kyunki Makka walo ne mere Girjaghar ki badi behurmati ki hai. isliye mai uska inteqam leney ke liye Kaaba ko barbaad kar dena jaruri samjhta hu.”

Abdul Muttalib ne farmaya ke “fir Aap jaane aur Allah jaane, Mai Aapse Sifarish karne wala koun?

is Guftgu ke baad Abraha ne tamam janwaro ko wapas kar dene ka hukm de diya aur Abdul Muttalib tamam Untho aur bakriyon ko sath lekar apne ghar chale aaye aur Makka walo se farmaya ke tum log Apne-Apne Maal, Maveshiyon ko lekar Makka se nikal jao aur pahadiyon ki chotiyo par chdhkar aur darro me chupkar panah lo.

Makka walo se yeh keh kar aur fir khud apne khandan ke chand Aadmiyon ko sath lekar Khana-e-Kaaba me gaye, aur darwaza ka halka pakad kar intehayi be’karari aur giriya wajari ke sath Darbar-e-Bari Ta’ala me Dua mangney lage ki “Aye Allah beshak har shaksh apne-apne ghar ki hifazat karta hai, lihaja tu bhi apne ghar ki hifazat farma.”

Abdul Muttalib ne yeh Dua mangi aur apne khandan walo ko pahad ki choti par lekar chadh gaye aur Allah ki Qudrat ka jalwa dekhne lagey.

Abraha jab subah ko kaabe ko dhaane ke liye Apne Lashkar-e-Jarrar aur Hathiyon ki sath aage badha aur Makaam-e-Mugammas me pahuncha toh khud uska hathi jiska naam “Mahmood” tha wo ekdum baith gaya. har chand maara aur baar-baar lalkara magar hathi nahi utha,

isi halat me Qehar-e-Ilahi Ababeelo (chotey parindo) ki shakal me namudaar hua aur Nanhe-Nanhe parinde zhund ke zhund jin ki chonch aur panjo me tin-tin kankariya thi. samundar ki janib se Kaaba Sharif ki taraf aane lage.

Ababilo ke in dal-badal lashkro ne Abraha ke lashkaro aur fouzo par is zor-shor se Sangbari shuru kar di ke Abraha ke lashkar aur uske hathiyon ke parkhacche udd gaye. Ababilo ki sangbari Allah ke kehar ki aesi maar thi ki jab koi kankari kisi feel(hathi) sawar ke sar par padti thi toh woh uss aadmi ke badan ko chedti hui hathi ke badan se paar ho jaati thi. (Allahu Akbar)

Abraha aur uske hathiyon samet is tarha Halaq-wa-barbad ho gaye ki unke jismo ki botiya tukde-tukde hokar Zameen par bikhar gayi, chunache Quraan-e-Kareem ki Surah Feel me Allah ta’ala ne is wakiya ka Zikr karte hue farmaya ki

♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥

❝Aye Rasool (ﷺ)! kya Aapne na dekha ki Aap ke Rab ne uss hathi walo ka kya haal kar daala? aur unn parindo ki tukdiya bheji taaki unhe kankar ke patthar se maare. toh unhe chabaye hue bhoos jaise bana daala.❞

      📕  Surah Feel 105

✦ Wajahat:

Aayiye is Surat me Rabbul Izzat hume kya Naseehat kar raha hai is par Mukhtasar sa gour karte hai.

Allah Rabbul Izzat chahta tou apne Ghar ke hifazat ke liye farishto ko tak bhej sakta, Untho aur Hathiyo ke lashkar ke sath Apne Ghar ki hifazat kar sakta tha, lekin Usney aisi Haqeer chudiya bheji jis se darrne ka tasawwur bhi nahi hota.

Yaani Allah Rabbul Izzat kisi ka mohtaz nahi balki wo hume Aagah kar raha hai ke “Aye insano mere ghar aur mere Deen ki hifazat ke liye mujhe tumhari ratti barabar bhi jarurat nahi, Mai chaahu tou Haqeer-se-Haqeer janwaro se bhi apne ghar ki hifazat kar lu, lekin Aye insano! ye tumhari hi khush-kismati aur sharf hoga ke tum Aakhirat ke liye kuch kaar-e-khair karo.”

Aaj hum tadad me qaseer hotey hue bhi Dushman-e-Deen se shikast kha rahe hai, isiliye kyunki humne Allah ke Deen ke liye koi Mashaqqat na ki,  Natijatan Zalim hukmra hum par musallat hotey rahe. Allah reham kare.

✦ Sabaq:

Lihaja jo log ye kehte hai ke Islam khatrey me hai.. wo bhul jaiye ke Islam ko kabhi khatra tha na kabhi hoga , balki Khatre me wo Musalman hai jo is deen ko chorkar apne nafs ki tabedari kar raha hai. jabki is Deen ki Fitrat hai ke ye har haal me insaniyat tak pohoch kar rahega.

Aur isi baat ko Allah ke Rasool (ﷺ) ne wajeh farmaya aur kaha:

❝ Ye Deen tou har Ghar me Dakhil hokar rahega, chahe kaccha makaan ho ya pakka, ya band kiley ho, ya khuli waidya ho. Deen-e-Islam saare Aalam-e-Insaniyat tak pohochkar rehne wala hai.❞

📕  Masnad Ahmed; 16998

Ab hume tay ye karna hai ke hume sath rehna hai ya nahi rehna, jabki Allah ne tou apna kaam karna hai, Apne Deen ko insano par wajeh karna hai, Deen ke sath chalne walo ko Aazmana aur uska badla dena hai aur Deen ko chorne walo ko Duniya aur Aakhirat me ibrat banana aur Azaab dena hai.

❝Yaad rakhiye Islam ki Pehchan Musalmano se nahi, balki Musalman ki Pehchan Islam se hai❞

Tou behaarhaal hume chahiye ke Allah ke Deen ko thaam le, Allah Kitaab aur Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki itteba ko lazim aur farz jaaney. Agar ye hum karenge tou duniya me bhi surkhuru honge aur Insha’allah-ul-Azeez Aakhirat me tou jarur Surkhuru honge ,.. Allah ke paas kaamiyab kehlayenge Aur khub ajar payenge apne aamal ka.

♥ In’ sha’ Allah-ul-azeez !!!
– Allah Rabbul izzat hume Qurano Sunnat ka paband banaye,
– hume ‘amr bil maroof wa nahi anil munkar’ par amal ki taufik dey,
– jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhey,
– khatma humara imaan par ho.
!!! wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

The post Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ashab-e-feel-ka-wakiya/feed/ 2 17452
Ilm-e-Gaib ki Haqeeqat https://ummat-e-nabi.com/ilm-e-gaib-ki-hakikat/ https://ummat-e-nabi.com/ilm-e-gaib-ki-hakikat/#respond Thu, 21 Apr 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ilm-e-gaib-ki-hakikat/ Ilm-e-Gaib ki HaqeeqatIlm-e-Ghaib ka Sawal jispar kayi Tehriko ka Ekhtilaf Koi kehta hai Aap (ﷺ) ko Ilm-e-Gaib bilkul bhi nahi tha, aur koi kehta hai Aap ﷺ ko Mukammil (Completely) Ilm-e-Gaib tha. […]

The post Ilm-e-Gaib ki Haqeeqat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ilm-e-Ghaib ka Sawal jispar kayi Tehriko ka Ekhtilaf

Koi kehta hai Aap (ﷺ) ko Ilm-e-Gaib bilkul bhi nahi tha, aur koi kehta hai Aap ﷺ ko Mukammil (Completely) Ilm-e-Gaib tha.

Yaad rakhey aise dono kism ke log apne akide me kamzor hai, Inhe chahiye ke sahi ilm hasil kare aur apni islah kar ley.

Kyunki agar Aap Seerat un Nabi ﷺ ka Muta’ala karte hai tou Maaloom hoga ke Aap (ﷺ) ke sath aise kayi waqiyat pesh aaye Jis’se wajeh hota hai ke Aapko mukammil Gaib ka ilm nahi tha, balki utna hi tha jitna Allah ne aapko ata kiya.

Iske talluk se Allah Rabbul Izzat Quraan me Wajeh farmata hai –

Aur Aye Nabi ﷺ ! Aapko sikha diya jo kuch Aap na jantey they.

Surah Nisa 4:113

Gaib Ka Jaan ne Wala tou Apne Gaib par kisi ko Musallat nahi karta siwaye Apne pasandida Rasoolon ke, ke unke aage pichhe pehra mukarrar kar deta hai.

Surah Jinn 72:26,27

Tou in Aayato se maloom hota hai ke Aap (ﷺ) ko Gaib ka Ilm to tha lekin utna hi jitna Allah ne Ata kiya.

*Iske baad bhi Agar koi ye Aqeeda rakhey ke Aapko mukammil Ilm-e-Gaib tha tou yaad rakhiye aisa shakhs Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki mukaddas Seerat par sangeen ilzam laga raha hai. Usey chahiye ke wo apne aqeede ki Kitabo Sunnat ke mutabik islah karey.

Isiliye kyunki jo shaksh ye kahe ke Aap (ﷺ) ko Mukammil Ilme Gaib tha wo RasoolAllah (ﷺ) par nauzubillah Sahaba-e-Kiraam ke Qatl ka ilzam laga raha hai. (Nauzubillah), Is Se Mutaliq Seerat me kayi mashoor wakiyat aatey hai, Jaise ke –

Yahudi Aurat ne Dawat ke khane me Zehar milakar khilaya:

Ek Yahudan ne Aap ﷺ ko Khane ki Daawat di, Aap Apne 2 Sahaba ke sath uss dawat me shirkat kartey hai, uss yahudan ne khane me Zehar milakar Aapke samne pesh kiya, Aap (ﷺ) wo khane ka luqma muhh me letey hi Farishte Jibrayel (Alaihi Salam) ne aakar Aapko sari haqeekat bata di, ye sunkar Aapne turant wo niwala thunk diya, lekin sahaba tab tak thoda bohot kha chukey they jis se wo dono mouke par hi inteqal kar gaye.

Isi tarha Seerat me ek aur Mashhoor Wakiya Aata hai –

69 Khurra Sahaba ke Qatl ka Wakia:

Ek Qoum ke kuch log Aap ﷺ ke paas aakar kehte hai ke hum Islam sikhna chahte hai, Lihaja apne kuch Sathiyo(Sahaba) ko humare paas bheje taaki Hum unse Basharfe Islam ho.

Aap (ﷺ) ne 70 Khurra Sahaba jo Shariyat ka Choti ka ilm rakhte they Unhe uss Qoum ki rehnumayi ke liye bheja, unn basti walo ne 69 Sahaba ka Qatl kiya aur wk Sahabi bach kar Aap (ﷺ) ke paas aakar aapko saari Hakikat batatey hai.

Riwayato me Aata hai ke – Aap (ﷺ) is wakiye se itney Gahmzada huye ke Aapne 40 din tak Fazar Ke Namaz ke baad uss Qoum ke liye Badduwa ki, Hatta ke Jibrayeel (Alaihi Salam) ne aakar Aapko rok diya.

Tou Beharhaal ye 2 Wakiyat hi kaafi hai is baat ki wajahat ke liye ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Mukammil Ilm-e-Gaib na tha, balki jo bhi tha wo Allah ki Ata se tha.

Ilm-e-Ghaib par Ikhtelaf ki Asal Wajah :

Ab kuch log ye bhi Aqeeda rakhtey hai ke dekho Aap (ﷺ) ko Ilm-e-Gaib tha lihaja humare falah Bujurg ko bhi hai. wo bhi Gaib ka ilm rakhtey hai !,. aur fir Shuru ho gayi Unse Mannato Murad , Unke liye Nazro Niyaz,.. aur Unke naam se Khurafat,.  yahi Asal Wajah hai Ilm-e-Ghaib ke Dawedaro ki.

Tou aisa Akeeda Rakhne wale hazraat ki islah ke liye bhi Alahmdulillah Allah Rabbul Izzat ne aayat nazil kar di taaki wo bhi aisi BaddAqeedagi se bachey.

Aur Allah Ki Shaan Ye Nahi Ke, Aye Aam Logon! Tumhe Gaib Ka Ilm Dey De. Haan! Allah Chun Leta Hai Apne Rasoolon Se Jise Chahe.

Surah Aale-Imran 3: 179

Lihaja hume chahiye ke iIspar Ifrad aur Tafreed ka shikar na baney , kami aur jyadati na kare, ispar aisa hi iman rakhey jaisa Sahaba iman rakhte they.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!
– Allah Rabbul Izzat Humare Imaan Ki Salamti Ata farmaye,
– Hume Kitabo Sunnat Ko Sahaba Ke Feham Ke Mutabik Samjhne ki taufik dey,
– Jab Tak Hume Zinda Rakhe Islam aur Iman Zinda rakhey.
– Khatma Humara Imaan par ho.

Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen,
Ameen Allahumma Ameen.

The post Ilm-e-Gaib ki Haqeeqat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ilm-e-gaib-ki-hakikat/feed/ 0 16095
Arab se Bugz ki Sajish Aur Uski Haqeeqat …. https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/ https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/#respond Sun, 24 Jan 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/ Arab Se Bugz ki Sajish*Aaj Puri Duniya Me Wabila Hai Ke – Arab Jahil Hai, Arab Pagal Hai, Arab Tou Gandey Rehte Hai , *Kabhi Socha Hai Humne Ke Kaisi Na-Insaafi Hum Kar Rahe […]

The post Arab se Bugz ki Sajish Aur Uski Haqeeqat …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

*Aaj Puri Duniya Me Wabila Hai Ke – Arab Jahil Hai, Arab Pagal Hai, Arab Tou Gandey Rehte Hai ,
*Kabhi Socha Hai Humne Ke Kaisi Na-Insaafi Hum Kar Rahe Hai ?
– Mere Azeezo !! Aaj Kya Ho Gaya Hume Ke – Hum Azam(Non-Arab) Se Wabsata Rakhne Wale Auliya-Allaho Ki Naslo Ki Tazeem Karte Hai Lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aur Sahaba Ki Naslo Ko Arbiyo Ko Galiya Detey Hai ,.. Nauzubillah!!!

*Jabki Hakikat Tou Ye Hai Ke Hum Ko Manwaya Gaya Hai Dushmanane Deen Ne,.
– Ke Hum Apne Hi Aslaaf Ko Gaaliya Dey , Unsey Bugz Rakhey ,..

*Kyunki: Jo Faras Uss Wakt Ka Iraan Hua Karta Tha Wo Ek Badi Superpower Hukumat Hua Karti Thi , Unhe Bardasht Nahi Hua Ke Arab Aakar Hum Par Kaise Galib Hue , Lihaja Hum Inhe Itna Baddnaam Karenge Ke Logon Ke Zehan Me Nafrat Bhar Denge ,..
– Aur Nabi Ka Gharana Ye Wo Gharana Hai Jiski Vajah Se Iran Fatah Hua ; Lihaja Hum Nabi Ke Purey Gharane Ka Qatal Karenge Aur Wohi Kiya Unn Logone ,…
Inhi Irani-Farsi Munafiqo Ne Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) Ko Shahid Kiya,..
– Husain (RaziAllahu Anhu) Ko Shahid Kiya ,.
– Hasan (RaziAllahu Anhu) Ko Zehar De Kar Shahid Kar Diya ,..
– Itna Hi Nahi Balki Ahle Baith Ke Khawatin Ki Izzat Tak Uchalne Ki Napak Koshish Ki Inhi Irani-Farsiyo Ne ,.
Aur Yahi Inka Mansuba Tha Ke Hum Khud Apne Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Naslo Aur Sahaba Azmayeen Ki Naslo Se Nafrat Karne Lag Jaye ,..

*Chalo Maan Liya Ke Aaj Arbo Me Kuch Aamal Ki Burayi Hogi ,.. Ye Baat Aap Aur Hum Sab Jante Hai Ke Galti Karna Insan Ki Fitrat Hai ,.. Lekin Kisi Ki Galtiyo Ki Vajah Se Puri Qoum Ko Galat Thehrana Kaha Ki Aqalmandi Hai Mere Buzurgo Aur Dosto ?

– Kyu Hum Bhul Gaye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Peshangoyi Karte Hue Farmaya Ke – “Aakhri Zamane Me Jo Imam Mehdi Aayenge Wo Ahle Baith Me Se Honge ,..” – (Ibne Majah, Vol-5, H:4080).

# Tou Hume Bataye Ke Imam Mahdi Arabi Honge Ya Azami (Gair-Arab) ? ,..
– Yakinan Ahle Baith Ka Matlab Hai Ke Wo Bhi Arab Hi Hongey ,..
– Lekin Maz’Allah ! Hum Tou Purey Arbo Ko Galiya De Rahe Hai ,.. Allah Hidayat Dey Hume..

*Aur Kiski Sunkar Hum Arbo Ko Galiya De Rahe Hai ? Unki Jinhone Ahle Baith Ka Qatal Kiya,..
– Ye Media Ki Programming Hai Mere Azeezo! Niklo Inke Fareb Se Bahar …

♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke – Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – “Jab Fitno Ko Dour Aayega, Mera Laya Hua Saccha Ilm Mere Shehar Madine Me Samet Diya Jayaega ,..” – (Sahi Bukhari Vol-3, Hadith no. 1876) – @[156344474474186:]

*Afsos! Be’had Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Hum Arbo Ko Galiya Dete Hai Baaz Paid Ulemao Ki Takreer Sunkar …
– Jaha Hajj Aur Umrah Karne Jaatey Hai Hum Waha Ke Logon Ko Galiya Detey Hai ,..
– Usi Naslo Ko Hum Jahalat Me Gaaliya De Rahe Jinke Jarye Rabbul Izzat Ne Arab Ki Sirzameen Par Humare Hajj Aur Umrah Ke Qaymat Tak Ke Liye Intezamat Karwaye ..

*Mere Azeezo ! Hum Ye Kaise Bhul Gaye Ke Kaabe Ki Chabi Aaj Jiske Paas Hai Wo Usama Bin Talha (RaziAllahu Anhu) Jo Ke Sahabi Ke Farzand Hai Jinke Barey Me Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Dua Ki Ke – “Aye Mere Allah! Qayamat Aaney Tak Usama Ke Gharane Me Hi Qabe Ki Chabi Rehne Dey,”

*Aur Hum To Unhi Ko Jahalat Me Bura-Bhala Keh Rahe Hai!! Allah Hume Muaf Kare ,..
Jara Hoshiyar Ho Jao Mere Bujrgo Aur Dosto!!!

*Arab Ko Galiya Mat Do Mere Azeezo !.. Humare Nabi Bhi Arab Hai,..
– Allah Ne Insaniyat Ko Paida Kiya ,. Allah Behtar Janta Tha Ke Azmiyo (Non-Arbo) Ki Aukaat Nahi Ke Inpar Quraan Nazil Kiya Jaye ,.. Uske Liye Allah Ne Arab Ki Sirzameen Par Nabi Bheja …
– Allah Ko Maloom Tha Ke Azmiyo(Non-Arbo) Ki Auqaat Nahi Ke Mere Mere Nabi Ke Ye Sahaba Baney Lihaja Arbo Ko Sahaba Banaya ,..
– Allah Ko Maloom Tha Ke Kisi Gair-Arbi Ki Auqaat Nahi Ke Khulafa-e-Rashideen Baney; Uske Liye Bhi Arbo Ko Chuna ,..

*Allah Reham Karey Aaj tou Ye Haal Hai Ke Yaha Hum Zahilo Ke Fareb Me Aakar Sahaba Ki Naslo Ko Galiya Dene Lag Gaye Aur Sochtey Tak Nahi Ke Humari Galiya Nazubillah Summa Nauzubillah Kaha Tak Pohoch Rahi Hai,.. Allah Humari Magfirat Kare ,..

# Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Kism Ke Fitno Se Apni Panah Ata Farmaye,…
# Hume Ahle Baith Aur Tamam Farazand-e-Sahabiy-E-Rasool Ki Tazeem Ki Taufik Dey..
# Lailmi Aur Jahalat Me Humse Jo Unki Burayiya Hui Hai Unhe Allah Muaf Faramaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Arab se Bugz ki Sajish Aur Uski Haqeeqat …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/feed/ 0 17444
Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? https://ummat-e-nabi.com/kya-sayed-afzal-hai/ https://ummat-e-nabi.com/kya-sayed-afzal-hai/#comments Sat, 05 Dec 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-sayed-afzal-hai/ Zakat P۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed […]

The post Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed Unche hai aur baaki nichey. aur Kya Sayed par Zakaat Haram hai ?

Aayiye Iski Hakikat Jan’ne ki koshish karte hai:

Sabse pahli baat yeh hai ke “Sayed Afzal hai’ aisa logon ne kuch cheezo ko manmane dhang se bana liya, jabki Shariyat ne is cheez ki Ijajat nahi di. aur Hadees me Jo Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya wo ye hai ke:

❝ Mere khandan par Zakaat haraam hai.

– (Sahih Muslim 1072 – The Book of Zakah)

Tou Aap (ﷺ) ne kabhi Sayyed nahi kaha apne Aap ko,  Hadees me Jo wajeh Alfaz hai ke “Mera Khandan” aur yeh baat hum sab Jantey hai ke “Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Quraish they, Banu Hashim Qabile se..”

Ab Yaha Mera Khandan boley tou Humare paas Sayyed! (Subhan’Allah),  Jabki ye Tasawwur kar liya gaya , lekin hakikat me aisa kuch bhi nahi hai.

Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne jaha bhi Hadees me bayan kiya aur kaha ke “Mere Khandan par zakat Haraam hai” ye nahi kaha ke “Sayed par Zakaat haram hai.“

Aur tajjub ki baat yeh hai ke khud ko Rasool’Allah ke Khandan se bataney wale saare log Barre-Sageer (Hindustan, Pakisthan aur Bangladesh) me hi milenge aapko, Saudi Arab me ek bhi nahi milega dekhna, waha Sayed ka Dawedar koi hai hi nahi. (MashaAllah)

Hume bhi bada tajjub hua ke ‘purey Sayed yaha kaise Shift ho gaye ?.. waha kaise koi bhi nahi bacha!’

Dekhiye thoda gour bhi karne ki cheez hai yeh ke ‘purey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke khandan le log Saudi Arab chorkar Hindustan, Pakistan me hi aakar bas gaye aur Sayed yahi hai baaki kahi bhi nahi.’

✦ Aur Kya purey Hidustan-Pakistan ke Musalman Arab se aaye hai ?

Wo bhi nahi! kyunki yaha jab Sahaba, Tabeyeen inke jarye Islam aaya, Deegar fir log jab Islam lekar aaye tou logon ne Islam kabool kiya aur Islam kabul karne ke baad Unko log Itney acche lage ke apna Surname bhi laga liya. Jaise kisi ko Abu Baqar Siddhiq (R.A) acche lage tou “Siddhiqi” laga liya, Kisi ko Umar Farukh (R.A)  acche lagey tou “Farukhi” laga liya, Iss tarha se naamo ka silsila hindustan me aaya.

Ab kuch log kahenge ke mai tou Hakikat me Sidhiqqi boley tou Abu Bakar Siddhik tak Apna Shijra bata sakta hu, tou aise bohot kum log hai. sab nahi bata sakte. Jabki baakiyon ne sirf naam le liya. tou usi tarha Khudke naam ke aage Sayed lagane ka riwaj shuru hua, jinhe Alqabi Sayed kaha jata hai.

✦ Is Galatfehmi ka Nuqsaan:

iska Nuksan ye hua ke Sayed surname wale jitney bhi bechare musalman Zakat ke Mustahik hai unhe Zakat nahi milti, Unhe unka haq nahi milta. Allah Reham karey.

Tou beharhaal Sayed koi unche hai aur baaki nichey aisa kisi bhi riwayat me nahi aata. yaad rakhiye ke Sayed hone se koi Afzal nahi aur koi dusra koi mafzul nahi hota.

✦ Sayed Ka Matlab:

Sayed ka matlab hota hai Aaqa ya Bada ya Master jisko bolenge hum aam Zabaan me. Ha lekin agar koi Shijra sabit kare Rasool’Allah (ﷺ) ke Khandan se Apna tou ha hum taslim karenge ke Allah ke Rasool (ﷺ) ke khandan yani Ahle Bayt se hai aur Unka Ikraam bhi karna hum par wajib hai.

lekin fir bhi uski koi Fazilat nahi, yani Shariyat ke kisi bhi khawanin me koi kami ya jyadati karne ka unhe koi ikhteyar nahi.

Kyunki Allah ke Nazdik “Taqwa” asal hai, Taqwa buniyaad hai, Allah Ta’ala Qurane Kareem me farmata hai:

❝ Beshaq Allah ke nazdik Ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho

– (Surah Huzrat 49:13)

Tou jiske paas uncha Nasabnaba hai bhi aur agar Taqwa hai tou durust hai aur nahi hai tou fir Abu Lehab bhi Rasool’Allah(ﷺ) ke khandan se tha lekin koi fayda na diya usko, Abu Talib Rasool’Allah (ﷺ) Ke Khandan se they, Aapne madad bhi ki thi lekin koi fayda na hua aur Hamza (Razi’Aallahu Anhu) Imaan la liye! to unko fayda hua Islam ka. tou yeh asal cheez hai ke koun Imanwala hai aur koun nahi.

Yaad rahe islam me kisi bhi tarha ka unch nich nahi.

♥ In sha Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah hume haq sunne samjhne aur uspey amal ki taufiq dey,
# Hum tamam ko muttaqi aur parhezgaar banaye,
# Jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhye,
# Khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-sayed-afzal-hai/feed/ 2 17267
786 ki Haqeeqat https://ummat-e-nabi.com/786-ki-haqeeqat/ https://ummat-e-nabi.com/786-ki-haqeeqat/#respond Fri, 10 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/786-ki-haqeeqat/ 786Dar-haqikat 786 ke kayi maaney hotey hai. Dour-e-Jahalat me Arbo me ek tareeka hua karta tha jisey “Abjad” kehte hai. Ismey Arbi ke Alfazo me kuch Numbers lagatey they, jaise […]

The post 786 ki Haqeeqat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Dar-haqikat 786 ke kayi maaney hotey hai. Dour-e-Jahalat me Arbo me ek tareeka hua karta tha jisey “Abjad” kehte hai. Ismey Arbi ke Alfazo me kuch Numbers lagatey they, jaise ke Alif = 1, Ba = 2 … in gintiyon ko milakar yeh log faal khola karte they.

Jaise misal ke tour par aapka naam hai Faiz, Ismey ‘Fa’, ‘Ye’, ‘Jwad‘ tou inki Value of numbering ki calculation karke total number nikaltey aur Chittiyo ko mod detey aur kehte likho koi ek number, agar yeh dono mil gaye tou tumhara kaam ho jayega. isey kehte hai Faal Kholna. jo ke Dour-e-Jahalat ka Abjad tareeka aur Shariyat ne iss cheez ko Haraam karar diya.

Ab logo ne Abjad ke aitbaar se ye matlab nikala ke 786 ka meaning ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim‘ hota hai, lekin 786 ka matlab sirf ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim’ nahi hota yeh baat tou tay hai. kyu ke bohot se majahib me bhi 786 ka bada aqida hai. usko bhi bada respect diya jata hai.

• Shariyat-e-Islamiya me 786 ka Istemal Kaisa ?

Sabse pahli baat Shariyat me aisi Shortcuts ka matlab Biddat(Sharayi Biddat) hai aur Sharariyat me naya Akida ijad karne ke talluk se hum sab jante hai hai ke Qullu Biddatun Zalala yaani deen me Ijad kiya hua har naya akida gumrahi hai aur har gumarhi ka thikana jahannum ki aag hai.

• Biddat ke Taklluk Se Tafseeli Jankari ke liye is Link Par Jaye

Beharhaal ! Ab Andaza Lagayiye ke 786 Ki Aisi Biddat Shariyat Me Jayaj Hoti Tou Subhan’Allah Hum Ek-Ek Raat Me 1000 Rakat Nawafeel Aasani se Padh Letey ,.. Masha’Allah …
– Jaise Ke > 786 = Bismillah, 1000 = Surah Fatiha, 2000 = Surah Baqraah ,.. Subhan’Allah !!!!

– Andaza Lagayiye Kitni Aasan Hojayegi Humari Namaze.
Ekdum Shortcut Numerical Namaz ,… Masha’Allah !!!

*Kya Allah Ke Nazdeek Humari Aisi Ibadate Kabil-e-Kabul Hogi ?
Nahi Na .. Tou Fir Kyu Kar Hum 786 Ke Aadi Ho Gaye Hai Mere Azeezo ?
Kyu Hum Deen Aur Shariyat Ko Chorrkar Jahilana Aqaiyid Par Jyada Aitmaad Rakhtey Hai ..

# Allah Rabbul Izzat Humey Tamam Kism Ki Gumraahiyo Se Bachaye …
# Humey Kitabo Sunnat ka Muttabey Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post 786 ki Haqeeqat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/786-ki-haqeeqat/feed/ 0 16924