Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they?

Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they?

Jawaab: Buto ii Haqeeqat Hazrate Ibn-e-Abbaas (R.A) bayaan karte hai.

Qaum-e-Nooh (Alaihay Salam) ke Buth (Bad, Suvaa’a, Yagus, Yaooq aur Nasr) Nek Log they, Jab Faut ho gaye tou Shaitaan ne Unn ke Qaum ko Gumraah kiya ki ye Nek log jaha baitha karte they waha Batour Yaadgaar Patthar Nasb kar Do aur Unn Pattharo ko Unn ke Naamo se yaad karo.

Chunaanche aisa kiya gaya, Lekin Uss Daur me Unn Pattharo ko Pooja na gaya.

Jab Yeh log marr Ggaye aur baad walo par Jahalat cha gayi, Ilm Jaata raha aur asal baat faramosh ho gayi tou Unn Yaadgaaro ko Poojna shuru kar diya faya.

📕 Bukhaari Sharif, Kitaabut’tafseer

Imaam Ibne Qayyim (R.H) farmaate hai ke,
“Muttad’did Ahle Ilm Aslaaf ka bayaan hai ki, Jab we marr gaye tou pahle ye Log Unn ke Qabro ke Mujaavar baney, phir Un ke Mujassame(Boot) banaaye phir Zamaana-e-Daraaz guzarne par unn ki Ibaadat karne lage.

📕 Fathul Majeed Sharah Kitaabut’tauheed-192

Allaah Ta’ala Mushrikeen ke Maboodo ke baare me Quraan-e-Kareem me farmaata hai,

“Beshaq Tum Allah ke Bajaay Jin ko Pukaarte ho woh tum jaise bande hai.”

📕 Surah Al-A’raaf 7:197

Aur Farmaaya..

“Aur Jab (Qiyaamat ke Din) Log jama kiye Jayenge we (Bandey) Unn ke Dushman ho jayenge aur Unn ke Ibadat ka Inkaar kar denge.”

📕 Surah Al-Ahqaf : 46:6

Allahu Akbar! Allah Taala hume kehne sunne se jyada amal ki toufiq de,

hume tamam kism ke shirk se bachaye,

jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,

khatma humara iman par ho,

Wa akhiru dawana Alahamdulillahi rabbul aalameen.

Ameen Allahumma Ameen.

Leave a Reply