Waseeyat me Nainsafi karne wale ka khatama bura hota hai

♥ Al Quran: Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim
“Allah Subhanahu Tumhari Aulad ke baare me tumko irshad farmata hai ki (Jaydad me) Ek Ladke ka hissa Do Ladkiyo ke barabar hai (yani ek bete ko jitna hissa diya jayega uska aadha hissa beti ko bhi dena jaruri hai)”
– (Surah Nisa(4) Aayat 11)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaye: “Aadmi 70 Saal tak (yani zindagi bhar) Neik Aaamal karta rahta hai phir Waseeyat Ke Waqt apni Waseeyat me Nainsafi kar deta hai jiski wajah se uska Khatma burey Aamal per ho jata hai aur wo jahannum me chala jata hai isee tarh Aadmee 70 saal tak burey Aamal karta rehta hai lekin Apni Waseeyat me insaf kar deta hai to uska khatma bil-khair hota hai aur wo Jannat me jata hai 
– Sunan Ibn Majah,Jild 2, 861-Hasan

Leave a Reply