Firqa – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Wed, 30 Nov 2022 18:49:07 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Firqa – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/ https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/#respond Fri, 15 Jul 2022 09:57:51 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/ Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ?Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? ۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –“Meri Ummat 73 Firqon me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa […]

The post Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ?

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ke –
Meri Ummat 73 Firqon me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere aur Mere Sahaba ke Aqeede par hoga.”

📕 Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255

Aksar Humare Nadaan Musalman Iss Hadeese Mubarak ke Talluk se Galatfehmi me Pad jatey hai aur Jiska Fayda kayi Mafadparast Log Uthatey rehte hai aurur Naa Jaane Shariyat par Kya-Kya Tohmat Lagatey rehte hai ke –
“Dekho Allah ke Rasool ne Khud farmaya ke 73 Firqe hone wale hai, lihaja Firqe bana Lo.” (Maaz’Allah)

*Aise Logon se Humara bhi Ek Sawaal hai ke –
Rabbul Izzat ne Quraan me Jab Bayan kar diya ke –

“Har Nafs Ko Mout ka Maza Chakhna Hai.”

📕 Al-Quran 3:185

Tou phir paida Hotey hi kyu Na Hum Apni Qabr khod ley?

Kyu Na Hum Abhi se Apni Qabro me ja kar let jaye?

Zindagi Jiney ki Itni Saari Mashaqqat karne ki Jarurat hi kya hai Jab Mout tou Aani hi hai ?

Thoda tou Gouro Fiqr karo mere Azeezo!

Yeh 73 Firqo Waali Hadees Bilashuba haq hai, Lekin agar Hiqmat se kaam ley tou Aap bhi Samajh Jaoge ke Wo 72 Firqe Log Jahalat, Gaflat aur Taqabbur me bana lenge.

Is Hadeese Mubarak me Rasool’Allah (ﷺ) ne tou Muslamno ke Jahalat ki taraf Nishandehi ki hai ke –
“Log Kitabo Sunnat se Bebaaq ho Jayenge aur Natijatan Firqo me batt Jayenge.”

Lihaja aise Fitno se bachne ke liye Rab ke Nazdik haq par kehlane ke liye Rab ki Kitab (Quraan) aur Meri Sunnat ko thaam lo, Yahi Mafhoom hai Iss Hadeese Mubarak ka! Kyunki Shariyat har haal me Ittehad chahti hai.

*Aur Uskey Taklluk se Allah Rabbul Izzat ne Aayat bhi Nazil kar di ke –

“Sab Milkar Allah ki Rassi (Hidayat) ko Mazbuti se Thaam lo,
aur Aapas me Phoot naa dalo.”

📕 Aal-e-Imran 3:103

*Lihaja Jaisa ke har Nafs ko Mout ka Maza Chakhna hai Lekin phir bhi Hum Mout se pahle Apni Aakhirat ki tayyari kar rahe hai.

Usi Tarha 73 Firqo Me Ummat Batney waali hai, Unme Se 72 Jahannumi Firqo me wo log Batney wale hai Jo –
*Kitabo Sunnat ke Barkhilaf Apne Nafs ki Tabedari karenge,
*Qurano Hadees ke Bajaye Apne Ulemao ke Fatawe ke Mohtaz ho jayenge,
*Jinki Aql Mar Jayegi aur har Dar Par Jhuk Jayenge,
*Aur Mafadparast Log Ummat ke Inhi Nadan Musalmano ke Lailmi
Aur Jahalat ka fayda Uthakar Inhe Batil Parasti ka jarya bana lenge ,…

Tou Aise Fitno se Bachney ka Rasta bhi Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ne Hume bata diya ke –

“Allah Ki Kitab Aur Rasool’Allah(ﷺ) ki Sunnat ko Thamey Rahoge tou Rab ke Nazdiq Haq par Kehlaoge aur Fitnagaro ke Fitno se bach paoge.”


Lihaja Hume har Haal me Kitabo Sunnat ka hi Mukkallaf hona chahiye –
Ek Rab, Ek Kitab, Ek Nabi,.. tou iska tarjey Amal bhi Ek ho aur purey Dil se bhi Hum sab Ek ho.

Aur jo Log Jahilo ke Fatwo par Chalkar Ummat me Ikhtelaf karna chahtey hai! Wo kartey rahe Allah aur Uskey Rasool ki mukhalifat.

Aur jo Haqeeqat me Allah aur Uskey Rasool ke farmabardar hai Wo In’sha’Allah-Ul-Azeez aise Jahilo ke fareb se Aagah ho Jayenge.

♥ Aakhir me Allah Rabbul Izzat Se Dua hai ke

Allah Taala Hume Haq Kehne, Sun’ne Aur Samajh Ke Saath Amal ki taufik ata farmaye,
Hum Tamam ko Ek aur Nek banaye ,…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Keyword: 72 फिर्के ईस्लाम मे

The post Kya Shariyat ne Hume Firqo me Batney ka Hukm diya ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-shariyat-ne-firqo-me-batney-ka-hukm-diya/feed/ 0 17086
Wo Mushrik Kehlaye Iss Amal Par Tou Hum Momin Kaise ? https://ummat-e-nabi.com/wo-mushrik-kehlaye-iss-amal-par-tou-hum-momin-kaise/ https://ummat-e-nabi.com/wo-mushrik-kehlaye-iss-amal-par-tou-hum-momin-kaise/#respond Fri, 17 Dec 2021 10:25:12 +0000 https://ummat-e-nabi.com/wo-mushrik-kehlaye-iss-amal-par-tou-hum-momin-kaise/ Wo Mushrik kehlaye Iss Amal par tou Hum Momin kaise ?Wo Mushrik kehlaye Iss Amal par tou Hum Momin kaise ? Mushrikane Makka ki Asal jo Kamjori thi, Asal Jo Unka Shirk tha Wo Tauhid Al-Ibada thi, Ibadat me wo […]

The post Wo Mushrik Kehlaye Iss Amal Par Tou Hum Momin Kaise ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Wo Mushrik kehlaye Iss Amal par tou Hum Momin kaise ?

Mushrikane Makka ki Asal jo Kamjori thi, Asal Jo Unka Shirk tha Wo Tauhid Al-Ibada thi, Ibadat me wo Allah ke siwa Dusro ko bhi Shareek kiya karte they.

Yahi Asal Shirk tha Unka Jiske Liye wo Qayamat tak ke liye Mushrikeen kehlaye. Hala ke wo bhi Allah ko Rab mantey they.

Aur Allah Ta’ala ne Quraan ki chand Ayato me Inka Akeeda bayan kiya aur farmaya ke –

Aye Rasool (ﷺ) ! Aap Puchiye Insey ke koun hai Jo Aasman se Barish ko Barsata hai aur phir Murda Zameen ko Zinda karta hai yeh kahenge “Wo Allah!!!”

Surah Ankabut Ayat 63

Matlab Mushrikeene Makka yeh baat Jantey they ke Wo Allah hi hai Jo Aasman se Barish Barsata hai, Murda Zameen ko Zinda karta hai, Tamam ko Paida karne wala hai ye sab Unke Akeede they, Lekin Asal unka jo Shirk tha Wo Shirk tha Allah ke Ibadat me. Ke Wo Allah ke Alawa bhi Ibadat karte, aur Allah ke Alawa Jin Cheezo ki Iabdat kyu karte ye Akeeda bhi Allah Rabbul Izzat ne Quran me bayan kiya, ke yeh Allah ke Alawa kyu dusre Mabudo ki ibadat karte?

Aur Unke Shirk se Humare Shirk ka bhi InshaAllah Hum Mu’ajna Karenge phir ke kya Unka Shirk tha aur kya Humara Shirk hai?

Aayiye Iss Ayat par Gaur karte hai –

"Alaa lillaahid deenul khaalis" 

Aagah ho Jao ke Ibadat tou Sirf Allah hi ke liye Khalis hai!.

"wallazeenat takhazoo min dooniheee awliyaaa'a"

Aur Jin Logon ne Allah ke siwa Dusron ko apna Hajatrawa, Sarparast bana liya hai
jab Insey pucha jata hai ke Allah ko Chodkar dusro ko kyu pukarte ho? tou wo kahte hai ki –

"Maa na'buduhum illaa liyuqar riboonaaa ilal laahi zulfaa."

Hum tou Unki Parastish sirf Isliye karte hai ki yeh log Allah ki Bargah me Hamara tarkab badha denge, Allah se Hume Sirf Nazdeek kar dey.

📕 Surah Zumar Ayat 3

Yahi tou Shirk tha Muhshreekine Makka ka, ke wo Allah ko Rab Mantey Inke 360 Buto me Sabse bada boot Allah tha ya sabse Upar Afzal Allah ko mantey. Jabki Chotey Chotey kyu ? tou kehte ke hum inki Ibadat nahi karte, Inko Razi aur Khush karte hai taaki ye Allah tak Humari Muradey pohcha dey.

Yaha tou Sirf beech me rakhne ki wajah se yeh Qayamat tak ke liye Mushrik kehlaye aur aaj ka baaz Musalman tou yeh Akeeda rakhta hai ke Allah ke siwa dusre bhi detey hai. ye tou Apne Shirk me Insey bhi Gaya-Gujra hai.

Aur phir Tawheed Parast Apne Aap ko, phir Muslaman Apne Aap ko, aur phir Apne Aapko Jannat ka Mussthik Samjhta hai.

Agar Gunaah ek tou Saja Ek hi Shariyat me, Ek Gunaah ke do Sajha nahi ho sakte.

Tou Gunaah Unka Wo tha ke Bich me bana liye they Awliya. yeh sochtey they ke Inke Jarye hum Allah tak pohoch sakte hai. aur kehte bhi they ke Hum Inn buto ki Ibadat nahi karte bus yeh jo kuch bhi kar rahe hai sirf Allah se Nazdeeki ke liye ho raha hai.

Aur Aajka Humara Akeeda kya hai ? Hum Inki Ibadat nahi karte. Inke Jarye Allah tak pohochtey hai. yahi tou Shirk tha Mushrkin ka phir wo Mushrik kehlaye Iss Amal par aur Hum Momin Kehlaye Usi Amal par.

Yeh Kaise ho sakta hai? Ek Kaam par 2 Lable kaise diya jayega? Ek hi diya jayega..
Galat tou Galat ! sahi tou sahi. Kya Islam me Aaney ke baad yeh sab Cheeze Jayaz ho gayi humare liye?

Nahi Bilkul bhi Jayaz nahi hoti yaad rakhiye

Aur Allah Ta’ala Apne kitab me wajahat bhi kar chuka hai ke –

Aye Nabi (ﷺ) Aap Dekhoge Aksar Log Imaan ke Dawe ke bawajood siway Shirk ke aur kuch bhi nahi karte ..

📕 Surah Yusuf: Ayat 106

Phir Hume gaur karna chahiye ke kahi Humara muamla tou aisa nahi ke hum Tawheed ki baat kar rahe hai aur siway Shirk ke Hum kuch bhi nahi kar trahe.

SABAQ: Lihaja Hum Tamam ko chahiye ke apne Amaal aur Aqeede ka Muhasba karey aur sahih Ilm ke zarye apni aur Apno ki Islah karey.

Allah Hume Haq Sunne samjhne ki Taufiq dey..

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey…

Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Wo Mushrik Kehlaye Iss Amal Par Tou Hum Momin Kaise ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/wo-mushrik-kehlaye-iss-amal-par-tou-hum-momin-kaise/feed/ 0 16906
Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki Ahmiyat https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/ https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/#respond Thu, 30 Sep 2021 19:34:11 +0000 https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/ Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki AhmiyatAla BizikriAllahi Tatma innu alQuloob – [Surah Ar Ra’ad 13:28] Aaj har koi Parehsan hai, Isliye kyunki hakikat me “Allah ke Ziqre me hi momino ke Dil Itminan patey hai” […]

The post Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki Ahmiyat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ala BizikriAllahi Tatma innu alQuloob

[Surah Ar Ra’ad 13:28]

Aaj har koi Parehsan hai, Isliye kyunki hakikat me “Allah ke Ziqre me hi momino ke Dil Itminan patey hai”Surah Ar-Raad 13:28. Aur Yahi Qalbi Itminan Kisiko nahi hai Aaj. Ellah ke Ek Momin Iss Itminan ka Fayda Uthata hai.

Aur Yaad Rakhiye Jab Kisi Qoum ke liye Hidayat aayi hai aur Hum Uss Hidayat ko Chupa kar Baithey hai wo Apna Haq tou kaise na kaise lene hi waali hai. tou hume Unko dena hai, Aalmi Aman Humare paas hai aur Ye Deen tamam Aalam ke liye hai.

• Warna Humari Misaal Aise ho Gayi ke

Char Rasto Ke Bich Ek Traffic Signal Hai, Jispar Ek Traffic Police Officer Khada hai aur Charo me se 3 Raste Band karde aur Sirf Ek hi Khula rakhe, Baaki 3 Rasto ke Log Intezar me hai ke Kab Humara bhi Rasta khule aur Hum bhi Nikal le apni Manzil ki taraf.

Ab Agar Wo Policewala Sirf Ek Hi Rasta Khula Rakhe Jo Uske Ghar se aa raha hai, Ek hi Taraf ka Signal chalu Rakhe tou baaki 3 Rasto ke Signal ke Intezar me Khadey Logo ka kya haal hoga?
* Kitni Der Tak wo Bardasht Karenge? Unka Gussa tou Nikalna Lazim hi hai.

Yeh Misaal Hai Humari Ke Hum Qoumo Ke Liye Aman Qayam Karne Ke Liye Bheje Gaye Lekin Humne Ek Hi Signal Chalu Rakha Sirf Apne Bhayio Ki Islah Wala… Qoume Khadi Hai Intezar Me Hidayat Ke, Lekin Hum Sirf Apne Bhaiyo Ki Islah Me Lagey Rahe Aur Baakiyo Ko Nazarandaz Kar Diya..

Ab Batayiye Ye Qoume Kab Tak Intezar Me Khadi Rahengi ? Inka Wabal Tou Nikalne Wala Hai Humpar, Aur Yakinan Log Uss Traffic Police Officer Ke Khilaf Kuch Na Kuch Tou Bagawat Karenge. Aur Uss Police Wale Ko Uski Post Se Nikala Jayega,.. Aur Yeh Tou Raha Uss Officer Ka Jo Apni Service Kar Raha Hai ,.. Lekin Wo Baaki Officers Jo Chay Pitey Baithe Kaam-Dhanda Chorrkar, Jo Na Islah Karta Hai Na Dawat Usko Tou Replace Hi Kar Diya Jayega.. 

♥ Allah Rabbul Izzat ne Surah Mohammad me yahi baat bayan ki –

“Yastabdil Qawman Ghairakum Summa Laa Yakoonooo Amsaalakum”
(Tarjuma: Tumhe Dusri Qoumo se badal Dunga agar Kaam na Karonge, aur Unki Misale Tumhare Jaise na Hongi)

– (Surah Mohammad 47:38)

* Tou Kab Tak Qoume Intezar Karengi?
Amn Ka Paigaam Chupakar Rakha Hai Humne Apne Andar..
Aur Aman Allah Ki Kitaab Aur Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Me Hai, Lekin Humne Isey Logon Me Aam Na Kiya .. Jiska Natija Hum Dekh Hi Rahe Hai..

Sabaq: Lihaja Jarurat Hai Ke Jo Aman Ka Jo Zakira Humare Paas Hai Usey Logo Me Aam Kare..
In shaAllah-Ul-Azeez ..

Allah Ta’ala Hume Aalami Aman ke Liye Ikhlas Ke Sath Jaddo Jehad Karne Ki Tauffiq Dey..Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki Ahmiyat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/feed/ 0 16916
Aao la ilaha ilallah ki taraf – Download Hindi pdf https://ummat-e-nabi.com/aao-la-ilaha-ilallah-ki-taraf-download-hindi-pdf/ https://ummat-e-nabi.com/aao-la-ilaha-ilallah-ki-taraf-download-hindi-pdf/#respond Fri, 27 Sep 2019 13:56:29 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=22327 Aao la ilaha ilallah ki taraf Download Hindi pdfDownload PDF

The post Aao la ilaha ilallah ki taraf – Download Hindi pdf appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Download PDF

The post Aao la ilaha ilallah ki taraf – Download Hindi pdf appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/aao-la-ilaha-ilallah-ki-taraf-download-hindi-pdf/feed/ 0 22327
फिरका फिरका खेलने वालो को नबी सलल्लाहू अलैहि वसल्लम की अहम नसीहत https://ummat-e-nabi.com/firqa-firqa-khelne-walo-ko-nabi-salallahu-alaihi-wasallam-ki-aham-nasihat/ https://ummat-e-nabi.com/firqa-firqa-khelne-walo-ko-nabi-salallahu-alaihi-wasallam-ki-aham-nasihat/#respond Fri, 09 Feb 2018 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/firqa-firqa-khelne-walo-ko-nabi-salallahu-alaihi-wasallam-ki-aham-nasihat/ Firqa Firqa khelne walo ko Nabi Salallahu Alaihi Wasallam ki aham naisihat♥ मफहूम ऐ हदीस: अबू सोबान (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहो अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया – बेशक मैंने अपने रब से सवाल किया : “या रब! मेरी […]

The post फिरका फिरका खेलने वालो को नबी सलल्लाहू अलैहि वसल्लम की अहम नसीहत appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ मफहूम ऐ हदीस: अबू सोबान (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहो अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया –
बेशक मैंने अपने रब से सवाल किया : “या रब! मेरी उम्मत को कहतसाली से हलाक न करना, इनपर कोई ऐसा गैरमुस्लिम दुश्मन मुसल्लत ना हो जो इनकी मरकज़ीयत को बिलकुल नेस्तो-नाबूद कर दे !”
अल्लाह रब्बुल इज्ज़त ने फ़रमाया : “ऐ नबी(सलाल्लाहो अलैहि वसल्लम) ! मेरे फैसले में कोई रद्दो बदल नहीं हो सकता, मैंने आपकी उम्मत के हक में ये दुआ कबूल कर ली है के इन्हें कहतसाली से हलाक नहीं करूँगा और न इनपर कोई गैरमुस्लिम दुश्मन मुसल्लत करूँगा जो इनकी जड़ें उखाड फेंके,.. जब तक के आपकी उम्मत आपस में क़त्लो-गारत न करे और एक दूसरे को कैदी तक बना ले..”
– (सही मुस्लिम किताब उल फितन २८८९)

✦ सबक:

तो इस हदीस में मालूम हुआ के – अल्लाह हमे किसी गैरमुस्लिम के हाथो तबतक हलाक नहीं करेगा जब तक के हम आपस में एक दुसरे के दुश्मन न बन जाये ,. और यही हमारे आबा-ओ-अजदाद की तारिख से भी हमे पता चलता है के ,.. जब वो ३१३ कुरानो सुन्नत के मुताबिक इस दिन पर अमल कर रहे थे तब वो हजारो पर ग़ालिब आ गये , अल्लाह रब्बुल इज्ज़त ने उन्हें ऐसी हुकूमते अता की जिसपर आज भी सारी दुनिया रश्क करती है ,..
लेकिन उनके बाद जब हमने जहालत को थाम लिया, आपस में दुनिया परस्ती के लालच में अपने भाइयो से ही हम लड़ने झगड़ने लग गए, अपनी मस्जिदों के बहार तख्तिया लगाकर अपने ही भाइयो को मस्जिदों में आने से रोकने लगे तब अंजाम वोही हुआ जो आज आप और हम देख रहे है ,
खैर अब भी वक्त है मेरे अजीजो, लौट आओ और अल्लाह उसके रसूल सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम की तालीमात की तरफ इस से पहले के देर हो जाये ,..

– अल्लाह तआला हमे कहने सुनने से ज्यादा अमल की तौफीक दे ,
– हमे कुरानो सुन्नत का मुत्तबे बनाये ,
– जबतक हमे जिंदा रखे इस्लाम और ईमान पर जिन्दा रखे,
– खात्मा हमारा ईमान पर ,..
!!! वा’आखिरू दावा’ना अलाह्म्दुलिल्लाही रब्बिल आलमीन !!!

The post फिरका फिरका खेलने वालो को नबी सलल्लाहू अलैहि वसल्लम की अहम नसीहत appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/firqa-firqa-khelne-walo-ko-nabi-salallahu-alaihi-wasallam-ki-aham-nasihat/feed/ 0 18672
Ek Ummat fir 4 Imaam ki taqleed kyu ? (Taqleed ki Hakikat) https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/ https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/#respond Fri, 11 Mar 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/ Taqleed‟ Hanfi ? Shafayi ? Maliki ? Hanbali ? ✦ Sawaal: Ek Rab , Ek Rasool , Ek Ummat fir 4 Imam ki Taqleed kyu ? » Jawaab: 1). Sabse […]

The post Ek Ummat fir 4 Imaam ki taqleed kyu ? (Taqleed ki Hakikat) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

‟ Hanfi ? Shafayi ? Maliki ? Hanbali ?

✦ Sawaal: Ek Rab , Ek Rasool , Ek Ummat fir 4 Imam ki Taqleed kyu ?
» Jawaab: 1). Sabse pahli baat ke kisi bhi Ummati ki koi baat agar Kitabo Sunnat se mail khati ho tou behrhaal uskey man’ne me koi harz nahi.

2). Dusri baat yeh hai ke Hajir dour ke logon se behtar hai jo pichle gujar chukey ho unki baat li jaye. kyunki wo Juhad, Taqwe aur Zamane ke lihaj se RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se jyada nazdiq they. Jaisa ke kuch log haal ke dour ko mantey hai us’se behtar hai ke jo pichle gujre hai unko mana jaye ,..

3). Aur tisri baat ke Taqleed mutlaqan (100%) haraam nahi hoti. kuch jagah aa kar jab Kitabo Sunnat se muamla nahi milta jo Ulema akaz karke detey hai, usko bhi Taqleed kaha jata hai Arbi zubaan me.

haa! lekin agar taqleed se muraad yeh ke ‘bagair sochey samjhye kisi ke pichey chal padna fir yeh durust nahi’..iski ijajat Shariyat nahi deti. aur iskey bil-mukabil Allah Ta’ala ne Surah Yusuf ki ayat no.108 me farmaya..

“Qul haazihee sabeeleee” keh dijiye yeh mera rasta hai’ ,
“Ad’ooo ilal laah” mai logon ko allah ki taraf bulata hu’ ,
“Alaa baseera tin” aqalmandi ke sath mai bhi bulata hu’ ,
“Ana wa manit taba’anee” mere pairokaar bhi baseerat se bulatey hai’.
– (Al Quran: Surah yusuf: 12:108)

Tou kisi shakhs ne Aqal aur Baseerat ka pura istemal kiya, Kitabo Sunnat se koi dalayeel akaz kiye jiska sidhe aur wajeh koi baat Quraano Hadees me humko nahi mil rahi thi tou isko bhi Arbi Zubaan me taqleed kaha jata hai aur isko man’ne me koi harz nahi.

Lekin ha! agar Taqleed se muraad galey me patta daal kar kisi ke pichey chal dena tou Shariyat iski izajat nahi deti. jabke Shariyat ne Itteba ka hukm diya. RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ki bhi itteba Allah ki itteba hai. Allah aur uske Rasool ki taqleed ka hukm nahi diya. Aur Taqleed ka lafz Quraano Hadees me aata bhi nahi hai. Illah ke “khalayda” lafz aaya hai janwaro ke talluk se pattey dalne ka bus usi tarha.

✦ Momin to itteba ke mukallaf hote hai.

Ab iske bawajud koi kahe ke  “kya Taqleed mutlaqan Haraam hai ?
tou hum kahenge “Nahi! kyunki kuch Masayeel, kuch muamlaat me aakar hum badey Ulemao ke hawale fir dete hi hai. “ke iss Muamle me unhone falah cheez akaz ki.” yeh bhi tou Kitabo Sunnat ki dalayeel ka kuch akaz karke diya jo sidhey se nahi mila hume, tou isko bhi Arbi Zuban me taqleed kaha jata hai aur yeh taqleed durust hai.

✦ Taqlid ke bare me Ifrad aur tafreed:

Ab logon ne taqleed ke bare me 2 moukuf bana diye
(1) Ek boltey hai ke Taqleed mutlaqan haraam hai.
(2) Aur dusre boltey hai ke Haraam nahi! balki Jayaz, Farz aur Farz ‘ain  hai aur iske bagair insan ki raahe najat nahi aur chara nahi.

Fir wo kehte hai ke Taqleed 4 imamo ki hi jaruri hai.
Tou Sawal yeh nikalta hai ke kya “Yeh Ummat itni kamzor hai ke iske paas sirf 4 hi imam hai?.. itni badi ummat kya iss ummat me sirf 4 hi imaam gujrey ?. haa! yeh alag baat hai ke yeh 4 imaam mash’hur huey. hala ke RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad bohot se aise log gujre jinka maslak bohot mash’hur hua. jaise ke ‘Imam Lays(Rahmatullah Alayh).’ inka maslaq bohot mash’hur tha, hatta ke Imam Shafayi (Rahmatullah Alayh) se jyada man’ne wale inke log they.

lekin ek zamana aaya ke misr me ek hukumat aayi jinhone Imam Shafayi ke Maslak par chalne walo ko wajifa diya jata tou sab imam lays ke maslaq ko chodkar idhar chaley gaye aur inka maslak 400 salo tak chala. tou goya imam lays ka maslak 5th wa hua.

isi tarha aur bhi kayi maslak gujre jo mash’hur they. jaise Imam Sufyan Sauri(Rahmatullah Alayh) ka maslak. yeh bhi ek bada mash’hur maslak tha. khud Imam Abu Hanifa(Rahmatullah Alayh) jo inke ustad they inka bhi maslak. tou aisi bohot si cheeze thi.

✦ Maslak ke maane ?

Maslak se murad kisi masley ka unhone unsey jawab liya aur behtar samjha inki daleel ko. lekin baad ke daur ke logon ne isko thaam liya ke ek ke pichey hi chalna aur fir 4 ki taqleed wajib ki is ummat ko. jab ke agar koi kahe ke 4 imamo se kisi ek ki taqleed hum par wajib hai tou fir sawaal yeh hota hai ke Sahaba kiski taqleed karte they ?

Sidha sa ekdum aam sawal hai ye, sidhi ek misaal jati hai ke RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad jo log aaye, sahaba ki jamaat, jabke pahle imam jo log kahte hai beharhaal hum kahte hai ke imam tou kayi gujre, jaise ke Abu Baqar Siddhiq (Raziallahu Anhu)! kya mere aur aapke liye imam nahi hai yeh ?
Umar bin Khattab(Raziallahu Anhu)! kya mere aur aapke liye imam nahi hai yeh ?
– Usman ibne Affan(Raziallahu Anhu),
– Ali ibne Abu Talib(Raziallahu Anhu),
– Abdulla bin Umar(Raziallahu Anhu),
– Abdulla ibne Abbas(Raziallahu Anhu)!!
kya yeh sab humare liye Imam nahi hai ?

Aur Sahaba ki tadat lakho me jati hai jo apne wakt ke imaam they. kya yeh sab humare liye imam nahi hai ? gaur karne wali baat hai. zara sa tassub jehan se hatakar ek khuley jehan se sochne wali baat hai ye ke sahaba ki puri jamat ko kabhi imam nahi kahte hum.

✦ Taqleed ki Shuruwat kab hui ?

Jinhe pahla imam kaha jata hai Imam Abu Hanifa (Rahmatullah Alayh) unki Paidaish 80 hijri me hoti aur uske baad maslak inka rayej hota hai bahrhaal 20 saal bhi agar maan le tou 100 saal ho gaye.
tou sawal aata hai ke yeh 100 saalo me log kiske tareeko par chaley ?
yeh 100 salo ka jo waqfa gujra is waqfe me log kis imam ke pichey chaley ?, kiski itteba ki? kiski pairwi ?

Unke baad Imam Shafi (Rahmatullah Alayh) aatey hai, unka daur tou aur baad ka hai. fir Imam Ahmad bin Hanbal (Rahmatullah Alayh) aatey hai. tou itne daur me log kiski itteba karte they ?

Aur kaha jata hai ke – Taqleed 400 saal baad shuru hui RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke iss andaz se ke “ek imam ko man’na compulsory hai. jab ke us’se pahle log imamo ko mantey lekin kisi masley me ek imam ki raay ko behtar samjhtey tou kisi masley me dusre imam ki raay ko behtar samjha jata. lekin badme yeh hua ke compulsory ek hi imam ko man’na logo ne farz kar diya.

Aur fir taqleed ek aisa roop le li ke dheere-dheere yeh majahib ban gaye aur fir muamla yeh hua ke ye 4 alag-alag ajib cheeze ho gayi. jiska natija yeh hua ke ‘kaabe ke andar 4 musalley hua karte they aur log 4 alag-alag wakt me ek hi namaz padhtey they. wo Hanfi musalla, wo Shafayi musalla, ye Maliki musalla aur yeh Hanbali musalla! Subhan’allah! Allah ke deen ko aisa baant diya humne. Allah Reham kare.


✦ Sabaq:

Aisi taqleed ka natija bhi samne aaya ke log aksar sawal karne lage “kya mera Nikah hoga? ladki Shafayi hai aur mai Hanfi. Subhan’Allah !!! kyu hum bhul gaye ke hum sab ek Nabi ki Ummat hai.

Beharhaal! kisi imaam ki baat man’na jo Kitabo Sunnat se mail khati ho ismey koi harj nahi. lekin fir hum yeh kahenge ke Sabse pehle Allah ki kitaab aur uske Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat Mukaddam aur uske baad jiska Qoul insey rayej, mail khaye chahe uss daur ke imam ho ya iss daur ke imaam ho! Aap unki baat yakinan maan saktey hai. lekin iteeba ke toar par !,.. naa ke iss andaz se ke “jo bhi unhone keh diya wo patthar ki lakeer hai fir chahey Kitabo Sunnat ke khilaf hi unki baat kyu na jaye.

Lihaja hum tamam par lazim hai ke sahi Ilm hasil karey, uspar amal karey, aur ikhlas ke saath apni aur Ummat ki Islah ki koshish karey.

♥ In’Sha’Allah-Ul-Azeez.
# Allah Ta’ala hum tamam ko Kitabo Sunnat ka muttabey banaye,
# jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
# khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Ek Ummat fir 4 Imaam ki taqleed kyu ? (Taqleed ki Hakikat) appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/feed/ 0 16904
Jisney RasoolAllah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki …. https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/ https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/#respond Mon, 08 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/ Al Quran4 80♥ Al-Quraan: Jisney RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita’at Ki Bus Usney Allah Ki Ita-At Ki” – [An-Nisa(4): Ayat-80] » Wajahat: Iss Aayte Mubarak Se Yeh Baat Wajeh Hoti Hai […]

The post Jisney RasoolAllah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Al-Quraan: Jisney RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita’at Ki Bus Usney Allah Ki Ita-At Ki”
[An-Nisa(4): Ayat-80]
» Wajahat: Iss Aayte Mubarak Se Yeh Baat Wajeh Hoti Hai Ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Ita-at Karna Goya Allah Ki Ita-At Karna Hai, Aur RasoolAllah Ki Farmabardari Goya Allah Ki Farmabardari Hai..
Aayiye Jaan Letey Hai Ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kya Shakhsiyat Hai, Aapki Zaat-e-Mubarak Kya Hai? Aapka Muqaam Kya Hai ? …
Aap Wo Zaat-e-Mubarak Hai Jinki Wajah Se Jannat Ka Darwaza Khola Jayega Roze Qayamat ,…
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Wo Shakhsiyat Hai Jo Sabse Pahle Jannat Me Dakhil Hongey ,…
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Wo Shakhsiyat Hai Jinke Zande Taley Roze Qayamat Tamaam Nabi Aur Rasool Aur Unke Ummati Aqwam(Jama/Hajir) Honge ,…

Lekin Aaj Humne RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Shakhsiyat Ki Kitni Nafrmani Ki Hai Aayie Jara Muhasba Kar Letey Hai ..
Aaj Humara Yeh Muamla Hai Ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Humari Zindagi Me Aa Bhi Jaye, Fir Bhi Hum Apne Man-maani Tareeke Par Zindagi Jeetey Rahenge ….
Kyunki Humarey Tou Bado Ne Yeh Kiya ,
Humare Khandan Ka Purana Tareeka Hai Ye ,
Humari Qaum, Samaj, Shahero Aur Basti Ka Tareeka Ye Hai ..
Lihaza Sunnat Hum Nahi Maan Sakte.. (Nauzubillah)

Yaha Allah Ta’ala Hume Uss Nabi Ki Sunnate Mubarak Par Amal Lazim Kar Raha Hai Jo Tamam Aalam Ke Nabi Hai, Jo Imam-Ul-Ambiya Hai…
Yeh Nabi Jab Meraz Me Jatey Hai Tou Tamam Ambiya (Alahi Salam) Ki Imamat Kartey Hai, Aise Nabi Ki Ita-At Allah Hum Par Lazim Kar Raha Hai, Aur Inhi Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Baate Hum Chodkar Hum Iski-Uski Aur Fala Fala Ki Baate Mantey Hai .. Quraan Aur Aahadees Ko Chodkar Hum Jahilana Aqaid Par Imaan Latey Hai ..

Yaad Rakhiye Kalma “La Ilaha IllAllah Muhammadur Rasoolullah” Ka Aadha Zuz Hai “Imaan-Birr-Rasool” Yaani RasoolAllah Par Imaan Rakhna….
Aaj Hum Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Lekin Tareeka Fir Kisi Aur Ka Ikhtiyar Karte Hai ,
Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Fir Baat Kisi Aur Ki Mantey Hai,
Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Lekin Apne Amaal Aur Ikhtilaf Me Kisi Aur Ke Paas Jaatey Hai,
Kalma Tou Padhtey Hai RasoolAllah Ka Aur Tamaam Zindagi Ke Shobey Aap Ki Sunnat Se Khali Hai,
Aur Fir Hum Apne Aap Ko Jannat Ke Mustahik, Aashike Rasool, Ahle Sunnat Wal Jamat, Aur Haq Par Samjhne Lag Jatey Hai ,.. Subhanallah … – @[156344474474186:]

Kya Yahi Pahchan Hai Ek Aashike Rasool Ki ? Ke Sirf Kalma Padhke Iske Takazo Ko Zubaan Par Hi Khatm Kar Diya Jaaye…
Nahi !! Hargiz Nahi …
Yaad Rakhiye Agar Humne ‘Muhammadur Rasoolullah’ Kaha Tou Humari Zindagi Ka Khatma Aur Zindagi Ka Har Pailu RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Tareeke Par Hi Hona Chahiye..
Yahi Iss Kalme Ka Sahi Asal Matlab Hota Hai ..
Tou Goya “Jisney Rasool’Allah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki” ..

Aur RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Muqaam Kya Hai Iss Barey Me Quraan Me Allah Ta’ala Ek Aur Jagah Farmata Hai Ke –
♥ Al-Quraan: Tou Qasam Hai Tere Rab Ki! Yeh Log Imanwale Nahi Ho Sakte Jab Tak Ke Apne Tamam Ikhtelaaf Me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Haaqim Na Bana Ley. Aur Jo Faisla Aap Suna Dey Tou Usko Taslim (Kabool) Na Karey Tab Tak Ye Log Imaanwale Nahi Ho Sakte..
[Surah (4) Nisa: Ayat-65]
★ Follow our Official Page » www.facebook.com/HadiseNabwi « for huge Hidayat post collection ★

Kya Wakay Me Hum Aaj Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Faisle Mubarak Ke Jarye Aapas Me Huey Ikhtelaaf Ko Door Karne Ki Koshish Kar Rahe Hai ?
Think About It ….

# InshaAllah-Ul-Azeez !!
Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq Ata Farmaye!!!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Jisney RasoolAllah Ki Ita-At Ki Usney Allah Ki Ita-At Ki …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jisne-rasoolallah-ki-ita-at-ki-usne-allah-ki-ita-at-ki/feed/ 0 16858
Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum’me Yaksa Hai …. https://ummat-e-nabi.com/aao-uss-baat-ki-taraf-jo-aap-aur-humme-yaksa-hai/ https://ummat-e-nabi.com/aao-uss-baat-ki-taraf-jo-aap-aur-humme-yaksa-hai/#respond Fri, 05 Dec 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/aao-uss-baat-ki-taraf-jo-aap-aur-humme-yaksa-hai/ Quraan 3 64Allah Rabbul Izzat Ne Aalami Aman Ke Liye Quraan Me Nuskha Bhi Batla Diya. ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Aye Ahle Kitab! Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur […]

The post Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum’me Yaksa Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Rabbul Izzat Ne Aalami Aman Ke Liye Quraan Me Nuskha Bhi Batla Diya.
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aye Ahle Kitab! Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum’me Yaksa Hai,
Ke Hum Allah Ta’ala Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Kere,
Na Uske Sath Kisi Ko Shareek Banaye,
Na Allah Ta’ala Ko Chor Ker Aapas Me Ek Doosrey Ko Hi Rab Banaye.
Pus Agar Woh Mooh Pher Le Tou Tum Keh Do Ke Gawah Raho Hum Tou Musalman Hai..”
– (Surah Al-Imaran; Ayat 64) – @[156344474474186:]

Tou Yaha Allah Rabbul Izzat Ne Ek Usool Bata Diya Ke “Bulao Uss Kalme Ki Taraf Jo Hum’me Aur Tum’me Barabar Hai.” Ab Sawaal Yeh Hai Ke Hum’me Aur Tum’me Baatey Barabar Ho Aur Sabse Pahle Allah Hi Ibadat Ke Layak Hai Tou Jaahir Si Baat Hai Hume Iskey Liye Adiyan(Comparative Religion) Ka Ilm Hasil Karna Hoga,.. Ek Dusrey Se Baat Share Karni Hogi..

* Lekin Jab Bhi Majhab Ka Mu’amla Aata Hai Hum Bilkul Khamosh Rehte Hai Ke Wo Uska Masla Aur Ye Mera Masla ,..
– Lekin Boliye, Baat Kijiye, Dawat Dijiye Similarities Ki Taraf..
– Kyunki Yeh Bohot Nazuk Ghadi Hai! Iss Ghadi Me Humko Kholkar Rakhna Hai Apna Deen Logo Ke Samne… Unsey Puchna Hai Aur Apni Baat, Apna Deen Unke Samne Rakhna Hai,,

• Lekin Aaj Hum Ye Kaha Karte Hai ?
* Kaha Unsey Puchtey Hai ? , Kaha Apna Deen Rakhte Hai? Aur Unse Jan’na Chahte Hai ?
* Aur Kaha Ek Rab Hone Ki Baat Apne Deen Se Ya Unke Deen Se Sabit Karte Hai?
* Hum Apni Mashguliyat Me Masruf Hai Aur Chahte Hai Wo Jo Kar Rahe Hai Wo Unhe Karne Do..
– Fir Jab Unke Taraf Se Sharangezi Hoti Hai, Nuksanat Hotey Hai, Fir Pareshan Hokar Allah Se Dua Karne Lag Jatey Hai Ke Wo Qoume Aisa Kyu Kar Rahi Hai ?

# SABAQ: Lihaja Hume Chahiye Ke Logon Ko Allah Ki Taraf Bulao, Behtareen Daleelo Se, Behtareen Akhlak Se.. Unki Galatfehmiya Jo Islam Ke Baarey Unke Jehan Me Ghar Kar Chuki Hai Usey Door Karne Ki Koshsih Karey.,.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez ..
# Allah Ta’ala Hume Paigaame Haq Logon Me Aam Karne Ki Tauffiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum’me Yaksa Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/aao-uss-baat-ki-taraf-jo-aap-aur-humme-yaksa-hai/feed/ 0 16914
Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Barbaad Na Ho Jaye https://ummat-e-nabi.com/unhe-darna-chahiye-ke-amaal-barbaad-na-ho-jaye/ https://ummat-e-nabi.com/unhe-darna-chahiye-ke-amaal-barbaad-na-ho-jaye/#respond Sat, 29 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/unhe-darna-chahiye-ke-amaal-barbaad-na-ho-jaye/ Al Quran 49 1Ek Sahaabi They! Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko 2 Din Dikhayi Na Diye. tou Aap ﷺ Ne Kaha – ‘Ke Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?’ Ek Shakhs Nikley […]

The post Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Barbaad Na Ho Jaye appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ek Sahaabi They! Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko 2 Din Dikhayi Na Diye.
tou Aap ﷺ Ne Kaha – ‘Ke Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?’
Ek Shakhs Nikley aur Unke Ghar Gaye aur Pucha Ke – ‘Wo Kaha Hai ?.’

Tou Unki Biwi Ne Kaha Ke – ‘Wo 2 Din Se Ghodo ke Astabal me Rotey Hue Baithey Hai,, Aap Jakar Samjhaiye Unhe…’
Jab Unke Paas Pohchey aur Pucha Ke – ‘Tumahara Kya Mu’amla Hai ? Kyu Ro Rahe Ho ?’

Tou Unohne Kaha Ke – ‘Rabbul Izzat ne Quraan Ki Aayat Nazil Kar Di Ke
“Jo Log Rasool’Allah ki Moujudgi Me Apni Aawazo Ko Buland Karte Hai, Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Gaarat Na Ho Jaye!..”
– (Al-Quran; Surah(49) Huzraat; Ayat 1-2)

Aur Meri Aawaz tou Bohot Unchi Hua Karti Thi, aur Maine Tou Rasool’Allah ﷺ Se Aisi Tez Awaaz me Kayi Baar Baat Ki. Lihaja Mere Amal tou Gaarat Ho Gaye! Ab Tum Chale Jao! Mai Tou Halaaq aur Barbaad Ho Gaya, Mujhe Chorr Do Isi Haal Me.!!
* * * *

Tou Yeh Darr Rakhte They Sahaba – “Ke Rasool’Allah ﷺ Ki Moujudgi me Awaaz Bhi Buland Ho Jaye tou Wo Yeh Tasawwur Karte ke Amaal Gaarat (Barbaad) Ho Gaye..
Haala Ki Yeh Aayat Baad Me Nazil Hui. Lekin Uske Baad Kabhi Unhone Tez Awaz Me Baat Na Ki..

* Yeh Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Adab Hai Ke –
Aapki Aawaz Se Unchi Awaz Na Karna Hai,
Aapke Kadam Se Kadam Aagey Na Badhana Hai,

Lekin Humara Mu’mla Tou Yeh Hai Ke –
* Zindagi Ke Tamam Shobey, Kadam aur Aawaz tou Door, Har Mua’mle me Barkhilaf Jaa Kar Usko Apna Aizaaz, Apna Sha’ar, aur Apna Alam Samjhtey Hai ke – Haa! Yeh Khilaaf Karke Hum Sahi Musalman Ho Gaye,..
* Zindagi Ke Kayi Shobey, Subha Se Lekar Shaam Tak, Shaadi Se Lekar Mout Tak Sab Me Khilafwarji aur Fir Hum Musalman ke Musalman Rahey.. Subhaan Allah !! ,..

# Sabaq: Lihaja Hume Chahiye Ke Zindagi Ke Tamaam Shobo Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Apna Usma-tul-Hasna (Ideal aur Role Model) Maaney aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnato Par Amal Ko Lazim aur Farz Jaaney ,..

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah Ta’ala Hume Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Barbaad Na Ho Jaye appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/unhe-darna-chahiye-ke-amaal-barbaad-na-ho-jaye/feed/ 0 15635
Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/ https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/#respond Sat, 08 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/ Al Quraan 4 59☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf .. Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske […]

The post Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf ..
Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske Rasool Ki Taraf Palta Dey ,.. Yaani Quraano-Hadees ko Insaf Ka Mayar Banaye ,..

Jiske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aye Emaanwalo !
Ita’at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki,
Aur Ita’at Karo Unki Jo Ulool Amr Hai
(Isme Khalifa-e-Wakt Aur Ulma Isme Shamil Hai),
Lekin Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye
Tou Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf
Agar Allah Aur Roze Aakhirat Par Iman Rakhte Ho”.
– [Surah Nisa(4); Ayat(59)] – @[156344474474186:]

* Aaj Kitni Baar Aisa Hua Ke Jis Baat Me Humne Ikhtelaaf Paya Aur Usko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Paltaya ?
Afsos Ki Baat Hai Ke – Aaj Tou Humara Yeh Mu’amla Hai Ke Jis Ikhtelaaf Me Hum Log Mulawwis Hai Usme Aur Gehrayi Tak Pohochkar Aur Ikhtelaaf Karna Chahte Hai Ummat Me.,. Islah Ke Bajay Mu’ashre Ko Bigad Dena Chahte Hai. Yehi Tou Humari Halat Hai Aaj.

* Aur Ikhtelaaf Hota Hai,.. Kyu Na Ho ?
Insan Hai! Humari Samajh, Akl Me Ikhtelaaf Hona Mumkin Hai..
Lekin Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Baat Aaney Ke Baad Sir Kham Kar Dijiye, Ke Bus Mu’amla Khatm Hua…

*Sababao (RaziAllahu Anhu) Ka Bhi Yahi Usool Tha ….
Jab Tak Koi Baat Na Hoti Tou Ikhtelaaf Hota ..
– Lekin Jab Allah Aur Uske Rasool Ki Baat Rakh Di Jaati Tou Fouran Pichey Hatt Jatey Aur Jaan Letey Hai Ke – Haa! Mujhsey Khata Ho Gayi, Ab Mai Apni Islah Kar Leta Hu …

* Lekin Aaj Humara Muamla Yeh Hai Ke
Bus!!! Humne Keh Diya Na Ab Hum Adey Rahenge !
Fir Chahey Yeh Allah Ke Khilaf Ho,
Uske Rasool Ke Khilaf Ho,
Shariyat Aur Deen Behar’haal Wo Cheez Jane Dijiye ,
Humne Keh Diya Muamla Tay Ho Gaya ….. (Nauzubillah)

* Jara Soch Lo Bolne Se Pahle! Kisi Giroh Ke Khilaf, Kuch Logon Ke Khilaf Jinhe Hum Apna Mukhalif Samjhte Rehte Hai, Unko Rokne Ke Chakkar Me Hum Log Yeh Baatey Muhh Se Keh Detey Hai Aur Samjhtey Bhi Nahi Ke Iska Asar Kaha Tak Hota Hai,…
* Shariyat Par, Allah Ke Deen Par, Rasool’Allah Ki Taalimat Par Kitna Gehra Ilzam Lagate Hai Hum…
Allah Ke Liye Aisa Mu’amla Naa Ikhtiyar Kijiyega…

* Tou Behrhaal Jab Bhi Koi Ikhtilaaf Ho,, Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Uss Cheez Ko Fauran Palta Dijiye,..

– Sahi Daleel Kitabo Sunnat Se Hasil Karey
– Agar Unme Bhi Na miley Tou Fir Imaamo Ke Qoul,
Ya fir Ulemaa-e-Haq Ke Fatwo ki Taraf Ruzu Kare,..
– Aur Apni Aur Apne Momin Bhaiyo Ki Islah Karey.
– yahi Allah Aur Uski Hidayat Se Kareeb Hai…

# In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/agar-kisi-muamle-me-ikhtelaaf-ho-jaye/feed/ 0 16898
Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/ https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/#respond Fri, 07 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/ Al Quraan 24 63Imam Malik (Rahmatullah Alayh) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kahne Laga Agar Mai Eid Ki Namaz Se Pahle Khali Wakt Hai Mere Paas 2 Rakat Nafeel Padh Liye Tou […]

The post Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Imam Malik (Rahmatullah Alayh) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kahne Laga Agar Mai Eid Ki Namaz Se Pahle Khali Wakt Hai Mere Paas 2 Rakat Nafeel Padh Liye Tou Kaisa Hai?
* Aap Imam Malik Ne Kaha – Ke Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aisa Kaam Na Kiya! Tu Bhi Na Karna..
* Usne Kaha – Namaz Hi Tou Padh Raha Hu, Padh Liye Tou Kya Hua ?
* Tou Imaam Malik (Rahmatullah Alayh) Ne Surah Noor Ki Ayat No.63 Tilwat Ki Aur Farmaya –
♥ Al-Quraan: “Jo Log Rasool’Allah Ki Sunnat Ki Mukhalifat Karte Hai Unhe Darna Chahiye Ke Wo Kisi Fitne Me Mulawwis Na Ho Aur Kahi Dardnak Azab Nazil Tou Na Ho Jaye”.
– [Surah Noor(24) Ayat(63)] – @[156344474474186:]

» Sabaq: Malum Hua Ke Jo Log Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Ke Khilaf Deen Me Rawayya Ikhtiyar Karega Wo Yakinan Allah Rabbul Izzat Ki Taraf Se Kisi Fitne Me Mulawwis Kar Diya Jayega,.
Lihaja Yeh Hum Tamam Par Farz Hai Ke – Hum Jo Bhi Neki Karey, Iss Aitbaar Se Karey Ke Wo Allah Ke Nazdeek Kabil-e-Kabul Ho..

Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Tibrani Ki Riwayat Me Farmatey Hai Ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Shakhs Biddat Karta Hai Uski Tauba Kabool Nahi Hoti” – (Tibrani)
# Tou Jab Tak Insan Biddat Karta Hai Uski Tauba Kabool Nahi Hoti, Lihaja Agar Apni Taubao Ko Kabuliyat Tak Hum Pohchana Chahte Hai Tou Deen Me Biddat Se Airaz Karey..
Duniya Me Aap Tabdiliya Kijiye Jo Karna Hai! , Ijadad, Inventions, Discoveries Kijiye Jo Karna Hai,
Ha! Lekin Deen Me Koi Ijad Karna Durust Nahi.

Aur Aise Logon Ke Talluk Se Surah Ghasiya Ki Ayat No. 3 Aur 4 Me Allah Ta’ala Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aamilatun Nasiba , Tasla Naran Hamiya” – (Surah Ghasiya Ayat 3-4)
Jiska Tarjuma Hota Hai – “Ke Kuch Log Qayamat Ke Roz Tum Dekhoge Ke Amal Kar-Kar Ke Thakey Hue Aayenge, Lekin Hukm Hoga Utha Kar Jahannum Me Fenk Do Inhey”.
* Isliye Ke Wo Amal Rasool’Allah Ke Tareeke Par Na Hua …
Thakey Tou Honge Amal Kar Kar Ke Bohot Lekin Yaad Rahe Sunnat-e-Rasool Ki Mukhalifat Ya Rasool’Allah Ke Deen Me Naye Akeede Ijad Karna Yeh Tamam Kaam Bohot Sakht Gumraahi Hai…

# InshaAllah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Tamaam Kism Ki Gumrahi Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Fitna, Firqa

The post Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/deen-me-biddat-kar-liye-tou-kya-hua/feed/ 0 16896
Jannati Firqe Me Hum Ummid Kar Sakte Hai !! Dawa Nahi !!! …. https://ummat-e-nabi.com/hum-ummid-kar-sakte-hai/ https://ummat-e-nabi.com/hum-ummid-kar-sakte-hai/#respond Wed, 05 Nov 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hum-ummid-kar-sakte-hai/ Firqa e Najia♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farmane Aalishan Hai Ke, “Meri Ummat 73 Firqon Me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere Aur Mere Sahaba […]

The post Jannati Firqe Me Hum Ummid Kar Sakte Hai !! Dawa Nahi !!! …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farmane Aalishan Hai Ke,
“Meri Ummat 73 Firqon Me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeede Par Hoga”.
(Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255 : @[156344474474186:])

Ab Kuch Log Samjhtey Hai Ke Wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat Ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) Me Se Mai Hi Hu Aur Meri Hi Puri Jamaat Hai, Jab Ki Iss Jamaat Ki Khususiyat Tou Yeh Hai Ke Yeh Quantitatively Nahi Aayngi Balke Qualitatively Aaynge. Apni Khususiyat Se Nikalkar, Alag Alag Tanzimo Aur Jamaato Se Nikal Kar Ek Giroh Me Jama Honge.. Naa Ke Pura Ek Jattha Nikalkar Chala Ke Mai Hi Hu Firqa-e-Najia.

Aur Yaad Rakhey ! Ke Jo Shakhs Yeh Samjhye Ke Mai Hi Firqa-e-Najia Se Hu Wo Sabse Bada Gumraah Hai ..
Kyunki Hum Ummid Kar Sakte Hai Ke Hum Firqa-e-Najiya Se Ho..
Hum Dawa Hargiz Nahi Kar Sakte Ke Hum Hi Firqa-e-Najia Se Hai…

* Wakiya 1
Aayiye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Ek Sahabi Ka Wakiya Dekhte Hai,
Jab Unke Inteqal Ka Wakt Nazdik Tha,. Rasool’Allah Pohchey Aur Farmaya – ‘Tumhe Kaisa Lagta Hai ?’
Tou Unhone Farmaya Ke – ‘Allah Ke Rasool! Darr Lagta Hai Jahannum Se Allah Ki Aur Uski Saza Se’.
Fir Rasool’Allah Ruk Gaye Aur Fir Pucha Ke – ‘Ab Kaisa Lagta Hai ?’
Tou Kaha – ‘Allah Ke Rasool! Ummid Hai Allah Se Jannat Ki Aur Magfirat Ki’.
Rasool’Allah Ne Kaha – “Haa! Jo Aisi Mout Mara Wo Durust Maraa”
Aisi Hi Mout Sahi Mout Hai Ke Khouf Bhi Ho Aur Ummide Bhi Ho..

Lekin Afsos Ki Baat Hai Ke Hum Tou Khud Ko Firqa-e-Najia Me Samjh Ke Bebaak Ho Gaye Aur Apni Islah Ke Purey Darwaze Band Kar Diye. Yahi Tou Tarika Hai Shaitaan Ka Ek Momin Ko Gumraah Karne Ka…
Tou Lihaja Hum Ummid Karte Hai Ke Firqa-e-Najia Me Rahe ! Hum Dawa Nahi Kar Sakte Ke Hum Firqa-e-Najia Se Hi Hai..

* Wakiya 2
Aayiye Ek Aur Wakiye Par Gaur Karte Hai –
Sahabi-e-Rasool Umar Bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Ke Inteqal Ka Wakt Nazdik Tha, Abu Lulu Firoj Ne Aapke Pait Me Khanjar Se Waar Kiya Jiski Wajah Se Aap Behad Jakhmi Ho Gaye, Ab Laga Ke Aapke Inteqal Ka Wakt Kareeb Hai.
Ek Naujawan Daudta Hua Aaya Aur Kahne Laga – “Ameerul Momineen! Mubarak Ho Aapki Dono Dua Kabool Hui”
Riwayat Me Aata Hai Ke Umar Ibne Khattab Humesha 2 Duae Kiya Karte They.
Ek Yah Ke “Allah Mujhe Shahadat Dey” Aur Dusri Yah Ke Madina Dey” – [Sahih Bukhari # 1890]
Tou Log Tajjub Hotey Ke Shahadat ! Aur Madine Me!
Yeh Kaise Mumkin Ho Sakta Hai Kyunki Madine Me Ab Jung Hone Ki Koi Gunjaish Hi Na Thi.,.
Uss Naujawan Ne Kaha Ke – “Ameerul Momineen! Aapki Tou Dono Duae Kabool Ho Gayi, Aur Rasool’Allah Se Maine Suna Bhi Hai Ke Aapko Jannat Ki Basharat Hai”.
Tou Umar Bin Khatab(RaziAllahu Anhu) Ne Farmaya – “Na! Mai Yeh Nahi Samjhta ! Mai Tou Sirf Itna Tassawur Karta Hu Ke Mera Mizaan Barabar Ho Jaye Aur Mai Kamiyabi Se Nikal Jau! Bus Itna Mere Liye Kaafi Hai.. ”

» Nashist: Yaha Gaur Karne Wali Baat Hai Ke Umar Bin Khatab(RaziAllahu Anhu) Ne Yeh Nahi Kaha Ke “Ja Tu Kaha Se Mujhe Khushkhabri Sanane Aaya .. Mai Tou Khulfa-e-Rashidun Se Hu, Meri Tou Jannat Pakki Hai..
Dekhiye Yeh Aazizi Aur Inkisari Thi Unki Ke Wo Dawa Nahi Karte They Apne Itney Bade Kirdar Par Bhi …
Aur Humara Muamla ?
Haa Mai Tou Jannati Hu!!
Tu Tou Dozhaki Hai !!!!
Aur Hum Boltey Bhi Firtey Hai Ke – Humara Firqa Jannat Me Jayega Aur Tumhara Jayega Jahannum Me..

Yaad Rakhye Ke Koi Nahi Janta Ke Koun Jannat Me Jayega Aur Koun Jahannum Me ! Ellah Ke Allah Janta Hai Jisko Wo Jannat Aur Jahannum Ke Hawale Karna Chahta Ho..

•» Sabak: Lihaja Hum Ummid Kar Sakte Hai Ke Hum Firqa-e-Najia Yaani Ahale Sunnat Wal Jamat Se Ho, Hum Dawe Nahi Kar Sakte … Aur Iss Haq Firqe Se Wohi Hoga Jo Allah Aur Uskey Rasool Ki Itteba Karegaa….

# InshaAllah Ul Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Padhne Sun’ne Se Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Jannati Firqe Me Hum Ummid Kar Sakte Hai !! Dawa Nahi !!! …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hum-ummid-kar-sakte-hai/feed/ 0 15761
Aye Imanwalo! Ek Ho Jao ! Nek Ho Jao … https://ummat-e-nabi.com/aye-imanwalo-ek-ho-jao-nek-ho-jao/ https://ummat-e-nabi.com/aye-imanwalo-ek-ho-jao-nek-ho-jao/#respond Tue, 14 Oct 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/aye-imanwalo-ek-ho-jao-nek-ho-jao/ Al Quraan 6 159Allah Rabbul Izzat Apney Mukkadas Qalaam Quraan Me Farmata Hai – ♥ Al-Quraan: Beshaq Jo Log Apne Deen Ke Tukde Tukde Kar Chukey Hai Aur Firqo Firqo Me Taqsim Ho […]

The post Aye Imanwalo! Ek Ho Jao ! Nek Ho Jao … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Allah Rabbul Izzat Apney Mukkadas Qalaam Quraan Me Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: Beshaq Jo Log Apne Deen Ke Tukde Tukde Kar Chukey Hai Aur Firqo Firqo Me Taqsim Ho Chukey Hai Unn Logon Ke Sath (Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Aapka Koi Ta’alluq Nahi,
Unka Mu’amla Tou Sirf Allah Ke Hawale Hai, Fir Jo Kuch Bhi Wo Duniya Me Kiya Karte They Allah Unhey Bata Dega.

– [Surah(6) Al-Aan’aam: Ayat-159]

Iss Aayte Mubarak Ki Tafseer Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khud Bayan Ki Hai:
♥ Mafhoom-e-Hadees: Umar Bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ummul Mo’minin Ayesha (Razi’Allahu Anha) Ko Farmaya –
‘Aye Ayesha! Jo Log Apney Deen Ke Andar Mukhalifat Karke Firqo-Firqo Me Bant Gaye Wo Log Biddati Hai,
Aur Wo Log Apne Apne Nafs Ki Tabedari Karte Hai!
Chuanche Unn Logon Ki Koi Taubah Nahi Aur Unki Koi Taubah Qubul Nahi Hogi!
Mai Unn Logon Se Na Khush Aur Wo Bhi Mujh Se Na Khush’.
– [Tafseere Ibne Kaseer , Vol 2 , Page 263
Mazmaul Zawayed , Vol 2 , Page 75, Tabrani]

#Wajahat: Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Humari Zindagi Ke Tamaam Shobey Kitabo Sunnat Se Khaali Hai,

*Humare Tamaam Amaal Rasool’Allah Ki Sunnat Ke Barkhilaf Hotey Hai ,..

*Yaha Allah Ta’ala Hume Uss Nabi Ki Sunnate Mubarak Par Amal Lazim Kar Raha Hai Jo Tamam Aalam Ke Nabi Hai, Jo Imam-Ul-Ambiya Hai…

*Yeh Nabi Jab Meraz Me Jatey Hai Tou Tamam Ambiya (Alaihi Salato Salam) Ki Imamat Kartey Hai,

*Aise Nabi Ki Ita-At Allah Ta’ala Hum Par Lazim Kar Raha Hai,
*Aur Is Nabi Ki Baatey Chorrkar Hum Iski-Uski Aur Fala Fala Ki Baate Mantey Hai ..
*Quraano Hadees Ko Chodkar Hum Jahilana Aqaid Par Imaan Latey Hai ..
*Mafadparast Logon Ki Baato Me Aa kar Firqo Me Bant Jatey Hai … SubhanAllah !!!

#Aur Fir Hum Khud Ko Aashike Rasool, Ahle Sunnat Wal Jamat, Jannat Ka Mustahik Samjhne Lag Jatey Hai,

*Unn Saari Biddato Ko Sunnat Samajhkar Karte Hai Jiski Na Shariyat Me Koi Asal Hai Aur Naa Hi Rasool’Allah Ki Sunnat Se Saabit Ho, …

*Aur Tou Aur Hum Unn Khurafato Ko Tou Badi Shouk Se Karte Hai Jisey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khuley Taur Se #Shirk Aur #Biddat Kaha…

Allah bachaye Hume La-ilmi aur Jahalat ke Fitno se ,..

# Insha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Tamaam Kism Ki Gumrahi Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye..
# Tamam Kism Ke Shirk Aur Biddato Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Aye Imanwalo! Ek Ho Jao ! Nek Ho Jao … appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/aye-imanwalo-ek-ho-jao-nek-ho-jao/feed/ 0 16888
Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/ https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/#respond Sat, 06 Sep 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/ Quran 6 153 Sirate Mustakim the right path❖ Mafhoom-e-Hadees ﷺ : Ek Sahabi ka inteqal hota hai, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) uss Inteqal me jaate hai, aur abhi Qabr khud rahi thi ke RasoolAllah (ﷺ) uss mitty […]

The post Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

❖ Mafhoom-e-Hadees ﷺ :

Ek Sahabi ka inteqal hota hai, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) uss Inteqal me jaate hai, aur abhi Qabr khud rahi thi ke RasoolAllah (ﷺ) uss mitty par baith jate hai, Aapke hath me ek tehni thi, aap uss tehni ke jarye Zameen par uss mitty par kuch banane lagey,

Sahaba gour se dekhne lage ke RasoolAllah (ﷺ) kya kar rahe hai. Sahaba ne dekha ke Aap (ﷺ) ne ek sidhi lakeer banayi, aur daaye aur baaye janib aur chand lakeere banayi aur farmaya ke –

[bs-quote quote=”❛ Ye sidhi lakeer jo maine banayai hai ye mera rasta hai, yaani Sirat-e-Mustaqeem hai, aur daaye aur baaye janib jo lakeere banayi hai ye lakeere Jahannum me jaati hai aur iskey har lakeer par ek Shaitan baitha hai jo insan ko Sirat-e-Mustaqeem se behkata hai.❜” style=”style-19″ align=”center”][/bs-quote]

Sahaba ne kaha – ‘Ya RasoolAllah (ﷺ) hum tou yeh samjhte they ke Islam kabool kar leney ke baad Banda-e-Momin Shaitan ke behkawe se Aazad aur mehfuz ho jata hai, Ya RasoolAllah ! bohot Sangeen Mu’amla hai wajahat farmaiye. Fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne tafseeli bayan ke liye Surah Anaam ki Ayat 153 ki tilawat farmayi aur kehne lage.

[bs-quote quote=”❝ Ye sidhi lakeer mera rasta (Sirat-e-Mustaqeem) hai tou Aye Imanwalo iski itteba karna, iske alawa kisi ki itteba na karna warna sidhi raah se bhatak jaoge. ❞” style=”style-15″ align=”center” author_name=”Al-Quran” author_job=”Surah Al-Anam 6:153″][/bs-quote]

(Musnade Ahmad, Nadayii, Ibn Majah, Daremi, Tafseere-e-Ibne Kaseer vol#2, page 256 by www.ummat-e-nabi.com/home)

✦ SABAQ :

Tou RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne wajahat kar di ke Sirat-e-Mustaqeem par aaney ke baad Shaitan Momin ko jyada behkata hai. Aur Jin Qoumo ko imaan hee nahi mila wo tou waise hi Mulawwis hai Gumraahi me, lekin jinhe Imaan ki doulat mili unka Shaitan ke jarye behaqna jyada mumkin hai.

Lihaza hum sab par lazim hai ke haq ko janey, Allah aur uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Qalam ki pairwi karey, Qurano Sunnat se apni aur auro ki islaah karte rahe. Quraan aur Sahih Hadees ke jarye, Sahib-e-Ilm ke jarye, Sahih Ilm-e-Deen hasil karey taaki har kism ki Gumrahi se khud bhi bach sakey aur auro ko bhi bachaney ki koshish karey.

!!! Wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!

Allah Ta’ala hume tamam kism ke Shirk aur Gumrahi se bachney aur bachaaney ki toufiq ata farmaye!!!
firqa

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

The post Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/sirat-e-mustaqeem-par-shaitan-jyada-behkata-hai/feed/ 0 16840
Jo Log Rasool’Allah Ki Mukhalifat Karte Hai …. https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/ https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/#respond Sun, 31 Aug 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/ ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Allah Ta’ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke – “(Aye EmaanWalo!) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa […]

The post Jo Log Rasool’Allah Ki Mukhalifat Karte Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Allah Ta’ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke –
“(Aye EmaanWalo!) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa Khayal Na Karna Jaisa Ki Tum Aapas Me Ek Dusrey Ko Bulatey Ho. Beshaq Allah Ko Ye Malum Hai Jo Tum Me Se Aankh Bacha Kar Chal Detey Hai”..

Isi Ayat Me Allah Ta’ala Aagey Farmata Hai –
“Tou Jo Log Unke(RasoolAllah Ke) Hukm Ki Mukhalifat Karte Hai Unko Darna Chahiye Ki Unpar Koi Aafat Parh Jaye Ya Takleef Dene Wala Azab Nazil Ho”.
[Surah(24) An-Noor: Aayat-63] – @[156344474474186:]

» Sabak: Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Humari Zindagi Ke Tamam Shobey Kitabo Sunnat Se Khaali Hai,
Aur Fir Hum Khud Ko Aashike Rasool Hone Ka Dawa Karte Hai, Khudko Jannat Ka Mustahik Samjhte Hai,
Unn Saari Biddato Ko Sunnat Samajhkar Karte Hai Jiski Na Shairiat Me Koi Asal Hai Aur Naa Hi RasoolAllah Ki Sunnat Se Saabit Ho, Aur Tou Aur Hum Unn Khurafato Ko Tou Badi Shouk Se Karte Hai Jisey RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khuley Taur Se Shirk Aur Biddat Kaha…

Afsos Hai Humari La-ilmi Par, Afsos Hai Humari Jahalat Par …
Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ki Gumrahi Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye..
Tamam Kism Ke Shirk Aur Biddato Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa

The post Jo Log Rasool’Allah Ki Mukhalifat Karte Hai …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jo-log-rasoolallah-ki-mukhalifat-karte-hai/feed/ 0 16618
Islam me Naye-Naye Kamo ke Ijad karne se Bachtey Rehna https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/ https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/#respond Wed, 20 Aug 2014 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/ stop bidah♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Arbaz Bin Sariyaah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, Unhoney kaha ki ek din Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Hume Namaz Padhayi, Phir Aap Humari Taraf Mutwajjah Huye […]

The post Islam me Naye-Naye Kamo ke Ijad karne se Bachtey Rehna appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Arbaz Bin Sariyaah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, Unhoney kaha ki ek din Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Hume Namaz Padhayi, Phir Aap Humari Taraf Mutwajjah Huye aur ek Nasihat Farmayi, Usey sun kar Humari Aankho se Ansoo Jaari ho Gaye aur Dil dahal gaye,

Ek Shakhs Ne Kaha – “Ya RasoolAllah ! Yeh Nasihat tou Aisi hai Jaise kisi Wida Hone Waley ki Hoti hai (Isliye) Hum ko (Khaas) Wasiyat Farmayiye”

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Main Tumhe Wasiyat Karta Hoon Ki Allah se Darte Rehna aur (Apne Huqmaran Ki) Sun’na Wa Maan’na, Agar (Sunane Wala) Ghulam Habshi hi Kyun na ho,
Mere Baad Jo Tum me de Zinda Rahega, Wah Sakht Gumraahi Dekhega (Matlab Log Deen me Ikhtelaaf Paida Karenge) Uss Waqt Tum Alllah ki Kitaab Quraan, Meri Sunnat Wa Khulafa-e-Rashideen Ka Raasta Zaroor Pakadna!
Aur (Deen Ke Ander) Naye-Naye Kaamon (Ke Ijad Karne) Se Bachtey Rehna, Kyunki (Deen Me) Har Naya Kaam Biddat (Innovation) Hai Aur Har Biddat Gumraahi Hai, Aur Har Gumraahi Ka Thikana Jahannum Ki Aag Hai.”
– (Abu Dawood, Tirmizi)
– (Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadees-43)
– (Bukhari: 3197, Muslim: 4822, Ahmad: 11372)
– (Tirmidhi: 2565, Hakim Mustadrak, 1:218)

Allah Ta’ala Hum Tamaam Ko Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye,
Har Kism Ki Biddato Se Humare Emaan Ki Salamti Ata Farmaye,
Jab Tak Hume Zinda Rakhe Islam Aur Emaan Par Zinda Rakhe,
Khatma Humara Emaan Par Ho!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa

The post Islam me Naye-Naye Kamo ke Ijad karne se Bachtey Rehna appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/deen-me-har-naya-kaam-biddat-hai-aur-har-biddat-gumraahi/feed/ 0 16846