Ambiya – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees Quotes Thu, 12 Jan 2023 13:36:13 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.4.3 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2023/09/favicon-96x96.png Ambiya – Ummate Nabi ﷺ https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/ https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/#respond Thu, 12 Jan 2023 13:36:11 +0000 https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/ Hadees: Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai [Sahih Bukhari 6169]Hadees of the Day Insan Roz-e-Qayamat Uske Sath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah […]

The post Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Hadees of the Day

Insan Roz-e-Qayamat Uske Sath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai

Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah (ﷺ) ne Unki Pareshani ka Sabab Pucha.

Tou Unhone Kaha “Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! Ek Gham Mujhe khaye ja raha hai, ke Mai yeh Sochta hu ke Aaj Dunia me Aapka Chehra Mubarak dekhey bagair Hum reh nahi patey, chalte aur phirtey, uthtey aur baithtey jab bhi aapki yaad aati, Aapse aa kar Hum mil letey, aapka didaar karte aur hume Sukun milta hai.

lekin Mai yeh soch kar Gham kha raha hu ke Roze Qayamat tou Aap Ambiya (Alaihi Salaam) ke sath honge, waha hum Aapka Didaar na kar payenge.”

Aap (ﷺ) is par Khamosh rahe, fir Aap (ﷺ) par Allah Taala ki janib se yeh Aayat nazil hui –

Jo Koi Allah aur Rasool ki farmabardari karey Woh (Roze Qayamat) Unn Logon ke Sath hoga Jin per Allah Ta’ala ne Inaam kiya hai Jaisey Nabi aur Siddique aur Shaheed aur Nek Log yeh Kya hi Behtareen Rafiq hai.

📕 Al-Quran; Surah Nisa: 4:69

Aur fir Aap(ﷺ) ne farmaya –

Al-Maru Ma’ Man Ahab” Yaani Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai.”

📕 Sahih Bukhari, 6169

Aur Hazrate Anas bin Malik (R.A) kehte hai ke, Iss Hadees ko Sun’ne se jyada hume kabhi kisi Hadees par aesi khushi nahi hui, ke Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai aur Hum Jantey hai ke Hum RasoolAllah (ﷺ) se Mohabbat karte hai, Lihaja Humara Hisaab bhi RasoolAllah ke sath hoga.

* Tou Jisney RasoolAllah se Mohabbat ki Yaani RasoolAllah ki Ita’at ki. Wo RasoolAllah ke sath hai,

* Jisney Filmstaro ki Itteba ki Unsey Mohabbat ki, Unkey Tareeko ko Apnaya, Wo unke saath hoga,

* Jisney Sportstars ko pasand kiya, Unkey Tareeke par chala wo unke sath hai,

* Jisney Kuffaro ko pasand kiya, Unkey Tarsh ko Apnaya aur unkey tareeko par chala wo Unkey saath hai.


SABAQ:

Lihaja Hume Chahiye ke Zindagi ke tamam Shobo me RasoolAllah (ﷺ) ko Apna Usma-tul-Hasna (Ideal aur Role Model) maaney aur Aap (ﷺ) ki Sunnato par Amal ko Lazim aur farz jaaney,..

♥ In sha Allah – Ul – Azeez
Allah Taala Hume kehne sun ne se jyada amal ki taufiq ata farmaye,
Allah Taala Hume RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnato ka muttabe banaye,
Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey.
Khatma Humara Imaan par ho.
Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/insan-uske-sath-jisse-wo-mohabbat-karta-hai/feed/ 0 16920
Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki Ahmiyat https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/ https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/#respond Thu, 30 Sep 2021 19:34:11 +0000 https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/ Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki AhmiyatAla BizikriAllahi Tatma innu alQuloob – [Surah Ar Ra’ad 13:28] Aaj har koi Parehsan hai, Isliye kyunki hakikat me “Allah ke Ziqre me hi momino ke Dil Itminan patey hai” […]

The post Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki Ahmiyat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

Ala BizikriAllahi Tatma innu alQuloob

[Surah Ar Ra’ad 13:28]

Aaj har koi Parehsan hai, Isliye kyunki hakikat me “Allah ke Ziqre me hi momino ke Dil Itminan patey hai”Surah Ar-Raad 13:28. Aur Yahi Qalbi Itminan Kisiko nahi hai Aaj. Ellah ke Ek Momin Iss Itminan ka Fayda Uthata hai.

Aur Yaad Rakhiye Jab Kisi Qoum ke liye Hidayat aayi hai aur Hum Uss Hidayat ko Chupa kar Baithey hai wo Apna Haq tou kaise na kaise lene hi waali hai. tou hume Unko dena hai, Aalmi Aman Humare paas hai aur Ye Deen tamam Aalam ke liye hai.

• Warna Humari Misaal Aise ho Gayi ke

Char Rasto Ke Bich Ek Traffic Signal Hai, Jispar Ek Traffic Police Officer Khada hai aur Charo me se 3 Raste Band karde aur Sirf Ek hi Khula rakhe, Baaki 3 Rasto ke Log Intezar me hai ke Kab Humara bhi Rasta khule aur Hum bhi Nikal le apni Manzil ki taraf.

Ab Agar Wo Policewala Sirf Ek Hi Rasta Khula Rakhe Jo Uske Ghar se aa raha hai, Ek hi Taraf ka Signal chalu Rakhe tou baaki 3 Rasto ke Signal ke Intezar me Khadey Logo ka kya haal hoga?
* Kitni Der Tak wo Bardasht Karenge? Unka Gussa tou Nikalna Lazim hi hai.

Yeh Misaal Hai Humari Ke Hum Qoumo Ke Liye Aman Qayam Karne Ke Liye Bheje Gaye Lekin Humne Ek Hi Signal Chalu Rakha Sirf Apne Bhayio Ki Islah Wala… Qoume Khadi Hai Intezar Me Hidayat Ke, Lekin Hum Sirf Apne Bhaiyo Ki Islah Me Lagey Rahe Aur Baakiyo Ko Nazarandaz Kar Diya..

Ab Batayiye Ye Qoume Kab Tak Intezar Me Khadi Rahengi ? Inka Wabal Tou Nikalne Wala Hai Humpar, Aur Yakinan Log Uss Traffic Police Officer Ke Khilaf Kuch Na Kuch Tou Bagawat Karenge. Aur Uss Police Wale Ko Uski Post Se Nikala Jayega,.. Aur Yeh Tou Raha Uss Officer Ka Jo Apni Service Kar Raha Hai ,.. Lekin Wo Baaki Officers Jo Chay Pitey Baithe Kaam-Dhanda Chorrkar, Jo Na Islah Karta Hai Na Dawat Usko Tou Replace Hi Kar Diya Jayega.. 

♥ Allah Rabbul Izzat ne Surah Mohammad me yahi baat bayan ki –

“Yastabdil Qawman Ghairakum Summa Laa Yakoonooo Amsaalakum”
(Tarjuma: Tumhe Dusri Qoumo se badal Dunga agar Kaam na Karonge, aur Unki Misale Tumhare Jaise na Hongi)

– (Surah Mohammad 47:38)

* Tou Kab Tak Qoume Intezar Karengi?
Amn Ka Paigaam Chupakar Rakha Hai Humne Apne Andar..
Aur Aman Allah Ki Kitaab Aur Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Me Hai, Lekin Humne Isey Logon Me Aam Na Kiya .. Jiska Natija Hum Dekh Hi Rahe Hai..

Sabaq: Lihaja Jarurat Hai Ke Jo Aman Ka Jo Zakira Humare Paas Hai Usey Logo Me Aam Kare..
In shaAllah-Ul-Azeez ..

Allah Ta’ala Hume Aalami Aman ke Liye Ikhlas Ke Sath Jaddo Jehad Karne Ki Tauffiq Dey..Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

The post Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki Ahmiyat appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/tumhe-dusri-qoumo-se-badal-dunga-agar-kaam-na-karonge/feed/ 0 16916
Rasool’Allah (ﷺ) Tamam Aalam Ke Nabi …. https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/ https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/#respond Wed, 04 Feb 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/ Quran 21 107*Deegar Ambiya Aur Rasool Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pahle Mabus Hue Pahle Aaye, Yeh Khusus Hotey, Makhsus Hotey Kisi Qoum Ki Taraf, Inka Paigaam Ek Wakt Tak Hota, […]

The post Rasool’Allah (ﷺ) Tamam Aalam Ke Nabi …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>

*Deegar Ambiya Aur Rasool Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pahle Mabus Hue Pahle Aaye, Yeh Khusus Hotey, Makhsus Hotey Kisi Qoum Ki Taraf, Inka Paigaam Ek Wakt Tak Hota, Aur Ye Nabi Ek Makhsus Hissey Ke Liye Aatey Ek Mehdud(Limited) Waqt Ke Liye ..

*Lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Muamla Dusrey Ambiyao Se Mukhtalif Hai..

Aur Yeh Baat Aap Aur Hum Jantey Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Faramaya –
♥ Al-Quran: “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen”
(Trajuma: Aye Nabi! Humne Aapko Tamam Insaniyat Ke Liye Rehmat Banakar Bheja)
– (Surah-21: Aayat-107)
Ek Aur Aayat me Allah Rabbul Izzat Faramata Hai –
♥ Al-Quran: Aye Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu ,..”
– (Surah Al-Araf (7), Ayat-158)

… Tou Lihaja Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)
• Insano Ke Liye Bhi Nabi-e-Rehmat Hai,
• Rasool’Allah Jinno Ke Bhi Nabi Hai ,…
• Rasool’Allah Charind Aur Parindo Ke Bhi Nabi Hai ,…
• Rasool’Allah Tamam Makhlukat Jo Bhi Aalam Me Hai Unn Tamam Ke Nabi Hai …

*Aur Iski Wajahat AaHadeese Sharifa Se Bhi Hoti Hai Ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Kayi Aahadees Hum Suntey Hai Ke –
# Wakiya: 1
Ek Mimber Tha, Jo Ek Khajur Ki Darakht Par Banaya Gaya Tha, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uspar Khadey Hokar Khutba Diya Karte, Aur Ek Baar Yun Hua Ke Rasool’Allah Ne Apne Mimber Ki Jagah Badal Di, Tou Umar Bin Khattab Aur Abu Baqar Siddhiq (RaziAllahu Anhu) Farmatey Hai Ke Wo Jhaad Roney Laga Aur Uski Siskiya Hum Sunn Rahey They…
Fir Rasool’Allah Ne Hukm Diya Ke Isey Wapas Yaha Lakar Laga Do.,…
Tou Goya Aap Ek Jhaad Ke Bhi Nabi Hai..

# Wakiya: 2
Yeh Wakiya Bhi Humne Suna Ke Muslim Ki Riwayat Me Aata Hai Ke – Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Ne Aakar Kaha Ke – ‘Ya Rasool’Allah ! Mera Ye Uoonth Baat Nahi Manta Meri, Nafarman Hai Yeh! ‘..
*Rasool’Allah Uskey Paas Gaye, Aur Uss Uoonth Ne Rasool’Allah Ke Kaan-e-Mubarak Tak Apna Muuh Laya Aur Kuch Baat Kahi,.
*Rasool’Allah Ne Uss Shakhs Se Kaha – ‘Ke Isney Mujhse Tumhari Ek Shikayat Ki Hai Ke Tum Fazar Ki Namaz Me Kotahi Kartey Ho Isiliye Ye Tumhari Baat Nahi Manta.. Lihaja Tum Wo Chorr Do Kotahi Yeh Tumhari Baat Manega..’

* Tou Goya Rasool’Allah Janwaro Ke Bhi Nabi Hai, Charind Aur Parind Ke Bhi Nabi Hai ,..
Aur Jhaad Aur Pahaad Jo Kuch Moujud Hai “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen” Aalam Me Jo Kuch Moujud Hai, Rasool’Allah Unn Tamam Ke Nabi Hai.. Aur Tamam Ko Aapki Ita-At Farz Aur Wajib Hai ,..

* Aur Iski Wajahat Allah Rabbul Izzat Ne Surah Araf Ki Ayat 158 Me Farmaya –
Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu,.”

Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Insaniyat Ki Taraf Mabus Kiye Gaye, Aur Insaniyat Ka Kaam Hai Ke Wo Rasool’Allah Ki Itteba Karey, Farmabardari Karey Aur Aap Par Imaan Laye ,..

* Lihaja Hum Tamam Ko Chahiye Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ko Apni Zindagi Me Lazim Aur Farz Jaaney.. Aur Ispar Khud Bhi Amal Karey Aur Dusro Ko Bhi Amal Ki Dawat Dey..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Humey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Mohabbat Hum’me Daaley…
# Unki Sunnato Ko Samjhna Aur Uspar Chalna Humare Liye Aasan Karey..
# Aur Humari Naslo Me Rasool’Allah Ki Sunnat Ko Baaki Rakhey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

The post Rasool’Allah (ﷺ) Tamam Aalam Ke Nabi …. appeared first on Ummate Nabi ﷺ.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/rasoolallah-tamam-aalam-ke-nabi-hai/feed/ 0 16918