Tawheed aur Shirk : Part:1

✦ Mushriko ke Nek Aamal Unhe Aakhirat me koi Fayda nahi Dega:

♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Ummhatul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek Shakhs Ke Talluk Se Sawaal Kiya –
Ya Rasool’Allah! Abdullah-Bin-Judan Kaha Jayega? Abdullah Bin Judan Ka Kya Hoga ?
Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
‘Aye Aayseha!!! Abdullah Bin Judan Jahannum me Jayega. KyunKe Usney Kabhi Apne Rab se Yeh Nahi Kaha – Ke Aye Rab! Mere Gunaaho ko Muaf Kar (Yaani Kabhi Imaan nahi Laaya aur Imaan La kar Kabhi Apney Rab se Taubah nahi ki.
Iss Buniyad par Abdullah Bin Judan Jahannum me Jayega).
(Sahih Muslim)

• Wajahat: Ab Yeh Abdullah-Bin-Judan Hai Koun Jiske Taaluk Se Ummaha-tul-Mominen (Yaani Ummat-e-Muslima Ki Maa) Sawaal Kar Rahi Hai ?
– Aayiye Abdullah-Bin-Judan Ki Shakhsiyat Ke Baarey Me Jara Gour Karte Hai!

*Abdullah-Bin-Judan Wo Shakhs Tha Jo Bohot Sakhi(Daryadil) Insan Tha,. Yeh Makke me Aaney Wale har Shakhs ko Paani Pilata ! har Aane Waaley Haajiyo ko Tohfe me Bakriya deta ! aur Yeh Roz Gareebo aur Miskeeno ko Khana Khilata ! Nango ko kapde pehnata.

Aur Iske Khane Khilane ke Talluk se Yeh baat Mash’hoor thi ke – Muslim ki ek Riwayat me RasoolAllah (ﷺ) ke Talluk se Ek Hadees me Aata hai Ke – ‘Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Garmi Ke Tapish Se Bachney Ke Liye Zohar Ki Namaz Ke Baad Uss Deg Ke Saye Me Let’tey Aur Baith’tey Jis Deg Me Yeh Logon Ko Khana Banakar Roz Khilata’.

*Isi Tarha Shaam (Syria Country) me ek baar Sukha pada tou Abdullah Bin Judan ne 1000 Uoonth(Camel) maal se ladey Shaam (Syria) bheje! taaki Unn logon ki madad ho.

Yeh Wo Shakhs tha Jiski Sakhawat ka yeh haal hai. yeh Shakhs neki ki Raah me Dil khol kar Maal kharch karta iskey taaluk se Sawaal ho raha hai ke yeh Shakhs marne ke baad kaha jayega (Jannat ya Jahannum) ?

Tou Aap(ﷺ) ne Farmaya Ke – ‘Isne iman nahi Laya aur Apne Rab se yeh nahi kaha ke, Aye mere Rab! Mujhey Muaf Kar!’

Sabaq:

Yahi Hai Tawheed ki Ahmiyat jo Jannat aur Jahannum ka fark karti hai! ke Jo Log Beshumar Nek Amal Karte Hai Wo Mehaz Aakhirat Me Iss Buniyad Par Jahanam Me Fenk Diye Jayenge Jisne Apne Rab Ke Sath Dusrey Maboodo Ko Shareek Thehraya ,.. ! Liahaza Aise Mushriko Ka Nek Amaal Unhe Aakhirat Me Koi Fayda Nahi Dilayega. Aur Uss Din Aise Logon Ka Koi Bhi Nek Amaal Inhey Fayda Nahi Pohchayega! Unka Koi Madadgaar Na Hoga..

Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me Irshad Farmata Hai –

“Beshaq Allah Ta’ala Shirk ko Muaf nahi Karega aur Uss ke Alaawah Jis Gunaah ko Jis ke liye Chahega Muaf kar Dega.”

– (Al-Quran: Surah Nisa; 4:48)

*Allah Ta’ala! Shirk Jaise Kabira Gunaaho Se Hum Sabke Amaal Ki Hifazat Ata Farmaye..
*Tamaam Ummat-e-Muslima Ko Haq Halaal Parast Banaye
*Aur Haraam Se Parhez Karne Ki Toufiq Ata Farmaye!! Ameen Allahumma Ameen !!!!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

*Agle Post Tawheed Aur Shirk (Part 2) me hum ‘La Ilaha Illallah’ ke taqazo ka Zikr karenge.

☼ Tawheed aur Shirk | All Parts:

1 2 3

Leave a Reply