Surah Ikhlas ki Fazilat aur Mukhtsar Sa Taruf

Surah Ikhlas

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ﴾ 1 ﴿
اللَّـهُ الصَّمَدُ﴾ 2 ﴿
لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ﴾ 3 ﴿
وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ﴾ 4 ﴿

“Aye Nabi (ﷺ)! Aap Keh Dijiye,
Woh Allah Ek Hai.
Woh Maabood Barhaq Beniyaaz hai.
Woh Na Kisi ka Baap Hai aur Na Kisi ka Beta hai,
Aur Na koi Uska Humsafar hai.”

📕 Surah Al-Iklaas 112


Tashreeh (Ahsanul Bayan)

yaani sabhi us ek Allah ke mohtaaj hai, lekin wo kisi ka mohtaaj nahi –
Wo na kisi se paida hua Na us’sey koi paida hua –
Uski zaat me uski sifaat (khoobi me) aur na uske Afaal (yaani tamam kaam jo wo karta hai)
uss jaisi koi cheez nhi.


Surah Ikhlas ki Fazilat:

Hadees: Ye mukhtasar si surat badi Fazeelat waali hai,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne isey 1/3 ek tihaayi Quran qarar diya hai
Aur isey raat subah aur Shaam aur har namaz me padhne ki targeeb di hai.”

📕 Sahih Bukhari, 5013

Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya :
“Tumari Surah Ikhkas ke Sath Mohabbat (yaani iski har ek aayat par poora eemaan lana )
tumhe jannat me dakhil kar degi.”

📕 Sahih Muslim, 813


# Shaan-e-Nuzool:

Iss Surat ke nuzul ke Talluk se mashoor riwayat aati hai ke ahle kitab(Yahud ya nassara) ne
Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Daryaft kiya ke Aap apne rab ka Introduction dijye,
Tab Allah Rabbul Izzat ne Aasaman se Wahi Nazil kar farmaya ke:

Aye nabi aap bata dijiye ke :

“Woh Allah Ek hai.
Woh Maabood Barhaq Beniyaaz hai.
Woh Na Kisi ka Baap hai aur Na Kisi Ka Beta hai,
Aur Na Koi Uska Humsafar hai.”


Subhan Allah

Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik ata farmaye.
Hume Deen ki sahi samajh ata farmaye.

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey.
Khatma Humara Imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply