Sawaal Karna (Maangna) Kiske Liye Jayaz Hai ?…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Qabisah Bin Mukhiriq Al-Hilali (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
‘Teen Tarah Ke Logon Ke Alawa Kisi Ke Liye Sawaal Karna (Maangna) Jayaz Nahi’
1. Ek Wo Shakhs Jis Par Zamanat Ka Bojh Ho Aur Jab Tak Wo Zamanat Se Nijat Na Pa Le Iske Baad Usko Baaz Rahna Chahiye,
2. Dusra Wo Shakhs Jisko Aisee Musibat Pesh Aaye Jiski Wajah Se Uska Maal Tabah Ho Gaya Ho Tou Uske Liye Bhi Sawal Karna (Maangna) Durast Hai Yaha Tak Ki Wo Aisa Sarmaya Hasil Kar Le Jis Se Wo Guzar Basar Ke Layaq Ho Jaye.
3. Teesra Wo Shakhs Jisko Koi Aisee Museebat Pesh Aaye Jiski Mutalliq Uski Qaum Ke 3 Log Ye Gawahi De Ki Wo Museebat Me Mubtala Hai Iske Liye Bhi Sawal Karna (Maangna) Durast Hai Yahan Tak Ki Wo Guzar Basar Ke Layaq Ho Jaye Aur Uske Baad Maangne Se Baaz Rahe.
In Surto (Situations) Ke Alawa Mang Kar (Bina Mehnat) Khana Haram Hai Aur Jo Shakhs Mang Kar Khaye Wo Haraam Khata Hai
(Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1627-Sahih) – @[156344474474186:]

♥ Mafhoom-e-Hadees: Thawban (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Shakhs Mujhse Iss Baat Ki Zamanat De De Ki Wo Logon Se Nahi Maangega (Sawaal Nahi Karega) Tou Main Usko Jannat Ki Zamanat Deta Hu”,
Thawban (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ki Main (Ab Se Kuch Nahi Mangunga)
(Thawban RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Karne Wale Ravi Farmate Hain) Uske Baad Se Unhone Kisi Se Kuch Nahi Maanga
(Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1630-Sahih)

Leave a Reply