Gumraahi – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Mon, 02 Oct 2023 07:43:17 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Gumraahi – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Waswaso ka ilaj https://ummat-e-nabi.com/waswaso-ka-ilaj/ https://ummat-e-nabi.com/waswaso-ka-ilaj/#respond Tue, 26 Sep 2023 07:27:50 +0000 https://ummat-e-nabi.com/waswaso-ka-ilaj/ Auzubillahi Minash Shaitan ir RajeemWaswaso ka ilaj “Auzubillahi Minash Shaitan ir Rajeem” ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Aur agar aapko shaitaan ki taraf se koi waswase aane lage tou Allah ki panaah maang liya karo, bila-shuba […]

The post Waswaso ka ilaj appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Waswaso ka ilaj

“Auzubillahi Minash Shaitan ir Rajeem”

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Aur agar aapko shaitaan ki taraf se koi waswase aane lage tou Allah ki panaah maang liya karo, bila-shuba woh khoob sun ne waala aur khoob jaan’ne waala hai, Beshak jo Allah se darte hai. jab unko shaitaan ki taraf se koi khatra hota hai, woh Allah ki yaad me lag jaate hai, so yakaayak unki aankhen khul jaati hai, aur jo shaitaan ke ta’bey hai woh unko gumraahi me kheenche chale jaate hai, pas woh baaz nahi aate.”

📕 Surah Aaraaf: 7: 200-202

“Auzubillahi Minash Shaitan ir Rajeem”
Tarjuma: Allah ki Panah Mangta hu Mai Shaitan Mardud ke Sharr se,.


Shaitaani Waswaso ka ilaj

RasoolAllah (ﷺ) ki Aahadees ka Mafhoom hai ke:
“Jisko shaitani wasaawis aatey hai wo aayatul khursi tilawat kar ley.”

📕 Sahih Bukhari


Ek aur riwayat me Aap (ﷺ) farmatey hai –

“Mauzatain (Surah Falaq, Surah Naas) padhkar apne Nafs par dam karo ! Iss se shaitan se hifazat hoti hai.”

📕 Jamey Tirimizi

Allah Reham kare, Aaj ye muamlaat to bilkul aam nazar aa rahe hai,
Allah hum Sabko in khabahat se bachaye,

Hume Huqooq Allah aur Huqooq Al ibad me kotahi se bachaye,
Ameen! Allahumma Ameen.

The post Waswaso ka ilaj appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/waswaso-ka-ilaj/feed/ 0 15856
Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/ https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/#respond Sun, 13 Aug 2023 18:42:54 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/ Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ?Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? Aaj Humare Quraan se Doori ki Sabse Ghatiya aur Intehahyi Baqwas Vajah ye hai ke “Quraan Padhey tou Gumraah ho Jatey. Subhan’Allah !!! *Jo […]

The post Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ?

Aaj Humare Quraan se Doori ki Sabse Ghatiya aur Intehahyi Baqwas Vajah ye hai ke “Quraan Padhey tou Gumraah ho Jatey. Subhan’Allah !!!

*Jo Quraan Insaniyat ke liye Kitab-e-Hidayat hai Agar wo Musalmano Ko hi Gumrah kar Dey tou kya Dawat Denge Hum Gairmuslimo ko ?

*Darhakikat Wo Log Khud Gumrah Ho Chukey Hai Iss Kitab Ko Chodkar Jo Kahtey Hai Ye Kitab Gumrahi Deti Hai ,..

*Allah Rabbul Izzat Ek Aayat Me Fermata Hai Ke –

Jo Meri Hidayat ki Pairwi Karega wo kabhi Gumraah nahi hoga.”

Surah Taha 20:123

… Lihaja Allah Ki Kitab Hidayat Ki hi hai Wo kabhi Gumraahi nahi deti,
Siway Iske – ke Kafir agar Isey Gumrahi ki Niyat se Padhey tou Wo Gumrah Ho jayega,
Lekin Jo Hidayat Ki Niyat se Padhta hai Wo Sirf aur Sirf Hidayat Hi Pata hai.

*Gour Karne Wali Baat hai Mere Azizo! koi Aam Baat Nahi, Ek Badey Mansubo ke tehat Musalmano ko Apne Hi Rab ke Qalaam se Door Karne Ki Sajish Ki Ja rahi hai, taaki Ummat Ki La-Ilmi ka fayda Uthakar ye Log Apni Dukaney chala Sakey.

*Aur Na Jaane Kaise-Kaise Bahano se Ummat Ko Allah Ki Kitab Se Door Rakha Gaya ,..
Jabki Ye Kitab Agar Sabke Liye Hai Tou Ye Mushkil Kaise Ho Sakti Hai ?
– Ha Ye Baat Alag Hai Ke Uski Gehrayi Tak Sab Nahi Ja Sakte, Ulema Aur Mufakkir Hi Jayenge,..
– Lekin In Mafadparsto Ne Ulemao Ki Tafseer Bhi Nahi Padhni Di Logon Ko ,.. Taaki Kahi Inki Poley Na Khul Jaye ,…

Yaad Rahe Agar Quraan Ek Samndar hai tou Isme Sab Tair sakte hai,
Lekin Gota Sirf Makhsus Log Hi laga Saktey hai.

*Kyunki Ke Quraan Sabke liye aaya hai,
– Allah Janta tha Ke Ye Quraan Qayamat Tak ke liye Hidayat hai , Isme Yahudi Honge , Isayi honge, Majushi Honge , Tamam Kism ke Mushrik aur kafir honge.

Tou Sabke Hisab se Quraan Design kiya Hoga Na Allah ne! Ke Sab Samjh Sakey, Yakinan Sabke liye Hidayat hai Isme.

*Aur Wakiyat bhi Suntey hai Hum ke
“Falah Yahudi Quraan Padha Tou Imaan laya, Falah Isayi Quraan Padha aur Imaan Laya.”

Kaise Iman Laya? Humare Over-Smart Hazraat tou Kehte hai ke Ye Kitaab tou Gumrahi Laati hai … Subhan’Allah !!!!

*Aakhirat me Aise Logon ki sakht Pakad hone Wali hai Jo Allah Ke Hidayat ke sath Aisa Sulooq karte hai, Allah Hume Bachaye Inke Fitno se.

♥ Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,
# Hum Tamam Ke Liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan farmaye ,
# Hume Mafadparsto Ke Fitno Se Bachaye ,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan Par Zinda Rakhey.
# Khatma Humara Imaan par Ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-quran-gumaarahi-lata-hai/feed/ 0 17463
Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh… https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-allah-ke-bulaane-wale-ka-kaha-na-maanega-woh/ https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-allah-ke-bulaane-wale-ka-kaha-na-maanega-woh/#respond Sat, 06 May 2023 17:06:59 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=44293 Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh (Quran 46:32)Aaj ki Aayat | Verse of the day Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala ka farman hai: “Aur Jo Shakhs Allah […]

The post Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aaj ki Aayat | Verse of the day

Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah Taala ka farman hai:

“Aur Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Pas Woh Zameen mein Kahin (Bhaag kar Allah ko) Aajiz Nahi kar Sakta, Na Allah ke Siwa aur koi Uske Madadgaar Honge, Yeh Log Khuli Gumraahi mein hain.”

📕 Surah Al-Ahqaaf, 46:32

The post Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Woh… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-allah-ke-bulaane-wale-ka-kaha-na-maanega-woh/feed/ 0 44293
Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah … https://ummat-e-nabi.com/hidayat-aur-gumraahi-ki-dawat-ka-silaah/ https://ummat-e-nabi.com/hidayat-aur-gumraahi-ki-dawat-ka-silaah/#respond Thu, 29 Dec 2022 18:53:32 +0000 https://ummat-e-nabi.com/pairwi-karne-walo-ka-silaah/ Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka SilaahHadees of the Day Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah Anas Bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Jis Daawat dene waale ne bhi Gumrahi […]

The post Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah

Anas Bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Jis Daawat dene waale ne bhi Gumrahi ki Daawat di aur Uski Pairwi ki gayee tou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Gunaah milega aur Pairwi karne waalo ke Gunaah me koi kami nahi hogi.

Aur Jis Daawat dene Waalo ne Hidayat ki taraf Bulaya phir uski Pairwi ki gayi
tou
Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Ajar milega aur Pairwi karne Waalo ke Ajar me kuch Kami Nahi ki jayegi.”

📕 Sunan Ibne Majah; Hadees: 205

The post Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hidayat-aur-gumraahi-ki-dawat-ka-silaah/feed/ 0 16289
Jisne Quran Hadees ke Khilaf Apni Raay Rakhi woh Gumrah hua… https://ummat-e-nabi.com/wo-khuli-gumraahi-me-jaa-fansa/ https://ummat-e-nabi.com/wo-khuli-gumraahi-me-jaa-fansa/#respond Thu, 30 Sep 2021 04:36:54 +0000 https://ummat-e-nabi.com/wo-khuli-gumraahi-me-jaa-fansa/ Hadees: Apne Darmiyan Salam ko Failao۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ki Nafarmani Kis tarha Gumrahi Laati hai Iskey Talluk Rabbul Izzat Ek Aayat me bayan farmata hai ke – Kisi Momin Mard […]

The post Jisne Quran Hadees ke Khilaf Apni Raay Rakhi woh Gumrah hua… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ki Nafarmani Kis tarha Gumrahi Laati hai Iskey Talluk Rabbul Izzat Ek Aayat me bayan farmata hai ke –

Kisi Momin Mard aur Momin Aurat ke Liye Jayaz nahi ke Jab Allah aur Uskey Rasool koi Baat ka Faisla kar de Unmey tou Wo kisi Kism ki Apni Raay Rakhe Uss Faisley me. Agar Jisne aisa kiya ke Allah aur Uske Rasool ka Faisla Aaney ke baad Apni Raay Rakhi woh Khuli Gumraahi me jaa fansa.

(Al-Quran; Surah Ahzab 33:36)

Tou Iss Aayat me Allah Rabbul Izzat ne Wajahat farma di ke –
“Allah aur Uskey Rasool ki Baat ko Chorna, Sunnat ko Tarq karna Jayaz nahi hai aur Jo aisa kare wo khuli Gumraahi me ja fansa.”

Lekin Aaj kitni baar aisa hota hai ke Sunnat-e-Rasool ko tarq karna tou humara Shaiwa ban gaya hai.

Jaise Rasool’Allah (ﷺ) Jamia Tirmizi ki riwayat me farmatey hai ke “Apne Momin Bhaiyo ko Salaam kiya karo.”

*Lekin humara mu’amla tou ye hai ke “Humse Hat-Kar Jiska Aqeeda ho! Aiso ko hum Salaam nahi karenge.”

Kyunki humare Falah aur Falah Saahab ne Fatwa jo diya hai … SubhanAllah.

Tou Goya aise Fatwo ki Ahmiyat humare liye Allah aur uskey Rasool ke Huqm se bhi badhkar ho gayi. (Maz’Allah! Summa Maz’Allah)

*Thoda tou Gour-o-Fiqr karo mere Azeezo!
“Jo Deen Dushmano se bhi Mohabbat karne ki Taalimat deta ho,
Wo kaise Apne Momin Bhaiyo me Nafrat ke Beez Boyega ? “

Yakinan wo Mafadparast Log hi hongey Jo Ummat me Inteshar Failane ka kaam karenge ..

*Warna hum Uss Nabi ke Ummati hai “Jo Tamam Aalam ke liye Rehamt hai.”

Tou Beharhaal! Allah ke liye baat ko Samjhey, Haalat aur Mouke ki Nazakat ko Samjhey..

“Mafadparast log chah rahe hai ke Hum alag ho aur Hum Wakay me Harkatey kar ke bata rahe hai ke Hum Alag hai …”


Allah Ta’ala hume Tamam Kism ki Gustakhiyo se bachaye,
*Mafadparasto ke fitno se humare imaan ki salamti ata farmaye,
*Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
*Khatma Humara Imaan par ho,

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

© Ummat-e-Nabi.com

The post Jisne Quran Hadees ke Khilaf Apni Raay Rakhi woh Gumrah hua… appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/wo-khuli-gumraahi-me-jaa-fansa/feed/ 0 17084
Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai …. https://ummat-e-nabi.com/aise-hi-log-khuli-hui-gumrahi-me-hai/ https://ummat-e-nabi.com/aise-hi-log-khuli-hui-gumrahi-me-hai/#respond Wed, 10 Aug 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/aise-hi-log-khuli-hui-gumrahi-me-hai/ ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Bhala Jis Insan Ka Sina Allah Ne Islam Ke Liye Khol Diya Hai Bas Wo Apne Rab Ki Taraf Se Aaye Hue Noor Ki Roshni Me […]

The post Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Bhala Jis Insan Ka Sina Allah Ne Islam Ke Liye Khol Diya Hai
Bas Wo Apne Rab Ki Taraf Se Aaye Hue Noor Ki Roshni Me Hai,.
Ab Jin Logon Ke Dil Allah Ke Zikr Se Bhi Asar Nahi Karte,
Un Ke Liye Badi Kharabi hai,
Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai ,..”

– [Surah(39) Zumar; Aayat(22)]

The post Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/aise-hi-log-khuli-hui-gumrahi-me-hai/feed/ 0 17875
Fazail-e-Quraan: Part 11 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/#respond Fri, 28 Aug 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/ Fazail-e-Quraan: Part 11Quraan se Doori ki Wajuhaat: Fazail ki La-Ilmi, Walidain ki Laparwahi Aulad ki Tarbiyat me, Ummul Fitan (T.V.) ...

The post Fazail-e-Quraan: Part 11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Quraan se Doori ki Wajuhaat

Quraane Majid ke Beshumar Fazilto ke Ba-Wajud Log Is’sey padhtey nahi tou ab Aayiye Unn Aham 8 Wajuhat par Gour karte hai ke log Quraan kyu nahi padhtey ?

1). Pahli wajah: Fazail ki La-Ilmi

Quraan se Doori ki Sabse Pahli Wajah ye hai ke Hume Quraan ke Fazail hi nahi Maloom! ke Iskey Faydey kya hai tou jab Kisi Cheez ke Fayde hi Maaloom nahi Hotey tou Insan Istemaal hi nahi karta! Seedi si baat hai.

Lihaja Sab se Pehle Fayde Maloom kijiye ke “Quraan ke Fazail kya hai ? …” Kyunki Hum Fazail nahi jantey tou Fayda nahi uthatey.

Khajana Ghar me pada hai, Uski Ahmiyat nahi Maalom Isiliye Usey Istemal bhi nahi kar paatey, Isko koi Johari aa kar parkhta hai Jo Gairmuslim Iman laatey hai wo parkhtey hai Iss Kitab ko aur Wo jab Iman latey hai tou Hum ko Rashk aata hai, Sharm aati hai ke mere Ghar me ye kitab thi, Maine hi Isko di, Iski Zindagi tou badal gayi lekin Mai wahi ka wahi pada raha.

Tou Iske Fazail Janiye, Fazail Jan’ne se Iski Ahmiyat maloom hogi, Ahmiyat Maloom honey se Ispe Amal karna aasan ho jayega aur Datt kar Ek Musalman Ispey amal karega..

Tou sab se pahli wajah Quraan se Door hone ki ye hai ke Iske Fazail. Iski Ahmiyat se Hum Gafil hai. Tou Ummat ke Jimmedaran ki ye Jimmedari hai ke Awam ko Iske Fazail se rubru karwaye.

* * * * *

2). Dusri wajah: Walidain ki Laparwahi Aulad ki Tarbiyat me

Ye Sabse badi Wajah hai Aaj Quraan se Doori ki ke Walidain apni Aulad ko Quraan ki Ahmiyat aur Fazilat ke Talluk se koi dars nahi letey.

*Hala ke Allah Rabbul Izzat ne Quraan me ye Hukm de Chuka hai ke Aye Imanwalo ! Apne Aap ko aur Apne Ahlo Ayyal Ko Jahhannum Ki Aag Se Bachao” -(Al-Quran 66:6)

Ye Aayat Hum Baar-Baar Padhtey hai Lekin phir bhi Walidain ki Koshish Nazar nahi aati Apne Aulad ki Tarbiyat me.. Ellah Masha’Allah jo karte hai wo Iss se bari hai.

*Baccho ko Hum Badey-Badey Schools me daltey hai ! Daliye Acchi baat hai.

Yahi Baccha Doctor, Engineer, Architecture ban Raha hai aur pata nahi Kin-Kin Shobo me Maharat hasil kar raha hai, Lekin kuch nahi aata hai Usko tou wo hai Allah ka Qalaam usey padhna nahi aata. tou Walidain ki sabse badi kotahi hai Iskey andar.

Aur Aayiye ye baat bhi hum rakh detey hai ke Surah Zumar ki Aayat 15 me Allah ne dekhiye kya baat farmayi.

Agar Walidain Samjh Jaye tou bohot Acchi baat hai.

Aye Nabi Sunlo ! Roze Qayamat Jo sabse badey khasara Uthaney waley log wo hongey Jisne Apne Nafs ko Aur apne Ahlo Ayyal ko Khasare me daal diya.”

Al-Quran 39:15

Lihaja sabse khassara Uthaney wale Log wo honge Jisne Apne Nafs ko bhi Allah ki Hidayat se door rakha aur Apni Ahlo Ayal ki bhi Tarbiyat na ki.

Tou Allah ke Qalam se Doori ki Dusri sabse badi Wajah ye hai ke Walidain ki kotahi Aulad ki Tarbiyat me tou Soch lijiye Apne Rab ko hum kya Jawab denge gour karne waali baat hai mere azeezo !! …

* * * * *

3). Tisri Sabse badi wajah: Ummul Fitan (T.V.)

Allah ke Qalaam se Humari Doori ki Tisri Wajah Television hai, ye bohot badi Fitne ki Jadd hai, Ye Fasion parasti, ye Burayi, Behayai , Besharmi, Zina, Bepardagi, Nowjawano ki Berahravi ye tamam Cheezo ki wajah hai TV. Isiliye Ummul Fitan yaani fitno ki Maa Naam diya humne isey.

Ye Satellite Chanel ne Ummat ka beda gark kar diya, kyunki ke Jab 4 Ghantey, 10 Ghantey Tv Dekhenge tou Allah ka Qalaam kab padhenge? kab mouka milega?

Isiliye Hum Baar-Baar kehtey hai ke Jo log Apni Gharo ki islah chahtey hai wo T.V. ko Uthakar Phenk dey ghar se, tab hi Aapke Gharo ki islah ho sakti hai warna Ummid hi mat kijiye ke Aap ki Naslo ko acchi tarbiyat de paoge.

Kyunki Jabtak Ganda Paani aata rahega , Acha Paani Uss Hauz me nahi bhara ja sakta, ye T.V. gandgi lata hai, aur Aap Kahoge ke ab Deen Sikhaunga, Shariyat Sikhaunga, Kitabo Sunnat ki taleem deta rahunga.

Hume Bataye kya Sikhenge wo Bacche?

Deeno-Shariyat tou Aadhey Ghaney ka hoga, baaki 10 ghantey T.V. dekhete rahenge aur Usi se sikhtey hai ke kya karna hai aur kya nahi karna.

* * * * *

4). Chauthi wajah: Badi Umar ki wajah se Zizak

Ab mai budha ho gaya, Ab Mai bada ho Gaya, 30 Saal ka ho gaya, 50 Saal ka ho gaya, Quran ab kaise Sikhu?

Aksar ye wajah bhi hoti hai Logon ki Quraan se doori ki tou Yaad rahe Quraan ki Taleem hasil karne ki koi makhsoos Umr nahi hai. koi Sharm ki baat nahi hai.

Sahaba par jab Quraan Nazil hua tou koi 60 Saal ka hai, tou koi 70, 80 tou koi 90 Saal ka hai aur sab Dilchaspi se sikh bhi rahe they, kyunki jab Fayda Maloom ho gaya tou kisi bhi Umar me sikha ja sakta hai.

* * * * *

5). Paanchvi wajah: Deegar Qutub aur Wajaeef ki Bharmar

Deegar Qutub aur Wajaif ko Logon ne itni Ahmiyat de di ke Quraan ke Bil muqabeel Logone doosri kitabe Ijaad ki.

Ya kuch Logno ne Quraan ko hata hi diya aur kaha ke iski tou Jarurat hi nahi hai Insaniyat ki hidayat ke liye. Iske liye tou falah kitab hi hidayat ke liye hai. Aur Uss Kitab se aisi Mohabbat karte hai jaisa Allah ki Kitab se honi chahiye, Uss Kitab par wo tawajjo detey jo Allah ki Kitab ka Haq hai.

Tou Deegar Qutub aur Wajaeef ne Is Quraan ki Ahmiyat ko kum kar diya. Allah Hume bachaye aise fitno se.

* * * * *

6). Chati wajah: Bohot Mushkil Kitab hai (Maaz’Allah)

Aapko Ek Misaal dete hai, Aapka ek Bacha hai jo har Roz School se phatke kha kar Aata hai, Aap Ja kar School ke Teachers se wajah puchtey ho ke “Kyu Marte ho Mere Bacche ko har Roz..?”

Tou wo Teacher kehta hai ke “Ye Bacha padhke hi nahi aata kuch, Kal humne isey Physics padhaya, Chemistry padhaya, Botany padhaya phir bhi Isey kuch nahi samjhta…”

Aap kahenge “Ye tou K.G. me Admission dilaya maine Isey Teacher! … aur Aap tou College ke Subject padha rahe usko…”

Lihaja Aap Uss Bewakuf Teacher ko phatkey de kar Aaoge, ke wo log Baccho ko aisa Syllabus padhatey hai Jo Unki Umr ke liye hai hi nahi.

Ab Humara Ek buniyadi sawal hai ke “Allah Rabbul Izzat apne Bando ke liye ek Kitab bana raha hai, Agar Wo Kitab Bando ko hi Samajh na aaye tou koun Bewakuf hua usme ?”

Subhan’Allah !!! Allah Rabbul Izzat tou Hiqmat wala hai. Wo ye kaam nahi kar sakta ke aisi kitab de dey uske bando ko, jisko wo padhna farz karey , Jispe Amal ko farz karey aur ye kahe ke tumko samjh me nahi aayegi.

Jabki ye samajh aati hai siway Iske ke Humne Isey samjhna na chaha aur kuch Mafadparsto ne hume samjhne na diya.

Aur Jaahir si baat hai ke Jab sab ke liye Qalam hai tou kaise hum nahi samajh saktey isey ?

Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai Surah Qamar me aayat 17, 22, 32, 40 aisi 4 baar ye Aayat Repeat hoti hai ke

Humne Iss Quraan ko Nasihat ke liye Aasan kar diya hai! tou hai koi padhney wala aur Is se nasihat haasil karne wala.

(Al-Quran: 54:17)

Allah keh raha hai Aasan hai aur baaz log keh rahe hai Mushkil hai. Subhan’Allah!!

Lihaja Hume Chahiye ke Mafadparsto ke behkaawe se bahar nikley aur Allah ki Kitaab par Gour kare, Uska Muta’ala karey aur uspar amal ki koshish karey.

* * * * *

7). Saatvi wajah: Padhey tou Amal karna padta

Quraan se doori ki Ek wajah yeh bhi hai ke Quraan Padhey tou amal karna padta aur Naa padhe tou bach jatey. Subhan’Allah!!

Agar Wakay me “Quran ko Padhey tou Amal karna padta aur nahi padhey tou chal jata” Iss Usool ko Maan ley tou hume Batayiye sabse pahle Jannat ka Mustaheeq koun?

Jaahir si baat hai kaafir hi hotey, wo tou kehety ke “Aye Allah Padhna aur Naa Padhna tou bohot door ki baat ! Humko tou Maloom hi na thi ke ye teri Kitab hai. Lihaja Hum tou tere Azab se bari ho gaye. (Subhan’Allah)

Hume Bataye kya ye log Jannat me jayenge ? Agar Aap na kahte hai tou phir Ummid kaise karte hai ke Hum bhi na padhe tou Jannat ke Mustaheeq ho jayenge?

Darhakikat ye Shaitan ka diya hua Ek bahana hai jo Usney Allah ke Qalaam se Musalmano ko door karne ke liye diya hai. Sharm ki baat hai ye Kitaab tou aayi thi Insaniyat ke Amal ke liye, lekin humne Is se Doori ko apna Shaiwa bana liya hai.

* * * * *

8). Aathnvi wajah: Quraan padhey tou Gumaarah ho jatey (SubhanAllah)

Ek Sabse Ghatiya aur Intehahyi baqwas wajah ye hai Aaj Humare Quraan se doori ke ki Quraan padhey tou Gumraah ho jatey. Subhan’Allah !!!

Jo Quraan Insaniyat ke liye Kitab-e-Hidayat hai agar wo Musalmano ko hi Gumrah kar dey tou kya dawat denge hum aur aap Gairmuslimo ko ?

Darhakikat wo log khud Gumraah ho Chukey hai Iss Kitab ko chodkar jo kahtey hai ye kitab Gumrahi deti hai.

Allah Rabbul Izzat ek Aayat me farmata hai ke –

Jo Meri Hidayat Ki Pairvi Karega Wo Kabhi Gumraah Nahi Hoga.

(Surah Taha Ayat 123)

Lihaja Allah ki Kitab Hidayat ki hi hai Wo kabhi Gumraahi nahi deti siway iske ke Kafir agar isey Gumrahi ki Niyat se Padhey tou wo Gumrah ho jayega.

Lekin Jo Hidayat ki Niyat se padhta hai wo Sirf aur sirf Hidayat hi pata hai.

Gour Karne wali baat hai Mere Azizo! koi Aam baat nahi.

Ek Badey Mansubo ke tehat Musalmano ko apne hi Rab ke Qalaam se door karne ki sajish ki ja rahi hai. Taaki Ummat ki La-Ilmi ka fayda uthakar ye log apni dukaney chala sakey.

Aur na jaane Kaise-Kaise bahano se Ummat ko Allah ki Kitab se door rakha gaya.

Jabki ye Kitab agar Sab ke liye hai tou ye Mushkil kaise ho sakti hai ?

Ha ye baat Alag hai ke Uski Gehrayi tak Sab nahi ja sakte, Ulema aur Mufakkir hi jayenge, Lekin in Mafadparsto ne Ulemao ki Tafseer bhi nahi padhni di logon ko. taaki kahi inki poley na khul jaye.

Yaad Rahe agar Quraan Ek Samndar hai tou Isme Sab Tair Sakte hai,
Lekin Gota sirf Makhsus Log hi laga saktey hai."

Kyunki ke Quraan sabke liye aaya hai. Allah Janta tha ke ye Quraan Qayamat tak ke liye hidayat hai, Isme Yahudi honge, Isayi honge, Majushi honge , Tamam kism ke mushrik aur kafir honge.

Tou sabke Hisab se Quraan Design kiya hoga na Allah ne! ke sab samajh Sakey, Yakinan sab ke liye Hidayat hai Isme.

Aur Wakiyat bhi suntey hai Hum ke “Falah Yahudi Quraan padha tou Imaan laya, Falah Isayi Quraan Padha aur Imaan Laya.”

Kaise Iman Laya? Humare Over-Smart Hazrat tou kehte hai ke ye Kitaab tou Gumrahi laati hai. Subhan’Allah !!!!

Aakhirat me Aise Logon ki sakht pakad hone waali hai Jo Allah ke Hidayat ke sath aisa Sulooq karte hai, Allah Hume bachaye Inke fitno se.

♥ In’sha’Allah! Agley Part me Quraan ko chorrne ke Anjaam par gour karenge !!

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quraan: Part 11 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-11/feed/ 0 17094
Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/ https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/#respond Wed, 15 Apr 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/ Sunnat Ki Ahmiyat : Part 15Beharhaal Jo Baatey Hum Aapke Samne Sunnat ki Ahmiyat ke Taaluk se Rakh Rahe hai Usey Pura Karenge Ek Wakiye Se,.. Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ka Ek Mash’hoor aur Maruf Wakiya […]

The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Beharhaal Jo Baatey Hum Aapke Samne Sunnat ki Ahmiyat ke Taaluk se Rakh Rahe hai Usey Pura Karenge Ek Wakiye Se,.. Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ka Ek Mash’hoor aur Maruf Wakiya hai aur Ismey Bhi Ita-ate Rasool (ﷺ) Ke Talluk Se Baat Wajeh Hoti Hai…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (ﷺ) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz Aur Nasihat Farma Rahe They Aur Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They.

Yeh Dekh Kar RasoolAllah (ﷺ) Ka Chehra-e-Mubarak Laal Ho Gaya.
Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) Ne Yeh Dekha Aur Kaha – ‘Aye Umar Kya Tum Dekh Nahi Rahe Ke RasoolAllah (ﷺ) Ka Chehra-e-Mubarak Kaisa Ho Gaya Hai Tumhare Iss Amal Par’ ..

Jab Aap Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Dekha Tou Fauran Kaha –
“Radheetu Billahi Rabba, Wa Bilislami Deena, Wa Bi Muhammadin Nabiya”
(Tarjuma: Mai Raazi Hu Ke Allah Mera Rabb Hai, Deen Mera Islam Hai aur Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Nabi Hai.)

Aur fir Rasool’Allah (ﷺ) Ne Umar Ibne Khattab Ki Taraf Dekha Aur Kaha –
Aye Umar! Agar Mere Hotey Hue, Musaa (Alaihay Salam) Bhi Aa Jaye, Tou Unko Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga! Aur Agar Mere Hotey Hue Tum Unki Baat Maano Tou Tum Gumraah Ho Jaoge” [Bukhari Sharif]

* Andaza Lagaiye, Musaa (Alaihay Salam) Ke Talluk se Baat Ho rahihai, Jinke Talluk Se Khud Rasool’Allah (ﷺ) Farmatey hai ke –
“Mere Aur Musaa Ke Bich Me Mu’azna(Comparison) Na Kiya Karo! Kyun Ke Qayamat Ke Roz! Jab Mai Behoshi Se Uthkar Khada Rahunga Tou Kya Dekhta Hu Ke Musaa Allah Ke Arsh Se Lag Kar Pahle Hi Khadey Hue Hai. Mai Nahi Janta Ke Wo Behosh Hue Ya Na Hue, Ya Mujhse Pahle Uthkar Khadey Ho Gaye”.

Yeh Hai Musaa (Alaihay Salam)! Aur Aap 5 Ulool Azm Paigmabro se Ek hai.

Aur Inhi Ke Talluk Se RasoolAllah Farmatey Hai Ke – Meri Moujudgi Me Musaa Bhi Aa Jaye Tou Meri Itteba Ke Siwa Aur Koi Chara Na Hoga, Aur Tum Unki Itteba Karo Tou Tum Gumraah Ho Jaoge., .

*Tou Jab Musaa (Alaihay Salam) Ki Itteba Rasool’Allah (ﷺ) Ki Moujudi Me Karne Se Gumraahi aati hai.

Tou Andaza Lagayiye, Rasool’Allah Ko Chorrkar Jin Logon Ne Inko Aur Unko, Falah Aur Falah Ko Itteba Ke Layak Bana Liya Hai Unka Kya Hoga Sirf Tasawwur Hi Kiya Ja Sakta Hai..

Aur Fir Iske Baad Humara Ye Kehna Ke –
*Inki Aur Unki Baat, *Aisi Aur Waisi Baat,
* Bado Ki Aur Choto Ki Baat, * Ilaqe Aur Rangat Ki Baat

Yaad Rakhiye Ye Tou Bohot Hi Ghatiya Baat Hai !
Yakinan Musaa (Alaihay Salam) Jaisa Muqaam Iss Ummat Ke Kisi Bhi Shaksh Ka Nahi Ho Sakta..
*Puri Insaniyat Bhi Jama Ho Jaye, Tou Ek Nabi Ke Muqaam Tak Nahi Pohoch Sakti..

*Tou Andaza Lagayiye Humne Tou Rasool’Allah (ﷺ) Ko Chorrkar Pata Nahi Kin-Kin Ko Apna Sahara Bana Liya.. Kin-Kin Ke Tareeko Par Hum Chaltey Hai Aur Kya-Kya Amaal Humne Apni Zindagi Me Ijad Kar Liye Hai..

# SABAQ: Iss Aahdees-e-Mubarak Se Maloom Hua Ke Allah Ke Nazdeeq Kisi Shakhs Ka Imaan Kabile Kabool Nahi Jab Tak Ke Wo Rasool’Allah (ﷺ) Ki Iteeba Na Karey..

*Aur Ab Jab Rasool’Allah (ﷺ) Ki Shariyat Allah Ne Tamam Aulaade Adam Par Farz Ki Hui Hai Tou Rasool’Allah Ko Chorrkar Kisi Aur Ke Tareeko Ko Tasleem Karna Bhi Gumraahi Hogi..

– Lihaja Humey Chahiye Ke Shariyat ka Sahi Ilm Hasil Kare, Uss Par Khud bhi Amal Karey aur Auro ko bhi Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Aagah Karne Ki Koshish Karey..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!

Allah ta’ala humey RasoolAllah (ﷺ) ki sunnato ka muttabe banaye,
RasoolAllah (ﷺ) ki sacchi Mohabbat hum me daaley,

Unki sunnato ko samjhna aur uspar chalna humare liye aasan karey,
Aur humari naslo me rasool’allah ki sunnat ko baaki rakhey.

Jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhy,
Khatma humara imaan par ho.

!!! Wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

The post Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sunnat-ki-ahmiyat-part-15/feed/ 0 17006
Islam me Naye-Naye Kamo ke Ijad karne se Bachtey Rehna https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/ https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/#respond Wed, 20 Aug 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/ stop bidah♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Arbaz Bin Sariyaah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, Unhoney kaha ki ek din Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Hume Namaz Padhayi, Phir Aap Humari Taraf Mutwajjah Huye […]

The post Islam me Naye-Naye Kamo ke Ijad karne se Bachtey Rehna appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Arbaz Bin Sariyaah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, Unhoney kaha ki ek din Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Hume Namaz Padhayi, Phir Aap Humari Taraf Mutwajjah Huye aur ek Nasihat Farmayi, Usey sun kar Humari Aankho se Ansoo Jaari ho Gaye aur Dil dahal gaye,

Ek Shakhs Ne Kaha – “Ya RasoolAllah ! Yeh Nasihat tou Aisi hai Jaise kisi Wida Hone Waley ki Hoti hai (Isliye) Hum ko (Khaas) Wasiyat Farmayiye”

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Main Tumhe Wasiyat Karta Hoon Ki Allah se Darte Rehna aur (Apne Huqmaran Ki) Sun’na Wa Maan’na, Agar (Sunane Wala) Ghulam Habshi hi Kyun na ho,
Mere Baad Jo Tum me de Zinda Rahega, Wah Sakht Gumraahi Dekhega (Matlab Log Deen me Ikhtelaaf Paida Karenge) Uss Waqt Tum Alllah ki Kitaab Quraan, Meri Sunnat Wa Khulafa-e-Rashideen Ka Raasta Zaroor Pakadna!
Aur (Deen Ke Ander) Naye-Naye Kaamon (Ke Ijad Karne) Se Bachtey Rehna, Kyunki (Deen Me) Har Naya Kaam Biddat (Innovation) Hai Aur Har Biddat Gumraahi Hai, Aur Har Gumraahi Ka Thikana Jahannum Ki Aag Hai.”
– (Abu Dawood, Tirmizi)
– (Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadees-43)
– (Bukhari: 3197, Muslim: 4822, Ahmad: 11372)
– (Tirmidhi: 2565, Hakim Mustadrak, 1:218)

Allah Ta’ala Hum Tamaam Ko Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye,
Har Kism Ki Biddato Se Humare Emaan Ki Salamti Ata Farmaye,
Jab Tak Hume Zinda Rakhe Islam Aur Emaan Par Zinda Rakhe,
Khatma Humara Emaan Par Ho!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa

The post Islam me Naye-Naye Kamo ke Ijad karne se Bachtey Rehna appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/feed/ 0 16846