Fitna – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Wed, 14 Feb 2024 03:11:12 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Fitna – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Valentine’s Day manana kaisa hai? https://ummat-e-nabi.com/valentines-day-manana-kaisa-hai/ https://ummat-e-nabi.com/valentines-day-manana-kaisa-hai/#respond Wed, 14 Feb 2024 03:11:07 +0000 https://ummat-e-nabi.com/valentine-day-ki-haqeeqat-by-adv-faiz-syed/ Valentine Day ki Haqeeqat by Adv. Faiz SyedValentine’s Day ki Haqeeqat by Adv. Faiz Syed 14 Feb ko duniya bhar me manane jana wala din Youm-e-Aashiqi ke naam se jana jata hai. Aakhir is ke piche kya […]

The post Valentine’s Day manana kaisa hai? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Valentine’s Day ki Haqeeqat by Adv. Faiz Syed

14 Feb ko duniya bhar me manane jana wala din Youm-e-Aashiqi ke naam se jana jata hai.

Aakhir is ke piche kya tarikhi wakiya hai ?

Tafsili jankari ke liye Aayiye is bayan ka muta’ala karte hai. Baraye Meharbani isey Jyada se Jyada Share karne me tawoon kare.

jazakAllahu Khairan Kaseera !

The post Valentine’s Day manana kaisa hai? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/valentines-day-manana-kaisa-hai/feed/ 0 17434
सफर में गाने सुनना कैसा | Safar me Gaane Sunna Kaisa ? https://ummat-e-nabi.com/safar-me-gaane-sunna-kaisa/ https://ummat-e-nabi.com/safar-me-gaane-sunna-kaisa/#respond Tue, 09 Jan 2024 12:19:08 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?post_type=quotes&p=29907 Safar me Gaane Sunna Kaisa - Hadeesसफर में गाने सुनना कैसा ? हदीस: नबी ए करीम ﷺ ने फरमाया: “जो शख़्स सफ़र की हालत में अल्लाह की याद और ज़िक्र में लगा रहता है तो फ़रिश्ता […]

The post सफर में गाने सुनना कैसा | Safar me Gaane Sunna Kaisa ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

सफर में गाने सुनना कैसा ?

हदीस: नबी ए करीम ﷺ ने फरमाया:

“जो शख़्स सफ़र की हालत में अल्लाह की याद और ज़िक्र में लगा रहता है तो फ़रिश्ता उसका हमसफ़र हो जाता है। और अगर मौसिकी (गाने या म्यूजिक) में मशगुल रहता है तो शैतान उसके सफर का साथी बन जाता है।”

📕 सहिह अल जामे, हदीस 5706

और भी पढ़े :

The post सफर में गाने सुनना कैसा | Safar me Gaane Sunna Kaisa ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/safar-me-gaane-sunna-kaisa/feed/ 0 29907
दज्जाल की हकीकत | दज्जाल कौन है, कहाँ है और कब निकलेगा? https://ummat-e-nabi.com/dajjal-ki-hakikat-in-hindi/ https://ummat-e-nabi.com/dajjal-ki-hakikat-in-hindi/#respond Mon, 23 Oct 2023 20:16:03 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=41984 Dajjal ki hakikat in hindiDajjal ki Hakikat in Hindi दज्जाल की हकीकत | दज्जाल कौन है, दज्जाल कहाँ है, और वह कब निकलेगा? ۞ बिस्मिल्लाह-हिर्रहमान-निर्रहीम  ۞  अल्लाह के नाम से जो बड़ा मेहरबान बहुत […]

The post दज्जाल की हकीकत | दज्जाल कौन है, कहाँ है और कब निकलेगा? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Dajjal ki Hakikat in Hindi

दज्जाल की हकीकत | दज्जाल कौन है, दज्जाल कहाँ है, और वह कब निकलेगा?

۞ बिस्मिल्लाह-हिर्रहमान-निर्रहीम  ۞ 

अल्लाह के नाम से जो बड़ा मेहरबान बहुत रहमवाला है।

सब तारीफें अल्लाह तआला के लिए हैं जो सारे जहान का पालनहार है। हम उसी से मदद व माफी चाहते हैं,
अल्लाह की ला’तादाद सलामती, रहमते व बरकतें नाज़िल हों मुहम्मद सल्ल. पर, आप की आल व औलाद और असहाब रजि. पर।   व बअद –

दज्जाल का कैद से निकलना भी कयामत से पहले की दस बड़ी निशानियों में से एक है। यह अपने साथ बहुत बड़े फ़ित्ने व शुब्हात ले कर आएगा। इसीलिए आप सल्ल. ने इसके बारे में उम्मत को ख़बरदार किया और डराया और फरमाया “अल्लाह की कसम! कयामत उस वक़्त तक कायम नहीं होगी जब तक तीस झूठे न ज़ाहिर हो जाएं। उनमें सबसे आखिरी काना दज्जाल होगा।” (रावी-अहमद) 

दज्जाल कौन है ?

दज्जाल औलादे आदम में से एक शख्स होगा। जिसे अल्लाह कूछ ऐसी ताकतें अता करेगा जो उसके सिवा किसी इन्सान को हासिल न हुई। 

उसे मिली यह ताकतें लोगों की आज़माइश के लिए होंगी। वह यह दावा भी करेगा कि वही रब्बुल आलमीन है। उसकी बाई आख मिटी हुई होगी यानी वह काना होगा। कुछ अहले इल्म के नजदीक उसे ‘मसीह’ इसलिए कहा गया है वह सारी जमीन में घूमेगा व चलेगा फिरेगा। 

दज्जाल का अर्थ

दज्जाल का अर्थ (मतलब) फरेब है, अहादीस के मुताबिक उसका काम दज्ल व फरेब करना, बहाने बनाना, हकाइक (हकीकत) को छिपाना और बड़े-बड़े झूठ बोलना होगा।

वह लोगों से उस पर ईमान लाने को कहेगा। इसीलिए नबी सल्ल. ने उसकी पहचान बताते हुए फरमाया “दज्जाल काना है और तुम्हारा रब काना नहीं है।” (वह हर ऐब से पाक है)” (बुखारी-7131) 


दज्जाल की कहानी

इब्ने सय्याद का किस्सा :

आप (ﷺ) के ज़माने में मदीना में “इब्ने सय्याद” नाम का एक यहूदी लड़का था। आप सल्ल. को उसके दज्जाल होने के बारे में शक था। 

इसीलिए एक दफा आप सल्ल. ने उससे फरमाया “क्या तु गवाही देता है कि मैं (मुहम्मद) अल्लाह का रसूल हूँ।” वह आप की तरफ देखकर बोला-मैं गवाही देता हूं कि आप उम्मीईन (अनपढ़ लोगों) की तरफ रसूल बना कर भेजे गए हैं। 

फिर उसने कहा कि क्या आप (सल्ल.) गवाही देते हैं कि मैं अलाह का रसूल हूं। आप सल्ल. ने उसकी रिसालत का इन्कार किया और फ़रमाया “मैं अल्लाह पर और उसके रसूलों पर ईमान लाता हूं।” 

फिर आपने इब्ने सय्याद से पूछा कि “तुझे क्या नजर आता है? उसने बताया कि मेरे पास सच्चा और झूठा आता है। तब आप सल्ल. ने उससे फरमाया – “मैने तेरे लिए दिल में एक चीज़ छिपा रखी है।”

इब्ने सय्याद ने दुखान कहने की भरपूर कोशिश की लेकिन यह लफ्ज़ अदा करने की उसे तौफीक न मिली। वह सिर्फ दुख-दुख ही कह सका। 

आप सल्ल. ने फरमाया “फटकार है तुझपर! तू अपनी हैसियत से आगे न बढ़ सकेगा।” 

हज़रत उमर रजि. ने अर्ज किया कि मुझे इजाजत दीजिए कि मैं इसकी गर्दन उड़ा दूं।” 

आप सल्ल. ने फरमाया इसे छोड़ दो अगर यही दज्जाल है तो तुम इसे नहीं मार सकोगे और अगर यह दज्जाल नहीं है तो इसे कत्ल करने से कोई फायदा नहीं है। (मुस्लिम-7344, अहमद-11798)

इब्ने सय्याद का दज्जाल का पता बताना :

अबु सईद खुदरी रजि. का बयान हे कि “एक सफ़र में जब इब्ने सय्याद उनके साथ था उसने कहा अबु सईद लोग मेरे बारे में जो बाते करते हैं उस पर मेरा दिल चाहता है कि किसी पेड़ से रस्सी लटका कर खुद को फांसी दे लूं। हो सकता है कि (दज्जाल के बारे में) आप सल्ल. की हदीस का इल्म किसी और को न हो मगर तुम अन्सार से छिपी नहीं है। 

क्या अल्लाह के रसूल ने यह नहीं फरमाया था कि दज्जाल बांझ होगा? उसके कोई औलाद न होगी जबकि मैं औलाद वाला हूं और मेरी औलाद मदीना में मौजूद है। दज्जाल मक्का व मदीना में दाखिल न हो सकेगा जबकि मैं मदीना से आ रहा हूं और मक्का जा रहा हूं। 

अबू सईद रजि. कहते हैं कि मैं उसे माजुर मानने ही वाला था कि वह फिर बोला अल्लाह की कसम मैं अच्छी तरह जानता हूं कि दज्जाल कहां पैदा हुआ ? और इस वक्त वह कहां है ? (यानी दज्जाल पैदा हो चुका है) अबू सईद रजि. कहते हैं मैने कहा तुम्हारे लिए हलाकत व बर्बादी हो। (मुस्लिम 7350 अहमद 11945)


दज्जाल सबसे बड़ा फितना 

अल्लाह के रसूल सल्ल. ने फरमाया:

1. आदम अलैहि. की पैदाइश से लेकर कयामत के दिन तक दज्जाल से बड़ी कोई मुसीबत नहीं। (मुस्लिम-7395)

2. दज्जाल के अलावा दूसरे फित्नों का तुम्हारे बारे में मुझे ज्यादा डर है। दज्जाल अगर मेरी जिन्दगी में निकल आया तो मैं दलील के ज़रिये मुकाबला करके तुम सब की तरफ़ से उस पर भारी पडूंगा और अगर वह मेरे बाद आया तो हर शख्स दलील के साथ उस पर गालिब आने की कोशिश करे। अल्लाह हर मुस्लिम की मदद करेगा। (मुस्लिम-7373, इब्ने माजा-4077)

3. मैं तुमको उससे डरा रहा हूँ। हर नबी ने अपनी कौम को उससे डराया है लेकिन मैं तुम्हें एक ऐसी बात बताता हूं जो किसी नबी ने अपनी कौम को नहीं बतलाई। वह यह कि दज्जाल एक आंख से काना होगा और अल्लाह तआला ऐसा नहीं है। (बुखारी-7127, इब्ने माजा-4077)


खुरुजे दज्जाल से पहले होने वाले वाकिआत

1. बैतुल मक़दिस के आबाद होने से मदीना की बर्बादी शुरु हो जाएगी।

मदीना बर्बाद हुआ हुआ तो कुस्तुनतुनया फ़त्ह हो जाएगा और इसके फ़त्ह होने के बाद जल्दी ही दज्जाल निकल आएगा। (अबु दाऊद-4294) 

2. तुम ईसाईयों के साथ सुलह कर लोगे। फिर एक जंग के बाद रूमी तुम से गददारी करेगें मगर तुम्हे जीत हासिल होगी। मालेगनीमत मिलेगा और तुम नुकसान से बचे रहोगे। (अबु दाऊद 4292

3. खुरुजे दज्जाल से पहले के तीन साल बहुत सख्ती भरे होंगे
पहले साल 1/3 बारिश व 1/3 पैदावार कम होगी। दूसरे साल 2/3 बारिश व 2/3 पैदावार कम होगी और तीसरे साल न कोई बारिश होगी और न कोई चीज़ ज़मीन से पैदा होगी। उस वक्त “ला इलाहा इल्लललाह, अल्लाहु अकबर और अल्हम्दुलिल्लाह” का जिक्र लोगों की खुराक का काम करेगा।” (इब्ने माजा-4077) 

4. दज्जाल उस वक्त तक नहीं निकलेगा जब तक कि लोग उसके ज़िक्र से गाफिल न हो जाएं। यहा तक कि खतीब मिम्बर से उसका जिक्र करना तक छोड़ देगें। (अहमद-16788) 

5. अरबों की तादाद काफी कम हो जाएगी। लोग दज्जाल के डर से पहाड़ों में जा छिपेगें। (मुस्लिम-7393) 

6. “खुशहाली का फ़ित्ना” एक ऐसे शख्स के ज़रिये उठेगा जो खुद को मेरे अहले बैअत से बताएगा हालांकि उसका मुझसे कोई तअल्लुक न होगा। फिर लोग एक ऐसे शख्स को अपना हाकिम बना लेगें जो इस लायक बिल्कुल न होगा। इसके बाद फित्नों का दौर शुरु हो जाएगा। आदमी सुबह को मोमिन होगा और शाम को काफिर हो जाएगा। ऐसे में जल्दी ही दज्जाल ज़ाहिर हो जाएगा।” (अबु दाऊद 4242) 

7. “खुरुजे दज्जाल के वक्त मदीना बेहतरीन ज़मीन होगी। उसके हर सुराख पर फ़रिश्ता तैनात होगा जो दज्जाल को मदीना में दाखिल होने से रोकेगा। ऐसे वक्त मदीना में तीन ज़लज़ले आएगें और कोई मुनाफिक ख्वाह मर्द हो या औरत ऐसा न होगा जो मदीना से निकल कर दज्जाल से जा न मिले। इनमें से ज्यादातर औरतें होगी। यह वह दिन होगा जब मदीना अपने मैल कुचैल को इस तरह निकाल देगा जैसे लुहार की भट्टी लोहे के मैल कुचैल को दूर कर देती है। 

दज्जाल के साथ 70 हजार यहूदी होगें। जिनमें से हर एक ने हरे रंग की रेशमी चादर, ताज व जैवरात से सजी तलवार पहन रखी होगी।” (अहमद 14158)


दज्जाल कैसा दिखता है ? 

वह छोटे कद, मज़बूत जिस्म और बड़े सर वाला होगा। उसकी दोनों आंखें ऐबदार होंगी। दाई आंख अंगूर की तरह फूली हुई होगी और बांई आंख पर चमड़ा आया हुआ होगा। बाल घने व घुघराले होगें। सफेद रंगत वाला होगा और उसकी दोनों आंखों के बीच ‘काफिर’ लिखा होगा।

तमीमदारी रजि. की ‘दज्जाल व जस्सासा’ वाली हदीस के मुताबिक वह एक समन्दरी जजीरे में कैद है। आप सल्ल. के जमाने में मौजूद था। तमीमदारी रजि. व उनके साथियों ने उसे जज़ीरों में जकड़ा हुआ देखा था। कयामत से पहले जब अल्लाह चाहेगा शदीद गुस्सा करने की वजह से उसकी जंजीरे टूट जाएगी और वह कैद से निकल जाएगा।” (मुस्लिम-7386, इब्ने माजा-4077)


जमीन पर दज्जाल की रफ्तार

उसकी रफ्तार उस बारिश की तरह होगी जिसके पीछे हवा हो। मतलब यह कि वह बहुत तेजी से ज़मीन के हर हिस्से में पहुंच जाएगा। 

वह ज़मीन में 40 रोज़ तक फिरेगा। उनमें का एक दिन एक साल की तरह, एक दिन एक महीने के बराबर और एक दिन एक हफ्ते के बराबर होगा। बाकी के दिन आम दिनों की तरह होगें, गधे पर सवार होगा। 

उसके दोनों कानों के बीच 40 हाथ का फासला होगा, लोगों से कहेगा कि मैं तुम्हारा रब हूं हालाकिं वह एक आंख से काना होगा और तुम्हारा रब ऐसा नहीं है। उसकी दोनों आंखों के बीच काफ़िर लिखा होगा जिसे हर मोमिन पढ़ लेगा। चाहे वह पढ़ा लिखा हो या अनपढ़। (अहमद-14158, मुस्लिम-7365, अबु दाऊद-4318)

“वह मशरिक की तरफ से आएगा। उसका इरादा मदीना में दाखिल होने का होगा। मगर उहद पहाड़ के पीछे फ़रिश्ते उसे रोक कर उसका रुख शाम (सीरिया) की तरफ फैर देगें।” (मुस्लिम 3351)


दज्जाल के फ़ितने  

1. उसके साथ जन्नत व जहन्नम होगी। उसकी आग असल में जन्नत होगी और उसकी जन्नत हकीकत में जहन्नम होगी।” 

2. उसके साथ पानी और आग होगी। उसकी आग असल में ठण्डा पानी होगी और उसका पानी हकीकत में आग होगी। तुममे से जो कोई दज्जाल को पाए तो उसे चाहिए कि उसकी आग में कूद जाए क्योंकि वह ठण्डा मीठा पानी होगा।” (बुखारी-7130, मुस्लिम-7370) 

3. “वह एक कौम के पास आएगा तो वह कौम उस पर ईमान ले आएगी। वह आसमान को हुक्म देगा तो वह बारिश बरसाना शुरु कर देगा। जमीन को हुक्म देगा तो वह पैदावार देना शुरु कर देगी। भेड़ बकरियां जब चर कर लौटेंगी तो उनके थन दूध से लबरेज होगें। 

फिर जब वह एक दूसरी कौम के पास जाएगा तो वह उस पर ईमान नहीं लाएगी। सुबह जब वह कौम अपने खेतों को देखेगी तो फसलें बर्बाद हो चुकी होंगी और जमीन बन्जर। वह उस बन्जर जमीन को हक्म देगा तो ज़मीन से खजाने निकल कर शहद की मक्खियों की तरह होकर उसके पीछे-पीछे चलेगें। (मुस्लिम 7373) 

4. “दज्जाल जब एक देहाती से कहेगा कि अगर मैं तुम्हारे मर चुके मां-बाप को ज़िन्दा कर दूं तो क्या तुम मुझे अपना रब मान लोगे ? वह हामी भर लेगा तो दौ शैतान उसके मां-बाप की शक्ल में उसके सामने आ जाएगें और कहेगें कि बेटा! इसका कहा मानो, यही तुम्हारा रब है।” (इब्ने माजा-4077, सही अल जामेअ-7885)

“वह एक जवान को तलवार मार कर उसके दो टुकडे कर देगा। फिर कहेगा कि मैं इसे ज़िन्दा कर दूंगा मगर यह मुझे अपना रब नहीं मानेगा। वह मुर्दा उसके कहने पर उठ खड़ा होगा। यह जवान से पूछेगा कि मेरा रब कौन है तो वह कहेगा कि मेरा रब अल्लाह है और तू अल्लाह का दुश्मन दज्जाल है।” (इब्ने माजा-4077)

अब सवाल यह है कि जिन लोगों की जिन्दगी में वह जाहिर हो, वो उसके फ़ितने से बचने के लिए क्या करें?


फितना ए दज्जाल से बचने के तरीके 

1. दज्जाल से दूर रहे –

“जो कोई दज्जाल के बारे में सुने तो वह उससे दूर रहे।” (मुस्लिम 7395) 

“दज्जाल से भाग कर पहाड़ो में छुप जाएं।” (मुस्लिम 7395) 

2. अल्लाह से मदद तलब करें –

“जो शख्स उसकी आग के फिरने में फंस जाए वह अल्लाह से मदद चाहे। (इब्ने माजा-4077) 

3. अल्लाह के अस्मा व सिफात का इल्म हासिल करे – 

“दज्जाल एक आंख से काना है और अल्लाह तआला हरगिज़ ऐसा नहीं है।” (बुखारी-7131) 

4. सूरह कहफ़ के शुरु की दस आयतों की तिलावत करें –

“जो कोई सूरह कहा की इब्तेदाई दस आयात याद कर लेगा वह दज्जाल के फ़ितने से महफूज रहेगा।” (मुस्लिम 1883) 

5. हरमैन शरफैन में से किसी एक में पनाह ले –

इसलिए कि “दज्जाल मक्का व मदीना में दाखिल नहीं हो सकेगा।” (अहमद 11945 सही) 

6. लोगों को दज्जाल से आगाह करते रहे –

“दज्जाल उस वक्त तक नहीं निकलेगा जब तक कि लोग उसके ज़िक्र से गाफिल न हो जाएं।” (अहमद 16788) 

7. इल्मे दीन हासिल करें – 

“जिसने दज्जाल से कहा कि हमारा रब अल्लाह है हम उसी पर भरोसा करते हैं और उसी की तरफ हम लौट कर जाएगें और तुझसे बचने के लिए हम अल्लाह ही की पनाह चाहते हैं तो ऐसे शख्स पर दज्जाल का कोई असर नही चलेगा।” (अहमद हसन) 

8. नमाज़ के आखिर में दज्जाल के फित्ने से अल्लाह की पनाह मांगे –

आखिरी तश्हूद में सलाम फैरने से पहले यह दुआ करें- “अल्लाहुम्मा इन्नी आऊजुबिका मिन अज़ाबिल कब्रि व मिन अज़ाबिल जहन्नमा व मिन फित्नति महयाया व ममाति व मिन फित्नति मसीहि दज्जाल“ 
यानि ऐ अल्लाह ! मैं तुझसे कब्र व जहन्नम के अजाब से, जिन्दगी व मौत के फित्ने से और मसीह दज्जाल के फ़ित्ने से पनाह मांगता हूं। (मुस्लिम-1324, नाई-1309, इब्ने माजा-909, अबु दाऊद-983, बुखारी-1377, अहमद-7236)


दज्जाल को कौन मारेगा ?

दज्जाल जब ईसा अलैहि. को देखेगा तो इस तरह पिघलने लगेगा जैसे पानी में नमक।  वह भागेगा मगर ईसा अलैहि. उसे बाब लुद्द (जो फिलीस्तीन में है) के करीब जा पकड़ेगें और नेजा मार कर उसे मौत के घाट उतार देगें। 

फिर ईसा अलैहि. दज्जाल का नेजे पर लगा हुआ खून लोगों को दिखाएगें। (मुस्लिम 7279 इब्ने माजा 4077)


दज्जाल का इन्कार करने वाले 

माजी करीब में कुछ उलैमा ऐसे भी गुजरे हैं जिन्होंने दज्जाल का इन्कार किया और इस मसअले में खता कर गए। जैसे – 

1. शैख़ मुहम्मद अब्दह की नज़र में दज्जाल की कोई हकीकत नहीं, यह सिर्फ खुराफात है। 
2. मुहम्मद फहीम – इनकी नज़र में दज्जाल से मुराद शर व फ़साद का फैलाव है। 
3. किसी ने कहा दज्जाल ज़ाहिर तो होगा मगर उसके साथ फित्ने और जन्नत जहन्नम नहीं होगें। 
4. तो किसी की नज़र में दज्जाल वगैरह तो अफ़साने हैं।

इनमें से अक्सर का कहना है कि दज्जाल का जिक्र कुरआन में नहीं है। हालांकि इर्शादे बारी है “जिस रोज तुम्हारे रब की कुछ निशानियां आ जाएंगी तो जो शख्स पहले से ईमान वाला न होगा। उस वक्त उसका ईमान लाना कुछ फायदा न देगा।” (अनआम आयत 158) में दज्जाल का जिक्र है। 

जिसकी वजाहत इस हदीस से होती है। जब तीन चीजें ज़ाहिर हो जाएगी तो किसी ऐसे शख्स का ईमान लाना उसे फायदा न देगा जो पहले से मोमिन नहीं होगा। 1. खुरुजे दज्जाल, 2. खरुजे दाब्बा (जमीन से एक बड़े जानवर का निकलना।) और 3. सूरज का मगरिब से तुलूअ होना। (मुस्लिम 398, तिर्मिजी 3072) 

आखिर में यह जान लें कि “शिर्के खफ़ी दज्जाल से ज्यादा खतरनाक है।” (अहमद) साथ ही “गुमराह पेशवा” (उलैमा) दज्जाल के फ़ित्ने से ज्यादा खोफ़नाक है। (अहमद, सिलसिला अहादीस सहीहा-1989) 

हज़रत उमर रजि. ने फरमाया था “खबरदार” तुम्हारे बाद कुछ ऐसे लोग आने वाले हैं जो रजम (संगसार) दज्जाल, शफाअत और अज़ाबे कब्र का इनकर करेगें। वह इस बात का भी इन्कार करेगें कि अल्लाह एक कौम को जहन्नम से निकाल कर जन्नत में दाखिल करेगा। हालांकि वोह जलकर कोयला हो चुके होगें। (अहमद) 

फित्नों वाली अहादीस को जानकर हम ना उम्मीद न हों बल्कि अपने ईमान में पुख्तगी लाएं और साबित कदम रहें।

अल्लाह से दुआ है कि वह हमें फ़ित्ना ए दज्जाल से महफूज रखे, हमारी ख़ताओं से दरगुज़र फरमाए और हमें अपने दीन की सीधी राह पर चलाए। आमीन।

आपका दीनी भाई
✒️ मुहम्मद सईद 
09214836639
09887239649

The post दज्जाल की हकीकत | दज्जाल कौन है, कहाँ है और कब निकलेगा? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/dajjal-ki-hakikat-in-hindi/feed/ 0 41984
Nafsiyati Bimari ka Ilaj : Quran wa Sunnat ki Roshni me by Adv Faiz Syed https://ummat-e-nabi.com/nafsiyati-bimariyan-aur-unka-ilaj-by-adv-faiz-syed/ https://ummat-e-nabi.com/nafsiyati-bimariyan-aur-unka-ilaj-by-adv-faiz-syed/#respond Thu, 21 Sep 2023 20:06:08 +0000 https://ummat-e-nabi.com/nafsiyati-bimariyan-aur-unka-ilaj-by-adv-faiz-syed/ Nafsiyati Bimari ka Ilaj : Quran wa Sunnat ki Roshni me by Adv Faiz SyedNafsiyati Bimari ka Ilaj : Quran wa Sunnat ki Roshni me Nafs ki Bimariya kya hai? iska Ilaj Qurano Sunnat me kis tarha wajeh hai ? Aayiye iske bare me […]

The post Nafsiyati Bimari ka Ilaj : Quran wa Sunnat ki Roshni me by Adv Faiz Syed appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Nafsiyati Bimari ka Ilaj : Quran wa Sunnat ki Roshni me

Nafs ki Bimariya kya hai? iska Ilaj Qurano Sunnat me kis tarha wajeh hai ? Aayiye iske bare me tafsili jankari ke liye ek ibratnaak wakiye par gour karte hai,.. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon karey,. jazakAllahu khairan kaseera.

The post Nafsiyati Bimari ka Ilaj : Quran wa Sunnat ki Roshni me by Adv Faiz Syed appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/nafsiyati-bimariyan-aur-unka-ilaj-by-adv-faiz-syed/feed/ 0 17583
Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou https://ummat-e-nabi.com/jab-shaam-ka-andhera-hone-lage-toh/ https://ummat-e-nabi.com/jab-shaam-ka-andhera-hone-lage-toh/#respond Mon, 26 Jun 2023 07:37:15 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jab-shaam-ka-andhera-hone-lage-toh/ Bukhari, Hadees 3316Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Allah ke rasool (ﷺ) farmatey hai – “Jab Shaam ka andhera (magrib) hone lagey tou apne baccho ko ghar me rokey rakhoKyunki uss […]

The post Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou

Allah ke rasool (ﷺ) farmatey hai –

“Jab Shaam ka andhera (magrib) hone lagey tou apne baccho ko ghar me rokey rakho
Kyunki uss waqt jinn aur shayateen fail jatey hai.”

📕 Bukhari, Hadees 3316,
📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 2604

The post Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jab-shaam-ka-andhera-hone-lage-toh/feed/ 0 15866
जानमाज़ / मुसल्ले की तसव्विरे और दज्जाली फ़ितना https://ummat-e-nabi.com/hidden-symbol-on-prayer-mats/ https://ummat-e-nabi.com/hidden-symbol-on-prayer-mats/#respond Thu, 24 Nov 2022 10:01:12 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=40786 Hidden Symbol on prayer matsजानमाज़ और मुसल्लो पर बनी जानदार के तस्वीरों की हकीकत , फितनाइ ऐ दज्जाल की सोची समझी साजिश।

The post जानमाज़ / मुसल्ले की तसव्विरे और दज्जाली फ़ितना appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

जानमाज़ और मुसल्लो पर बनी जानदार के तस्वीरों की हकीकत , फितनाइ ऐ दज्जाल की सोची समझी साजिश।

जानमाज़ / मुसल्ले की तसव्विरे और दज्जाली फ़ितना
Hidden Symbol on prayer mats

क्या कभी आपने मुसल्लो पर बने इन तसावीरों पर गौर किया है?

जी हाँ यह वही मुसल्ले है जिन्हे हम शौक से अपनी इबादतों में शुमार करते है बिना यह जाने के इसकी हक़ीकते क्या है।

जबकि यह कोई इत्तेफ़ाक़ नहीं बल्कि सोची समझी साजिशे है जो मुसलमानो के अक़ीदे और जस्बात से खिलवाड़ के लिए बातिल ताकते दिन रात अपनी कोशिश में लगी रहती है।

आपको बता दे, मुसल्ले पर इस तरह के नकाशी वाले काम कोई इत्तेफ़ाक़ नहीं बल्कि दज्जाली फ़ितने की सोची समझी साजिशे है।

कौन है इस साजिश के पीछे ?

hidden symbol on prayer mats 6

आज से तक़रीबन २०० साल पहले दज्जाल के मानने वाले गिरोह ने इल्लुमिनाति नाम से एक तंजीम की शक्ल ली।

इनका बुनियादी मकसद इंसानो में शयातीन का तारूफ आम करना है, यह लोग तरह तरह के सिम्बल्स से लोगों में दज्जाल का तारुफ़ आम करने में माहिर है।

फिर चाहे वो आँख का निशान हो, तरह तरह के माबूदों की तसावीर हो या और भी जानदार की शक्लो सूरत वाले डिज़ाइन हो। इनकी हर कोशिश लोगो का ध्यान भटका कर उन्हें अपने शैतानी निज़ाम का गुलाम बनाना होता है।

बहरहाल इस पोस्ट में हम सिर्फ इन्ही मुसल्लो पर बनी तसवीरो का जिक्र करेंगे जिनके जरिए मुसलमानो के अक़ीदे और जस्बातो से खिलवाड़ की साजिश की गयी है, उम्मीद है हमारी यह छोटीसी कोशिश आपको इन बड़े फ़ितनो से आगाह करने के काम आये।

सबसे पहली बात आपको बता दे, अल्लाह ताला ने जानदार की तस्वीर को नापसंद किया है, एक हदीस के मफ़हूम में आता है के क़यामत के रोज़ (जानदार की) तस्वीर बनाने वाले शदीद तरीन अज़ाब में होंगे, क़ुरआन के मफ़हूम से भी यह बात साबित होती है के सबसे पहला शिर्क इंसानो ने उसका सबब भी तस्वीर ही थी, शैतान मरदूदू ने लोगो को उनक बुजुर्गो की तस्वीर बना कर उन्हें याद करने का मश्वरा दिया और बाद के नस्लों ने उन तस्वीरों की इबादत शुरू कर दी।

तो जानदार की तस्वीर बनाना हराम है बशर्ते के अशद जरुरत न हो। जैसे आपके पासपोर्ट, वीसा पैनकार्ड और जरुरी कागजात के लिए लगने वाली तसावीर के लिए छूट है। बहरहाल यह एक अलग मौजू है, लेकिन इस पोस्ट में जिन तस्वीर की बात हम कर रहे है वो जिन्नात, शयातीन और गैर माबूदों की शक्लो सूरत वाली तस्वीरें है जो आम तौर पर हमारे मुसल्ले में हमें देखने को मिलती है।

मुसल्ले पर बनी जानदार की मुख्तलिफ तसावीर

३/10 आँख, मुहं और कान बने इस मुसल्ले वाली तस्वीर में आप आसानी से देख सकते है कैसी शख्सियत का तारुफ़ हो रहा है।

hidden symbol on prayer mats

4/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 14 1024x576 1

5/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 13 1024x576 1

6/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 12 1024x576 1

7/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 8 1024x576 1

8/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 9 1024x576 1

9/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 6 1024x576 1

10/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 5 1024x576 1

11/11 जानमाज़ / मुसल्ले पर बनी जानदार की तस्वीर।

Hidden symbol on prayer mats 7 1024x576 1

इतनी सारी तस्वीरें देखने के बाद अब सवाल यह आता है के :

क्या बगैर मुसल्ले के नमाज़ नहीं होती ?

तो बहरहाल ऐसा बिलकुल भी नहीं है , याद रहे नमाज़ की शराइत में कही भी मुसल्ले का तज़किरा नहीं आता, नमाज़ के लिए जगह का पाक साफ़ होना जरुरी है। फिर चाहे आप जमींन पर ही क्यों न नमाज़ पढ़े।

तो बहरहाल कोशिश करे इन तमाम शैतानी फ़ितनो सें अपने इमांन व अक़ीदे की हिफाज़त करे और जितना हो सके ऐसी तसावीर वाली जानमाज़ /मुसल्ले से बचा जाये।

– अल्लाह ताला हमे कहने सुनने से ज्यादा अमल की तौफीक अता फरमाए।
– हमे तमाम किस्म के शैतानी कामो से अपनी पनाह आता फरमाए,
– जबतक हमे जिन्दा रखे इस्लाम और ईमान पर जिन्दा रखे,..

वा आखिरी दावाना अलहम्दुलिल्लाही रब्बिल आलमीन।

© Ummat-e-Nabi.com

यह पोस्ट बड़ी मशक्कत से बनाया हैं, बराये खुलूस कोप्पी करनेवाले ब्लॉगर हज़रात Ummat-e-Nabi.com क्रेडिट के साथ इसे कॉपी करे। जज़कल्लाहु खैरन कसीरा।

The post जानमाज़ / मुसल्ले की तसव्विरे और दज्जाली फ़ितना appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hidden-symbol-on-prayer-mats/feed/ 0 40786
40 Ghalat Fehmiyan aur unka Khulasa https://ummat-e-nabi.com/40-ghalat-fehmiyan-aur-unka-khulasa/ https://ummat-e-nabi.com/40-ghalat-fehmiyan-aur-unka-khulasa/#respond Thu, 14 Jul 2022 14:23:01 +0000 https://ummat-e-nabi.com/40-ghalat-fehmiyan-aur-unka-khulasa/ 40 Ghalat Fehmiyan aur unka Khulasa40 Ghalat Fehmiyan aur unka Khulasa Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah Romanised By: Umar Asari​ Social Media par kayi Mahino se ek Post ghoom rahi hai Jis me bataya […]

The post 40 Ghalat Fehmiyan aur unka Khulasa appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

40 Ghalat Fehmiyan aur unka Khulasa

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari​

Social Media par kayi Mahino se ek Post ghoom rahi hai Jis me bataya Gaya hai ke 40 Baton se Ghar me Gurbat (Ghareebi) aati hai. Aaiye ek ek kar ke Un baton ko dekhtey hain ki wo kitni sahih hain:

❶ Ghusl Khaney me Pishaab Karna:

Ghusl khane me peshab karna kaisa hai ?

Hamaam (Ghusl Khaney) me Peshaab karne se Nabi (ﷺ) ne mana farmaya hai magar us waqt ke Hamaam Matti ke hote they aur aaj kal ke Hamaam pakkey hote hain, is liye us me Peshaab karna jayez hai. aur yeh Nabi (ﷺ) ke farmaan me nahi hai ke Hamaam me Peshaab karne se Gurbat (Ghareebi) aati hai, Hazrat Ali (R.A.) ki taraf yeh Qoul (baat) mansoob kiya jata hai magar yeh jhoot hai.

❷ Tooti hui Kanghi (Comb) se Kangha karna:

Kya tooti hui kanghi se kangha karne se ghar me gareebi aati ?

Nabi e Akram (ﷺ) ka Hukm hai: “Jis ke Baal (Hairs) ho woh Unki Izzat karey.” [Abu Dawood: 4163]

Is Hadees se pata chala ke balon ki Zeenat ke liye kanghi karni chahiye. chahe kanghi tooti ho ya saalim ho (tooti hue na ho), agar kaam layeq hai to kanghi kare koi harj nahi hai aur na hi is ke karne se Gareebi aati hai.

❸ Toota Hua Samaan Istemaal Karna:

Kya toote hue Saman ke istemal se Ghar me gharibi aati hai ?

Toota hua samaan kaam ke laiq ho to us ka istemaal jayez hai.

Hazrat Umm e Salamah (R.A.) se riwayat hai ke woh Rasool (ﷺ) aur Sahaba (R.A.) ke liye ek chaudey bartan me khana layein. (itne me) Hazrat Aisha (R.A.) aa gaien.

Unhon ne Eik chadar ourh rakhi thi aur unke paas ek paththar tha. unhone paththar maar kar bartan tod diya. Nabi e Akram (ﷺ) ne bartan ke dono tukdon ko mila kar rakha aur do baar farmaya: ‘Khao, tumhari maa ko ghairat aagai thi.’ us key baad RasoolAllah (ﷺ) ne Hazrat Ayesha (R.A.)ka bartan lekar Hazrat Umm e Salma (R.A.) ke haan (Ghar, paas) bhej diya aur Hazrat Umm e Salma (R.A.) ka (toota hua) bartan Hazrat Aisha (R.A.) ko de diya. [Sunan An-Nasai: 3956]

❗Allama Albani Rahimahullah ne Hadees ko Sahih kaha hai. [Sahih Sunan Nasai: 3693]

❹ Ghar me Kooda Karkat (كوڑا کرکٹ) Rakhna:

Kya Ghar me Kuda karkat rakhne se Ghar me garibi aati hai ?

Ghar ka kooda karkat ghar ke kisi kone me jama karne me koi harj nahi hai, jab ziyada ho jaye to phenk den. is me ek ehtiyat yeh hona chahiye ke khane peeney ki bachi hui zayed (zada) cheezen zaya (barbad) na karen balkey kisi ko de den. ghar me kooda rakhney se gareebi aati hai yeh bhi Hazrat Ali (R.A.) ki taraf mansoob jhooti baat hai.

❺ Rishtedaaron se BadSulooki Karna:

Kya Rishtedaro se baddsulooki se Ghar me garibi aati hai ?

Aisa koi khaas Farmaan e Nabwi (ﷺ) nahi hai ke Rishtedaaron se badsulooki Gurbat ka sabab (reason) hai, lekin bohat saare aisey dalail hain jin se pata chalta hai ke Masiat (nafarmani) aur Gunah ke kaam se Rizq me tangi hoti hai.

❻ Bayen Pair se Pajamah Pehnna:

Kya Baaye Pair (Left Foot) se Pant Paijamah pehan’ne se Ghar me garibi aati hai ?

Mumkin hai ke is se murad ho pajama pahanney me bayen janib se shuru karna. Nabi e Akram (ﷺ) sharf wala kaam dayen se pasand farmatay they, is bina par (is wajah se) dayen janib se pajama pehnna behtar aur mustahab hai jaisa ke Hadees me ye baat maujood hai. [Dekhen: Sahih Bukhari: 168]

Magar kisi ne bayen se pehan liya to koi Masiyat (nafarmaani) nahi hai aur na hi yeh Faqr o Faqa (poverty and starvation) ka sabab banega.

❼ Maghrib aur Isha ke Darmiyan Sona:

Kya Maghrib aur Isha ke darmiyan sone se Ghar me garibi aati hai ?

Maghrib aur Isha ke darmiyan Sona makrooh hai, is ka sabab Isha ki Namaz faut ho jana hai is liye Nabi e Akram (ﷺ) isha sey pehlay sona aur isha ke baad baat karna napasand farmatay they. Jaisa ki Hadees me aaya hai. [Dekhen Bukhari: 568]

Agar koi aadatan (routine ke aitbaar se) nahi zarooratan (zaroorat ki wajah se) kabhi so jaye to woh isha ki namaz aadhi raat se pehlay kabhi bhi parh le.

❽ Mehman Aane par Naraaz hona:

Mehman ki aamad par naraz hone se kya Ghar me garibi aati hai ?

Islam ne Mehmaan ki khatir daari par ubhara hai, lihaza kisi mehman ki aamad par narazgi ka izhaar na karen. Mehman nawazi bahar se aane wale Musafir ke wastey wajib hai aur jo muqeem ho us ki ziyafat Ehsaan o Sulook ke darje me hai. jisne Ziyafat me Ehsaan ko chora us par Gunah nahi magar wajibi ziyafat ko chorney par masiyat (nafarmani) aaeyegi. [Aahadees ke liye dekhen: Sahih Bukhari: 6135 aur 6138]

❾ Aamdani se Ziyada Kharch Karna:

Isey Bewaqoofi, Hamaqat, Nasamjhi aur Faash Galati (Jo Galati Zahir ho) keh Satke Hain.

❿ Daant (Teeth) se Roti Kaat kar Khana:

Daant se roti kaat kar khane se gareebi nahi aati, agar aisa hota to duniya me koi maldaar hi nahi hota kiyun ke danton (tooth) se kaat kar hi log badey hotey hain. roti to haath se bhi todi ja sakti hai magar aisi bhi bohat cheezen hain jinhein aksar daant se hi kaat kar khaya jata hai.

Aaj angrezi style aaya hai aur Dihaton (Villages) me tou nahi Shehron me khaney ke sath chaaqo (knife) rakh detey hain jab ke aaj se pehle yeh tarika nahi chalta tha.

⓫ Chalees Din se Ziyada Naaf ke Neeche ke Baal Rakhna:

Chalees din ke andar Naaf ke neeche ke baal saaf kar lena chahiye kiyun ke RasoolAllah (ﷺ) ne yahi hadd muqarrar ki hai. jaisa ki Sahih Muslim me Hadees hai. (Dekhen: Sahih Muslim: 258). jo is se ziyada takheer (late) karte hain woh Sunnat ki mukhalifat karte hain.

⓬ Daant (Teeth) se Nakhun (Nails) Kaatna:

Islam me kahin danton (tooth) se nakhun kaatne ki momaniyat nahi aayi hai, lekin chunkey Islam sehat ki hifazat par dhiyan dilaata hai is liye agar daant se naakhun kaatney me koi tibbi (medical) nuqsaan ka pehlu nikalta ho tou is se parhaiz kiya jaye (bacha jaye).

Aur agar is me nuqsaan nahi to bhi daant se nakhun kaatna sahih nahi lagta kiyun ke naakhun me gandagi hoti hai aur gandi cheez ko mun se pakadna aur danton se kaatna sahih nahi lagta kyunki naakhun me gandagi hoti hai aur gandi cheez ko mun se pakadna aur danton se kaatna sahih nahi hai, khusoosan (khaas taur se) logon ke samney.

⓭ Khadey Khadey Pajama Pehanna:

Pajama khadey aur padey dono pehan satkey hain, aap ko jismein aasaani ho usey ikhtiyar karen. aur kisi par koi Gunaah koi Faqr (Gareebi, Poverty) nahi Shariat ki janib se.

⓮ Aurton ka khadey Khadey Baal Bandhna:

Yeh koi masla nahi hai. is me ek hi baat ahem hai ke Aurat ajnabi mard ke samne baal na bandhey. baqi woh khadey ho kar, baith kar aur so kar kisi bhi tarah baal bandh sakti hai.

⓯ Phatey hue Kapdey Jism par Seena:

Phatey hue kapdey Jism par hotey hue rafoo karna aasaan ho tou is me koi harj nahi aur utaarney ki zaroorat padey to us soorat me usey utaarna hi hoga.

⓰ Subah Sooraj Niklney tak Sona:

insaan ko chahiye key woh subah saweray beedar ho (uthey), fajr ki namaz parhey aur phir rozi ki talaash mein nikley. Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka farmaan hai:

مَن صَلَّى الصُّبحَ فَهُوَ فِي ذِمَّةِ اللَّهِ

Tarjuma: Jis ne Fajr ki Namaz padhi Woh Allah ke Amaan me aa gaya. [Sahih Muslim: 657]

Jo bandah Namaz chor kar rozana takheer (late) se uthey us ki qismat me barbadi hi barbadi hai kiyun ke us ne apne Rab se amaan utha liya, us ke sath kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai.

⓱ Darakht ke Neechay Peshaab Karna:

Kisi bhi cheez ke saaye (Shadow) me chahe wo darakht ka ho ya kisi aur ka us ke neechey peshaab o pakhanay se mana kiya gaya hai.

Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka farmaan hai:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ اتَّقُوا اللَّعَّانَيْنِ.‏ قَالُوا وَمَا اللَّعَّانَانِ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ: الَّذِي يَتَخَلَّى فِي طَرِيقِ النَّاسِ أَوْ فِي ظِلِّهِمْ ‏​

Tarjuma: Laanat ka sabab banney wali do baton se bacho, Sahab e Kiram (R.A.) ne poocha: ‘Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! lanat ka sabab banney wali wo do (2) batein kounsi hain? Aap (ﷺ) ne farmaya: ‘Ek yeh ke Aadmi logon ke rastey me Qazaye Haajat karey, dusrey yeh ke un ke saaye ki jagah me aisa kare.’ [Sahih Muslim: 269]

“Tabrani” ne “Mo’jam Al Awsat” me phaldar darakht ke neeche Qaza e Haajat ki mumaniyat wali riwayet Zikr ki hai, yeh riwayet Zaeef hai. phaldar darakht, saya wali mazkoorah baala (upar zikr ki gai) Hadees ke zimn me hai kiyunkay aam taur se har darakht ka saya hota hai.

Lekin jo darakht aam ho aur waisey hi bila-zaroorat (bina zaroorat) abadi se door sunsaan (lonesome) jagah pe para ho to us ke neechay Qaza e Haajat me koi harj nahi.

⓲ Bait ul Khala me Baatein karna:

Qaza e Haajat ke waqt baat karna mana hai. Nabi Kareem (ﷺ) ka farmaan hai:

لا يخرجُ الرجلانِ يضربانِ الغائطَ كاشفَينِ عن عوراتِهما يتحدَّثانِ ، فإنَّ اللهَ يمقُتُ على ذلك​

Tarjuma: Do Aadmi Qaza e Haajat karte hue aapas me baatein na kare ke dono ek dourey ke satar (Sharamgaah) ko dekh rahey hon kiyun ke Allah Ta’ala is baat par naraaz hota hai. [Sahih At-Targheeb (Albani): 155]

Yahan sawaal paida hota hai ke ‘Aaj kal Gharon me Hammaam bana hota hai to kya is me baatein karna jayez hai?’

Hadees se to yahi pata chalta hai ke is haalat me kalaam mana hai ke jab do (2) aadmi nange ho kar ek dusrey ko dekhte hue baat kare lekin hammaam me baat karne ki mumaniyat (preclusion) par koi daleel nahi hai. phir bhi behtar surat yahi hai ke hamaam me Qaza e Haajat kartey waqt baat na karen lekin Zaroorat padey ya phir Qaza e Haajat se pehle hamaam me daakhil hote Waqt baat kar sakta hai.

⓳ Ulta Sona:

Pait ke bal Sona napasandeedah aur makrooh amal hai, is ki karahat (Napasandeedgi) ki wujohaat (reasons) me Jahannamiyon ke soney ki mushabihat aur jismani nuqsaan waghera (etc) hain.

Allah Ta’ala ka farmaan hai:

يَوْمَ يُسْحَبُونَ فِي النَّارِ عَلَى وُجُوهِهِمْ ذُوقُوا مَسَّ سَقَرَ​

Tarjuma: Jis din woh apne mun ke bal Aag me ghseetey jayenge (aur un se kaha jayega) Dozakh ki Aag lagney ke mazey chako. [Surah Al-Qamar 54:48]

Nabi e Akram (ﷺ) ne farmaya:

إِنَّ ھٰذِہِ ضِجْعَۃٌ یُبْغِضُھَا اللّٰہُ تَعَالٰی یَعْنِی الْاَضْطِجَاعُ عَلَی الْبَطَنِ​

Tarjuma: Yaqeenan is tarah letney ko Allah Ta’ala napasand farmata hai yaani Pait ke bal (ondha) laytna. [Sahih al Jami’(Alabni): 2271]

Al-Iztijao Ala-al-Batan “الاضطجاع علی البطن”:

Yani aise sona ke pait zameen ki taraf aur pusht (back side) upar ki taraf ho. is liye kisi ko pait ke bal nahi sona chahiye magar aisey soney se Ghareebi aati hai is ka koi suboot nahi hai.

⓴ Qabrastaan me Hasna:

Qabrastaan aisi jagah hai jahan jaa kar Aakhirat yaad karni chahiye is liye wahan hasna napasandeedah amal hai. wahan baat karte hue ya yun hi hansi aa gai to is me koi harj nahi, aur is se Rizq par koi asar nahi padega.

21. Peeney ka Paani Raat me Khula Rakhna:

Khanay peeney ka bartan raat me khula rakhney se gurbat nahi aati, albatta sotey waqt un bartano ko dhak de jin me khaney peeney ki cheezein hon. Nabi (ﷺ) ka farmaan hai:

أَطْفِئُوا الْمَصَابِيحَ إِذَا رَقَدْتُمْ، وَغَلِّقُوا الأَبْوَابَ، وَأَوْكُوا الأَسْقِيَةَ، وَخَمِّرُوا الطَّعَامَ وَالشَّرَابَ ـ وَأَحْسِبُهُ قَالَ ـ وَلَوْ بِعُودٍ تَعْرُضُهُ عَلَيْهِ​

Tarjuma: Nabi (ﷺ) ne farmaya: jab soney lago to chairag bujha do, darwazey band kar do, mashkeze (water skins) ka munh bandh do aur khaney peeney ke bartano ko dhaanp do.

Hazrat Jabir (RaziAllahu anhu) ne kaha ke mera khayal hai ke ye bhi kaha khuwah lakdi hi ke zariye se dhak sako jo uski chaudai me Bismiallah keh kar rakh di jaye. [Sahih Bukhari: 5624]

Ek Doosri riwayat Is tarah Hai:

غَطُّوا الإِنَاءَ وَأَوْكُوا السِّقَاءَ فَإِنَّ فِي السَّنَةِ لَيْلَةً يَنْزِلُ فِيهَا وَبَاءٌ لاَ يَمُرُّ بِإِنَاءٍ لَيْسَ عَلَيْهِ غِطَاءٌ أَوْ سِقَاءٍ لَيْسَ عَلَيْهِ وِكَاءٌ إِلاَّ نَزَلَ فِيهِ مِنْ ذَلِكَ الْوَبَاءِ​

Tarjuma: bartan dhak do, mashkezey (water skins) ka muh band karo, is liye ke saal me ek raat aisi aati hai jis me blaa (pestilence) nazil hoti hai, aur jis cheez ka munh band na ho aur jo bartan dhaka huwa na ho us me yeh waba (pestilence) utar padti hai. [Sahih Muslim: 2014]

Bartan khula chorney se gareebi aney wali baat Shia kutub (books) se manqool (aayi hai) hai, us ki kitaab me likha hai ke bees (20) aadatien aisi hain jin se Rizq me kami aati hai, un me se ek pani ke bartan ka dhakna khula rakhna hai.

[Bihar ul Anwar (Mohammad Baqar Majalsi) Jild: 73, Page: 314 Hadees: 1]

22. Raat me Sawali ko Kuch na Dena:

Yeh baat bhi Shia kutub (books) se aayi hai, aur yeh baat Hazrat Ali (RaziAllahu anhu) ki taraf mansoob ki jati hai jis ki koi haqeeqat nahi.

23. Burey Khayalat karna:

Insan Gunaahon ka putla hai, us se hamesha galati hoti rehti hai. us ke dimagh me burey khayalat aatey rehtey hain. Ek Muslim ka kaam hai ke woh un burey khayalat se Tauba karta rahey aur un par amal karney se bachey. Allah Taala apne bandon pe bohat meharban hai woh bandon ke Dil me paida hone wale burey khayalat pe pakad nahi karta jab tak ke us par amal na karey.

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ “‏ إِنَّ اللَّهَ تَجَاوَزَ عَنْ أُمَّتِي مَا حَدَّثَتْ بِهِ أَنْفُسَهَا، مَا لَمْ تَعْمَلْ أَوْ تَتَكَلَّمْ​

Tarjuma: Hazrat Abu Huraira (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) ney farmaya : ‘Beshak Allah Ta’ala ne meri Ummat se us waqt tak darguzar (muaf) kar diya hai (us cheez ko) jo uske Dil me (bura) khayaal paida hota hai jab tak key us par amal na kare ya bol na dey. [Sahih Bukhari: 5269 aur Sahih Muslim:127]

Is liye yeh baat kehna galat hai ke burey khayalat se Gareebi aati hai, albatta ek baat yeh kahi ja sakti hai ke burayi aur fehash kaam karney se Gurbat aa sakti hai. Allah Ta’ala ka farmaan hai:

الشَّيْطَانُ يَعِدُكُمُ الْفَقْرَ وَيَأْمُرُكُم بِالْفَحْشَاءِ​

Tarjuma: Shaytaan Tumhein Faqeeri se Dhamkaata hai aur Behayai ka hukm deta hai. [Surah Al-Baqarah 2:268]

24. Baghair Wuzu ke Quran Majeed Parhna:

Afzal yahi hai ke Wuzu kar ke Quran ki tilawat kare lekin bagair Wuzu ke bhi mushaf se tilawat karna jayez hai, is liye yeh baat kehna bilkul galat hai ke baghair wuzu ke Quran majeed parhney se Ghareebi aati hai.

25. Istinja Karte Waqt Batein Karna:

Aaj kal gharon me Bait ul Khala baney hotey hain aur aadmi pardey me hota hai, is liye zaroorat ke tehat istinja aur Qaza e Haajat ke waqt kalaam karney mein koi harj nahi hai.

is silsilay me ek Hadees aati hai:

لا يخرجُ الرجلانِ يضربانِ الغائطَ كاشفَينِ عن عوراتِهما يتحدَّثانِ ، فإنَّ اللهَ يمقُتُ على ذلك​

Tarjuma: Do Mardon ke liye ye jayez nahi hai ke wo Bait ul Khala ke liye niklen, to apni apni Sharamgaah khuli rakh kar aapas me baatein karne lagen, kiyunke Allah Ta’ala is baat par Naraaz hota hai. [Sahih At-Targheeb (Albani): 155]

Is Hadees me Qaza e Haajat ke waqt baat karney ki mumaniyat do baton ke sath hai.
Pehli baat: dono baat karney waley aadmi apni Sharmgaah kholey hue hon. Dusri baat: woh dono ek dusrey ko dekh rahey hon.

Yunhi (bina zaroorat) istinja aur Qaza e Haajat ke Waqt baat karna makrooh hai magar zaroorat ke tehat (waqt) baat kar saktey hain.

Sheikh Ibn e Uthaimeen (Rahimahullah) se sawal kiya gaya ke Qaza e Haajat se pehlay hamaam ke andar baat karney ka kya hukm hai?

Tou Shaikh ne jawab diya: is me koi harj nahi hai, khaas taur se us waqt jab koi zaroorat ho, kiyun ke is ki mumaniyat ki koi sarahat (wazahat) nahi hai siwaye is soorat ke jab do aadmi ek dusrey ke paas baith ke pakhana kare aur dono batain kare. aur mujarrad (sirf) Qaza e Haajat wali jagah ke andar se kalaam karney ki mumaniyat nahi hai.

26. Haath Dhoye Baghair Khana Khana:

Khaney se pehlay haath dhona zaoori nahi hai, riwayaat se pata chalta hai ke Nabi (ﷺ) ne haath dhoye baghair bhi khana khaya hai. khana khaney se pehlay haath dhoney wali koi riwayat sahih nahi hai siwaye ek riwayet ke jo nasai me hai.

عَنْ عَائِشَةَ، رضى الله عنها أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا أَرَادَ أَنْ يَنَامَ وَهُوَ جُنُبٌ تَوَضَّأَ وَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَأْكُلَ غَسَلَ يَدَيْهِ​

Tarjuma: Hazrat Aisha (RaziAllahu anha) se riwayat hai unhon ne bayan kiya ke Rasool’Allah (ﷺ) jab bhi soney ka iradah kartey aur Aap Haalat e Janabat me hotey to wuzu kartey aur jab khaney ka iradah kartey tou apne dono haath dhotey. [Sunan Nasai: 257 aur 258]

❗ Is Hadees ko Sheikh Albani Rahimahullah ne Sahih Qarar diya hai.

Is riwayat me mutlaq haath dhoney ka Zkr nahi hai balkey janabat se mutalliq hai, is liye yeh kaha jayega ke agar haath me Gandagi lagi ho tou khane se pehle haath dho lena chahiye warna zaroorat nahi hai. aur is se mutalliq Gurbat wali baat jhooti hai.

27. Apni Aulaad ko kosna:

Aulaad ki Tarbiyat walidain ke zimma hai, Maa Baap bachchon ki tarbiyat ke liye daant satkey hain, kos saktey hain, balke maar bhi satkey hain kiyun ke bachon ke Silsiley me Ahem cheez un ki tarbiyat hai.

Tarbiyat ki gharz (maqsad) se bachchon ko maarney ka hukm hamein islam ne diya hai:

مُرُوا أَوْلاَدَكُمْ بِالصَّلاَةِ وَهُمْ أَبْنَاءُ سَبْعِ سِنِينَ وَاضْرِبُوهُمْ عَلَيْهَا وَهُمْ أَبْنَاءُ عَشْرِ سِنِينَ وَفَرِّقُوا بَيْنَهُمْ فِي الْمَضَاجِعِ​

Tarjuma: Jab tumhari Aulaad saat (7) saal ki umar ko pahonch jayen to unhein Namaz ka hukm do aur jab woh das (10) saal ke ho jayen to (Namaz me kotahi karney par) unhen saza do, aur bachchon ke soney me tafreeq kar do. [Sunan Abu Dawood: 495]

❗Allama Alabani (Rahimahullah) ne Sahih ul Jami’: 5868 me Sahih kaha hai.

Imam Shafa’ee Rahimahullah kehtey hain:
Bapon aur Maaon ki zimmedaari (responsibility) hai ke woh apni Auladon ko Adab sikhayen. taharat aur Namaz ki Taleem den aur bashaour (sentient) hone ke baad (kotahi ki surat me) un ki pitaayi karen. [Sharah us Sunnah: 2/407]

28. Darwaze par Baithna:

Darwaaza se logon ka aana jaana hota hai, is liye Adab ka taqaza hai ke darwaze pe na baithey, Nabi e Akram (ﷺ) ne hukm farmaya hai ke ‘Rastey ko haq do.’

Lekin agar apna ghar ho, logon ka aana jaana na ho tou phir apney ghar Ge darwazay pe bethnay me koi harj nahi hai. farishtey juma ke din Masjid ke darwazay pe khadey rehtey hain.

إِذَا كَانَ يَوْمُ الْجُمُعَةِ كَانَ عَلَى كُلِّ باب مِنْ أَبْوَابِ الْمَسْجِدِ الْمَلاَئِكَةُ، يَكْتُبُونَ الأَوَّلَ فَالأَوَّلَ، فَإِذَا جَلَسَ الإِمَامُ طَوَوُا الصُّحُفَ وَجَاءُوا يَسْتَمِعُونَ الذِّكْرَ ‏​

Tarjuma: Nabi e Akram (ﷺ) ney farmaya: Jab juma ka din hota hai to Farishtey Masjid ke har darwaze par kharey ho jatey hain, pehley aane wale ka naam pehle, us ke baad aaney wale ka naam us ke baad likhte hain (isi tarah aane walon ke naam unke aane ki tarteeb se likhtey rehte hain). jab Imam khutba deney ke liye (mimber) par baith jata hai to farishte apney register (jin me aaney walon ke naam likhey gaye hain) ko lapait detey hain aur khutba sunney me mashghool ho jatey hain.

[Sahih Muslim: 850 And Sahih Bukhari: 3211]

Darwazay par farsh bichaaney se mutalliq Hazrat Anas (RaziAllahu anhu) se marwi riwayat zaeef hai:

عَنْ أَنَسٍ قَالَ: “نَهَى رَسُولُ اللَّهِ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – أَنْ يُفْرَشَ عَلَى بَابِ الْبُيُوتِ، وَقَالَ: نَكِّبُوهُ عَنِ الْبَابِ شيئًا
إتحاف الخيرة المهرة بزوائد المسانيد العشر

is ki sanad me Musa bin Mohammad bin Ibrahim at-taimi Zaeef ravi hai, is liye yeh Hadees na Qabil e Aitbaar hai.

29. Lehsun (Allium) Piyaaz (Onion) ke Chilkey (Peels) Jalana:

Yeh baat bhi Shia se manqool hai, un ki kitab “Jami’ al Akhbaar” me mazkoor hai jisey baaz (kuch) Soofiyon ne apni Kitaab me Zikr kar diya aur logon me mashhoor ho gayi. is baat ko turkistan ke hanfi Aalim burhanuddeen zarnoji ne apni Kitaab “تَعْلِیْمُ الْمُتَعَلِّمِ طَرِیْقُ التَّعَلِّم” me Zikr kiya magar Islam me is baat ki koi haqeeqat nahi hai.

30. Faqeer se Rooti ya phir aur koi cheez khareedna:

Yeh baat bhi Shia ki kitaab “Jami’ al Akhbaar” me maujood hai. Faqeer to khud hi mohtaaj hota hai woh kiyun kisi se kuch becheyga aur agar us ke paas koi Qeemti samaan hai to usey baich sakta hai. faqeer se kuch khareedna ghareebi ka sabab ho tou koi Faqeer maldaar nahi ho sakta aur faqeer se khareedney wala koi maldaar nahi reh sakta. Aqal o Naqal dono aitbaar se yeh jhooti baat hai.

31. Phoonk se Chairag Bujhana:

Yeh baat Shia kitaab “Jami’ al Akhbaar” se manqool hai jo humarey liye Hujjat nahi hai. chairag to phoonk se hi bujhaaya jata hai, koi dusrey tareeqey se bujhaye is me bhi koi harj nahi lekin phoonk se chirag bujhane se Gareebi aati hai yeh Sahih nahi hai.

32. Bismillah Parhey Baghair Khana:

Khana khatey waqt Bismillah kehna wajib hai:

عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِذَا أَكَلَ أَحَدُكُمْ فَلْيَذْكُرْ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فَإِنْ نَسِيَ أَنْ يَذْكُرَ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فِي أَوَّلِهِ فَلْيَقُلْ بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ​

Tarjuma: Aisha (RaziAllahu Anha) se riwayet hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jab tum me se koi khana khaye to Allah ka naam le, aur agar Allah Ta’ala ka naam lena shuru me bhool jaye tou kahe:

بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ​

[Abu Dawood: 3767]

Waqaee Bismillah ke baghair khana khana nuqsan o khasarey (ghaatey) ka baees (reason) hai, us ke khaney me Shaitan shaamil ho jata hai is liye yeh kaha jaa sakta hai ke Allah ke Zikr ke baghir mustaqil khana khaney se woh khaney ki nemat Nur us ki barqat se mahroom ho jayega lekin agar bhool se aisa ho jaye to Allah Ta’ala ne bhool chook ko muaf kar diya hai.

33. Galat Qasam Khana:

Islam me Jhooti Qasam khana Gunah e Kabeerah hai Nabi (ﷺ) ka farmaan hai:

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ‏ الْكَبَائِرُ الإِشْرَاكُ بِاللَّهِ، وَعُقُوقُ الْوَالِدَيْنِ أَوْ قَالَ ‏الْيَمِينُ الْغَمُوسُ ‏​

Tarjuma: Abdullah bin Amr (RaziAllahu Anhuma) se riwayat hai ki Nabi (ﷺ) ne farmaya:
Kabeerah Gunah yeh hain: Allah ke saath kisi ko Shareek karna, Walidain ki nafarmani karna ya farmaya ki Nahaq doosrey ka maal lene ke liye jhooti Qasam khana. [Sahih Bukhari: 6870]

Aisey logon ke liye dardnaak azaab hai, is liye ek Musalman ko Qata’ee taur par jhooti qasam nahi khani chahiye. agar kisi ne Sabiqa (pichle) kisi muamley par amadan (jaan boojh kar) jhooti qasam khayi hai to sachchi tauba karey.

Agar jhooti qasam ke zariye kisi ka Haq mara ho to us ko uska haq wapas karey aur agar aindah kisi kaam ke na karney par Qasam khayi aur woh kaam kar liya to Qasam ka Kaffara ada karey. is ka kaffara dus(10) Miskeeno ko ausat (darmiyaani) darjey ka khana khilana hai jo apney ghar walon ko khilate hon ya isi tarah un miskeeno ko kapdey dena hai ya ek gardan yani ghulam ya bandi ko aazad karna hai. jisay yeh sab kuch na miley to woh teen din Roza rakhey.

34. Joota Chappal Ulta Dekh kar Seedha nahi karna:

Islami aitbaar se is baat ki koi haqeeqat nahi hai. Nabi (ﷺ) ke zamaney me bhi joota tha magar aap se, Sahaba e Kiraam se ya chaaron imam se is Qism ki koi baat manqool nahi hai.

Ibn e Aqeel hambli ne kitaab “al-funoon” me likha hai:

والویل لمن رأوه أكب رغیفا على وجهه،أو ترك نعله مقلوبة ظهرها إلى السماء۔

(الآداب الشرعیة1 /268-269)​

Tarjuma: Barbadi hai us ke liye jis ne ulti hue rooti dekhi ya palta huwa joota jis ki peeth aasman ki taraf ho usey chorh diya.

[Al-Aadaab As-Shar’iyyah: 1/268-269]

Is kalaam me bohat sakhti hai, Quran o Hadees ki roshni me is kalaam ki koi haisiyat nahi rehti. Nabi (ﷺ) jootey (chappal) me namaz parhtey they:

سَعِيدُ بْنُ يَزِيدَ الأَزْدِيُّ قَالَ سَأَلْتُ أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ أَكَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِي نَعْلَيْهِ قَالَ نَعَمْ​

Tarjuma: Saeed bin Yazeed al-azadi kehtey hain ki mainey Anas bin Malik (RaziAllahu anhu) se poocha ki kya Nabi (ﷺ) apney jooton me Namaz padhtey they? unhon ne kaha: haan.

[Sahih Bukhari: 386 and 5850]

Zahir si baat hai jootay me Namaz padhtey hue joota palteyga. is liye ultay jootay ke mutalliq mazkoorah baala (upar zikr ki hue) baatein karna theek nahi hai albatta yeh keh satkey hain ke chunkay jootey ke nichaley hissay me gandagi lagi hoti hai is wajah se ultay jootey ko palat diya jaye taakey log us se ghinn na mehsoos karen.

35. Halaat e Janabat me Hajamat karna:

Haalat e Janabat me Mard o Aurat ke liye mehez (sirf) chand (kuch) cheezein mana hain, un me Namaz, Tawaf, Masjid me Qiyam aur Quran ki tilawat waghera hain. baqiya doosrey kaam junubi anjaam dey sakta hai. Haalat e Janabat me hajamat ko Faqeeri aur Gareebi ka sabab batlana ghair islami nazariya hai.

36. Makdi ka Jala Ghar me rakhna:

Yeh baat bhi baatil or mardood hai. is baat ki nisbat hazrat ali radhiallahu anhu ki taraf ki jati hai:

طهّروا بیوتكم من نسیج العنكبوت ، فإنّ تركه فی البیوت یورث الفقر​

Tarjuma: Gharon ko makdi ke jaalon se saaf rakha karo kyunkey Makdi ke jaalon ka Ghar me hona iflaas (Gareebi) ka Baais (Sabab) hai.

Yeh baat “Tafseer e Sa’labi” aur “Tafseer e Qurtubi” ke hawaley se bayan ki jaati hai magar us ki sanad me “Abdullah bin Memoon Al-Qaddah” matrook muttaham bil-kazib rawi hai.

[Tehzeeb-ut-Tehzeeb: 6/44, 45]

37. Raat ko Jharoo Lagana:

Raat ho ya din kisi bhi waqt jharoo laga saktey hain, is ki mumaniyat ki koi daleel nahi hai, na hi is kaam se Masiyat (Nafarmani) hoti hai. is liye raat ko jhadoo dena tangdasti ka sabab batlana twahhum parasti aur Zeaf aiteqaadi hai. Musalmanoon me Barelwi tabqa is tawahhum ka shikaar hai. Allah Ta’ala inhein hidaayat de.

38. Andhere me Khana:

Waisey Ujalay me khaye tou achha hai magar kisi ko ujaala na mil sakey to Andherey me khaney me koi harj nahi hai. Surah hashr me ek Ansari Sahabi ka Zikr hai jinhon ne apney mehman Nabi (ﷺ) ko Andherey me mehmani karai bawajood ye ke chairag maujood tha magar unhon ne Biwi ko chairag bujhanay ke liye kaha taakey andheray me Mehman shikam sair ho kar (pait bhar kar) khaye aur maizban bhooka rahey. is manzar ko Allah ne bayan kartey hue farmaya:

وَيُؤْثِرُونَ عَلَىٰ أَنْفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ​

Tarjuma: Woh apne upar dusron ko tarjeeh detey hain go khud ko kitni hi sakht haajat ho.

[Surah Al-Hashr 59: 9]

39. Ghadey me Munh Laga kar Peena:

Pani ka koi bhi bartan ho agar munh laga kar peena Aasaan ho, us ka hajam (volume, size) bada na ya us ka dahana (munh) kushadah na ho jis se munh me miqdaar se ziyada pani jaaney ka khatra na ho to bartan se munh laga kar piya jaa sakta hai. Muttafaq Alaih (means Bukhari aur Muslim ki) ek riwayet me mashkezey se munh laga kar pani peenay ki mumaniyat hai:

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا، قَالَ: نَهَى النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ الشُّرْبِ مِنْ فِي السِّقَاءِ​

Tarjuma: Hazrat Ibn e Abbas (RaziAllahu anhuma) ne bayan kiya ki Nabi (ﷺ) ne mashkezey ke munh se paani peene ko mana kiya tha.

[Sahih Bukhari: 5629]

Is ke alawah ek doosri Hadees hai jis se sabit ho raha hai ki Nabi (ﷺ) ne mashkezey mein munh laga kar paani piya hai:

عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي عَمْرَةَ، عَنْ جَدَّتِهِ، كَبْشَةَ قَالَتْ دَخَلَ عَلَىَّ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَشَرِبَ مِنْ فِي قِرْبَةٍ مُعَلَّقَةٍ قَائِمًا فَقُمْتُ إِلَى فِيهَا فَقَطَعْتُهُ​

Tarjuma: Kabshah (RaziAllahu Anha) kehti hain: RasoolAllah (ﷺ) mere Ghar tashreef laaye, Aap (ﷺ) ne khadey khadey latki hue mashkezah ke munh se paani piya, fir mein mashkezah ke muh ke paas gai us ko kaat liya.

[Tirmidhi: 1892]

Khulasa ke taur par yeh kehna chahoonga ke bartan chota ho to us mein munh laga kar paani piyen, bada ho to doosrey chootey bartan me undail kar piyen aur agar badey bartan se peeney ki zaroorat pad jaye tou is me koi harj nahi.

40. Quran Majeed na Padhna:

Quran padhnay aur amal karney ki kitaab hai jo us se doori ikhtiyar karta hai woh waqaee Allah ki Rehmat se door ho jata hai.

Nabi (ﷺ) ne Quran padhnay ka hukm diya hai is se imaan me ziyadti, ilm o amal me pukhtagi (mazbooti) aur zindagi ki tamam cheez me barkat aati hai. is liye Quran padhney ka mamool banayen aur samajh kar padhen. jo bina samjhey padhtey hain woh Quraan ke nuzool ke maqsad se bekhabar aur tilawat ke Adaab se na-waqif hain.

Ref: 40 Ghalat Fehmiyan aur unka Khulasa

The post 40 Ghalat Fehmiyan aur unka Khulasa appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/40-ghalat-fehmiyan-aur-unka-khulasa/feed/ 0 19197
Aaj ki Aayat | Verse of the day | 6 October https://ummat-e-nabi.com/maal-aur-aulad-fitna-aazmaish-hai/ https://ummat-e-nabi.com/maal-aur-aulad-fitna-aazmaish-hai/#respond Tue, 05 Oct 2021 23:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=35528 Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) haiAaj ki Aayat | Verse of the day | 6 October Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai Allah Taala farmata hai: “Beshaq tumhare Maal aur Aulad (Allah ki Taraf se) […]

The post Aaj ki Aayat | Verse of the day | 6 October appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Aaj ki Aayat | Verse of the day | 6 October

Maal aur Aulad Fitna (Aazmaish) hai

Allah Taala farmata hai:

“Beshaq tumhare Maal
aur Aulad (Allah ki Taraf se)
ek Fitna (Aazmaish) hai.”

📕 Quran 64:15

The post Aaj ki Aayat | Verse of the day | 6 October appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/maal-aur-aulad-fitna-aazmaish-hai/feed/ 0 35528
Al-Quran: Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na kar de https://ummat-e-nabi.com/tumhari-doulat-aur-aulaad-tumhe-allah-ki-yaad-se-gafil-na-kar-de/ https://ummat-e-nabi.com/tumhari-doulat-aur-aulaad-tumhe-allah-ki-yaad-se-gafil-na-kar-de/#respond Sat, 27 Jul 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/tumhari-doulat-aur-aulaad-tumhe-allah-ki-yaad-se-gafil-na-kar-de/ 28 July Al Quran Tumhara Maal aur Aulad tumhe Allah ki raah se gafil na kar deQuran: 28 – July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Aye Imaan waalo! Tumhaari Doulat aur tumhaari Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na karne paye aur jo log aisa karenge, woh […]

The post Al-Quran: Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na kar de appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Quran: 28 – July:

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

❝Aye Imaan waalo! Tumhaari Doulat aur tumhaari Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na karne paye aur jo log aisa karenge, woh bade ghaate ka souda karne waale honge.❞

📕 Surah Al-Munafiqun 63:9

The post Al-Quran: Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na kar de appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/tumhari-doulat-aur-aulaad-tumhe-allah-ki-yaad-se-gafil-na-kar-de/feed/ 0 19575
Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai https://ummat-e-nabi.com/shaitan-ki-3-girah-knot-jo-wo-har-insan-ke-peeche-raat-mein-baandh-deta-hai/ https://ummat-e-nabi.com/shaitan-ki-3-girah-knot-jo-wo-har-insan-ke-peeche-raat-mein-baandh-deta-hai/#respond Mon, 05 Nov 2018 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shaitan-ki-3-girah-knot-jo-wo-har-insan-ke-peeche-raat-mein-baandh-deta-hai/ Shaitan ki 3 girah knot jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai✦ Roman Urdu Hadith ✦ Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki “Shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen […]

The post Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

✦ Roman Urdu Hadith ✦

Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki
“Shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki So ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah Subhanahu ko yaad kare tou Ek girah khul jati hai phir jab Wuzu karta hai to dusri girah khul jati hai aur phir agar Namaz padhe to teesri girah bhi khul jati hai is tarah subah ke waqt insan chust aur khush mijaz rahta hai warna Sust aur Badmijaz rahta hai.”

– (Sahih al-Bukhari 1142)

✦ Urdu Hadith ✦

رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ شیطان آدمی کے سر کے پیچھے رات میں سوتے وقت تین گرہیں لگا دیتا ہے اور ہر گرہ پر یہ افسوں پھونک دیتا ہے کہ سو جا ابھی رات بہت باقی ہے پھر اگر کوئی بیدار ہو کر اللہ کی یاد کرنے لگا تو ایک گرہ کھل جاتی ہے پھر جب وضو کرتا ہے تو دوسری گرہ کھل جاتی ہے۔ پھر اگر نماز (فرض یا نفل) پڑھے تو تیسری گرہ بھی کھل جاتی ہے۔ اس طرح صبح کے وقت آدمی چاق و چوبند خوش مزاج رہتا ہے۔ ورنہ سست اور بدباطن رہتا ہے

صحیح البخاری جلد ۱ ۱۱۴۲

✦ हिंदी हदिस : शैतान की तीन गिरह जो वो हर इंसान के पीछे रात में बांध देता है ✦

अबू हुरैरा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है रसूल-अल्लाह (सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया की
“शैतान इंसान के सिर के पीछे रात में सोते वक़्त तीन गिराह (गाँठ) लगा देता है और हर गिराह पर ये फूँक देता है की सो जा अभी रात बहुत बाक़ी है फिर अगर कोई बेदार होकर अल्लाह सुबहानहु को याद करे तो एक गिरह खुल जाती है फिर जब वज़ु करता है तो दूसरी गिरह खुल जाती है और फिर अगर नमाज़ पढ़े तो तीसरी गिरह भी खुल जाती है इस तरह सुबह के वक़्त इंसान चुस्त और खुश मिजाज़ रहता है वरना सुस्त और बदमिज़ाज़ रहता है.”

– (सही अल-बुखारी 1142)

✦ English Hadith ✦

Narrated Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Allah’s Messenger (ﷺ) said,
“Satan puts three knots at the back of the head of any of you if he is asleep. On every knot he reads and exhales the following words, ‘The night is long, so stay asleep.’ When one wakes up and remembers Allah, one knot is undone; and when one performs ablution, the second knot is undone, and when one prays the third knot is undone and one gets up energetic with a good heart in the morning; otherwise one gets up lazy and with a mischievous heart.”

– (Sahih al-Bukhari 1142)

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shaitan-ki-3-girah-knot-jo-wo-har-insan-ke-peeche-raat-mein-baandh-deta-hai/feed/ 0 18971
Arab se Bugz ki Sajish Aur Uski Haqeeqat …. https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/ https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/#respond Sun, 24 Jan 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/ Arab Se Bugz ki Sajish*Aaj Puri Duniya Me Wabila Hai Ke – Arab Jahil Hai, Arab Pagal Hai, Arab Tou Gandey Rehte Hai , *Kabhi Socha Hai Humne Ke Kaisi Na-Insaafi Hum Kar Rahe […]

The post Arab se Bugz ki Sajish Aur Uski Haqeeqat …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

*Aaj Puri Duniya Me Wabila Hai Ke – Arab Jahil Hai, Arab Pagal Hai, Arab Tou Gandey Rehte Hai ,
*Kabhi Socha Hai Humne Ke Kaisi Na-Insaafi Hum Kar Rahe Hai ?
– Mere Azeezo !! Aaj Kya Ho Gaya Hume Ke – Hum Azam(Non-Arab) Se Wabsata Rakhne Wale Auliya-Allaho Ki Naslo Ki Tazeem Karte Hai Lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aur Sahaba Ki Naslo Ko Arbiyo Ko Galiya Detey Hai ,.. Nauzubillah!!!

*Jabki Hakikat Tou Ye Hai Ke Hum Ko Manwaya Gaya Hai Dushmanane Deen Ne,.
– Ke Hum Apne Hi Aslaaf Ko Gaaliya Dey , Unsey Bugz Rakhey ,..

*Kyunki: Jo Faras Uss Wakt Ka Iraan Hua Karta Tha Wo Ek Badi Superpower Hukumat Hua Karti Thi , Unhe Bardasht Nahi Hua Ke Arab Aakar Hum Par Kaise Galib Hue , Lihaja Hum Inhe Itna Baddnaam Karenge Ke Logon Ke Zehan Me Nafrat Bhar Denge ,..
– Aur Nabi Ka Gharana Ye Wo Gharana Hai Jiski Vajah Se Iran Fatah Hua ; Lihaja Hum Nabi Ke Purey Gharane Ka Qatal Karenge Aur Wohi Kiya Unn Logone ,…
Inhi Irani-Farsi Munafiqo Ne Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) Ko Shahid Kiya,..
– Husain (RaziAllahu Anhu) Ko Shahid Kiya ,.
– Hasan (RaziAllahu Anhu) Ko Zehar De Kar Shahid Kar Diya ,..
– Itna Hi Nahi Balki Ahle Baith Ke Khawatin Ki Izzat Tak Uchalne Ki Napak Koshish Ki Inhi Irani-Farsiyo Ne ,.
Aur Yahi Inka Mansuba Tha Ke Hum Khud Apne Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Naslo Aur Sahaba Azmayeen Ki Naslo Se Nafrat Karne Lag Jaye ,..

*Chalo Maan Liya Ke Aaj Arbo Me Kuch Aamal Ki Burayi Hogi ,.. Ye Baat Aap Aur Hum Sab Jante Hai Ke Galti Karna Insan Ki Fitrat Hai ,.. Lekin Kisi Ki Galtiyo Ki Vajah Se Puri Qoum Ko Galat Thehrana Kaha Ki Aqalmandi Hai Mere Buzurgo Aur Dosto ?

– Kyu Hum Bhul Gaye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Peshangoyi Karte Hue Farmaya Ke – “Aakhri Zamane Me Jo Imam Mehdi Aayenge Wo Ahle Baith Me Se Honge ,..” – (Ibne Majah, Vol-5, H:4080).

# Tou Hume Bataye Ke Imam Mahdi Arabi Honge Ya Azami (Gair-Arab) ? ,..
– Yakinan Ahle Baith Ka Matlab Hai Ke Wo Bhi Arab Hi Hongey ,..
– Lekin Maz’Allah ! Hum Tou Purey Arbo Ko Galiya De Rahe Hai ,.. Allah Hidayat Dey Hume..

*Aur Kiski Sunkar Hum Arbo Ko Galiya De Rahe Hai ? Unki Jinhone Ahle Baith Ka Qatal Kiya,..
– Ye Media Ki Programming Hai Mere Azeezo! Niklo Inke Fareb Se Bahar …

♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke – Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – “Jab Fitno Ko Dour Aayega, Mera Laya Hua Saccha Ilm Mere Shehar Madine Me Samet Diya Jayaega ,..” – (Sahi Bukhari Vol-3, Hadith no. 1876) – @[156344474474186:]

*Afsos! Be’had Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Hum Arbo Ko Galiya Dete Hai Baaz Paid Ulemao Ki Takreer Sunkar …
– Jaha Hajj Aur Umrah Karne Jaatey Hai Hum Waha Ke Logon Ko Galiya Detey Hai ,..
– Usi Naslo Ko Hum Jahalat Me Gaaliya De Rahe Jinke Jarye Rabbul Izzat Ne Arab Ki Sirzameen Par Humare Hajj Aur Umrah Ke Qaymat Tak Ke Liye Intezamat Karwaye ..

*Mere Azeezo ! Hum Ye Kaise Bhul Gaye Ke Kaabe Ki Chabi Aaj Jiske Paas Hai Wo Usama Bin Talha (RaziAllahu Anhu) Jo Ke Sahabi Ke Farzand Hai Jinke Barey Me Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Dua Ki Ke – “Aye Mere Allah! Qayamat Aaney Tak Usama Ke Gharane Me Hi Qabe Ki Chabi Rehne Dey,”

*Aur Hum To Unhi Ko Jahalat Me Bura-Bhala Keh Rahe Hai!! Allah Hume Muaf Kare ,..
Jara Hoshiyar Ho Jao Mere Bujrgo Aur Dosto!!!

*Arab Ko Galiya Mat Do Mere Azeezo !.. Humare Nabi Bhi Arab Hai,..
– Allah Ne Insaniyat Ko Paida Kiya ,. Allah Behtar Janta Tha Ke Azmiyo (Non-Arbo) Ki Aukaat Nahi Ke Inpar Quraan Nazil Kiya Jaye ,.. Uske Liye Allah Ne Arab Ki Sirzameen Par Nabi Bheja …
– Allah Ko Maloom Tha Ke Azmiyo(Non-Arbo) Ki Auqaat Nahi Ke Mere Mere Nabi Ke Ye Sahaba Baney Lihaja Arbo Ko Sahaba Banaya ,..
– Allah Ko Maloom Tha Ke Kisi Gair-Arbi Ki Auqaat Nahi Ke Khulafa-e-Rashideen Baney; Uske Liye Bhi Arbo Ko Chuna ,..

*Allah Reham Karey Aaj tou Ye Haal Hai Ke Yaha Hum Zahilo Ke Fareb Me Aakar Sahaba Ki Naslo Ko Galiya Dene Lag Gaye Aur Sochtey Tak Nahi Ke Humari Galiya Nazubillah Summa Nauzubillah Kaha Tak Pohoch Rahi Hai,.. Allah Humari Magfirat Kare ,..

# Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Kism Ke Fitno Se Apni Panah Ata Farmaye,…
# Hume Ahle Baith Aur Tamam Farazand-e-Sahabiy-E-Rasool Ki Tazeem Ki Taufik Dey..
# Lailmi Aur Jahalat Me Humse Jo Unki Burayiya Hui Hai Unhe Allah Muaf Faramaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Arab se Bugz ki Sajish Aur Uski Haqeeqat …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/arab-se-bugz-ki-sajish/feed/ 0 17444
Fazail-e-Quran: Part 9 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/ https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/#respond Sun, 19 Jul 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/ Fazaile Quran 9✦ Fazail 3: Quran Remat hai Momeenin ke liye Ab Rehmat ko Humne 3 Hisso me Taqseem kiya hai. Rehmat Duniya ki, Rehmat Barzakh(Qabr Ke Zindagi) ki, Rehmat Aakhirat ki. […]

The post Fazail-e-Quran: Part 9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Fazail 3: Quran Remat hai Momeenin ke liye

Ab Rehmat ko Humne 3 Hisso me Taqseem kiya hai.

  1. Rehmat Duniya ki,
  2. Rehmat Barzakh(Qabr Ke Zindagi) ki,
  3. Rehmat Aakhirat ki.

Allah Rabbul Izzat Quraan me Iskey talluk se farmata hai:

Ye Quraan Aye Nabi Momineen ke liye Hidayat aur Rehmat hai.

Surah Nehal 16:77

Ye Quraan Nekokaro ke liye Rehmat hai.

Surah Luqmaan 31:3

Aayiye Iska Pahla Marhala Letey Hai Ke Duniya Me Kya Rehmat Hai ..

1) Quraan me Duniya ki Rehmat

A) 1st Duniyawi Fayda: Gumrahiyo se Hifazat

– Jo Shakhs Iss Kitab se Apna Talluk Rakhta hai, Isko Padhta hai, Ispar Amal karta hai, Uss Insan ki Gumrahiyo se Uski Hifazat hoti hai.

– Aaj Hum Quraan ko Chorkar ye Ummid karte hai ke Gumraah na ho aur Quraan padhne walo ko kahte hai ke Tum wo Chorrkar falah kitab padho tou tum Gumraah nahi honge. Subhan’Allah !!!

Allah Rabbul Izzat Ek Ayat Me Farmata Hai:

Jo Koi Meri Hidayat ki pairwi karega, tou na wo Gumraah hoga aur Naa hi kisi taklif me Mubtela hoga.

Surah Taha 20:123

… Ab Quraan par Amal Naa Kar ke Hum Tasawwur karte hai Allah Humko Hidayat dega aur Humari Hifazat Karega,.. Jabki Siway Gumraahi ke Humare Hath kuch bhi Lagne wala nahi.

Hadees: Ek riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai:
Quraan ka ek Sirah Allah ke Hath me hai aur Dusra Sirah uske padhne wale ke hath me”

– (Tibrani)

… Ab Andaza Lagaiye ke: Jab Quraan Ek Rassi hai aur Jiska Ek Sirah Allah ke Hath me aur dusra Uske Padhney wale ke hath me, tou kya Uss Shakhs se kabhi Ummid hai ke woh kabhi Gumraah ho sakta hai?
Ya Uss Shakhs ko koi Zindagi me kabhi Gumraah kar payega? Jo Allah ki Rassi ko Thamey ho apne Hath me.

B) 2nd Duniyawi Fayda: Fitno se Humari Hifazat ho jayegi

– Quraan Jo Insan padhta hai, Uspar Amal karta hai Uski Zindagi Fitno se Mehfooz ho jayegi. Allah usey tamam fitno se bacha leta hai.

Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai –
Surah Kehaf Ki Ibtidayi 10 Aayte Yaad Karo! Isliye ke ye Dajjal ke Fitno se tumhe Mehfuz rakhegi..”

– (Sahih Muslim)

… Ye baat Aap aur Hum sab Jaantey hai ke Dajjal ka Fitna sabse bada fitna hoga.. Lekin Iss Fitne se nijat ke Liye jab Surah Kehaf ki chand Ayate hi Kaafi hai tou digar fitney aur fasad se Bachney ke liye pura Quran Tou abhi Baaki hai.

Tou Beharhaal Quraan Jo Shakhs padhta hai wo Dunia me Fitne aur Fasaad se bachta hai.
* * * *

C) 3rd Duniyawi Fayda: Aafate-Samavi se Insan ki Hifazat hoti hai

– Yaani Balaao se, Musibato, Zalzalo, Baadh se aur Kehat-saali se Insan ki Hifazat hoti hai.

Hadees: Ek Martba hua Youn ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke talluk se aata hai, Ek Sahabi-e-Rasool hazrate Uqba (R.A) kehte hai ke :

“Hum Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke sath Safar me they aur Achanak Badal aa gaye, Andhera cha gaya, tej Aandhiya chalney lagi aur bilkul Tufan jaisa Mahoul ho gaya.

Aap (ﷺ) ko Humne dekha ke Aap ne Allah me panaah mangna shuru kar di aur uskey baad Aap (ﷺ) ne Mauzatain (Surah Falaq aur Surah Naas) Padhney lagey aur farmaya ke –

“Mauzatain ke Jarye Allah se Panah Maango! ke kisi Panah Mangne ke Liye Inn Do Surto se jyada behtar koi (Dua) nahi.”

– Sunan Abu Dawud

… Tou Pata chala Aafato, Zalzalo, Musibato ke Andar, Kehat-saali me Aise Mushkeel Ghadiyo me Hume Chahiye ke Hum Surah Falaq aur Surah Naas ki Tilawat karey Iss se Hum Allah ki Panah me aatey hai.

… Goya Duniyawi Aaftey , Jo Aasman se aa sakti hai , Zameen se aa sakti hai , Hawao ke Jarye aa Sakti hai, Quraan Uss se bhi Humari Hifazat ki Rehnumayi karta hai.

D) 4th Duniyawi Fayda: Rizq me Farawani

– Jo Shakhs Quraan padhta hai, Uske Ahqaamo ke Mutabik pe Amal karta hai Allah Ta’ala uskey Rizq me farawani deta hai.

Allah Rabbul Izzat Ek Aayat me farmata hai –

Agar ye (Yahudi) Tauraat par Qaayam rehte aur Injeel par Amal karte aur Aye Nabi (ﷺ) Jo Aap par Utra (Quran) Uss par Amal karte tou Aap Dekhtey Hum Inhe Khilatey Aasmano se aur Zameeno se.”

Surah Maida 5:66

… Subhan’Allah !! Gour Karne waali baat hai ke Agar Yahudiyo ko Iss Kitab par Amal Karne ka badla deney Ka Wada Allah kar raha hai tou Yakinan Musalmano ke liye bhi ye Aayate hai ke “Agar Hum bhi Iss Kitab ko thamey tou Allah Aasmaan aur Zameen se Humari Rozi ka Intezam farmayega.

Ab Ye Kaise Mumkin hai ye Allah hi Janta hai aur Jisney Ispey amal kiya, Jisne Isko dekha hai wohi Janta hai ke kaise Allah Khilata hai aisi roziya.

E) 5th Duniyawi Fayda: Siyasi Urooj aur Gallba Hasil hota hai

– Jis Qoum ne Iss Kitab ko thama , Iskey Mutabeek Unki Zindagi rahi Unko Allah Rabbul Izzat ne Siyasi Urooj aur Galba diya, wo Humesha Gaalib rahe Duniya pe aur Logon par hukumat ki.

Islkey Talluk se sahih Muslim ki Hadees hai ke –

Hadees: Aap (ﷺ) farmatey hai ke –
Allah Iss Kitab ke Jarye Baaz Logon Ko Urooj ata farmata hai aur Baaz ko Isi ke Jarye ruswa aur zaleel karta hai.”

– (Sahih Muslim)

– Matlab Ye Ke Jo Isey Padhenge , Ispar Amal Karenge , Unko Allah Duniya me Urooj dega, Jo Ispar Amal nahi Karenge ya Iskey Paigaam ko Apne Mafad ke Khateer Chupayenge Allah Unko Iss Dunia me Zaleelo Khwar Karega.
* * * * *

F) 6th Duniyawi Fayda: Raat ke Sharr aur Fitno se Insan ki Hifazat

Raat ke Jo Sharr hotey hai , Fitne aur Fasad Hotey Hai, Jaahir Si Baat Hai Jinn Aur Shayateen Aam Ho Jaatey Hai Jiskey Wajah Se Fitne Jayada Failatey Hai, Tou Quraan Me Iss Se Bhi Hifazat Hai,..
♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Raat Ko Sotey Wakt Ayatul Kursi Padhkar Soye Subah Tak Ek Farishta Uski Hifazat Karta Hai,..” -(Sahi Bukhari)
… Subhan’Allah! Gour Kijiye Kya Fazilat Hai Iss Qalaam Ki – “Ke Agar Raat Ko Ayatul Kursi Padhkar Sota Hai Koi Insan Tou Subha Tak Farishta Hifazat Karta Hai Uski,..”

… Andaza Lagayiye Jis Qalaam Ki Ye Aayat Hi Itni Taasir Rakhti Ho Tou Pura Qalaam Padhne Wala Aur Amal Karnewale Ki Zindagi Kaisi Hogi ,..
* * * *

G) 7th Duniyawi Fayda: Khair-O-Barkat ka Husool

Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya ke –
Surah-Tul-Baqrah padha karo! Iska Padhna Bayase Barqat aur Chorrna Bayase Hasrat hai.”

– (Sahih Muslim)

… Aaj Aise Kitne Ghar hai Jo Surah Baqraah ki tilawat karte hai? Ya Kitne Ghar hai Jaha Quraan ko padha Jaata Hai? Mumkin hai ke bohot kum log hai ke Hum Padhtey hai.

– Ya Jo Kuch bhi Padhtey hai Wo Makhsus Surtey Padhke Muamla Khatm Kartey hai. Jabki Ye Puri Kitaab Ko Hume Padhna Hai Yaad Rakhiye.

H) 8th Fayda: Duniyawi Ranj aur Gham se Hifazat hoti hai

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Aur Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Shakhs 3 Martba Surah Ikhlas, Surah Falak Aur Surah Naas Tilawat Kar Ley Allah Rabbul Izzat Usey Har Kism Ki Musibate Aur Gham Se Mehfuz Rakhega ,..” – (Sunan Abu Dawud)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Isi Tarha Ek Riwayat Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jo Shakhs Allah Se Quran Ki Tilawat Aur Sama’at Ke Jarye Qurane-Majid Ko Aankho Ka Noor Aur Dil Ka Suroor Bananey Ki Dua Karta Hai,.. Allah Uska Dil Khush Kar Deta Hai Aur Usko Duniyawi Ranj-o-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazate Kar Deta Hai ,..” – (Musnade Ahmed)

… Yaani Koi Shakhs Quran Padhta Ho Aur Allah Se Dua Karta Ho Ke – “Aye Allah Iss Quraan Ko Mere Aankho Ka Noor Bana Dey Aur Dil Ka Suroor Bana Dey Aur Mere Ranj Aur Gham Door Kar Dey Jo Aisi Darkhwast Karta Hai Allah Uski Dua Kabool Fermata Hai Aur Duniyawi Ranj-O-Gham Aur Musibato Se Uski Hifazat Ata Farma Deta Hai …

♥ Subhan’Allah !! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq ata Farmaye ,..

To Be Continue ….

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12

The post Fazail-e-Quran: Part 9 appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/fazail-e-quraan-part-9/feed/ 0 17070
Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/ https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/#respond Fri, 07 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/ Al Quraan 24 63Imam Malik (Rahmatullah Alayh) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kahne Laga Agar Mai Eid Ki Namaz Se Pahle Khali Wakt Hai Mere Paas 2 Rakat Nafeel Padh Liye Tou […]

The post Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Imam Malik (Rahmatullah Alayh) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kahne Laga Agar Mai Eid Ki Namaz Se Pahle Khali Wakt Hai Mere Paas 2 Rakat Nafeel Padh Liye Tou Kaisa Hai?
* Aap Imam Malik Ne Kaha – Ke Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aisa Kaam Na Kiya! Tu Bhi Na Karna..
* Usne Kaha – Namaz Hi Tou Padh Raha Hu, Padh Liye Tou Kya Hua ?
* Tou Imaam Malik (Rahmatullah Alayh) Ne Surah Noor Ki Ayat No.63 Tilwat Ki Aur Farmaya –
♥ Al-Quraan: “Jo Log Rasool’Allah Ki Sunnat Ki Mukhalifat Karte Hai Unhe Darna Chahiye Ke Wo Kisi Fitne Me Mulawwis Na Ho Aur Kahi Dardnak Azab Nazil Tou Na Ho Jaye”.
– [Surah Noor(24) Ayat(63)] – @[156344474474186:]

» Sabaq: Malum Hua Ke Jo Log Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Ke Khilaf Deen Me Rawayya Ikhtiyar Karega Wo Yakinan Allah Rabbul Izzat Ki Taraf Se Kisi Fitne Me Mulawwis Kar Diya Jayega,.
Lihaja Yeh Hum Tamam Par Farz Hai Ke – Hum Jo Bhi Neki Karey, Iss Aitbaar Se Karey Ke Wo Allah Ke Nazdeek Kabil-e-Kabul Ho..

Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Tibrani Ki Riwayat Me Farmatey Hai Ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Shakhs Biddat Karta Hai Uski Tauba Kabool Nahi Hoti” – (Tibrani)
# Tou Jab Tak Insan Biddat Karta Hai Uski Tauba Kabool Nahi Hoti, Lihaja Agar Apni Taubao Ko Kabuliyat Tak Hum Pohchana Chahte Hai Tou Deen Me Biddat Se Airaz Karey..
Duniya Me Aap Tabdiliya Kijiye Jo Karna Hai! , Ijadad, Inventions, Discoveries Kijiye Jo Karna Hai,
Ha! Lekin Deen Me Koi Ijad Karna Durust Nahi.

Aur Aise Logon Ke Talluk Se Surah Ghasiya Ki Ayat No. 3 Aur 4 Me Allah Ta’ala Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aamilatun Nasiba , Tasla Naran Hamiya” – (Surah Ghasiya Ayat 3-4)
Jiska Tarjuma Hota Hai – “Ke Kuch Log Qayamat Ke Roz Tum Dekhoge Ke Amal Kar-Kar Ke Thakey Hue Aayenge, Lekin Hukm Hoga Utha Kar Jahannum Me Fenk Do Inhey”.
* Isliye Ke Wo Amal Rasool’Allah Ke Tareeke Par Na Hua …
Thakey Tou Honge Amal Kar Kar Ke Bohot Lekin Yaad Rahe Sunnat-e-Rasool Ki Mukhalifat Ya Rasool’Allah Ke Deen Me Naye Akeede Ijad Karna Yeh Tamam Kaam Bohot Sakht Gumraahi Hai…

# InshaAllah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Tamaam Kism Ki Gumrahi Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Fitna, Firqa

The post Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/feed/ 0 16896